Teer khaanay ki hawas hai_ to jigar paida kar sarfaroshi ki tamanna hai _to sar paida kar


Teer khaanay ki hawas hai_ to jigar paida kar
sarfaroshi ki tamanna hai _to sar paida kar
kaun sii jaa hai_ jahaan jalwa-e-maashooq nahi
shauq-e-deedaar agar hai_ to nazar paida kar
kohkan, kohkanii, sheva-e-ushshaaq nahiin
 jo too aashiq hai dil-e-maashooq men ghar paidaa kar
sada mein furkat ke uthaane hain ilaahii mushkil
dil jo lohe kaa, to patthar ka jigar paidaa kar
ishq-baajii kii tamnna agar rakhtaa hai ''Ameer''
dil agar ek diyaa hai, laakh jigar paidaa kar


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo