Zubaan Pe Muhar Gadai Hai Kis Se Baat Karon Haroof Kasa Be-Maya Hain , Qalam Kashkol



زباں پہ مُہر گدائی ہے ، کِس سے بات کروں
حُروف کاسہ بےمایہ ہیں ، قلم کشکول
ضمیر بےحِس و حرکت ہے زیست بےپہلُو
شِکَن ہے دامَن ِ ہستی میں ، آستِین پہ جھول
مَیں خود طِلسم کی پریوں سے بےکِنار ہؤا
کِسے کہوں کہ مِری رُوح کے دریچے کھول
میں اِک سراب کی خواہش پہ بیچ آیا ہُوں
تمام بادہ و ساغر ، تمام تشنہ لبی
حریم ِ عقل میں جس کا کوئی جواز نہ تھا
نِشاط ِ دل تھی وُہی زندگی کی بےسبَبی
اُجڑ گئے مِرے گُلگَشت ، میرے رُکنا باد
مری دُعائے سَحر ، میری آہ ِ نِیم شبی
کہاں وُہ دِن تھے کہ پروائے ننگ و نام نہ تھی
کہاں یہ وقت کہ سایہ سنبھل کے چلتا ہے
مجھے کِسی بھی تعیُّن پہ اِختیار نہیں
یہ کوئی اَور مِرے راستے بدلتا ہے
جنُوں سے رسم نہ رکُّھوں تو جاں سُلگتِی ہے
طلب کا قرض اُتاروں تو جِسم جلتا ہے


Zubaan Pe Muhar Gadai Hai Kis Se Baat Karon

Haroof Kasa Be-Maya Hain , Qalam Kashkol

Zameer Be-His-O-Harkat Hai Zeest Be-Pehlo

Shigan Hai Daman-E-Hasti Mein , Aasteen Pe Jhol

Main Khud Tilasam Ki Parion Se Be-Kinaar Hua

Kise Kahon Keh Meri Rooh Ke Dareeche Khol

Main Ik Saraab Ki Khuwahish Pe Baich Aaya Hon

Tamaam Badah-O-Saghar,Tamaam Tashna Labi

Hareem-E-Aqal Mein Jis Ka Koi Jawaaz Na Tha

Nishaat-E-Dil Thi Wahi Zindagi Ki Be-Sababi

Ujad Gaye Mere Gulgusht Mere Ruknabad

Meri Dua-E-Sahar Meri Aah-E-NeemShabi

Kahan Wo Din Thy Keh Parwa-E-Nang-O-Naam Na Thi

Kahan Ye Waqt Keh Saaya Sanbhal Ke Chalta Hai

Mujhe Kisi Bhi Ta'ayun Pe Ikhteyaar Nahi

Ye Koi Aur Mere Rasty Badalta Hai

Janoon Se Rasm Na Rakhon Tou Jaan Sulagti Hai

Talab Ka Qarz Utharon Tou Jisam Jalta Hai

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo