Safar e manzil e shab yad nahi Loag rukhsat huay kab, yad nahi
سفرِ منزلِ شب یاد نہیں
لوگ رخصت ہوۓ کب، یاد نہیں
Safar e manzil e shab yad nahi
Loag rukhsat huay kab, yad nahi
اوّلیں قُرب کی سرشاری میں
کتنے ارماں تھے جو اب یاد نہیں
Awwaleen qurb ki sarshari mein
Kitne arman thay jo ab yad nahi
دل میں ہر وقت چبھن رہتی تھی
تھی مجھے کس کی طلب، یاد نہیں
Dil mein har waqt chubhan rehti thi
Thi mujhe kis ki talab yad nahi
وہ ستارہ تھی کہ شبنم تھی کہ پھول
ایک صورت تھی عجب یاد نہیں
Wo sitara thi ke shabnam thi ke phool
Aik soorat thi ajab yad nahi
کیسی ویراں ہے گزرگاہِ خیال
جب سے وہ عارض و لب یاد نہیں
Kaisi veeran hai guzar gah e khayal
Jab se wo araz o lab yad nahi
بھولتے جاتے ہیں ماضی کے دیار
یاد آئیں بھی تو سب یاد نہیں
Bhoolte jate hain mazi ke diyar
Yad ayen bhi to sab yad nahi
ایسا اُلجھا ہوں غمِ دنیا میں
ایک بھی خوابِ طرب یاد نہیں
Aisa uljha hoon gham e duniya mein
Aik bhi khwab e tarab yad nahi
رشتۂ جاں تھا کبھی جس کا خیال
اُس کی صورت بھی تو اب یاد نہیں
Rishta e jan tha kabhi jis ka khayal
Us ki soorat bhi to ab yad nahi
یہ حقیقت ہے کہ احباب کو ہم
یاد ہی کب تھے جو اب یاد نہیں
Ye haqeeqat hai ke ehbab ko hum
Yad hi kab thay jo ab yad nahi
یاد ہے سیرِ چراغاں ناصر
دل کے بجھنے کا سبب یاد نہیں
Yad hai sair e chiraghan Nasir
Dil ke bujhne ka sabab yad nahi
ناصر کاظمی
Nasir Kazmi
Comments
Post a Comment