Koi
jazba adhoora reh gaya hai
December aansu’on mein beh gaya hai
December aansu’on mein beh gaya hai
Yeh
dil khamosh ho kar reh gaya hai
Najane aaj woh kya keh gaya hai
Najane aaj woh kya keh gaya hai
Yeh
aankhein hain hamari kitni gehri
Samundar mein samundar beh gaya hai
Samundar mein samundar beh gaya hai
Tumhare
saath wabasta tha sab kuch
Siwaye yaad k kya reh gaya hai
Siwaye yaad k kya reh gaya hai
Palat
kar dekhne par hum ne jana
Dil-e-nadaan kya kya seh gaya hai
Dil-e-nadaan kya kya seh gaya hai
No comments:
Post a Comment