Ye Hai Maikadah Yahan Rind Hain Yahan Sab Ka Saqi Imam Hai


یہ ہے میکدہ یہاں رند ہيں یہاں سب کا ساقی امام ہے
یہ حرم نہیں ہے اے شيخ جی ،یہاں پارسائی حرام ہے
جو ذرا سی پی کے بہک گیا اسے میکدے سے نکال دو
یہاں تنگ نظر کا گزر نہیں یہاں اہل ظرف کا کام ہے
کوئی مست ہے کوئی تشنہ لب تو کسی کے ہاتھ میں جام ہے
مگر اس پہ کوئی کرے بھی کیا یہ تو میکدے کا نظام ہے
یہ جناب شیخ کا فلسفہ ہے عجیب سارے جہان سے
جو وہاں پیو تو حلال ہے جو یہاں پیو تو حرام ہے
اس کائنات میں اے جگر کوئی انقلاب اٹھے گا پھر
کہ بلند ہو کے آدمی ابھی خواشوں کا غلام ہے

Ye Hai Maikadah Yahan Rind Hain Yahan Sab Ka Saqi Imam Hai
Ye Haram Nahi Hai Aey Sheikh Jii,Yahan Paarsaai Haram Hai
Jo Zara Sa Pii Ke Behak Gaya Ussay Maikaday Se Nikal Do
Yahan Tang Nazar Ka Guzar Nahi Yahan Ahl-e-Zarf Ka Kam Hai
Koi Mast Hai Koi Tashna Lab Tou Kisi Ke Haath Mein Jaam Hai
Magar Iss Pe Koi Kare Bhi Kia Ye Tou Maikady Ka Nizam Hai
Ye Janab Sheikh Ka Falsafa Hai Ajeeb Saare Jahan Se
Jo Wahan Pio Tou Halal Hai Jo Yahan Pio Tou Haram Hai
Iss Kainaat Mein Aey JIGAR Koi Inqilaab Uthay Ga Phir
Keh Buland Ho Ke Aadmi Abhi Khuwahishon Ka Ghulam Hai

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo