Gaye Dinon Ka Suragh Le Kar, Kidher Se Aaya Kidher Gaya Wo Ajeeb Manoos Ajnabi Tha, Mujhe To Hairan Kar Gaya Wo


Gaye Dinon Ka Suragh Le Kar, Kidher Se Aaya Kidher Gaya Wo
Ajeeb Manoos Ajnabi Tha, Mujhe To Hairan Kar Gaya Wo

Bas Ek Halki Jhalk Dikha Kar, Bus Ek Meethi See Dhun Suna Kar

Sitara E Sham Ban K Aaya, Barang E Khwab E Sehar Gaya Wo

Na Ab Wo Yadon Ka Charhta Drya, Na Fursaton Ki Udas Barkha

Yunhi Zara Si Kasak Hai Dil Mein Jo Zakhm Gehra Tha Bhr Gaya Wo

Shikasta Pa Rah Mei Khara Hoon, Gaye Dino Ko Bula Raha Hoon

Jo Qafla Mera Hamsafar Tha, Misal E Gard E Safar Gaya Wo

Hawas Ki Bunyad Par Na Thehra Kisi Bhi Umeed Ka Gharonda

Chali Zara Si Hawa Mukhalif,Ghubar Ban K Bikhar Gaya Wo

Wo Hijar Ki Raat Ka Sitara,Wo Hamnafs Ham Sukhan Hamara

Sada Rahe Us Ka Naam Pyara, Suna Hai K Rat Mar Gaya Wo

Mera To Khoon Ho Gya Hai Pani, Sitmgarun Ki Palak Na Bheegi

Jo Nala Utha Tha Raat Dil Se,Na Jane Kiyon Be Asar Gaya Wo

Wo Jis Ke Shane Pe Hath Rakh Kar Safar Kiya Tu Ne Manzilon Ka

Teri Gali Se Na Jane Kiyon Aaj Sar Jhukae Guzar Gaya Wo

Wo RAat Ka Benawa Musafir Wo Tera Shair,Wo Tera Nasir

Teri Gali Tak To Hum Ne Dekha,Phir Na Jane Kidhar Gaya Wo

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo