hum tujh se kis hawas ki falak justuju karen dil hi nahin raha hai ki kuchh aarzu karen



hum tujh se kis hawas ki falak justuju karen
dil hi nahin raha hai ki kuchh aarzu karen

tar-damani pe shaikh hamari na jaiyo
daman nichor den to farishte wuzu karen

har-chand aaina hun par itna hun na-qubul
munh pher le wo jis ke mujhe ru-ba-ru karen


KHWAJA MEER DARD


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha