Zameen pe chal na saka aur aasmaan se bhi gaya


Zameen pe chal na saka aur aasmaan se bhi gaya
kata ke Parr woh parinda ,udaan se bhi gaya
Bhula diya toh bhulane ki inteha kar di
k ab woh shakhs ,mere wehm-o gumaan se bhi gaya
Kisi ke haath se nikla hua koi teer hun main
hadaf ko chhoo na saka jo kamaan Se bhi gaya
Tabaah kar gayi mujh ko pakke makaan ki khwaahish
main apne gaaon ke kacche makaan se bhi gaya
Paraayi aag mein kooda to , kya mila mujh ko
usey bacha na saka aur ,apni jaan se bhi gaya


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo