Chandni, jheel, na shabnam, na kanwal mein ho ga Ab tera aks faqat apni ghazal mein ho ga



چاندنی، جھیل، نہ شبنم، نہ کنول میں ہو گا
اب تِرا عکس فقط اپنی غزل میں ہو گا
Chandni, jheel, na shabnam, na kanwal mein ho ga
Ab tera aks faqat apni ghazal mein ho ga

 
جس سے منسوب ہے تقدیرِ دو عالم کا مزاج
وہ ستارہ بھی تِری زلف کے بَل میں ہو گا
Jis se mansoob hai taqdeer e do aalam ka mizaj
Wo sitara bhi teri zulf ke bal mein ho ga

 
اور اک سانس کو جینے کی تمنا کر لیں
ایک لمحہ تو ابھی دستِ اجل بھی ہو گا
Aur ek sans ko jeene ki tamanna kar len
Aik lamha to abhi dast e ajal mein ho ga


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo