Nazar Mila Ke Zara Dekh Mat Jhuka Aankhein Barha Rahi Hain Nigahon Ka Hosla Aankhein




نظر ملا کے ذرا دیکھ مت جھکا آنکھیں
بڑھا رہی ہیں نگاہوں کا حوصلہ آنکھیں
جو دل میں عکس ہے آنکھوں سے بھی وہ چھلکے گا
دل آئینہ ہے مگر دل کا آئینہ آنکھیں
وہ اک ستارا تھا جانے کہاں گرا ہو گا
خلا میں ڈھونڈ رہی ہیں نہ جانے کیا آنکھیں
قریب جاں دم خلوت مگر سرمحفل
ہیں اجنبی سے بھی بڑھ کر وہ آشنا آنکھیں
غم حیات نے فرصت نہ دی ٹھہرنے کی
پکارتی ہی رہیں مجھکو صدا آنکھیں
تباہیوں کا کسی نے اگر سبب پوچھا
زبان حال نے بے ساختہ کہا آنکھیں
جھٹک چکا تھا میں گرد ملال چہرے سے
چھپا سکیں نہ مگر دل کا ماجرا آنکھیں
یہ اس کا طرز تخاطب بھی خوب ہے محسن
رکا رکا سا تبسم خفا خفا آنکھیں
محسن بھوپالی


Nazar Mila Ke Zara Dekh Mat Jhuka Aankhein

Barha Rahi Hain Nigahon Ka Hosla Aankhein

Jo Dil Mein Aks Hai Aankhon Se Bhi Wo Chalkey Ga

Dil Aaina Hai Magar Dil Ka Aaina Aankhein

Wo Ik Sitara Tha Jane Kahan Gira Ho Ga

Khala Mein Dhoond Rahi Hain Na Jane Kia Aankhein

Qareeb-e-Jaan Dam Khalvat Magar Sar-e-Mehfil

Hain Ajnabi Se Bhi Bad Kar Wo Aashna Aankhein

Gham-e-Hayaat Ne Fursat Na Di Thehernay Ki

Pukaarti Hi Rahein Mujhko Sada Aankhein

Tabahion Ka Kisi Ne Agar Sabab Poocha

Zuban-e-Haal Ne Be-Sakhta Kaha Aankhein

Jhatak Chuka Tha Main Gard-e-Malal Chehre Se

Chupa Sakein Na Magar Dil Ka Majra Aankhein

Ye Uska Tarz-e-Takhtub Bhi Khoob Hai Mohsin

Ruka Ruka Sa Tabasum Khafa Khafa Aankhein

Poet:Mohsin Bhopali

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo