Mausam-e-Sarma Ki Barish Ka Ye Pehla Roz Hai Dhund Hai Atraaf Mein Soraj Ke Khuwab Par Garam



موسم سرما کی بارش کا یہ پہلا روز ہے

موسم سرما کی بارش کا یہ پہلا روز ہے
دھند ہے اطراف میں سورج کے خواب پر گرم
میں کہ جو محصور ہوں آرام حسن یار میں
اک حفاظت سی ہے مجھ کو جسم کی مہکار میں
یاد اور موجود دونوں کی حقیقت اس میں ہے
غم کی طاقت کو غلط کرنے کی ہمت اس میں ہے
سحر اتنا ہے جمال مہربان یار میں
جتنے اس سرما کی بارش کے حسیں اسرار میں​

منیر نیازی

Mausam-e-Sarma Ki Barish Ka Ye Pehla Roz Hai

Mausam-e-Sarma Ki Barish Ka Ye Pehla Roz Hai
Dhund Hai Atraaf Mein Soraj Ke Khuwab Par Garam
Main Keh Jo Mahsoor Hon Aram Husn-e-Yaar Mein
Ik Hifazat Sii Hai Mujh Ko Jism Ki Mehkaar Mein
Yaad Aur Mojood Dono Ki Haqeeqat Is Mein Hai
Gham Ki Taqat ko Ghalat Karne Ki Himmat Is Mein Hai
Sahar Itna Hai Jamal Mehruban Yaar Main
Jitne Is Sarma Ki Barish Ke Haseen Israr Mein
 
Munir Niazi

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo