Sehra Jo Pukarain Bhi To Sun Kar Nhi Aate Ab Ahl-e-Junon Shehar Se Bahir Nhi Aate


Sehra Jo Pukarain Bhi To Sun Kar Nhi Aate
Ab Ahl-e-Junon Shehar Se Bahir Nhi Aate
Wo Kaal Para Hai K Tijarat Gah-e-Dil Mein
Dastaarein To Maysar Hain Magr Sar Nhi Aate
Wo Log Hi Qadmon Se Zameen Cheen Rahey Hain
Jo Log Mere Qad K Brabar Nhi Aate
Ik Tum K Tumharay Liye Main Bhi Meri Jan Bhi
Ik Main K Mujhe Tum Bhi Maysar Nhi Aate
Jis Shaan Se Lotay Hain Ganwa Kar Dil-o-Jan Hum
Is Tor Se To Harray Hue Lashkar Nhi Aate
Koi To Khaber Le Mere Dushman-e-Jan Ki
Kuch Din Se Mere Sehain Mein Pather Nhi Aate
Dil Bhi Koi Aasaib Ki Nagri Hai K Mohsin
Jo Is Se Nikal Jate Hain Mur Kar Nhi Aate

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo