Dard ke khar daar jangal mein Chaand hai sogawar jangal mein



درد کے خار دار جنگل میں
چاند ہے سوگوار جنگل میں
Dard ke khar daar jangal mein
Chaand hai sogawar jangal mein

 
کھو کے مجھ کو یوں بے خیالی میں
اب نہ ایسے پکار جنگل میں
Khho ke mujh ko youn be khayali mein
Ab na aise pukar  jangal mein

 
تیرگی خوف اور وحشت کا
کس نے کھینچا حصار جنگل میں
Teergi khauf aur wehshat ka
Kis ne khhencha hisar jangal mein

 
شہر کے خوف سے جو بھاگا ہے
ہو نہ جائے شکار جنگل میں
Shehr ke khauf se jo bhaga hai
Ho na jaye shikar jangal mein

 
ہاتھ تیرا نہ چھوٹ جائے کہیں
خوف ہے بیشمار جنگل میں
Hath tera na chhoot jaye kahin
Khauf hai beshumar jangal mein

 
شام ڈھلتے ہی لوٹ آئی ہے
پنچھیوں کی قطار جنگل میں
Sham dhalte hi laut aiy hai
Panchhiyon ki qatar jangal mein

 
ملنے جانا ہے لازمی عنبر
اور ہے رہگزار جنگل میں
Milne jana hai lazmi
Amber
Aur hai rehguzaar jangal mein

 
فرحانہ عنبر
Farhana Amber


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha