Sahil pe layi aur safeene dubo diye Is zindgi ne itna hansaya ke ro diye


Sahil pe layi aur safeene dubo diye
Is zindgi ne itna hansaya ke ro diye
Zabt-e gham-e firaq ki majburiyaa na puch
Dil me kisi ka nam liya aur ro diye
In aansuon ko dekhne wala koi na tha
Jin aansuon me ham ne tabassum samo diye
Raah-e junuu me kam khirad se liya hi tha
Zauf-e talab ne paaw me kaante chubho diye
Tajdeed-e ehd-e ishq huyi aaj yun " Shameem"
Nazren milii.n salam kiya aur ro diye

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo