Tere Khayal Ko Bhi Fursat Khayal Nahi Judai Hijar Nahi Hai , Milan o Wisal Nahi
ترے خیال کو بھی فرصت خیال نہیں
جدائی ہجر نہیں ہے، ملن وصال نہیں
Tere Khayal Ko Bhi Fursat Khayal Nahi
Judai Hijar Nahi Hai , Milan o Wisal Nahi
مرے وجود میں ایسا سما گیا کوئی
غم زمانہ نہیں، فکر ماہ و سال نہیں
Mere Wajood Mein Aisa Sama Gaya Koi
Gham Zamana Nahi , Fikar Maah o Saal Nahi
اسے یقین کے سورج سے ہی ابھرنا ہے
وہ سیل وہم میں بہتا ہوا جمال نہیں
Usay Yaqeen Ke Soraj Se Hi Ubharna Hai
Woh Seel Weham Mein Behta Hoa Jamal Nahi
دہک اٹھے مرے عارض، مہک اٹھیں سانسیں
پھر اور کیا ہے اگر یہ ترا خیال نہیں
Dhak Uthay Mere Aariz , Mehik Uthein Sansein
Phir Aur Kia Hai Agar Yeh Tera Khayal Nahi
نجانے کتنے جہاں منتظر ہیں تیرے لیے
ترے عروج کی پہلے کہیں مثال نہیں
Najane Kitny Jahan Muntazir Hein Tere Liye
Tere Urooj Ki Pehle Kahein Misal Nahi
شازیہ اکبر
Shazia Akbar
Comments
Post a Comment