`Nasir` kya kahata phirata hai kuch na suno to behatar hai Diwana hai diwane ke munh na lago to behatar hai


`Nasir` kya kahata phirata hai kuch na suno to behatar hai
Diwana hai diwane ke munh na lago to behatar hai

Kal jo tha wo aj nahi jo aj hai kal mit jayega
Rukhi sukhi jo mil jaye shukr karo to behatar hai

Kal ye tab o tawan na rahegi thanda ho jayega lahu
Nam e khuda ho jawan abhi kuch kar guzaro to behatar hai

Kya jane kya rut badale halat ka koi thik nahi
Ab ke safar may tum bhi hamare sath chalo to behatar hai

Kapare badal kar bal bana kar kahan chale ho kis ke liye
Rat bahut kali hai `nasir` ghar may raho to behatar hai


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo