Tasavraat Ki Jannat Mein Kho Gaein Aankhein Madina Aur Madine Ki Ho Gaein Aankhein


تصورات کی جنت میں کھو گئیں آنکھیں
مدینہ اور مدینے کی ہو گئیں آنکھیں

وہ خواب دیکھ رہی تھیں تو خاک طیبہ کا
سمجھ رہا تھا زمانہ کے سو گئیں آنکھیں

تلاش کرتے ہوئے خوب لُطف آیا مجھے
گلی گلی میں مدینے کی کھو گئیں آنکھیں

درود پڑھتے ہوئے بارگاہِ اقدس میں
نہ جانے کتنے ہی موتی پرو گئیں آنکھیں

زہے نصیب کہ میں دامنِ احد میں ہوں
خیال آیا تو دامن بھِگو گئیں آنکھیں

وہ جس سے روح میں پاکیزگی نظر آئے
وہ صبحِ نُورِمدینہ سمو گئیں آنکھیں

ہمیشہ اشکِ ندامت سے با وضو رکھنا
خدا کا شُکر مدینے کی ہو گئیں آنکھیں

Tasavraat Ki Jannat Mein Kho Gaein Aankhein
Madina Aur Madine Ki Ho Gaein Aankhein

Wo Khuwaab Dekh Rahi Thein Tou Khaak-e-Tayyiba Ka
Samajh Raha Tha Zamana Keh So Gaein Aankhein

Talash Karte Hoe Khoob Lutf Aaya Mujhe
Gali Gali Mein Madine Ki Kho Gaein Aankhein

Darood Padte Hoe Baargaah-e-Aqdas Mein
Na Jane Kitne Hi Moti Pro Gaein Aankhein

Zahe Naseeb Keh Main Daman-e-Uhad Mein Hon
Khayal Aaya Tou Daman Bhigo Gaein Aankhein 

Wo Jis Se Rooh Mein Pakeezgi Nazar Aaye
Wo Subah-E-Noor-E-Madina Samo Gaein Aankhein

Hamesha Ashk-E-Nadamat Se Ba-Wazo Rakhna
Khuda Ka Shukar Madine Ki Ho Gaein Aankhein

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo