Wo Log Hi Qadmon Se Zameen Cheen Rahy Hain Jo Log Mere Qad Ke Barabar Nahi Aaty


ﻭﮦ ﻟﻮﮒ ﮨﯽ ﻗﺪﻣﻮﮞ ﺳﮯ ﺯﻣﯿﻦ ﭼﮭﯿﻦ ﺭﮨﮯ ﮨﯿﮟ
ﺟﻮ ﻟﻮﮒ ﻣﯿﺮﮮ ﻗﺪ ﮐﮯ ﺑﺮﺍﺑﺮ ﻧﮩﯿﮟ ﺁﺗﮯ
ﺍﮎ ﺗﻢ ﮐﮧ ﺗﻤﮩﺎﺭﮮ ﻟﯿﮯ ﻣﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﻣﯿﺮﯼ ﺟﺎﮞ ﺑﮭﯽ
ﺍﮎ ﻣﯿﮟ ﮐﮧ ﻣﺠﮭﮯ ﺗﻢ ﺑﮭﯽ ﻣﯿﺴﺮ ﻧﮩﯿﮟ ﺁﺗﮯ
ﺟﺲ ﺷﺎﻥ ﺳﮯ ﻟﻮﭨﮯ ﮨﯿﮟ ﮔﻨﻮﺍ ﮐﺮ ﺩﻝ ﻭﺟﺎﻥ ﮨﻢ
ﺍﺱ ﻃﻮﺭ ﺗﻮ ﮨﺎﺭﮮ ﮨﻮﮰ ﻟﺸﮑﺮ ﻧﮩﯿﮟ ﺁﺗﮯ
ﮐﻮﺋﯽ ﺗﻮ ﺧﺒﺮ ﻻﮰ ﻣﯿﺮﮮ ﺩﺷﻤﻦ ﺟﺎﮞ ﮐﯽ
ﮐﭽﮫ ﺩﻥ ﺳﮯ ﻣﯿﺮﮮ ﺻﺤﻦ ﻣﯿﮟ ﭘﺘﮭﺮ ﻧﮩﯿﮟ ﺁﺗﮯ
ﺩﻝ ﺑﮭﯽ ﮐﻮﺋﯽ ﺁﺳﯿﺐ ﮐﯽ ﻧﮕﺮﯼ ﮨﮯ ﮐﮧ ﻣﺤﺴﻦ
ﺟﻮ ﺍﺱ ﺳﮯ ﻧﮑﻞ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ, ﻣﮍ ﮐﺮ ﻧﮩﯿﮟ ﺁﺗﮯ
ﻣﺤﺴﻦ ﻧﻘﻮﯼ

Poet:Mohsin Naqvi

Wo Log Hi Qadmon Se Zameen Cheen Rahy Hain

Jo Log Mere Qad Ke Barabar Nahi Aaty

Ik Tum Keh Tumhare Liye Main Bhi Meri Jaan Bhi

Ik Main Keh Mujhe Tum Bhi Muyasar Nahi Aaty

Jis Shaan Se Laoty Hain Ganwa Kar Dil-o-Jaan Hum

Iss Taur To Hare Hue Lashkar Nahi Aaty

Koi To Khabar Laye Mere Dushman-e-Jaan Ki

Kuch Din Se Mere Sehn Mein Pathar Nahi Aaty

Dil Bhi Koi Aasaib Ki Nagri Hai Keh MOHSIN 

Jo Iss Se Nikal Jate Hain , Mod Kar Nahi Aaty


1 comment:

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo