Rukta Bhi Nahi Theek Se,Chalta Bhi Nahi Hai Ye Dil Keh Tere Baad,Sanbhalta Bhi Nahi Hai


رُکتا بھی نہیں ٹھیک سے ، چلتا بھی نہیں ھے
یہ دل کہ تیرے بعد ، سنبھلتا بھی نہیں ھے
اک عمر سے ھم اُس کی تمنا میں ھیں بے خواب
وہ چاند جو آنگن میں ، اُترتا بھی نہیں ھے
پھر دل میں تیری یاد کے ، منظر ھیں فروزاں
ایسے میں کوئی ، دیکھنے والا بھی نہیں ھے
ھمراہ بھی خواھش سے ، نہیں رھتا ھمارے
اور بامِ رفاقت سے ، اُترتا بھی نہیں ھے
اِس عمر کے صحرا سے ، تری یاد کا بادل
ٹلتا بھی نہیں ، اور برستا بھی نہیں ھے
نوشی گیلانی

Rukta Bhi Nahi Theek Se,Chalta Bhi Nahi Hai
Ye Dil Keh Tere Baad,Sanbhalta Bhi Nahi Hai
Ik Umar Se Hum Uski Tamana Mein Hain Be-Khuwaab
Wo Chaand Jo Aangan Mein,Utarta Bhi Nahi Hai
Phir Dil Mein Teri Yaad Ke,Manzar Hain Farozaan
Aise Mein Koi,Dekhnay Wala Bhi Nahi Hai
Humrah Bhi Khuwahish Se,Nahi Rehta Hamare
Aur Baam-e-Rafaqat Se,Utarta Bhi Nahi Hai
Is Umar Ke Sahra Se,Teri Yaad Ka Badal
Talta Bhi Nahi Hai,Aur Barasta Bhi Nahi Hai
Noshi Gilani

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo