Yeh Chaand Aur Yeh Abar-e-Rawaan Guzarta Rahe Jamaal-e-Shaam Teh-e-Asmaan Guzarta Rahe


Image may contain: one or more people

Yeh Chaand Aur Yeh Abar-e-Rawaan Guzarta Rahe
Jamaal-e-Shaam Teh-e-Asmaan Guzarta Rahe
Bhara Rahe Teri Khushbo Se Tera Sehn-e-Chaman
Bas Ek Mosam-e-Ambar Fishaan Guzarta Rahe
Samaaten Tere Lehje Se Phool Chunti Rahein
Dilon K Saaz Pe Tu Naghma Khawaan Guzarta Rahe
Khuda Kare Teri Aankhen Humesha Hansti Rahen
Diyaar-e-Waqt Se Tu Shaadmaan Guzarta Rahe
Main Tujh Ko Dekh Na Paaon To Kuch Malaal Nahi
Kahein Bhi Ho Tu, Sitara Nishaan Guzarta Rahe
Main Maangti Hoon Teri Zindgi Qiyamat Tak
Hawaa Ki Tarah Se Tu Jawedaan Guzarta Rahe
Mera Sitara Kahein Toot Kar Bekhar Jaaye
Falak Se Tera Khat-e-Kehkashaan Guzarta Rahe
Main Teri CHaaon Mein Kuch Dair Bayth Loon Aur Phir
Tamaam Raasta Be Saaiebaan Guzarta Rahe
Yeh Aag Mujh Ko Humesha Kiye Rahe Roshan
Mere Wajood Se Tu Shola Saan Guzarta Rahe
Main Tujh Ko Dekh Sakoon Aakhri Basarat Tak
Nazar Ke Saamne Bass Ek Samaan Guzarta Rahe
Humaara Naam Kahein To Likha Howa Hoga
Mah-o-Najoom Se Yeh Khakdaan Guzarta Rahe
Main Tera Saath na De Paaon Phir Bhi Tera Safar
Gulaab-o-Khawab Ke Hi Darmiyaan Guzarta Rahe
Main Tere Seene Pe Sar Rakh Kar Waqt Bhool Gai
Khiyaal-e-Tezi Umar-e-Rawaan Guzarta Rahe

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo