Girja mein mandron mein aazanon mein bat gaya Hote hi subah aadmi khaanon mein bat gaya


 

گرجا میں مندروں میں اذانوں میں بٹ گیا
ہوتے ہی صبح آدمی خانوں میں بٹ گیا
ندا فاضلی

 
Girja mein mandron mein aazanon mein bat gaya
Hote  hi subah aadmi khaanon mein bat gaya

Nida Fazli


DUNIYA Do pal ki is zindagi mein Khuda se,Srif maanga hai Tumhein Duniya ki is bheed mein kaash,Khuda Mila de Humein



DUNIYA
Do pal ki is zindagi mein Khuda se,Srif maanga hai Tumhein
Duniya ki is bheed mein kaash,Khuda Mila de Humein


Faqeeran Ishq Hon Ek Dar Se Lagi Baithi Hon Bikhaaran Hoti Toh Dar Dar Pe Pari Milti Main



Faqeeran Ishq Hon Ek Dar Se Lagi Baithi Hon
Bikhaaran Hoti Toh Dar Dar Pe Pari Milti Main


Waqt hi kuch judai ka itna taweel ho gaya Dil mein teray firaaq ke jitnay thay zakham bhar gaye


 

وقت ہی کُچھ جُدائی کا اِتنا طویل ہو گیا
دل میں تیرے فِراق کے ، جتنے تھے زخم بھر گئے


Waqt hi kuch judai ka itna taweel ho gaya
Dil mein teray firaaq ke jitnay thay zakham bhar gaye

 

Muskura Ke Jo Baat Karte Ho Aadtein Kion Kharaab Karte Ho


 

مسکرا کر جو بات کرتے ھو
عادتیں کیوں خراب کرتے ھو


Muskura Ke Jo Baat Karte Ho
Aadtein Kion Kharaab Karte Ho

 

Zor Zabardasti Se Chalta Nahi Koi Ta'aluq Kisi Se Parenday Ko Kabhi Pinjray Se Muhabbat Nahi Hoti?


 

زور زبردستی سے چلتا نہیں کوئی تعلق کسی سے
پرندے کو کبھی پنجرے سے محبت نہیں ہوتی؟


Zor Zabardasti Se Chalta Nahi Koi Ta'aluq Kisi Se
Parenday Ko Kabhi Pinjray Se Muhabbat Nahi Hoti?


Tere Alawa Aur Bhi Mujh Ko Azeez Hein Tu Tham Le Ye Haath Magar Hathkadi Na Ban


 

تیرے علاوہ اور بھی مجھ کو عزیز ہیں
تُو تھام لے یہ ہاتھ مگر ہتھکڑی نہ بن


Tere Alawa Aur Bhi Mujh Ko Azeez Hein
Tu Tham Le Ye Haath Magar Hathkadi Na Ban

 

Hamare lafz k jadoo ka koi toor nahen Sakot e lab se bhi aksar kalam karte hain



Hamare lafz k jadoo ka koi toor nahen
Sakot e lab se bhi aksar kalam karte hain


Lakh Rasman Sahi , Par Auron Se Tu Kiyun Muskura Ke Milta Hai ?


 

لاکھ رسماً سہی ، پر اوروں سے
تُو کیوں مُسکرا کے مِلتا ہے ؟


Lakh Rasman Sahi , Par Auron Se
Tu Kiyun Muskura Ke Milta Hai ?

 

Hum Dasht Ke Basi Hein Aey Shehar Ke Logo Ye Rooh Piyasi Humain Wirsay Mein Mili Hai


 

ہم دشت کے باسی ہیں اے شہر کے لوگو
یہ روح پیاسی ہمیں ورثے میں ملی ہے
Hum Dasht Ke Basi Hein Aey Shehar Ke Logo
Ye Rooh Piyasi Humain Wirsay Mein Mili Hai

دکھ درد سے صدیوں کا تعلق ہے ہمارا
آنکھوں کی اداسی ہمیں ورثے میں ملی ہے
Dukh Dard Se Sadiyun Ka Ta'aluq Hai Humara
Aankhon Ki Udasi Humain Wisay Mein Mili Hai

 

Muhabbat Kia Hai Dil Ka Dard Se Ma'amor Ho Jana Mata e Jaan Kisi Ko Sonp Kar Majbor Ho Jana


 

محبت کیا ہے دل کا درد سے معمور ہو جانا
متاعِ جاں کسی کو سونپ کر مجبور ہو جانا
Muhabbat Kia Hai Dil Ka Dard Se Ma'amor Ho Jana
Mata e Jaan Kisi Ko Sonp Kar Majbor Ho Jana

 ہماری بادہ نوشی پر فرشتے رشک کرتے ہیں
کسی کے سنگِ در کو چومنا مخمور ہو جانا
Hamari Badah-Noshi Par Fareshtay Rashk Karte Hein
Kisi Ke Sang e Dar Ko Choomna Makhmor Ho Jana

بسا لینا کسی کو دل میں دل ہی کا کلیجہ ہے
پہاڑوں کو تو بس آتا ہے جل کر طور ہو جانا
Basa Laina Kisi Ko Dil Mein Dil Hi Ka Kaleja Hai
Pahadon Ko Tou Bas Aata Hai Jal Kar Toor Ho Jana

یہاں تو سر سے پہلے دل کا سودا شرط ہے یارو
کوئی آسان ہے کیا سرمد  و  منصور ہو جانا
Yahan Tou Sar Se Pehle Dil Ka Souda Shart Hai Yaaro
Koi Aasan Hai Kia Surmad o Mansoor Ho Jana

قدم ہے راہِ الفت میں تو منزل کی ہوس کیسی
یہاں تو عین منزل ہے تھکن سے چور ہو جانا
Qadam Hai Rah e Ulfat Mein Tou Manzil Ki Hos Kaisi
Yahan Tou Ain Manzil Hai Thakan Se Choor Ho Jana

نظر سے دور رہ کر بھی تقؔی  وہ پاس  ہیں میرے
کہ میری عاشقی کو عیب ہے مہجور ہو جانا۔
Nazar Se Door Reh Kar Bhi TAQI Woh Paas Hain Mere
Keh Meri Aashiqi Ko Aib Hai Mahjor Ho Jana

مفتی تقی عثمانی صاحب
Mufti Taqi Usmani Sahib


Udas Udas Thay Hum Isko Ik Zamana Hoa Ghazal Ka Aaina Dekha Tou Muskurana Hoa


 

اداس اداس تھے ہم اس کو اک زمانہ ہوا
غزل کا آئنہ دیکھا تو مسکرانا ہوا
Udas Udas Thay Hum Isko Ik Zamana Hoa
Ghazal Ka Aaina Dekha Tou Muskurana Hoa

उदास उदास थे हम उस को इक ज़माना हुआ
ग़ज़ल का आइना देखा तो मुस्कुराना हुआ

 
پھر آج بیتے ہوئے موسموں کی یاد آئی
پھر آج رینگتے لمحوں سے دوستانہ ہوا
Phir Aaj Beetay Hoe Mousamon Ki Yaad Aayi
Phir Aaj Reengtay Lamhon Se Dostana Hoa

फिर आज बीते हुए मौसमों की याद आई
फिर आज रेंगते लम्हों से दोस्ताना हुआ


Bojhal Aankhein , Bojhal Palkein , Bojhal Phool Singhar Ke Iss Bojhal Khamoshi Mein Bikhre Hein Rang Qarar Ke


 

بوجھل آنکھیں، بوجھل پلکیں، بوجھل پھول سنگھار کے
اس بوجھل خاموشی میں بکھرے ہیں رنگ قرار کے
 

پربت پربت سندیسہ لے جاتی ہے پاگل پروا
راہ میں پھول کھلے ہیں موسم آئے پریت بہار کے

سندر سندر بول ہیں تیرے،گہری گہری آنکھیں
دل نے جانے بوجھے کھائے ہیں دھوکے اس پیار کے

تجھ سے کون وفا چاہے گا ساحل کی تند تیز لہر
ساحل ساحل ریت گھروندے بکھرے ہیں اعتبار کے

بادل برسے بیت گئے دن ساٹھ بہار جوانی کے
کلیاں جوبن پر نہ آئیں یاس کے پت جھڑ پار کے
شائستہ مفتی


Is qadar bojh hai neendo ka Mere ankho par Main ne thak har k sona nahi mar jana hai


 

اس قدر بوجھ ہے نیندوں کا میری آنکھوں پر
میں نے تھک ہار کے سونا نہیں مر جانا ہے


Is qadar bojh hai neendo ka Mere ankho par
Main ne thak har k sona nahi mar jana hai

 

Kahan Ye Hont Kahan Ye Gulaab Asteghfar Mawaznay Ki Bhi Had Hai Janab Asteghfar


 

کہاں یہ ہونٹ کہاں یہ گلاب استغفار
موازنے کی بھی حد ہے جناب استغفار
Kahan Ye Hont Kahan Ye Gulaab Asteghfar
Mawaznay Ki Bhi Had Hai Janab Asteghfar

 
کہاں وہ زمزمی آنکھیں دھلے ہوئے دو نور
کہاں یہ میکدہ ، ساقی ، یہ شراب استغفار
Kahan Woh Zamzami Aankhein Dhulay Hoe Do Noor
Kahan Ye Maikadah , Saqi , Ye Sharaab Asteghfar

 

Wohi hasratain wohi ranjishain, na dard e dil mein kami koi Ajab si hai meri zindagi na guzar saki na khatam hoi



Wohi hasratain wohi ranjishain, na dard e dil mein kami koi
Ajab si hai meri zindagi na guzar saki na khatam hoi


Muskurana konsa mushkil kam hy Bs tumhain sochna he tu parta hy



Muskurana konsa mushkil kam hy
Bs tumhain sochna he tu parta hy

 

Yaad aatay hain to phir toot kar yaad aatay hain Kuch guzray huey lamhe kuch bichray huey log



Yaad aatay hain to phir toot kar yaad aatay hain
Kuch guzray huey lamhe kuch bichray huey log

 

Tu Agar Ahl e Basarat Hai Tou Hasaas Bhi Ban Dekh Tasweer Ki Gehraayan Tasweer Na Dekh


 

تو اگر اہلِ بصارت ہے تو حسّاس بھی بن
دیکھ تصویر کی گہرائیاں تصویر نہ دیکھ


Tu Agar Ahl e Basarat Hai Tou Hasaas Bhi Ban
Dekh Tasweer Ki Gehraayan Tasweer Na Dekh


Uljhano ki bheer mein Lapata C hai Zindagi


 

الجھنوں کی بھیڑ میں

 لاپتہ سی ہے زِندگـی

Uljhano ki bheer mein
Lapata C hai Zindagi

 

Dil par dastak dene kon aa nekla hai Kis ki aahat sunta hon weerane mein



Dil par dastak dene kon aa nekla hai
Kis ki aahat sunta hon weerane mein


Dalta Du Khalqo Iraday Khey Na Di Zulfay Raghunday Ka Khuwaray Khay Na Di


 

دلته  دا خلقو ارادې  خي  نه  دي
ﺯلفې راغونډې که خوارې خي نه دي


Dalta Du Khalqo Iraday Khey Na Di
Zulfay Raghunday Ka Khuwaray Khay Na Di

 

Sirf Hathon Ko Na Dekho , Kabhi Aankhein Bhi Parho Kuch Sawali Badey Khud-Dar Hoa Karte Hein



Sirf Hathon Ko Na Dekho , Kabhi Aankhein Bhi Parho

Kuch Sawali Badey Khud-Dar Hoa Karte Hein

Mohsin Naqvi


Na Masjid Wich Na Mandir Wich



Rah De Wich Khlona Aokha



Nigah-e-Yaar Ke Pardon Mein Hai Ada Kaisi Sitam Kaisa Karam Kaisa, Jafa Kaisi



Nigah-e-Yaar Ke Pardon Mein Hai Ada Kaisi
Sitam Kaisa Karam Kaisa, Jafa Kaisi
Wafa Kaisi
Ye Jo Tofan Samandar Hain, Ye Sab Hasti Ke Manzar Hain
Agar Qismat Mein Jalna Ho
Dawa Kaisi
Dua Kaisi
Suney Ga Kon Ab Mujh Se
TERI Behroop K Qissey
Mujhey Bhi Maar Ke Kar Di Karam Ki Inteha Kaisi
Agar Dil Haar Hi Baithey Mere Humdam Mohabbat Mein
Fana Kaisi
Baqa Kaisi
Saza Kaisi
Jaza Kaisi

 

Haaye woh pehli mulaqat, pareshani mein Main ne pazeb tere haath mein pehnaya tha


 

ہائے وہ پہلی ملاقات، پریشانی میں
میں نے پازیب تیرے ہاتھ میں پہنایا تھا


Haaye woh pehli mulaqat, pareshani mein
Main ne pazeb tere haath mein pehnaya tha


Deewana Hone Se Acha , Khaak e Dar e Janaan Ban Ja Khaak e Dar e Janaan Kia Hai Ahl e Dil Ki Aankh Ka Surma


 

دیوانہ ہونے سے اچھا،  خاکِ درِ جاناں بن جا
خاکِ درِ جاناں کیا ہےاہلِ دل  کی  آنکھ کا سُرمہ


 Deewana Hone Se Acha , Khaak e Dar e Janaan Ban Ja
Khaak e Dar e Janaan Kia Hai Ahl e Dil Ki Aankh Ka Surma

 

Lafz se bhi kharaash perhti hai Tabsara soch kar kiya kijiye



Lafz se bhi kharaash perhti hai
Tabsara soch kar kiya kijiye
Jhoot se bhi bura hai aadha sach
Iss se behtar hai chup raha kijiye


Rind Jo Zarf Utha Lein Wahi Saghar Ban Jaye Jis Jagah Baith Ke Pee Lein Wahi Maikhana Banay


 

رند جو ظرف اٹھا لیں وہی ساغر بن جائے

جس جگہ بیٹھ کے پی لیں وہی مے خانہ بنے

اصغر گونڈوی


Rind Jo Zarf Utha Lein Wahi Saghar Ban Jaye

Jis Jagah Baith Ke Pee Lein Wahi Maikhana Banay 

Asghar Gondvi

 

Pregda Che Da Nan Shpa Darta Ogoram Zaan Bande Mi Shak Day Che Marr Kegama


 

پریگدہ چہ دا نن شپہ درتہ اوگورم
زان باندی می شک دے چہ مڑ کیگمہ


Pregda Che Da Nan Shpa Darta Ogoram
Zaan Bande Mi Shak Day Che Marr Kegama

 

Humare Haq Me Dala'el Pe Dad Milti Hai Humare Haq Me Magar Faisla Nahi Hota




Kisi Ki Yaad Se Taskeen Jaan Hai Wabasta Kisi Ka Zikar Chale ! Aur Baar Baar Chale


 

Kisi Ki Yaad Se Taskeen Jaan Hai Wabasta

Kisi Ka Zikar Chale ! Aur Baar Baar Chale

Peer Naseer ud Deen Naseer


Kya Dukh Hai Samandar Ko Bata Bhi Nahin Sakta Aansoo Ki Tarah Aankh Tak Aa Bhi Nahin Sakta



Kya Dukh Hai Samandar Ko

Bata Bhi Nahin Sakta Aansoo Ki Tarah Aankh Tak Aa Bhi Nahin Sakta

Waseem Brelvi


Pu Ma Bande Ye Kor Du Kashmalo Du Boto Dak Kralo We De La KHAPERI Razi No Kam Di Che Razi


 

Pu Ma Bande Ye Kor Du Kashmalo Du Boto Dak Kralo

We De La KHAPERI Razi No Kam Di Che Razi


Ummeed To Bundhh Jaati Taskeen To Ho Jati Waadah Nah Wafaa Kartey ,Waadah To Kiya Hota


 

اُّمِید  تو  بندھ   جاتی  ،  تَسکِین  تو  ہو  جاتی
وَعدہ   نہ  وَفا   کَرتے  ،  وَعدہ  تو   کِیا  ہَوتا
Ummeed To Bundhh  Jaati Taskeen To Ho Jati
Waadah Nah Wafaa Kartey ,Waadah To Kiya Hota

غَیروں     سے  کہا  تُم  نے  ،  غَیروں   سے  سُنا  تُم  نے
کُچھ  ہَم  سے   کہَا   ہوتا  ،  کُچھ   ہَم   سے  سُنا  ہَوتا
Ghairon Se Kaha TUM Ney ,Ghairon Se Suna TUM Ne
Kuch HUM Se Kaha Hota ,Kuch HUM Se Suna Hota

 

Tumhare Shehar Ka Mousam Bada Suhana Lagay Main Aik Shaam Chra Loon Agar Bura Na Lagay


 

تمہارے شہر کا موسم بڑا سہانا لگے
میں ایک شام چرا لوں اگر برا نہ لگے
Tumhare Shehar Ka Mousam Bada Suhana Lagay
Main Aik Shaam Chra Loon Agar Bura Na Lagay

تمہارے بس میں اگر ہو تو بھول جاؤ مجھے
تمہیں بھلانے میں شاید مجھے زمانہ لگے
Tumhare Bas Mein Agar Ho Tou Bhool Jao Mujhe
Tumhein Bhulanay Mein Shayed Mujhe Zamana Lagay

جو ڈوبنا ہے تو اتنے سکون سے ڈوبو
کہ آس پاس کی لہروں کو بھی پتا نہ لگے
Jo Doobna Hai Tou Itnay Sukoon Se Doobo
Keh Aas Paas Ki Lehron Ko Bhi Pata Na Lagay

وہ پھول جو مرے دامن سے ہو گئے منسوب
خدا کرے انہیں بازار کی ہوا نہ لگے
Woh Phool Jo Merte Daman Se Ho Gaye Mansoob
Khuda Kare Inhein Bazar Ki Hawa Na Lagay

نہ جانے کیا ہے کسی کی اداس آنکھوں میں
وہ منہ چھپا کے بھی جائے تو بے وفا نہ لگے
Na Jane Kia Hai Kisi Ki Udaas Aankhon Mein
Woh Munh Chupa Ke Bhi Jaye Tou Be-Wafa Na Lagay

تو اس طرح سے مرے ساتھ بے وفائی کر
کہ تیرے بعد مجھے کوئی بے وفا نہ لگے
Tu Iss Tarah Se Mere Saath Be-Wafaai Kar
Keh Tere Baad Mujhe Koi Be-Wafaa Na Lagay

تم آنکھ موند کے پی جاؤ زندگی قیصرؔ
کہ ایک گھونٹ میں ممکن ہے بد مزہ نہ لگے
Tum Aankh Mond Ke Pee Jao Zindagi QAISAR
Keh Aik Ghoont Mein Mumkin Hai Bad-Maza Na Lagay

 

Wo zameen Par Paun kiun Rakhy Humary Hath Toot Gay Hain kiya


Wo zameen Par Paun kiun Rakhy
Humary Hath Toot Gay Hain  kiya


Sayyaad tere hukm e rihai ka shukriya Ham to qafas mein kaat chuke din bahaar ke



Sayyaad tere hukm e rihai ka shukriya
Ham to qafas mein kaat chuke din bahaar ke


Yeh meri zeest ki sab se bari tamana thi Tum meray saath meray naam ki tarah rehtay



Yeh meri zeest ki sab se bari tamana thi
Tum meray saath meray naam ki tarah rehtay


Hota Inhein Yaqeen Agar Jannat Mein Hooron Ka Ye Waa'iz o Sheikh Kab Ke Mar Chukay Hotay


 

ہوتا انہیں یقین اگر جنت میں حوروں کا
یہ واعظ و شیخ کب کے  مر.  چکے   ہوتے


Hota Inhein Yaqeen Agar Jannat Mein Hooron Ka

Ye Waa'iz o Sheikh Kab Ke Mar Chukay Hotay

 

Ronaq Bazm Nahi Tha Koi Tujh Se Pehle Ronaq Bazm Tere Bad Nahi Hai Koi


 
رونق بزم نہیں تھا کوئی تجھ سے پہلے
رونقِ بزم   تیرے   بعد  نہیں  ہے  کوئی
 
Ronaq Bazm Nahi Tha Koi Tujh Se Pehle
Ronaq Bazm Tere Bad Nahi Hai Koi
 

Kisi ki chah mein dil ko jalana Theek hai kya Khud apnay aap ko youn aazmaana theek hai Kya



Kisi ki chah mein dil ko jalana Theek hai kya
Khud apnay aap ko youn aazmaana theek hai Kya
Shams Tabrezi


Khuda Aik Aansoo Mera Barishon Mein Baha Dy


 

خدا ایک آنسو مِرا بارشوں میں بہا دے
نصیر احمد ناصر
خدا، میرے لفظوں کو جگنو بنا دے
خدا، میری باتوں کو تتلی بنا دے
خدا، میرے قدموں کو رستہ بنا دے
خدا، مجھ کو پھولوں کی خوشبو بنا کر ہوا میں اڑا دے
خدا، موتیے کی طرح مسکرا دے
خدا، میری آنکھوں کو نظمیں بنا دے
خدا، میری نظمیں کہیں دور دیسوں کو جاتے
پرندوں کی ڈاریں بنا دے
خدا، ماں کے آنسو بڑے قیمتی ہیں
انہیں دکھ کے لاکر میں محفوظ کر دے
خدا، کارنس پر رکھی میری تصویر مرنے لگی ہے
اسے میرے بچوں کے دل میں سجا دے
خدا، ایک لڑکی کسی دل میں بسنے لگی ہے
خدا، اس کے دل میں بھی کوئی بسا دے
خدا، عورتوں کے بدن ریت کے ڈھیر ہونے لگے ہیں
خدا، ان کے سینوں پہ گندم کی فصلیں اگا دے
خدا، ایک آنسو کہیں بچپنے کی ازل سے
کسی دکھ کے ڈَل سے، گزر کر
مِری دونوں آنکھوں میں ٹھہرا ہوا ہے
خدا، بارشوں میں اسے اب بہا دے
خدا، ایک آنسو مِرا بارشوں میں بہا دے
خدا، خود بھی رو دے، مجھے بھی رلا دے

 

Bahut dukh dete hain woh zakham jo bina kisi wajah ke milay hon



Bahut dukh dete hain woh zakham
jo bina kisi wajah ke milay hon


Choom Loon Lab Tere Qarar Aaye Han Ye Lamha Bhi Bar Bar Aaye



غزل
چوم لوں لب تیرے قرار آئے
ہاں یہ لمحہ بھی بار بار آئے
تجھ کو چھو لونگا تو جل جاؤں گا
جانے جان اتنا تجھ پے پیار آئے
تو جو آئے دِل کی محفل میں
میں یہ سامجون کے اب بہار آئے
ایک بُت سا اٹھایای پھرتے ہیں
زندگی تجھ پے ہم تو وار آئے
تم نئے تو دِل سے لی گا رکھا تھا
آج وہ دِل بھی ہم تو ہار آئے
اٹھ گے جب حجاب جیون سے
مجھ سے ملنے کو پاردادار آئے
اپنی آنکھیں اُدھار دے دو نا
عشق میں ہم کو بھی خمار آئے
اس سے مانگا تھا زندگی کا چلن
لے کے دامن کو تار تار آئے
ہم نئے اتنا کہا تھا جان دین گے
مہر وہ ساتھ لے کے دار آئے


Begari shaaeri ne bat warna Hamain khamush rehna aagaya tha



Begari shaaeri ne bat warna
Hamain khamush rehna aagaya tha

 

Ghalat Suna Tha Mohabbat Aankhon Se Hoti Hai Dil Toh Woh Bhi Le Jaate Hain Jo Palkein Tak Nahin Uthaate



Ghalat Suna Tha Mohabbat Aankhon Se Hoti Hai
Dil Toh Woh Bhi Le Jaate Hain Jo Palkein Tak Nahin Uthaate


Dar o Baam Sab Ne Saja Liye,Sabhi Roshni Mein Neha Liye Meri Ungliyan Bhi Jhulas Gaein Magar Ik Chiraagh Jala Nahi


 

در و بام سب نے سجا لیے، سبھی رَوشنی میں نہا لیے
مِری اُنگلِیاں بھی جھُلس گئیں مگر اِک چراغ جلا نہیں
Dar o Baam Sab Ne Saja Liye,Sabhi Roshni Mein Neha Liye
Meri Ungliyan Bhi Jhulas Gaein Magar Ik Chiraagh Jala Nahi

غمِ زِندگی! تِری راہ میں، شبِ آرزُو! تِری چاہ میں
جو اُجڑ گیا وہ بسا نہیں، جو بِچھڑ گیا وہ مِلا نہیں
Gham e Zindagi ! Teri Raah Mein,Shab e Aarzoo! Teri Chaah Mein
Jo Ujad Gaya Woh Basa Nahi,Jo Bichad Gaya Woh Mila Nahi

میرا ہمسفر جو عجِیب ہے تو عجِیب تر ہُوں مَیں آپ بھی
مُجھے منزِلوں کی خبر نہیں، اُسے راستوں کا پتہ نہیں
Mera Humsafar Jo Ajeeb Hai Tou Ajeeb-Tar Hoon Main Aap Bhi
Mujhe Manzilon Ki Khabar Nahi , Usay Raston Ka Pata Nahi

 

Jo Chiraagh Sare Bujha Chukay , Unhein Intezar Kahan Raha Ye Sukoon Ka Daur e Shadeed Hai ,Koi Be-Qarar Kahan Raha


 

جو چراغ سارے بُجھا چُکے، اُنھیں اِنتِظار کہاں رہا
یہ سُکوں کا دَورِ شدِید ہے، کوئی بے قرار کہاں رہا
Jo Chiraagh Sare Bujha Chukay , Unhein Intezar Kahan Raha
Ye Sukoon Ka Daur e Shadeed Hai ,Koi Be-Qarar Kahan Raha

جو دُعا کو ہاتھ اُٹھائے بھی، تو مُراد یاد نہ آ سکی
کسی کارواں کا جو ذکر تھا، وہ پَسِ غُبار کہاں رہا
Jo Dua Ko Haath Uthaye Bhi , Tou Murad Yaad Na Aa Saki
Kisi Karwaan Ka Jo Zikar Tha , Woh Pas e Ghubar Kahan Raha

یہ طلُوعِ روزِ ملال ہے،سو گِلہ بھی کِس سے کریں گے ہم
کوئی دِل رُبا، کوئی دِل شکن، کوئی دِل فگار کہاں رہا
Ye Tuloo e Roz Malaal Hai , So Gila Bhio Kis Se Kareingy Hum
Koi Dil Raha , Koi Dil-Shikan , Koi Dil Fagar Kahan Raha

کوئی بات خواب و خیال کی، جو کرو تو وقت کٹے گا اب
ہَمیں موسموں کے مزاج پر، کوئی اعتبار کہاں رہا
Koi Baat Khuwaab o Khayal Ki , Jo Karo Tou Tou Waqt Katay Ga Ab
Humain Mousamon Ke Mizaj Par , Koi Aitbaar Kahan Raha

ہَمیں کُو بہ کُو جو لیِے پِھری، کسی نقشِ پا کی تلاش تھی
کوئی آفتاب تھا ضو فگن سرِ رہ گُزار کہاں رہا
Humain Koo-Ba-Koo Jo Liye Phiri,Kisi Naqsh e Paa Ki Talash Thi
Koi Aaftaab Tha Zufagan Sar e Rah-Guzar Kahan Raha

مگر ایک دُھن تو لگی رہی، نہ یہ دِل دُکھا، نہ گِلہ ہُوا
کہ نِگہ کو رنگِ بہار پر، کوئی اِختیار کہاں رہا
Magar Aik Dhun Tou Lagi Rahi,Na Ye Dil Dukha,Na Gila Raha
Keh Nigah Ko Rang e Bahar Par , Koi Ikhtiyar Kahan Raha

سر ِدشت ہی رہا تشنہ لب، جسے زندگی کی تلاش تھی
جسے زندگی کی تلاش تھی لب جوئبار کہاں رہا
Sar e Dasht Hi Raha Tishna Lab , Jise Zindagi Ki Talash Thi
Jise Zindagi Ki Talash Thi Lab Joeibaar Kahan Raha

ادٓا جعفری
Ada Jafri


Raat Tou Waqt Ki Paband Hai Dhal Jayegi Dekhna Ye Hai Chiraghon Ka Safar Kitna Hai



Raat Tou Waqt Ki Paband Hai Dhal Jayegi

Dekhna Ye Hai Chiraghon Ka Safar Kitna Hai

 

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo