Ab Bhala Chorh Ke Ghar Kia Kartay Shaam Ke Waqt Safar Kia Kartay


Ab Bhala Chorh Ke Ghar Kia Kartay
Shaam Ke Waqt Safar Kia Kartay
Teri Masroofiatain Jaantay Hain
Apne Aanay Ki Khabar Kia Kartay
Jab Sitaaray Hee Nahi Mil Paaye
Le Ke Ham Shams-o-Qamar Kia Kartay
Wo Musaafir Hee Khuli Dhoop Ka Tha
Saaye Phaila Ke Shajar Kia Kartay
Khaak Hee Awwal-o-Aakhir Thehri
Kar Ke Zarray Ko Gohar Kia Kartay
Raaye Phele Se Bana Li TU Ne
Dil Mein Ab Ham Tere Ghar Kia Kartay
Ishq Ne Saaray Saleeqay Bakhshay
Husn Se Kasb-e-Hunar Kia Kartay


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo