Har ghhari band hi mili khhirki Mujh pe khholi nahi gaiy khhirki



ہر گھڑی بند ہی ملی کھڑکی
مجھ پہ کھولی نہیں گئی کھڑکی
Har ghhari band hi mili khhirki
Mujh pe khholi nahi gaiy khhirki

 
رات بھر راستہ ترا دیکھا
رات بھر منتظر رہی کھڑکی
Rat bhar raasta tera dekha
Rat bhar muntazir rahi khhirki

 
جب تری یاد آئی شدت سے
میں نے حسرت سے تھام لی کھڑکی
Jab teri yad aiy shiddat se
Main ne hasrat se thaam li khhirki

 
اس کو جب اذنِ گفتگو بخشا
راز کھولے گی پھر سبھی کھڑکی
Is ko jab izn e guftugu bakhsha
Raz khhole gi phir sabhi khhirki

 
میرے من میں سدا ہی کھلتی ہے
ایک تیرے ہی نام کی کھڑکی
Mere man mein sadaa hi khhulti hai
Aik tere hi naam ki khhirki

 
مجھ پہ ہنستے رہے در و دیوار
اور ہنستی رہی کبھی کھڑکی
Mujh pe hanste rahe dar o deevar
Aur hansti to rahi kabhi khhirki

 
تیرے قدموں کی چاپ سنتے ہی
میں نے حیرت سے کھول دی کھڑکی
Tere qadmon ki chap sunte hi
Main ne hairat se khhol di khhirki

 
دل میں امید سی جگاتی ہے
راہ میں ایک ادھ کھلی کھڑکی
Dil mein umeed si jagati hai
Raah mein aik adh khhuli khhirki

 
میں نے دیکھی ہے بارہا عنبر
راستہ دیکھتی ہوئی کھڑکی
Main ne dekhi hai barha Amber
Raasta dekhti hui khhirki

 
فرحانہ عنبر
Farhana Amber


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha