wo koi aur na tha chand Khushk patte thay shajar se tut k jo fasl-e-gul pe roye thay


wo koi aur na tha chand Khushk patte thay
shajar se tut k jo fasl-e-gul pe roye thay
abhi abhi tumhain socha to kuch na yad aya
abhi abhi to ham ek-dusare se bichre thay
tumhare bad chaman par jab ik nazar dali
kali kali main Khizan k chirag jalate thay
tamam umr wafa ke gunahgar rahe
ye aur bat ki ham adami to ache thay
shab-e-Khamosh ko tanhai ne zaban de di
pahar gunjte the dasht sansanate thay
wo ek bar mare jin ko tha hayat se pyar
jo zindagi se gurezan the roz marte thay
naye Khayal ab ate hain dhal ke zahan main
hamare dil main kabhi khet lahlahate thay
ye irtiqa ka chalan hai k har zamane main
purane log naye admi se darte thay
'Nadeem' jo bhi mulaqat thi adhuri thi
k ek chehre ke piche hazar chehre thay

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo