Abr to abr shajar bhi hain hawa ki zad me Kis se dam bhar ko koi chhaun suhani mange


Rait ki lehrun se darya ki rawani mange
Me wo pyasa hun jo sehraun se pani mange
Abr to abr shajar bhi hain hawa ki zad me
Kis se dam bhar ko koi chhaun suhani mange
Udte pattun pe lapkti hai yun dali dali
Jese jate huwe mosam ki nishani mange
Me wo bhula huwa chehra hun ke aaina bhi
Mujhse meri koi pehchan purani mange
Zard malbuus me aati hain bahaarain Shahid
Aur tuu rang khizaun ka bhi dhaani mange

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo