Mein dil pe jabr karunga tujhe bhula dunga Marunga khud bhi, tujhe bhi kadi sazaa dunga


Mein dil pe jabr karunga tujhe bhula dunga
Marunga khud bhi, tujhe bhi kadi sazaa dunga 

Ye teergi mere ghar ka hi kyun muqaddar ho?
Mein tere shehr ke saare diye bujha doonga 

Hwa ka haath bataunga mein tabahi mein
Hare shajar se parinde mein khud uda dunga

Isi khayaal mein guzri hai shaam-e-dard aksar
Ke dard had se badhega to muskura doonga

Tu aasman ki surat hai gir-padega kabhi
Zameen hun mein magar tujh ko asra doonga

Badhaa rahi hai mere dukh, nishaniyaN teri
Mein tere khat, teri tasveer tak jalaa dunga

Bahot dinon se mera dil udaas hai "Mohsin"
Is aaine ko koi aks ab nayaa dunga


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo