Ye raat tumhaari hai chamakte raho taaro woh aayen na aayen magar ummeed na haaro


Ye raat tumhaari hai chamakte raho taaro
woh aayen na aayen magar ummeed na haaro

Shayad kisi manzil se koi qaafila aaye
aashufta-saro subh talak yunhi pukaaro

Din bhar toh chale ab zara dum le ke chalenge
aey humsafro aaj yehin raat guzaaro


Ye aalam-e-wehshat hai toh kuchh ho hi rahega
manzil na sahi sar kisi deewar se maaro


Ojhal hue jaate hain nigaahon se do aalam
tum aaj kahan ho ghum-e-furqat ke sahaaro


Khoya hai usey jis ka badal koi nahin hai
ye baat magar kaun sune laakh pukaaro


NASIR KAZMI


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo