Meri Zindagi To Firaq Hai

Wo Azal Se Dil Mein Makeen Sahi

Wo Nigah-E-Shoq Se Door Hain

Poet Naseer U Deen Naseer 

Meri Zindagi To Firaq Hai

Wo Azal Se Dil Mein Makeen Sahi

Wo Nigah-E-Shoq Se Door Hain

Rag-E-Jan Se Lakh Qareen Sahi,

Humain Jan Deni Hai Aik Din,

Wo Kisi Tarha Wo Kahein Sahi,

Humain Aap Khainchiye Dar Par,

Jo Nahi Koi To Humain Sahi,

Sar-E-Toor Ho Sar-E-Hashr Ho Humain Intezar Qabool Hai,

Wo Kabhi Milein Wo Kahein Milein,

Wo Kabhi Sahi Wo Kahein Sahi,

Na Ho Un Pe Kuch Mera Bas Nahi,

K Ye Aashqi Hai Hawas Nahi,

Main Unhi Ka Tha Main Unhi Ka Hon,

Wo Mere Nahi To Na Sahi,

Mujhe Bhethne Ki Jaga Mile,

Meri Aarzoo Ka Bharam Rahe,

Teri Anjuman Mein Agar Nahi,

Teri Anjuman K Qareen Sahi,

Tera Dar To Hum Ko Na Mil Saka,

Teri Rahguzar Ki Zameen Sahi,

Humain Sajda Karne Se Kaam Hai,

Jo Wahan Nahi To Yahi Sahi,

Meri Zindagi Ka Naseeb Hai,

Nahi Door Mujh Se Qareeb Hai,

Mujhe Us Ka Gham To Naseeb Hai,

Wo Agar Nahi To Na Sahi,

Jo Ho Faislaa Wo Sunaiye,

Usay Hashr Par Na Uthaiye,

Jo Karain Gay Aap Sitam Wahan,

Wo Abhi Sahi,

Wo Yahein Sahi,

Unhain Dekhne Ki Jo Lo Lagi,

To Naseer Dekh Hi Lain Gay Hum,

Wo Hazar Aankh Se Door Hon,

Wo Hazar Parda Nasheen Sahi....................!

Qaid Mein Guzre Gi Jo Umar Bare Kaam Ki Thi

 

Poetess Parveen Shakir 

 

Qaid Mein Guzre Gi Jo Umar Bare Kaam Ki Thi,

Par Main Kia Karti K Zanjeer Tere Naam Ki Thi,

Jis K Maathe Pe Mere Bakht Ka Tara Chamka,

Chand K Doobne Ki Bat Usi Shaam Ki Thi,

Main Ne Hathon Ko Hi Patwar Banaya Warna,

Aik Tooti Hoi Kashti Mere Kis Kaam Ki Thi,

Wo Kahani K Abhi Soiyan Nikli Bhi Na Thein,

Fikar Har Shakhs Ko Shazadi K Anjam Ki Thi,

Ye Hawa Kaise Urra Le Gai Aanchal Mera,

Youn Satane K To Aadat Mere Ghansham Ki Thi,

Bojh Uthaye Howay Phirti Hai Humara Ab Tak,

Aye Zameen Maaan!

Teri Ye Umar To Aaram Ki Thi.............!

Page 230,231 

 

Guria Si Ye Larki 

Jis K Ujli Hansi Se

Mera Aangan Damak Raha Hai

 

Poetess Parveen Shakir 

 

Guria Si Ye Larki

Jis K Ujli Hansi Se

Mera Aangan Damak Raha Hai

Kal Jab Sat Samandar Par Chali Jali Jaye Gi,

Aur Sahili Shehr K Surkh Chatton Wale Ghar K Andar,

Poore Chand Ki Roshni Ban Kar Bikhre Gi,

Hum Sab Us Ko Yad Karein Gay,

Aur Apne Ashkon K Suche Motion Se,

Sari Umar Ek Aisa Sood Utarte Jain Gay,

Jis Ka Asal Bhi Hum Par Qarz Nahi Tha..............!

Page 198 

 

Kia Main Ne Us Khakdan Se Kinara

Jahan Rizq Kanaam Hai Aab-o-Dana

 

Poet Dr Allama Iqbaal

Shaheen

Type By 

*._Ayaz_Khan_.* 

 

Kia Main Ne Us Khakdan Se Kinara

Jahan Rizq Kanaam Hai Aab-o-Dana

Bayaban Ki Khalwat Khush Ati Hai Mujh Ko,

Azal Se Hai Fitrat Meri Rahbana,

Na Bad-E-Bahari, Na Gulcheen, Na Bulbul,

Na Beemari-E-Naghma-E- Ashiqana,

Khayabanion Se Hai Parhaiz Lazim,

Adaen Hain In Ki Bohat Dilbarana,

Hawa-E-Bayaban Se Hoti Hai Kari,

Jawan Mard Ki Zarbat-e- Ghaziyana,

Hamam-O-Kabootar Ka Bhooka Nahin Main,

Ke Hai Zindagi Baaz Ki Zahidana,

Jhapatna, Palatna, Palat Kar Jhapatna,

Lahoo Garam Rakhne Ka Hai Ek Bahana,

Ye Poorab, Ye Pacham Chakoron Ki Dunya,

Mera Neelgun Asman Baikarana,

Prindon Ki Dunya Ka Dervaish Hun Mein,

Ke Shaheen Banata Nahin Ashiyana......!

 

Book:

Bal e Jibreel

Page: 142,143

 

Jeevan Kheil Nahi Jana

Aag Aur Pani, Phool Aur Shabnam

Dharti Aur Neel Gagan Ka Koi Mail Nahi Jana

Jeewan Khawab Nahi Jana

 

Poet Amjid Islam Amjid 

 

Jeevan Kheil Nahi Jana

Aag Aur Pani, Phool Aur Shabnam

Dharti Aur Neel Gagan Ka Koi Mail Nahi Jana

Jeewan Khawab Nahi Jana

Hum Ko Bhi Maloom Hai Lekin,

Ab Is Gham Ko Seh Jane Ki Dil Mein Taab Nahi Jana,

Jeevan Rog Nahi Jana,

Lekin Wo Jo Marham Ban Kar Har Ek Zakham,

Sila Deta Thay Ab Wo Log Nahi Jana,

Jeewan Sham Nahi Jana,

Soraj Se Majboor Ho Tum Bhi Shaid,

Simat Badal Lene Par Ye Ilzam Nahi Jana,

Jeevan Aag Nahi Jana,

Apni Sundar Taaki Lao Mein,

Apne Aap Hi Jal Jate Hain Jin K Bhag Nahi Jana,

Jeevan Dhool Nahi Jana,

Teiz Hawa K Aahat Sun Kar,

Shak Se Apni Katt Jaye Aisa Phool Nahi Jana..............!

Page 18,19 

 

Dupatta Lal Chunri Ka Lipat Kar Tujh Se Rehta Hai

Dupatta Lal Chunri Ka Lipat Kar Tujh Se Rehta Hai,

Meri Pyasi Nigahon Par Hamesha Hansta Rehta Hai,

Kabhi Urta Hawaon Mein,

Simat'ta Teri Bahon Mein,

Kabhi Kandhe Pe Be Qabo,

Sirakta Phirta Rehta Hai,

Tere Kano Mein Kehta Kuch,

Ya Seene Se Laga Rehta Hai,

Teri Dharkan Ko Gin Gin Kar,

Ye Uthta Girta Rehta Hai,

Kabhi Teri Kamar Is Ki,

Girafton Mein Bandhi Rehti Hai,

Kabhi Ye Peeth Par Kafir,

Khisakta Khichta Rehta Hai,

Kabhi Poche Paseene Ko,

Kabhi Dhakta Hai Soorat Ko,

Kabhi Gaalon Ko Choota Hai,

Kabhi Moonh Lag K Rehta Hai,

Kabhi Kaleen Ban Jata Hai,

Kabhi Gori Mein Sota Hai,

Tere Hathon Ko Sehlata Hai,

Satata Mujh Ko Rehta Hai,

Isay Sar Na Charhao Tum,

Dupatta Hai Mera Dushman,

Hamare Darmian Har Dam,

Kion Ye Besharam Rehta Hai..............!

 

 

EK Jaisi Lagti Hain Choorian Aur Larkian

Hansti Hain Khanakti Hain Choorian Aur Larkian



EK Jaisi Lagti Hain Choorian Aur Larkian


Hansti Hain Khanakti Hain Choorian Aur Larkian,


Nazuk Intiha Ki Ek Zara Si Theis Se,


Toot Kar Bikhrti Hain Choorian Aur Larkian,


Un K Torrne Wale Ko Ehsas Tak Nahi Hota,


Bikhar K Kab Sambhalti Hain Choorian Aur Larkiyan,


Zindagi Ki Dharkano Ko Ek RYTHM Sa Deti Hain,


Zeest Ko Sajati Hain Choorian Aur Larkian,


Apne Dukh Ko Apne Andar Rakh k Bhool Jati Hain,


Bahir Se Chamakti Hain Choorian Aur Larkian.........!

 

 

Ashkh Apna K Tumhara Nahi Dekha Jata

Abar Ki Zad Mein Sitara Nahi Dekha Jata

 

Poet Mohsin Naqvi 

 

Ashkh Apna K Tumhara Nahi Dekha Jata,

Abar Ki Zad Mein Sitara Nahi Dekha Jata,

Apni Shah Rag Ka Lahoo Tan Mein Rawan Hai Ab Tak,

Zair-E-Khanjar Koi Pyara Nahi Dekha Jata,

Moj Dar Moj Ulajhne Ki Hawas Be Mani,

Doobna Ho To Kinara Nahi Dekha Jata,

Tere Chehre Ki Kashish Thi K Palat Kar Dekha,

Warna Sooraj To Dobara Nahi Dekha Jata,

Aag Ki Zid Pe Na Ja Phir Se Bharrak Sakti Hai,

Raakh Ki Teh Mein Sehrah Nahi Dekha Jata,

Zakhm Aankhon K Bhi Sehte Thay Kabhi Dil Wale,

Ab To Aabroo Ka Ishara Nahi Dekha Jata,

Kia Qayamat Hai K Dil Jis Ka Nagar Hai,

MOHSIN

Dil Pe Us Ka Bhi Azara Nahi Dekha Jata...................! 

 

Aye Jazba-E-Dil Gar Main Chahon

Har Cheez Muqabil Aa Jaye

 

Singer Fareeda Khanam 

 

Aye Jazba-E-Dil Gar Main Chahon,

Har Cheez Muqabil Aa Jaye,

Manzil K Liye Do Gaam Chalon,

Aur Samne Manzil Aa Jaye,

Aye Dil Ki Khalish Chal Youn Hi Sahi,

Chalta To Hon Un Ki Mehfil Mein,

Us Waqt Mujhe Chonka Dena,

Jab Rang Pai Mehfil Aa Jaye,

Aye Rahbar-E-Kamil Chalne Ko,

Taiyar To Hon Par Yad Rahe,

Us Waqt Mujhe Bhatka Dena,

Jab Samne Manzil Aa Jaye,

Haan Yad Mujhe Tum Kar Lena,

Awaz Mujhe Tum De Lena,

Is Rahe Mohobbat Mein Koi,

Darpaish Jo Mushkil Aa Jaye,

Aye Jazba-E-Dil Gar Main Chahon,

Har Cheez Muqabil Aa Jaye,

Manzil K Liye Do Gaam Chalon,

Aur Samne Manzil Aa Jaye......! 

 

Meri Sochain Badalti Ja Rahi Hain K Ye Cheezein Badalti Ja Rahi Hain

 

Poet Amjid Islam Amjid 

 

Meri Sochein Badalti Ja Rahi Hain,

K Ye Cheezein Badalti Ja Rahi Hain,

Tamasha Aik Hai Roz-E-Azal Se,

Faqt Aankhain Badalti Ja Rahi Hain,

Badalti Manzaron K Aaine Mein,

Teri Yadain Badalti Ja Rahi Hain,

Agar Che Hai Wohi Phande Purane,

Magar Girhain Badalti Ja Rahi Hain,

Dilon Se Jorti Thein Jo Dilon Ko,

Wo Sab Rasmein Badalti Ja Rahi Hain,

Adhoori Na Mukamal Khawahishein Kion,

Nai Shaklein Badalti Ja Rahi Hain,

Agar Manzil Wohi Hai Rahion Ki,

To Kion Rahein Badalti Ja Rahi Hain,

Najane Kion Mujhe Lagta Hai AMJID,

K Wo Nazrein Badalti Ja Rahi Hain.................!

Page 16,17 

 

Har Ek Maqam Se Aage Guzar Gia Mah-E-Nao Kamal Kis Ko Mayasar Huwa Hai Be-Tagh-E-Dou

 

Poet Dr Allam Iqbaal

Type By 

*.Ayaz_Khan.* 

 

Har Ek Maqam Se Agay Guzar Gia Mah-E-Nao,

Kamal Kis Ko Mayasar Huwa Hai Be-Tag-E-Dou,

Nafs Ke Zor Se Woh Ghuncha Wa Huwa Bhi To Kia,

Jise Naseeb Nahin Aftaab Ka Partoo,

Nigah Paak Hai Teri To Paak Hai Dil Bhi,

Ke Dil Ko Haq Ne Kiya Hai Nigah Ka Pairoo,

Panap Saka Na Khayabaan Mein Lala-e-Dil Souz,

Ke Saazgar Nahin Ye Jahan-E-Gandum-O-Joo.

Rahe Na Aebak-O-Ghauri Ke Maarke Baqi,

Hamasha Taza-O-Sheerin Hai Naghma-E-Khusro.......!

Book:

Bal e Jibreel

Page: 62 to 63

 

Band Kitabon Mein Urti Hoi Titlian Daal Den

 

 

Poetess Noshi Gilani


Band Kitabon Mein Urti Hoi Titlian Daal Den,


Kis Ne Rasmon Ki Jalti Hoi Aag Mein Larkian Daal Den,


Khof Kaisa Hai Ye Naam Us Ka Zer-E-Lab Bhi Nahi,


Jis Ne Hathon Mein Mere Kanch Ki Chorian Dal Den,


Hont Piyase Rahe Hosle Thak Gaye,


Umar Sehra Hoi Hum Ne Pani K Dhoke Mein,


Phir Reit Par Kashtian Dal Dein.............!

 

 

Sun Sakhiye

Sun Is Maan Ki Kahani
Laal Mere Ki Jawani Lyric

 

Singer Rahat Fathe Ali Khan 

 

Maan K Pair Hain Ya Janat K Darwaza,

In K Paon Ko Choona Arsh K Pair Ko Choona Hai,

Sun Sakhiye

Sun Is Maan Ki Kahani

Laal Mere Ki Jawani,

Rab Ne Apne Pas Bulaya,

Rab K Hukam Pe Sar Ko Jhukaya,

Sun Sakhiye,

Jan Jigar Dil Jani Lal Mere Ki Jawani,

Jab Us Ki Tasveer Uthaon

Bas Us Ko Main Dekhti Jaon,

Us Ki Hansti Aankhon Mein Aankhein,

Daal K Main Roti Jaon,

Sun Sakhiye,

In Aankhon Ka Pani Neend Ko Dhoke Se Main Bulaon,

Khawabon Mein Main Us K So Jaon,

Aankh Khule Aur Pas Nahi Wo,

Khali Ghar Ko Dekhti Jaon

Sun Sakhiye,

Bat Nai K Purani Sun Sakhiye,

Sun Is Maan Ki Kahani

Sun Sakhiye,

Laal Mere Ki Jawani.............! 

 

The Largist Poem Mujh Ko Likha K Aye Mere Betab,

Din Ko Be Chain Rat Ko Be Khawab,

Aye Pareshan-O-Muztar-O-Nashaad

 

 

Poet Dagh Dehlvi

Typed By 

Khan61, UJRA_DIL 

 

Mashooq Ka Khat Aur Us Ka Jawab

Mujh Ko Likha K Aye Mere Betab,

Din Ko Be Chain Rat Ko Be Khawab,

Aye Pareshan-O-Muztar-O-Nashaad,

Tere Dil Mein Rahi Humari Yad,

Aye Sazawaar Joor Be Taqseer,

Aye Talab Gaar Lazat-E-Ta'eer,

Tazgi Bakhsh Naam Zoq-O-Naseer,

Rash Soda-O-Dard-O-Momin-O-Meer,

Aye Sukhan Goo-E-Esvi Ijaz,

Aye Sukhan Sanj Samri Andaz,

To Girftar Band Zulf Rahe,

Dil Aseer Kamand-E-Zulf Rahe,

Dard-E-Ulfat Se Lab Pe Shewan Ho,

Meri Kakal Ho Teri Gardan Ho,

Nawak Naz Ka Shikar Rahe,

Taigh Abroo Se Dil Fugar Rahe,

Lab-E-Mojza Bayan Se Dam Nikle,

Tere Dil Se Na Mera Gham Nikle,

Ho Mubarik Ye Pyara Pyara Ishq,

Raas Aaye Tujhe Humara Ishq...*

Hum Nai Bat Roz Sunte Hain,...*

Taza Ek Wardaat Sunte Hain...*

Koi Kehta Hai Beqarar Tumhain...*

Koi Kehta Hai Ashkbar Tumhain...*

Koi Kehta Hai Chup Lagi Hai Unhain...*

Sakhat Dushwar Zindagi Hai Unhin...*

Khate Hain Peete Hain Na Sote Hain...*

Muft Ro Ro K Jan Khote Hain...*

Koi Kehta Hai Naale Karte Hain...*

Koi Kehta Hai Tum Pe Marte Hain...*

Bhar Gaye Kaan Haal Sun Sun Kar...*

Zikar Ranj-O-Malaal Sun Sun Kar...*

Sun K Ye Haal Har Zabaan Se Hum...*

Laain Pathar Ka Dil Kahan Se Hum...*

Yad Hai Qaol Us Zamane Ka...*

Tum Ne Wada Kia Tha Aane Ka....*

Kis Se Mil Kar Tum Khushi Mein Phool Gaye...*

Tum Yaka Yak Jo Hum Ko Bhool Gaye...*

Barre Khush Khalq-O-Neik Ho Tum To...*

Dili Walon Mein Aik Ho Tum To...*

Log Kehte Hain Wo Tarapte Hain Wo...*

Aise Hote Hain Jo Tarapte Hain...*

Chain Se Apne Ghar Mein Rehte Ho...*

Bazm Wala Gehr Mein Rehte Ho...*

Uth K Seedhe Idhar Chale Aao...*

Koi Roke Magar Chale Aao...*

Reil Mein Itni Door Aana Kia...*

Kaar Sarkaar Ka Bahana Kia...*

Hum Bulain Na Aain Aap Che Khush...*

Aur Us Par Rahe Milab Che Khush...*

Har Jaga Seir Gaa Aalam Hai...*

Aaj Us Par Nigah-E-Aalam Hai...*

Mehmaan Tum Ho Mezban Hum Hon...*

Aish-O-Ishrat K Lutf Baham Hon...*

Jab Kisi Ne Talab Kia Aaye...*

Aaye Bachtawa K Phir To Kia Aaye...*

Dilbaron Se Dagha Nahi Karte...*

Aise Ehl-E-Wafa Nahi Karte...*

Gar Kisi Aur Raah Se Ho Ga...*

Uzar Badtar Gunah Se Ho Ga...*

Nama-E-Dilnawaz Jab Aaya...*

Main Ne Socha Ye Kia Ghazab Aaya...*

Dil To Kehta Tha Sar K Ball Chaliye...*

Jis Tarha Ho Sake Nikal Chaliye...*

Shakal Chalne Ki Aah Kuch Na Bani...*

Waza Thi Sar-E-Raah Kuch Na Bani...*

Kaar Sarkaar Ne Jo Aa Ghera...*

Qadam Uth Uth K Rah Gia Mera...*

Milti Hai Kaam Se Kahein Fursat....*

Mujh Ko Marne Ki Bhi Nahi Fursat....*

Rat Din Ranj Mein Guzarti Hai....*

Ek Sash-O-Panj Mein Guzarti Hai....*

Ozar Kijiye Ye Bat Mushkil Hai....*

Chahiye To Nijat Mushkil Hai....*

Nukte Nukte Pe Hai Khayal Usay...*

Ho Na Jaye Kahein Malaal Usay...*

Aafat-E-Rozgar Aik Taraf...*

Us K Dil Ka Ghubar Aik Taraf...*

Manzil Dost-O-Dar Itni Hai...*

Reil Bhi Thak K Cheekh Uthti Hai.....*

Shakal Kaisi Parre Khuda Maloom....*

Kia Howa Anjaam Kaar Kia Maloom.....*

Sochta Tha Jawab Kia Likhon.....*

Qehr Toote Jo Muda'a Likhon....*

Fikar-E-Mazmoon Mein Gharq Tha Pehron....*

Hath Mein Khama Reh Gia Pehron.....*

Qasad Jane Ka Dil Mein Thaan Lia....*

Mujh Ko Jana Parra Ye Jan Lia....*

Nama Aakhir Jawab Mein Likha....*

Kuch Ka Kuch Iztaraab Mein Likha...*

(Jawab)

Ya Khuda Wo Farishta Bhijawa De...*

K Mera Nama Us Ko Pohncha De...*

Kaash Mera Hi Katib Aamal....*

Us Ko Ja Kar Sunaye Haal Malaal....!

Koi Jaye Jo Gird Baad Udhar....*

Jaon Main Us K Sath Urr Urr Kar....*

Aye Fughan Apne Zor Mein Le Chal....*

Pohnchon Maktoob Shoq Se Awal....*

Aye Mah-O-Mahr Gardish-E-Ayyam....*

Tum Pohncha Do...!

Chalte Phirte Ayyam....*

Hai Kidhar Qasid-E-Sulaimani....*

Kahe Us Se Meri Pareshani...*

Aye Hawa Bazoo'n Mein To Bhar K....*

Khol De Par Mere Kabootar K....*

Ya Khuda Wo Farishta Bhijawa De...*

K Mera Nama Us Ko Pohncha De...*

Kaash Mera Hi Katib Aamal....*

Us Ko Ja Kar Sunaye Haal Malaal....!

Koi Jaye Jo Gird Baad Udhar....*

Jaon Main Us K Sath Urr Urr Kar....*

Aye Fughan Apne Zor Mein Le Chal....*

Pohnchon Maktoob Shoq Se Awal....*

Aye Mah-O-Mahr Gardish-E-Ayyam....*

Tum Pohncha Do...!

Chalte Phirte Ayyam....*

Hai Kidhar Qasid-E-Sulaimani....*

Kahe Us Se Meri Pareshani...*

Aye Hawa Bazoo'n Mein To Bhar K....*

Khol De Par Mere Kabootar K....*

Le Chal Charkh Too Bhi Nama-E-Yar....*

K Na Jain Ye Gardashein Bekar....*

Abar Tar...!

Ashk Tar Ko To Le Ja....*

Barq Sooz-E-Jigar Ko To Le Ja....*

Youn Humara Salam Pohnchana...!

Youn Humara Payam Pohnchana....!

Aye Meri Jan....! Jan Se Behtar....*

Jan Se Kia...? Jahan Se Behtar....*

Aye Maah Aasman Zebai...!

Jan Khoobi Jahan Zebai...!

Shokh Roo, Shokh Chashm, Shokh Kalam....*

Khush Adaa, Khush Khiraam Khush Andaam........*

Mujh Ko Tere Rukh Niko Ki Qasam....*

Apne Arman-O-Aarzo Ki Qasam....*

Tere Iqraar-O-Mobadam Ki Qasam....*

Ehd Ki Qaol Ki Qasam, Ki Qasam....*

Apne Aazar-O-Ranj-O-Gham Ki Qasam....*

DAGH K Dard Ki Alam Ki Qasam....*

Tere Qadmo Ki Tere Sar Ki Qasam....*

Apne Dil Ki Qasam,

Jigar Ki Qasam.....*

Mushaf Roye Par Zia Ki Qasam....*

Jhoot Kehta Nahi Khuda Ki Qasam....*

Too Hai Aye Ma Jamal Pesh-E-Nazar....!

Hai Tera Hi Khayal Pesh-E-Nazar...!

Samne Doosra Nahi Aata...*

Aaina Dekhna Nahi Aata....*

Bhool Kar Tujh Ko Meri Yad Aai...!

Dil Na Shaad Ki Murad Aai...!

Nahi Kehta Hon Main Khushamad Se....*

Tere Ihsan Barh Gaye Hadd Se...!

Yehi Ek Din Teri Qasam Ho Ga....*

K Mera Sar Tera Qadam Ho Ga....*

Tujh Se Insaf Chahta Hon Main....*

Chashm-E-Altaf Chahta Hon Main....*

Aftain Jitni Hain Khudai Mein....*

Main Ne Jheeli Teri Judai Mein....*

Zindgani Se Yaas Hai Mujh Ko....*

Tere Milne Ki Aas Hai Mujh Ko....*

Samne Doosra Nahi Aata...*

Aaina Dekhna Nahi Aata....*

Bhool Kar Tujh Ko Meri Yad Aai...!

Dil Na Shaad Ki Murad Aai...!

Nahi Kehta Hon Main Khushamad Se....*

Tere Ihsan Barh Gaye Hadd Se...!

Yehi Ek Din Teri Qasam Ho Ga....*

K Mera Sar Tera Qadam Ho Ga....*

Tujh Se Insaf Chahta Hon Main....*

Chashm-E-Altaf Chahta Hon Main....*

Aftain Jitni Hain Khudai Mein....*

Main Ne Jheeli Teri Judai Mein....*

Zindgani Se Yaas Hai Mujh Ko....*

Tere Milne Ki Aas Hai Mujh Ko...*

Go Zamana Ho Chahne Wala....*

Nahi Mujh Sa Banahne Wala....*

Tum Bulao Na Aaon Kia Mumkin....*

Hai Sara Sar Ye Bat Na Mumkin....*

Meri Izat Ko Tum Bhi Janti Ho.....!

Meri Ghairat Ko Tum Bhi Janti Ho.....!

Sab Se Hai Teri Aarzo Barh Kar.....*

Aarzo Se Hai Aabroo Barh Kar....*

Rashk Utha Kar Mujhe Na Marna Ho....*

Zehr Kha Kar Mujhe Na Marna Ho....*

Ye Nigahein Kahein Na Phir Jain....*

Hum Nazar Se Teri Na Gir Jain....*

Bat Kab Nagawar Uthti Hai....*

DAGH Se Kis Ki Aar Uthti Hai....*

DAGH Khaon Khuda Wo Din Na Kare....*

Rashk Khaon Khuda Wo Din Na Kare....*

Khoon-E-Dil Aabit Na Ho Jaye....*

Safar Aakhrat Na Ho Jaye....*

Aadmi Aabro Na Kho K Rahe....*

Kia Rahe Gar Haqeer Ho K Rahe....*

DAGH Dar Addan Se Behtar Ho....*

Ye Musafir Watan Se Behtar Ho....*

Main Uthaon Wo Is Safar K Maze....*

Bhool Jaon Tamam Ghar K Maze....*

Ehl-E-Tameez Mante Hain Mujhe....*

Janne Wale Jante Hain Mujhe....*

Ronaq Aaraye Bazm Mein Hi To Hon....*

Zeenat Afza-E-Bazm Mein Hi To Main Hon...*

Ye Sar Ehsan Se Nahi Waqif....*

Ye Dil Arman Se Nahi Waqif....*

Sar Jhuka Hai Wohein Khuda Aagah....*

Us Jabeen Par Hai Khaak-E-Baitullah....*

Usi Aabro K Wo Ishare Hain....*

Jis Pe Qurban Maah Paare Hain....*

In Nigahon Ko Koi Kia Jane....*

Meri Aankhon Se Dekhna Jane....*

Wo Tabiat K Jis Mein Khoo-E-Wafa....*

Ye Beeni Jo Soonghe Boo-E-Wafa....*

Lab Se Har Dam Ye Kaam Leta Hon....*

K Tumhara Hi Naam Leta Hon....*

Kabhi Sar Garam Iltaja Na Howay....*

Harf Matlab Se Aashna Na Howay....*

Muft Ki Qeel-O-Qaal Kia Janein....*

Lab Humare Sawal Kia Janein....*

Is Zaban Se Kalaam Ko Ronaq....*

Is Bayan Se PaYaaM Ko Ronaq....*

Is Zaban Mein Bayan Ki Shokhi....*

Is Bayan Mein Jahan Ki Shokhi....*

Kabhi Is Kaan Se Baddi Na Suni....*

Us Bayan Mein Jahan Ki Shokhi....*

Kabhi Is Kaan Se Baddi Na Suni....*

Bat Achi Suni Buri Na Suni..........*

 

Abhi To Mohabbat Ka Aaghaz Hai

Abhi To Mohabbat Ka Anjam Ho Ga



Abhi To Mohabbat Ka Aaghaz Hai,


Abhi To Mohabbat Ka Anjam Ho Ga,


Bara Dil Nasheen Tera Andaz,


Bara Khoob Soorat Tera Naam Ho Ga,


Abhi To Mohabbat Ka Aaghaz Hai,


Ye Aankhein Ye Palkain Ye Bindia Ye Kajal,


Ye Choori Ye Kangana Ye Jhumke Ye Payal,


Bari Hi Sureeli Ye Aawaz Hai,


Isay Sun K Dil Bhi Ko Aaram Ho Ga,


Abhi To Mohabbat Ka Aaghaz Hai,


Ye Masti Ada Thi Ye Zulfon Ki Khushbo,


Ye Hoton Ki Lali Ye Baton Ka Jadoo,


Deewane Sabhi Tere Mohtaj Hain,


Koi Na Koi Tera Gulfam Ho Ga,


Abhi To Mohabbat Ka Aaghaz Hai,


Abhi To Mohabbat Ka Anjam Ho Ga,


Bara Dil Nashee Tera Andaz,


Bara Khoob Soorat Tera Naam Ho Ga,


Abhi To Mohabbat Ka Aaghaz Hai...............! 

 


==============

NoMi Collection

==============

 

 

Aankh Se Girti Hai Khoon-E-Dil Afgar Ki Boond

 

Poet Dagh Dehlvi 

 

Aankh Se Girti Hai Khoon-E-Dil Afgar Ki Boond

Us K Humsar Ho Kahan Abar Gehr Baar Ki Boond,

Sehan Gulshan Mein Hai Maye Peene Ka Saqi Jab Lutf,

Parti Ho Koi Abar Gehr Bar Ki Boond,

Zahid Chashma-E-Kosar Ho Mubarik Tujh Ko,

Hum Ko Kafi Hai Khana Khumar Ki Boond,

Sharbat-E-Khizar Ko Moonh Bhi Na Lagaon Har Giz,

Ho Muyasar Jo Luab-E-Dahn Yar Ki Boond,

Na Seha Jante Hain Ehl-E-Nazar Hai Us Ko,

Lal Hai Asal Mein Us Deed-E-Nabar Ki Boond,

Hai Mushaba Dil Weeran Si Humari Kia Kia,

Jis Zameen Par Na Pari Abar Gahr Bar K Boond,

Tab Anjum Ki Dekhati Hai Falak Ban K Zameen,

Khushk Hoti Nahi Gir Kar Arq-E-Yar Ki Boond,

Subha Gulshan Mein Jo Wo Mehr Laqa Aata Hai,

Khushk Hoti Hai Har Ek Shabnam-E-Gulzar Ki Boond,

Ho Gia Khushk Laho Dekhte Hi Qatil Ko,

DAGH Tabki Na Mere Khoon Tan Raz Ki Boond.

 

Hum Ko Mohabbat Dhoond Rahi Thi

Naam Pata Sab Poch Rahi Thi Lyric

 

Poet Anand Bakhshi 

 

Hum Ko Mohabbat Dhoond Rahi Thi

Naam Pata Sab Poch Rahi Thi,

Teri Qasam O,

Teri Qasam Hum Pakre Gaye Hain,

Hatkarion Mein Jakrre Gaye Hain,

Hum Ko Qayamat Dhoond Rahi Thi,

Naam Pata Sab Poch Rahi Thi,

Humko Mohabbat Dhoond Rahi Thi,

Naam Pata Sab Poch Rahi Thi,

Chori Se Ye Chupke Se Aai

Tere Mere Dil Samai,

Mohabbat Mohabbat Mohabbat,

Pehle Dil Ka Chain Churaya,

Phir Aankhon Se Neend Churai,

Mohabbat Mohabbat Mohabbat,

Hum Ko Mohabbat Dhoond Rahi Thi,

Naam Pata Sab Pooch Rahi Thi,

Saat Samandar Buja Sakein Na Aisi Aag Lagai,

Aisa Laga Bas Jaan Nikal Gai Samne Jab Too Aai,

Tez Hawa Ka Ban K Jhonka,

Us Ne Hum Ko Raah Mein Roka,

Mohabbat Mohabbat Mohabbat,

Boli Aao Tum Ko Sikhaon,

Aankh Micholi Khel Dilon Ka,

Mohabbat Mohabbat Mohabbat,

Tere Mere Nayan Mile To Us Ko Mil Gia Mauqa,

Kia Karte Kia Kar Sakte Thay Dil Bhi De Gia Dokha,

Dhoond Rahi Thi,

Naam Pata Sab Poch Rahi Thi,

Kitne Door Kitne Pas...............! 

 

Nigahon Se Nigahein Mila Kar To Dekho

Naye Logon Se Rishta Bana Kar To Dekho Lyric

 

Nigahon Se Nigahein Mila Kar To Dekho,

Naye Logon Se Rishta Bana Kar To Dekho,

Hasratein Dil Mein Dabane Se Kia Hasil Ho Ga,

Apne Honth Hila Kar To Dekho,

Khamoshi Se Kab Hoti Hain Khawahishein Poori,

Dil Ki Bat Bata Kar To Dekho,

Jo Hai Dil Mein Usay Kar Do Bayan,

Khud Ko Ek Bar Jata Kar To Dekho,

Aasmaan Simat Jaye Ga Tumhari Aaghosh Mein,

Chahat Ki Bahein Phaila Kar To Dekho.

Nigahon Se Nigahein Mila Kar To Dekho...........!

==============

NoMii Collection

==============

 

La Phir Ek Bar Wohi Bada-O-Jam Aye Saqi

Hath Aa jaye Mujhe Mera Maqaam Aye Saqi

 

Poet Dr Allama Iqbaal 

 

Type By 

*._Ayaz_Khan_.* 

 

La Phir Ik Baar Wohi Bada-O-Jaam Aye Saqi

Hath Aa jaye Mujhe Mera Maqaam Aye Saqi,

Teen So Saal Se Hain Haind Ke Maykhane Band,

Ab Munasab Hai Tera Faiz Ho Aam Aye Saqi,

Meri Meena-E-Ghazal Mein Thi Zara Si Baqi,

Sheikh Kehta Hai Ke Hai Ye Bhi Haraam Aye Saqi,

Sher Mardon se Howa Besha-E- Tehqeeq Tahi,

Reh Gaye Sufi-O-Mulla Ke Ghulam Aye Saqi,

Ishq Ki Tegh Jiger Daar Ura Li Kis Ne,

Elam Ke Hath Mein Khali Hai Naiyam Aye Saqi,

Seena Roshan Ho

To Soz-E-Sukhan Ain-E-Hayat,

Ho Na Roshan To Sukhan Marg-E-Dawam Aye Saqi,

Too Meri Raat Ko Mahtab Se Mehroom Na Rakh,

Tere Paimanay Main Hai Mah-E- Tamam Aye Saqi........!

Book:

Baal e Jibraeel

Page: 13 to 14 

 

Wafadaron Ko Saz Aaya Nahi Hai

Jafaon Se Wo Baz Aaya Nahi Hai

Poet Naseer-O-Deen Naseer 

Wafadaron Ko Saz Aaya Nahi Hai

Jafaon Se Wo Baz Aaya Nahi Hai,

Rahein Sab Ki Nigahein Aaino Tak,

Nazar Aaina Saz Aaya Nahi Hai,

Muqadar Mein Mere Kham Aaye Lekin,

Kham-E-Zulf-E-Daraz Aaya Nahi Hai,

Bajuz Mere Tumhari Anjuman Mein,

Ko Danaa-E-Raz Aaya Nahi Hai,

Pigalte Hain Mere Nalon Se Pathar,

Tere Dil Mein Gudaz Aaya Nahi Hai,

Abhi Mehfil Mein Khawabeeda Fitne,

Abhi Wo Fitna Saz Aaya Nahi Hai,

Parakh Sakte Nahi Wo Dost Dushman,

Shaoor-E-Imtiaz Aaya Nahi Hai,

NASEER Us Anjuman Mein Kia Ho Ronaq,

Jahan Wo Sar-O-Naz Aaya Nahi Hai...............!

Aye Chand Suno.

Kuch Bat Karo

Teri Bat Chale

Meri Rat Kate




Poet Ibn-E-Insha
Aye Chand Suno...!
Kuch Bat Karo,
Teri Bat Chale,
Meri Rat Kate,
Bat Karo Us Basti Ki,
Badal Barish Aur Masti Ki,
Ya...!
Bat Karo Us Bandhan Ki,
Payal, Choori Aur Kangan Ki,
Ya....!
Bat Karo Un Sapno Ki,
Jinhein Tum Bhi Socha Karte Ho,
Khawabon Mein Pooja Karte Ho,
Ya...!
Hawa Mein Urte Aanchal Ki,
Jo Jab Jab Lehraye, Kuch Yad Dilaye,
Tera Chain Churaye, Teri Neend Uraye
Tum Mujh Se Kaho....!
Kuch Bat Karo,
Teri Baat Chale,
Meri Rat Kate...........!

Mere Bad Zindagi Ko To Na Beqarar Karna

Main Palat K Aaon Gi Phir Mera Intizar Karna

 

Poetess Nida Fazli 

 

Mere Baad Zindagi Ko To Na Beqarar Karna

Main Palat K Aaon Gi Phir Mera Intizar Karna,

Kabhi Dil Mein Rahon Gi Kabhi Ankhon Mein Tere,

Tujhe Aaon Yad Jis Dam Mere Naam Se Pyar Karna,

Mujhe Bhoolne Ki Khatir Na Kisi Aur Se Dil Lagana,

Main Na Jee Sakon Gi Tujh Bin,

Wahan Bhi Mera Aitbar Karna,

Meri Chahaton Pe Koi Jal Na Jaye Tujh Se,

Mera Zikr Har Kisi Se Too Na Bar Bar Karna,

Mere Bad Zindagi Ko Youn Na Beqarar Karna,

Main Palat K Aaon Gi Phir Mera Intizar Karna............! 

 

 

Shadi Kisi Aur Se Teri,
Barbad Mere Dil Ka Sakoon Ho Ga Tere Hathon Par Lage Gi Mehndi Aur

 

Poet Ayaz Khan

Type By 

*.Ayaz_Khan.* 

 

Shadi Kisi Aur Se Teri,

Barbad Mere Dil Ka Sakoon Ho Ga,

Tere Hathon Par Lage Gi Mehndi Aur Mere Jigar Ka Khoon Ho Ga,

Jab Teri Doli Uthe Gi Aur Baje Gi Tere Ghar Mein Shehnai,

Meri Bardad Mohabbat K Fasane Ki is Din Ho Gi Ruswai,

Phool Choorian Aur Laal Jora Tere Badan Par Ho Ga,

Mere Ghar Mein Matam Aur Mere Badan Kafan Par Ho Ga,

Guzre Gi Jab Mayat Us Din Meri Tere Ghar K Samane Se,

Mera Rone Wala Koi Nahi Aur Naghme Ubhre Gay Tere Aashaiane Se,

Tum Ne Dil Se Nikala Mohabbat Ki Ye Shama Bhi Buhja De na.

Is Parwane Ki Qabar Par Aa K Qatbe Se Naam Bhi Meta De na......!

 

Kuch Nahi Chahiye Tujh Se Aye Meri Umar-E-Rawaan

Mera Bachpan Mere Jugno Meri Guria La De

 

Poetess Noshi Gilani 

 

Koi Mujh Ko Mera Bharpoor Sarapa La De,

Mere Bazo Meri Meri Aankhein Mera Chehra La De,

Aisa Daria Jo Kisi Aur Samandar Mein Gire,

Is Se Behtar Hai K Mujh Ko Mera Sehra La De,

Kuch Nahi Chahiye Tujh Se Aye Meri Umar-E-Rawaan

Mera Bachpan Mere Jugno Meri Guria La De,

Naya Mosam Meri Beenai Ko Tasleem Nahi,

Meri Aankhon Ko Wohi Khawab Purane La De,

Jis Ki Aankhain Mujhe Andar Se Bhi Parh Sakti Hon,

Koi Chehra To Mere Shehr Mein Aisa La De,

Kashti-E-Jaan To Bhanwar Mein Kai Barso Se,

Aye Khuda Ab To Dabo De Ya Kinara La De.................!

Page 47,48 

 

Kabhi Jo Rahat Jan Tha Usay Bhula Bhi Dia

Agar Che Dil Ne Humain Tana Wafa Bhi Dia

 

Poet Ahmad Faraz 

 

Kabhi Jo Rahat Jan Tha Usay Bhula Bhi Dia

Agar Che Dil Ne Humain Tana Wafa Bhi Dia

Nahi K Hum Safron K Liye Bane Deewar,

Jo Barq Pa Thay Unhain Hum Ne Rasta Bhi Dia,

Magar Khuda Ki Sab Bakhishein Anokhi Hain,

Wafa K Sath Humain Yar Bewafa Bhi Dia,

Main Butt Usay Dekha Kia To Usay Ne Kaha,

Guzar Chuki Bahut Rat Ab Bujha Bhi Dia,

FARAZ

Jis Ne Dilon Udasian Bakhshein,

Usi Ne Zakham Chupane Ka Hosla Bhi Dia..............! 

 

Maktabon Mein Kahin Ranai-E-Afkaar Bhi Hai

 

Poet Dr Allama Iqbal 

 

Maktabon Mein Kahin Ranai-E-Afkaar Bhi Hai,

Khanqahon Mein Kahein Lazat-E-Asraar Bhi Hai,

Manzil-E-Rahrawan Door Bhi, Dushwar Bhi Hai,

Koi Is Qafle Mein Qafla-E-Salaar Bhi hai,

Barh Ke Khayber Se Hai Ye Maarka-E-Deen-O-Watan,

Is Zamane Mein Koi Haidar-E-Karaar Bhi Hai,

Elam Ki Had Se Pare, Banda-E-Momin Ke Liye,

Lazzat-E-Shauq Bhi Hai, Naimat-E-Didaar Bhi Hai,

Peer-E-Maikhana Ye Kehta Hai Ke Aiwan-E-Farang,

Sust Bunyaad Bhi Hai, Aaina Diwaar Bhi Hai.......!

Book:

Baal e Jibraeel

Page: 55

 

Teri Aankhon Ki Namkeen Mastian

Teri Hansi Ki Be Parwa Ghustakhian Lyric

 

Poet Gulzar

Type By 

*._Ayaz_Khan_.* 

 

Teri Aankhon Ki Namkeen Mastian

Teri Hansi Ki Be Parwa Ghustakhian

Teri Zulfon Ki Leharati Angraian,

Nahi Bholon Ga Main,

Jab Tak Hai Jaan,

Jab Tak Hai Jaan,

Tera Haath Se Haath Chhorana,

Tera Sayon Se Rukh Morna,

Tera Palat Ke Phir Na Dekhna,

Nahi Maaf Karunga Main,

Jab Tak Hai Jaan,

Jab Tak Hai Jaan,

Barishon Mein Be Dharak Tere Nachne Se,

Baat Baat Pe Be Wajah Tere Roothne Se,

Chhoti Chhoti Teri Bachkani Badmashiyon Se,

Mohabbat Karunga Main,

Jab Tak Hai Jaan,

Jab Tak Hai Jaan,

Tere Jhooti Qasme Wadon Se,

Tere Jalte Sulagte Khwabon Se,

Teri Be Raham Duaon Se,

Nafrat Karunga Main,

Jab Tak Hai Jaan,

Jab Tak Hai Jaan......! 

 

Safar Mein Safar Saa Safar Tha Safar Hai

 

 

Poet Asad Raza Asad

Safar Mein Safar Saa Safar Tha Safar Hai,

Juda Hamsafar Tha Juda Hamsafar Hai,

Labon Par Sada Hai Ajab Si Saza Hai,

Nazar Mein Dhowaan Hai Dhovein Mein Nazar Hai,

Gumaan Mein Yaqeen Tha Gumaan Mein Yaqeen Hai,

Khabar Mein Khabar Thi Khabar Mein Khabar Hai,

Main Hansta Tha Gham Mein Hamesha Magar Sun,

Gia Kho Ye MuJh Se Mera Ab Hunar Hai,

Chala Aa Kabhi Too Bahane Kisi Se,

Dua Mein Qasam Se Nahi Ab Asar Hai,

Hai Sach Par Tujhe Mein Bataon To Kaise?

Rag-O-Pa Mein Mere Gia Too Utar Hai,

Nahi Kuch Jahan Mein Tere Bin ASAD Ka,

Mera Din, Meri Shab, Meri Too Sehr Hai...............!

=============

NoMi CollectioN

=============

 

 

Log Daria Talash Karte Hain

Hum Kinara Talash Karte Hain

 

 

 

Poetess Noshi Gilani 

 

Log Daria Talash Karte Hain

Hum Kinara Talash Karte Hain,

Sham Hote Hi Jane Kion Khud Ko,

Be Irada Talash Karte Hain,

Aye Zameen Tere Rizq Mein Hum Bhi,

Apna Hisa Talash Karte Hain,

Jo Tere Raste Se Mil Jaye,

Aisa Rasta Talash Karte Hain,

Ye Sabhi Lo Kis Liye Mujh Mein,

Us Ka Chehra Talash Karte Hain,

Apni Beenai K Hadon Se Pare,

Hum Ye Kia Kia Talash Karte Hain,

Hum Safar Mein Qayam Karne Ko,

Koi Khaima Talash Karte Hain.........!

Page 195,196 

 

Halat-E-Nasha Mein Dekhna Us Be Hijab Ki

 

Poet Sheikh Ibrahim Zauq

Type By 

*.Ayaz_Khan.* 

 

Halat-E-Nasha Mein Dekhna Us Be Hijab Ki,

Har Naz Se Tapkti Hai Masti Sharab Ki,

Kooche Mein Aa Pare Thay Tere Khak Ho K Hum,

Yahan To Saba Ne Aur Bhi Mati Kharab Ki,

Qasid Jo Ab Jaan Day Chuki Mujhe,

Par Muntazir Hai Aankhon Mein Khat K Jawab Ki,

Nikle Ho Mekade Se Abhi Moh Chupa K Tum,

Dabe Howe Baghal Mein Surahi Sharab Ki,

Aye ZAUQ Bas Na Aap Ko Sofi Jataiye,

Maloom Hai Haqeeqat-E-Hoo Haq Janab Ki.......!

 

Book: Diwan e Zauq

Page: 115

Mazeed Poetry K Liye,

Follow khan61 send 8001

 

Mubarak Mubarak

Mubarak Ho Tum Ko Ye Shadi Tumhari

Tumhare Qadam Choome Ye Dunia Sari Lyric



Tere Maathe Ki Bindia Chamakti Rahe,


Tere Hathon Ki Mehndhi Mehekthi Rahe,


Tere Jorre Ki Ronaq Salamat Rahe,


Teri Choori Hamesha Khanakti Rahe,


Mubarak Mubarak


Mubarak Ho Tum Ko Ye Shadi Tumhari,


Tumhare Qadam Choome Ye Dunia Sari,


Sada Khush Raho Tum Dua Hai Hamari,


Mubarak Ho Tum Ko Ye Shadi Tumhari,


Tumhare Liye Hain Baharon K Mosam,


Na Aaye Kabhi Zindagi Mein Koi Gham,


Humara Hai Kia Yar Hum Hain Deewane,


Humari Tarap To Koi Bhi Na Jane,


Mile Na Tumhain Ishq Mein Beqarari,


K Janmo K Rishte Nahi Tore Jate,


Safar Mein Nahi Humsafar Chore Jate,


Na Rasmo Rawajon Ko Tum Bhool Jana,


Jo Li Hai Qasam To Isay Nibhana,


K Hum Ne To Tanha Umar Hai Guzari,


Main Ne Bhi Pyar Kia Hai,


Han Main Ne Bhi Pyar Kia Hai,


Mubarak Ho Tum Ko Ye Shadi Tumhari...!

 

 

Saqia Eid Hai La Bada Se Meena Bhar K

K Pyase Hain May Aashaam Maheene Bhar K

 

Poet Sheikh Ibrahim Zauq

Type By 

*Ayaz_Khan* 

 

Saqia Eid Hai La Bada Se Meena Bhar K

K Pyase Hain May Aashaam Maheene Bhar K,

Aashnaon Se Agar Aise Hi Bezaar Ho Tum,

To Dabo Do Inhain Daria Mein Safeene Bhar K,

Aqad-E-Parwaeen Ye Nahi Hoqa Parwaeen Mein Lag,

Laye Hain Is Rukh-E-Roshan Ka Paseena Bhar K,

Roz Us Gulshan-E-Rukhsaar Se Lejate Hain,

Apne Damaan-E-Nazar Mardam Beena Bhar K,

Dil Hai Aaina Safa Chahiye Rakhna Is Ko,

Zang Se Bharta Hai Kion Is Mein Too Keena Bhar K,

Kham Purjosh Ki Manid Jhalkta Hai Para.

Khon Hasrat Se Labon Tak Mera Seena Bhar K,

Jaam Khali Bhi Laga Na Moh Se Kam Zaraf K Sath,

ZAUQ K Sath Qadh ZAUQ Se Peena Bhar K.....!

 

Book: Diwan e Zauq

Page: 150

Mazeed Poetry K Liye

Follow khan61 send 8001

 

Khiram-E-Naz Se Paikar Haya K Chalte Hain

Ghazab Hami Se Wo Nazrein Chura K Chalte Hain

 

 

Poet Shokat Ali Naaz

Type bY 

 

UJRRA_DIL

Khiram-E-Naz Se Paikar Haya K Chalte Hain,

Ghazab Hami Se Wo Nazrein Chura K Chalte Hain,

Thehr Na Jaye Kahain Ye Nizam Dunya Ka,

Wo Chaand Chehre Se Zullfain Hata K Chalte Hain,

Saje Ghuroor-E-Tabsum Sada Labon Pe Tere,

Hum Apni Palakon Pe Moti Saja K Chalte Hain,

Ye Dil Ngar Hai Yahan Maal-O-Zar Ki Kaya Waqet ?

Yahan To Sike Azal Se Wafa K Chalte Hain,

Pighal Saki Na Khayalon Se Teri Yaad Ki Barff,

Agrcha Hijar Ka Sooraj Utha K Chalte Hain.............!

.

Page 174

 

 

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo