Zindagi se kaho muskuraye abhi Mujh ko dhoka na de, geet gaaye abhi



زندگی سے کہو مسکرائے ابھی
مجھ کو دھوکہ نہ دے، گیت گائے ابھی
Zindagi se kaho muskuraye abhi
Mujh ko dhoka na de, geet gaaye abhi

 
ہاتھ تھامے مرا ساتھ میرے چلے
اپنا دامن نہ مجھ سے چھڑائے ابھی
Hath thaame mera sath mere chale
Apna daman na mujh se chhuraye abhi

 
کوئی چپکے سے کہہ دے مرے چاند سے
ساتھ اپنے ستاروں کو لائے ابھی
Koi chupke se keh de mere chaand se
Sath apne sitaron ko laaye abhi

 
خواب دیکھے ہیں جس کے لیے ہی سبھی
کاش تعبیر وہ دے کے جائے ابھی
Khwab dekhe hain jis ke liye hi sabhi
Kaash tabeer wo de ke jaaye abhi

 
میرا سورج ہے گر وہ تو لازم ہے یہ
میرے آنگن میں وہ جگمگائے ابھی
Mera sooraj hai gar wo to lazim hai ye
Mere angan mein wo jagmagaye abhi

 
یہ ہوائیں سجائیں مری حسرتیں
کوئی جھونکا اسے کھینچ لائے ابھی
Ye hawayen sajayen meri hasraten
Koi jhaunka usay khhench laaye abhi

 
معجزہ عشق میں ہو منزہ سحر
میں جو روٹھوں، مجھے وہ منائے ابھی
Mojza ishq mein ho Munazza Sahar
Main jo roothoon, mujhe wo manaye abhi

 
منزہ سحر
Munazza Sahar


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha