Ibn-e-Maryam Howa Kare Koi

 

Poet Mirza Ghalib

 

Ibn-e-Maryam Howa Kare Koi,

Mere Dukh Ki Dawa Kare Koi,

Shura-o-Ain Par Madar Sahi,

Aise Qatil Ka Kia Kare Koi,

Chal Jaise Kadi Kaman Ka Teer,

Dil Mein Aise K Ja Kare Koi,

Bat Par Wan Zuban Katti Hai,

Wo Kahein Aur Suna Kare Koi,

Bak Raha Hon Janoon Mein Kia Kia Kuch,

Kuch Na Samjhe Khuda Kare Koi,

Na Suno Gar Bura Kahe Koi,

Na Kaho Gar Bura Kare Koi,

Rok Lo Gar Ghalat Chale Koi,

Bakhsh Do Gar Khata Kare Koi,

Kon Hai Jo Nahi Hai Hajat Mand,

Kisi Ki Hajat Rawa Kare Koi,

Kia Kia Khizar Ne Sikandar Se,

Ab Kise Rahnuma Kare Koi,

Jab Tawaqo Hi Uth Gai, GHALIB

Kion Kisi Ka Gila Kare Koi...........!

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo