Ankhon mein jo base thay, wo chehre nahi mile Qabren to beshumar theen kutbe nahi mile



آنکھوں میں جو بسے تھے، وہ چہرے نہیں ملے
قبریں تو بیشمار تھیں کتبے نہیں ملے
Ankhon mein jo base thay, wo chehre nahi mile
Qabren to beshumar theen kutbe nahi mile

 
ہر ایک شے کو آ گیا جیسے قرار سا
مدت ہوئی ہے دوست بھی آ کے نہیں ملے
Har aik shai ko aa gaya jaise qarar sa
Muddat hui hai dost bhi aa ke nahi mile

 
اَب کے فراقِ یار کے موسم شدید تھے
اَب کے خیالِ یار کے تحفے نہیں ملے
Ab ke firaq e yar ke mausam shadeed thay
Ab ke khayal e yar ke tuhfe nahi mile

 
ہم کو تو دشمنوں سے بھی کوئی گلہ نہیں
کچھ دوستوں کو دوست بھی اچھے نہیں ملے
Hum ko to dushmanon se bhi koi gila nahi
Kuch doston ko dost bhi ache nahi mile

 
ہر چیز دسترس میں ہے یوں تو حیات کی
بیتے ہوے پلٹ کے زمانے نہیں ملے
Har cheez dastaras mein hai youn to hayat ki
Beete huay palat ke zamane nahi mile

 
اُس کی رفاقتوں کے جزیروں کے پار بھی
اُس کی محبتوں کے کنارے نہیں ملے
Us ki rafaqaton ke jazeeron ke paar bhi
Us ki muhabbaton ke kinare nahi mile

 
ہر فرد اپنے وقت سے آگے ہے اَب نعیمؔ
بچے بھی اپنی عمر میں بچے نہیں ملے
Har fard apne waqt se agay hai ab Naeem
Bache bhi apni umr mein bache nahi mile

 
محمد نعیم جاوید نعیمؔ
Muhammad Naeem Javed Naeem


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha