Yun Dil Ko Har Ik Shakhs Peh Wara Nahi Karte Aankhon Mein Har Ik Aks Utara Nahi Karte



یُوں دل کو ہر اک شخص پہ وارا نہیں کرتے
آنکھوں میں ہر اک عکس اُتارا نہیں کرتے
Yun Dil Ko Har Ik Shakhs Peh Wara Nahi Karte
Aankhon Mein Har Ik Aks Utara Nahi Karte

 
ہونی ہے, تو اک بار ہی ہو جائے محبت
یہ بُھول ہے ایسی, کہ دوبارہ نہیں کرتے
Honi Hai , Tou Ik Bar Hi Ho Jaye Muhabbat
Yeh Bhool Hai Aisi , Keh Dobara Nahi Karte

 
اچھا ہُوا میں نے ہی فقط دیکھا, مگر یُوں
محفل میں کسی کو بھی اشارا نہیں کرتے
Acha Hoa Main Ne Hi Faqat Daikha , Magar Yun
Mehfil Mein Kisi Ko Bhi Ishara Nahi Karte

 
مِل جائے سرِ راہ جو بچھڑا ہُوا کوئی
چُپ چاپ ہی تکتے ہیں پُکارا نہیں کرتے
Mil Jaye Sar e Raah Jo Bichda Hoa Koi
Chup Chap Hi Takte Hein Pukara Nahi Karte

 
کیوں پیار کی بازی سے ہو اِس درجہ گریزاں
کہتے ہیں کہ بادل ہار کے ہارا نہیں کرتے
Kyun Piyar Ki Bazi Se Ho Is Darja Guraizan
Kehte Hein Keh Badal Har Ke Hara Nahi Karte

 
کاجل سے بھی اب کام کوئی لے نا سہیلی
یُوں درد سے آنکھوں کو سنوارا نہیں کرتے
Kajal Se Bhi Ab Kam Koi Le Na Sahaili
Yun Dard Se Aankhon Ko Sanwara Nahi Karte

 
فاخرہ بتول
Fakhra Batool


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha