Youn Teri Raah Guzar Se Deewana Waar Guzare Kaandhe Pe Rakh K Apna Mazaar Guzare


شاعرہ مینا کماری ناز
انتخاب فاروقی_54
یوں تیری راہ گذر سے دیوانہ وار گذرے
کاندھے پے رکھ کے اپنا مزار گذرے
بیٹھے رہے ہیں راستے میں دل کا کھنڈر سجا کر
شاید اسی طرف سے اک دن بہار گذرے
بہتی ہوئی یے ندیا گھلتے ہوئی کنارے
کوئی تو پار اترے کوئی تو پار گذرے
تونے بھی ہم کو دیکھا
ہم نے بھے تجھ کو دیکھا
تو دل ہی ہار گذرا
ہم جان ہار گذرے

Poetess Meena Kumari Naaz
Type By
*_FAROOQI.54_*
Youn Teri Raah Guzar Se Deewana Waar Guzare
Kaandhe Pe Rakh K Apna Mazaar Guzare
Bethe Rahe Hain Raste Mein Dil Ka Khandr Saja Kar
Shaayd Isi Taraf Se Ik Din Bahaar Guzare
Behti Hui Ye Nadiya Ghulte Huye Kinaare
Koi To Paar Utre Koi To Paar Guzare
Too Ne Bhi Hum Ko Dekha
Hum Ne Bhi Tujh Ko Dekha
Too Dil Hi Haar Guzra
Hum Jaan Haar Guzare

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo