Chupke chupke gham ka khaana koee hum se seekh jaaye Ji hee ji mein tilmilaana koee hum se seekh jaaye



Chupke chupke gham ka khaana koee hum se seekh jaaye
Ji hee ji mein tilmilaana koee hum se seekh jaaye

Abr kya aansuu bhaana koee hum se seekh jaaye
Barq kya hai tilmilaana koee hum se seekh jaaye

Lutf uthaana hai agar manzuur uss ke Naaz ka
Pehale uss ka Naaz uthaana koee hum se seekh jaaye

Keh do qasid se ki jaaye kuch bahaane se vahaan
Gar nahin aata koee bahaana hum se seekh jaaye

Khat mein likhva kar unhein bhejaa to matla dard ka
Dard.o.dil apnaa jitaana koee hum se seekh jaaye

Jub kahaa martaa huun vo bole mera sir kaat kar
Jhuut ko sach kar dikhaana koee hum se seekh jaaye

Kya huaa ai ZAUQ hain juun mardmuuk ham ru.siyaah
Lekin aankhon mein samaana koee hum se seekh jaaye
 
Poet:Zauq

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo