Suna Hai Haath Ki Lakeeren Badal Jati Hai Aur Uske Saath Tamannayen Bhi Jal Jati Hai


Suna Hai Haath Ki Lakeeren Badal Jati Hai
Aur Uske Saath Tamannayen Bhi Jal Jati Hai
Rawayyaton Se Kuch Ukta Si Gayee Hai Shayad
Khushi Ab Kyon Bina Dastak Tu Nikal Jati Hai
Mere Seene Pe Rakh Ke Haath Mujhse Baat Karo
Warna Tum Tak Pohonchte Baat Badal Jaati Hai
Apni Tasveer Mujhko Deke Khud Pe Ehsaan Kar
Baat Dohraaye Bin Zehen Se Nikal Jaati Hai
Chaaha Tuut Ke Tujhko Aur Tu Chhod Gayee
Kasske Pakdo To Jaise Ret phisal Jaati Hai
Qatil Andaaz Hain Unka Yeh Bhi Kehne Ka
Aaj Hi Jaye Teri Jaan Jo Kal Jaati Ha
Waaeez Abhi Na Bata Aasaar-E-Roz-E-Jazaa
Aisee Baton Se Meri Rooh Machal Jaati Hai
Talib Ek Naav Hai Maalik Tere Iss Dariya Ki
Mauj-E-Halaat Se Bachkar Jo Uchal Jaati Hai

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo