Ye Raat Ye Tanhaai Ye Dil K Dharrkne Ki Aawaz


شاعرہ مینا کماری

یے رات یے تنہائی
یے دل کے دھڑکنے کی آواز
یے سناٹا
یے ڈوبتے تاروں کی
خاموش غزل خوانی
یے وقت کی پلکوں پر
سوتی ہوئی ویرانی
جزبات ۓ محبت کی
یے آخری انگڑائی
بجتی ہوئی ہر جانب
یے موت کی شہنائی
سب تم کو بلاتی ہیں
پل بھر کو تم آ جاؤ
بند ہوتی میری آنکھوں میں
محبت کا اک خواب سجا جاؤ...............................!

Poettes Meena Kumari Naaz
Type By
*_FAROOQI.54_*
Ye Raat Ye Tanhaai
Ye Dil K Dharrkne Ki Aawaz
Ye Sunaatta
Ye Doobte Taaroon Ki
Khaamosh Ghazal Khawaani
Ye Waqat Ki Palkoon Par
Soti Hui Veeraani
Jazbaat-E-Mohabbat Ki
Ye Aakhri Angrraai
Bajati Hui Har Jaanib
Ye Muat Ki Shehnaai
Sub Tum Ko Bulaate Hain
Pal Bhar Ko Tum Aa Jao
Band Hoti Meri Aankhoon Mein
Mohabbat Ka Ik Khawaab Saja Jao

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo