Mujh se ooncha tera qadd hai, hadh hai Phir bhi seenay main hassad hai, hadh hai


Mujh se ooncha tera qadd hai, hadh hai
Phir bhi seenay main hassad hai, hadh hai
Mere to lafz bhi korri ke nahin
Tera nukta bhi sanad hai, hadh hai
Teri har baat hai sar ankhon pr
Meri har baat hi rad hai, hadh hai
Ishq meri hi tamanna to nahin
Teri niyat bhi to badd hai, hadh hai
Zindagi ko hai zaroorat meri
Aur zaroorat bhi ashad hai, hadh hai
Be-tahasha hain sitaare lekin
Chand bass aik adad hai, hadh hai
Ashk ankhon se yeh keh kar nikla
Yeh tere zabt ki hadh hai? hadh hai

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo