Woh Mujh Ko Baraf Ke Toofaa'n Mein Kaisay Chhorh Geyaa Hawa-e-Sard Mein Bhi Jab , Meri Hifazat Ki



وُہ مُجھ کو بَرَف کے طُوفاں میں کَیسے چھَوڑ گِیا
ہوَائے سَرد میں بھِی جَب ، مِری حِفاظَت کی

Woh Mujh Ko Baraf Ke Toofaa'n Mein Kaisay Chhorh Geyaa
Hawa-e-Sard Mein Bhi Jab , Meri Hifazat Ki

Aek tu sajan mere pass nahen ry Dojy melan di koi aas nahen ry



ایک تو سجن میرے پاس نہیں رے
دوجے ملن دی کوئی آس نہیں رے
اس پہ یہ ساون آیا ⁦🌨️⁩ آگ لگائی
لمبی جدائی لمبی جدائی

Aek tu sajan mere pass nahen ry
Dojy melan di koi aas nahen ry
Is peh ye sawan aaya
🌨️ aag lagai
Lambi judai lambi judai

Lakdi sarhey tey koila howey Jey koila sarhey tey suwaah Hijar terey wich sarh gai sajna Wey main koila, tey na suwaah



لکڑی سڑے تے کوئلہ ہووے۔ جے کوئلہ سڑے تے سواہ
ہجر تیرے وِچ سڑ گئی سجناں۔ وے میں کوئلہ, تےنہ سواہ

Lakdi sarhey tey koila howey Jey koila sarhey tey suwaah
Hijar terey wich sarh gai sajna Wey main koila, tey na suwaah

Woh Jo Jazbat Ki Hurmat Se Hi Na-Waqif Hain Kaise Mumkin Tha Keh Woh Ishq Ki Izat Karte



وہ جو جذبات کی حرمت سے ہی نا واقف ہیں
کیسے ممکن تھا کہ وہ عشق کی عزت کرتے
Woh Jo Jazbat Ki Hurmat Se Hi Na-Waqif Hain
Kaise Mumkin Tha Keh Woh Ishq Ki Izat Karte

Muhabbat mein nahi hai qaid milnay aur bicharnay ki yeh in khud-gharz baaton se buhat agay ki duniya hai



Muhabbat mein nahi hai qaid milnay aur bicharnay ki
yeh in khud-gharz baaton se buhat agay ki duniya hai

Hazaar kaam mazay k hain Daagh Ulfat main Jo log Kuch nahi karte Kamaal karte hain



نگاہ پھیر کے عذرِ وصال کرتے ہیں
مجھے وہ الٹی چھری سے حلال کرتے ہیں


Nigah phair k uzr-e-wisaal kartay hain
Mujhay who ulti churi se halaal karte hain


زبان قطع کرو، دل کو کیوں جلاتے ہو
اِسی سے شکوہ، اسی سے سوال کرتے ہیں


Zubaan Qata karo ,Dil ko kiun jalatay ho
Isi se shikwa,isi se sawal karte hain


نہ دیکھی نبض، نہ پوچھا مزاج بھی تم نے
مریضِ غم کو یونہی دیکھ بھال کرتے ہیں


na daikhi nabz,na pocha mezaaj bhi tum nay
Mareez-e-Gham ko younhi daikh bhaal karte hain


مرے مزار کو وہ ٹھوکوں سے ٹھکرا کر
فلک سے کہتے ہیں یوں پائمال کرتے ہیں


Mere mazaar ko woh thoukraoun se thukra kar
Falak se kehte hain youn paamaal karte hain


پسِ فنا بھی مری روح کانپ جاتی ہے
وہ روتے روتے جو آنکھوں کو لال کرتے ہیں


Pas-e-Fana bhi meri rooh kaamp jati hai
Woh rotay rotay jo aankhoun ko laal karte hain


اُدھر تو کوئی نہیں جس سے آپ ہیں مصروف
اِدھر کو دیکھیے، ہم عرض حال کرتے ہیں


Udhar tou koi nahin jis se aap hain masroof
Idhar ko daikhye,hum arz-e-Haal karte hain


یہی ہے فکر کہ ہاتھ آئے تازہ طرزِ ستم
یہ کیا خیال ہے، وہ کیا خیال کرتے ہیں


Yahi hai fikar keh haath aaye taaza Tarz-e-Sitam
Yeh kya khyal hai,woh kya khyal karte hain


وہاں فریب و دغا میں کمی کہاں توبہ
ہزار چال کی وہ ایک چال کرتے ہیں


Wahan Fareeb-o-Dagha mein kami kahan touba
Hazaar chaal ki woh aik chaal karte hain


نہیں ہے موت سے کم اک جہان کا چکر
جنابِ خضر یونہی انتقال کرتے ہیں


Nahin hai mout se kam Ek jahan ka chakar
Janab-e-Khizar Younhi inteqal karte hain


چھری نکالی ہے مجھ پر عدو کی خاطر سے
پرائے واسطے گردن حلال کرتے ہیں


Churi nikali hai Mujh par Aadow ki Khatir
Paraye wastay Gardan halaal karte hain


یہاں یہ شوق، وہ نادان، مدعا باریک
انھیں جواب بتا کر سوال کرتے ہیں


Yahan yeh shauq,woh nadaan,Mudaa Bareek
Unhain jawaab bata kar Sawaal karte hain


ہزار کام مزے کے ہیں داغ الفت میں
جو لوگ کچھ نہیں کرتے کمال کرتے ہیں


Hazaar kaam mazay k hain Daagh Ulfat main
Jo log Kuch nahi karte Kamaal karte hain


Daagh Dehlvi

liya hai dil hi faqat aur jaan baki hai abhi to kaam tumhein mehrban baki hai



لیا ہے دل ہی فقط اور جان باقی ہے
ابھی تو کام تمہیں مہربان باقی ہے


लिया है दिल ही फ़क़त और जान बाक़ी है
अभी तो काम तुम्हें मेहरबान बाक़ी है


liya hai dil hi faqat aur jaan baki hai
abhi to kaam tumhein mehrban baki hai

Takte hoe har shai ko barde ghor se guzre Hum baad tere jab kabhi Lahore se guzre



Takte hoe har shai ko barde ghor se guzre
Hum baad tere jab kabhi Lahore se guzre

Unknown

Shor Hai Har Taraf Sahab Sahab Saqiya Saqiya ! Sharaab Sharaab (Kashfi Multani)



Shor Hai Har Taraf Sahab Sahab
Saqiya Saqiya ! Sharaab Sharaab

Aab-e-Haiwan Ko Mai Se Kia Nisbat
Paani Paani Hai Aur Sharaab Sharaab

Rind Ba-Khushi Gaye Qayamat Mein
Shaikh Kehta Raha Hisaab Hisaab

Ik Wahi Mast Ba-Khabar Nikla
Jis Ko Kehty Thay Sab Kharaab Kharaab

Mujh Se Jab Wajah-e-Gunah Jab Poochi
Sar Jhuka Ke Kaha Shabaab Shabaab

Jaam Girne Laga Tou Behka Shaikh
Thamna Thamna Kitaab Kitaab

Kab Woh Aata Hai Samny "Kashfi"
Jis Ki Har Ik Ada Hijaab Hijaab

Poet:Kashfi Multani

Angdai Bhi Woh Lene Na Paae Utha Ke Haath Dekha Jo Mujh Ko Chod Diye Muskura Ke Haath



Angdai Bhi Woh Lene Na Paae Utha Ke Haath
Dekha Jo Mujh Ko Chod Diye Muskura Ke Haath

Be-Sakhta Nigahein Jo Aapas Mein Mil Gaeen
Kia Munh Par Us Ne Rakh Liye Aankhein Chura Ke Haath

Ye Bhi Naya Sitam Hai Hina Tou Lagaen Ghair
Aur Us Ki Daad Chahen Woh Mujh Ko Dekha Ke Haath

Be-Ikhtiyar Ho Ke Jo Main Paanv Par Gira
Thodi Ke Neeche Us Ne Dhara Muskura Ke Haath

Gar Dil Ko Bas Mein Paaen Tou Naseh Teri Sunen
Apni Tou Mar-o-Zeest Hai Us Be-Wafa Ke Haath

Woh Zaanon Mein Seena Chupana Simat Ke Haae
Aur Phir Sambhalna Woh Dopatta Chuda Ke Haath

Qasid Tere Bayan Se Dil Aisa Thahar Gaya
Goya Kisi Ne Rakh Diya Seene Pe Aa Ke Haath

Ay Dil Kuch Aur Baat Ki Raghbat Na De Mujhe
Sunni Padengi Saikdon Us Ko Laga Haath

Woh Kuch Kisi Ka Keh Ke Satana Sada Mujhe
Woh Khinch Lena Parde Se Apna Dekha Ke Haath

Dekha Jo Kuch Ruka Mujhe Tou Kis Tapak Se
Gardan Mein Meri Daal Diye Aap Aa Ke Haath

Phir Kiyun Na Chaak Ho Jo Hain Zor-Aazmaiyan
Bandhunga Phir Dupate Se Us Be-Khata Ke Haath

Koche Se Tere Uthen Tou Phir Jaaen Hum Kahan
Baithe Hain Yaan Tou Donon Jahan Se Utha Ke Haath

Pehchana Phir Tou Kia Hi Nadamat Hoi Unhein
Pandit Samajh Ke Mujh Ko Aur Apna Dekha Ke Haath

Dena Woh Us Ka Saghar-e-Mai Yaad Hai "Nizam"
Munh Pher Kar Udhar Ko Idhar Ko Badha Ke Haath


Poet:Nizam Rampuri

Yahi janoon ka mutalba hai , yahi taqza hai khudi ka Main tishna reh kar hi tishnagi se ilaj karta hoon tishnagi ka



ﯾﮩﯽ ﺟﻨﻮﮞ ﮐﺎ ﻣُﻄﺎﻟﺒﮧ ﮨﮯ ،  ﯾﮩﯽ ﺗﻘﺎﺿﺎ ﮨﮯ ﺑﮯ ﺧﻮﺩﯼ ﮐﺎ
ﻣﯿﮟ ﺗﺸﻨﮧ ﺭﮦ ﮐﺮ ﮨﯽ ﺗﺸﻨﮕﯽ ﺳﮯ ، ﻋﻼﺝ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﻮﮞ ﺗﺸﻨﮕﯽ ﮐا

Yahi janoon ka mutalba hai  , yahi taqza hai khudi ka
Main tishna reh kar hi tishnagi se ilaj karta hoon tishnagi ka

Dost Ka Ghar Aur Dushman ka Pata Maloom Hai , Zindagi Hum Ko Tera Ye Silsila Maloom Hai



Mere marne ki khabar log udda daite hain Iss pe tum kaan na dharna main abhi atti hon



مرے مرنے کی خبر لوگ اڑا دیتے ہیں
اس پہ تم کان نہ دھرنا ' میں ابھی آتی ہوں
زندگی لے کے ہی آوں گی خدا کے گھر سے
تم ذرا دیر ٹھہرنا ' میں ابھی آتی ہوں
یہ جو تاروں کی سی ہنستی ہیں تمھاری آنکھیں
ان کو جل تھل نہیں کرنا ' میں ابھی آتی ہوں
میں ابھی آتی ہوں سورج سے اجالا لے کر
شام آئے تو نہ ڈرنا ' میں ابھی آتی ہوں
میرے بارے میں اگر کوئ بھی پوچھے تم سے
تم کوئ بات نہ کرنا 'میں ابھی آتی ہوں

Mere marne ki khabar log udda daite hain
Iss pe tum kaan na dharna main abhi atti hon
Zindagi le ke aungi khuda ke ghar se
Tum zara dair theharna main abhi atti hon
Yeh jo taron ki si hasti hain tumahari ankhain
Inn ko jal thal nahi karna main abhi atti hon
Main abhi atti hon soraj se ujaala le kar
Shaam aye toh na darna main abhi atti hon
Mere bare mein agar koi bhi pooche tumse
Tum koi baat na karna main abhi atti hon

Nah Dardaa'n Dy Nah Farzaa'n Dy Sab Reshtey Naatey Gharzaa'n Dy



‏نہ درداں دے  نہ فرضاں دے
سب رشتے ناتے غرضاں دے

Nah Dardaa'n Dy Nah Farzaa'n Dy
Sab Reshtey Naatey Gharzaa'n Dy

Uljhe Hoe hain palkon mein shabnam ke kuch Qatre Bichra tha koi Raat Khuwabon ke safar mein



الجهے هوئے هیں پلکوں میں شبنم کے کچھ قطرے
بچهڑا تها کوئی رات خوابوں کے سفر میں

Uljhe Hoe hain palkon mein shabnam ke kuch Qatre
Bichra tha koi Raat Khuwabon ke safar mein

Kab Tak Hansey Gi Tujh Pe Yeh Mehroomiyon Ki Shaam Woh Shakhs Be-wafaa Tha Ussey Ab Bhula Bhi Dey



کَب تَک ہَنسے گی تُجھ پِہ ، یِہ مِحرُومیوں کی شام
وُہ شَخص بےوفا تھا ، اسے اب بُھلا بھِی دے

Kab Tak Hansey Gi Tujh Pe Yeh Mehroomiyon Ki Shaam
Woh  Shakhs Be-wafaa Tha
Ussey Ab Bhula Bhi Dey

Tera hijar kamzor kar gaya hai mujhe Mere kangan dheele ho gaye hain



Tera hijar kamzor kar gaya hai mujhe
Mere kangan dheele ho gaye hain

Barish , Badal Tum Aur Main Khushbo , Mausam Tum Aur Main



'' تُم اور مَیں ''

بارش ، بادل
تم اور میں
خوشبو ، موسم
تم اور میں
کالے بادل ، رم جھم بارش
نیلا آنچل
تم اور میں
بہتی ندیاں ، گرتا پانی
آنکھیں ، آنْسُو
تم اور میں
پاس کسی ، دریا کے کوئی
بھیگی جھونپڑی
تم اور میں
دور کہیں ، کوئل کی کو کو
گھنا جنگل
تم اور میں
برکھا رم جھم ، گیت سنائیں
جھرمٹ ڈالیں
تم اور میں
دور کہیں پر ، چھوٹا سا اِک
کچہ سا گھر
تم اور میں
گود تیری ، اور سَر میرا
پاگل سی چُپ
تم اور میں
اور پھر ھونٹوں سے برستی شبنم
  تم اور میں

"Tum Aur Main"

Barish , Badal
Tum Aur Main
Khushbo , Mausam
 Tum Aur Main
Kaale Badal , Rim Jhim Barish
Neela Aanchal
 Tum Aur Main
 Behti Nadiyan ,Girta Paani
Aankhen , Aansoo
Tum Aur Main
Paas Kisi , Dariya Ke Koi
Bheegi Jonpdi
 Tum Aur Main
Door Kahein , Koil Ki Ko Ko
 Ghana Jangal
Tum Aur Main
Barkh Rim Jhim , Geet Sunaaein
Jhurnat Daalein
 Tum Aur Main
Door Kahein Par , Chota Sa Ik
Kachha Sa Ghar 
Tum Aur Main
 Goud Teri , Sar Mera
Pagal Si Chup
Tum Aur Main
Aur Phir Honton Se Barasti Shabnam
 Tum Aur Main

Woh Maseeha Na Bana Hum Bhi Khuwahish Nahi Ki Apni Sharton Pe Jeeye Uss Se Guzarish Nahi Ki



 وہ مسیحا نہ بنا ہم نے بھی خواہش نہیں کی
اپنی شرطوں پہ جیے اس سے گزارش نہیں کی

Woh Maseeha Na Bana Hum Bhi Khuwahish Nahi Ki
Apni Sharton Pe Jeeye Uss Se Guzarish Nahi Ki
 

Muhabbaton Ke Asas Lehje , Haqeeqaton Ke Akas Lehje Ay Bint-e-Hawa Sanbhal Ke Rehna , Fareb Hain Ye Methas Lehje



محبتوں کے اساس لہجے، حقیقتوں کے عکاس لہجے
اے بنتِ حوا سنبھل کے رہنا، فریب ہیں یہ مٹھاس لہجے

Muhabbaton Ke Asas Lehje , Haqeeqaton Ke Akas Lehje
Ay Bint-e-Hawa Sanbhal Ke Rehna , Fareb Hain Ye Methas Lehje
 

Barish hui tou ghar kay dareechey say lag kay hum Chup chaap sogawaar tumhein sochtey rahey



بارش ہوئی تو گھر کے دریچے سے لگ کے ہم
چپ چاپ۔ سوگوار۔ تمہیں سوچتے رہے

Barish hui tou ghar kay dareechey say lag kay hum
Chup chaap sogawaar tumhein sochtey rahey

Chahat Mein Kia Dunya-Dari Ishq Mein Kaisi Majbori Logon Ka Kia Samjhane Do Un Ki Apni Majbori (Mohsin Bhopali)



Chahat Mein Kia Dunya-Dari Ishq Mein Kaisi Majbori
Logon Ka Kia Samjhane Do Un Ki Apni Majbori

Main Ne Dil Ki Baat Rakhi Aur Tu Ne Dunya Walon Ki
Meri Arz Bhi Majbori Thi Un Ka Hukam Bhi Majbori

Rok Sako Tou Pehli Barish Ki Bondon Ko Tum Roko
Kachhi Mitti Tou Mehkegi Hai Mitti Ki Majbori

Zat-Kade Mein Pahron Baten Aur Milan Tou Mohar Ba-Lab
Jabr-e-Waqt Ne Bakhshi Hum Ko Ab Ke Kaisi Majbori

Jab Tak Hansta Gaata Mausam Apna Hai Sab Apne Hain
Waqt Pade Tou Yaad Aa Jati Hai Masnui Majbori

Ik Aawaara Badal Se Kiyon Main Ne Saaya Manga Tha
Meri Bhi Ye Nadani Thi Us Ki Bhi Thi Majbori

Muddat Guzri Ik Waade Par Aaj Bhi Qaaim Hain "Mohsin"
Hum Ne Saari Umar Nibhai Apni Pehli Majbori
 
Poet:Mohsin Bhopali

Be-Chad Ke Tujh Se Mayassar Hoe Wisal Ke Din Hain Tere Khuwaab Ki Ratein Tere Khayal Ke Din (Mohsin Bhopali)



Be-Chad Ke Tujh Se Mayassar Hoe Wisal Ke Din
Hain Tere Khuwaab Ki Ratein Tere Khayal Ke Din

Firaq-e-Jaan Ka Zamana Guzarna Hoga
Fughan Se Kam Tou Na Honge Ye Mah-o-Saal Ke Din

Har Ik Amal Ka Woh Kia Kia Jawaaz Rakhta Hai
Na Ban Padega Jawaab Aik Bhi Sawaal Ke Din

Urooj-e-Bakht Mubarak Magar Ye Dhyan Rahe
Inhi Dinon Ke Ta'aqub Mein Hain Zawaal Ke Din

Guzar Rahe Hain Kuch Is Tarah Roz-o-Shab Apne
Keh Jis Tarah Se Katen Shakh-e-Be-Nihal Ke Din

Shikayaten Bhi Buhat Hain Hikayaten Bhi Buhat
Guzar Na Jaen Yunhi Ahd-e-Be-Misaal Ke Din

Woh Zindagi Ko Naya Mod De Gaya "Mohsin"
Yahi Zawaal Ke Din Hain Mere Kamaal Ke Din 
 
Poet:Mohsin Bhopali

Be-Khabar sa tha Magar Sab Ki Khabar Rakhta Tha Chahe Jane Ke Sabhi Aib-o-Hunar Rakhta Tha (Mohsin Bhopali)



Be-Khabar sa tha Magar Sab Ki Khabar Rakhta Tha
Chahe Jane Ke Sabhi Aib-o-Hunar Rakhta Tha

La-Ta'alluq Nazat Aata Tha Ba-Zahir Lekin
Be-Niazana Har Ik Dil Mein Guzar Rakhta Tha

Us Ki Nafrat Ka Bhi Meyar Juda Tha Sab Se
Woh Alag Apna Ik Andaz-e-Nazar Rakhta Tha

Be-Yaqeeni Ki Fizaon Mein Bhi Tha Hausala-Mand
Shab-Paraston Se Bhi Umeed-e-Sahar Rakhta Tha

Mashware Karte Hain Jo Ghar Ko Sajane Ke Liye
Un Se Kis Tarah Kahon Main Bhi Tou Ghar Rakhta Hon

Us Ke Har Waar Ko Sahta Raha Hans Kar "Mohsin"
Ye Ta'assur Na Diya Main Bhi Sipar Rakhta Tha
 
Poet:Mohsin Bhopali

Be-Sabab Log Badalte Nahi Maskan Apna Tum Ne Jalte Hoe Dekha Hai Nasheman Apna (Mohsin Bhopali)



Be-Sabab Log Badalte Nahi Maskan Apna
Tum Ne Jalte Hoe Dekha Hai Nasheman Apna

Kis Kadey Waqt Mein Mausam Ne Gawahi Mangi
Jab Gareban Hi Apna Hai Na Daman Apna

Apne Lut Jane Ka Ilzam Kisi Ko Kia Doon
Main Hi Tha Rah-numa Main Hi Tha Rahzan Apna

Koi Milta Hai Jo Is Daur-e-Pur-Ashob Mein Dost
Mashware De Ke Bana Lete Hain Dushman Apna

Jab Bhi Sach Bolte Bachhon Pe Nazar Padti Hai
Yaad Aa Jata Hai Be-Sakhta Bachpan Apna

Yun Kia Karte Hain Lakhon Ko Naseehat Aksar
Jaise Hum Ne Na Guzara Ho Ladakpan Apna

Rang-e-Mehfil Ke Liye Hum Nahi Badle "Mohsin"
Wahi Andaz-e-Takhayyul Hai Wahi Fan Apna

Poet:Mohsin Bhopali

Woh Jissey NEEND Kaha Kartey Hein Sabb Chain Ki Neend Woh Tere Baad Kabhi Aankh Mein Utri Hi Nahein



وُہ جِسے نِیند کہا کَرتے ہیں سَب چَین کی نِیند
وُہ تیرے بَعد کَبھِی آنکھ میں اُتری ہی نہِیں


Woh Jissey NEEND Kaha Kartey Hein Sabb Chain Ki Neend
Woh Tere Baad Kabhi Aankh Mein Utri Hi Nahein

Thapkiyaan De Ke Sulaati Hai Teri Yaad Hamein NEEND Jis Raat Bhi Aankhon Se Khafaa Ho Jaaye




تھَپکیاں دے کے سُلاتی ہے تِری یاد ہمیں
نِیند جِس رات بھِی ، آنکھَوں سے خَفَا ہو جائے

Thapkiyaan De Ke Sulaati Hai Teri Yaad Hamein
NEEND Jis Raat Bhi Aankhon Se Khafaa Ho Jaaye

Umar Jalwon Mein Basar Ho Yeh Zarori Toh Nahi Har Shab e Gham Ki Sehar Ho Yeh Zarori Toh Nahi



Umar Jalwon Mein Basar Ho Yeh Zarori Toh Nahi
Har Shab e Gham Ki Sehar Ho Yeh Zarori Toh Nahi

Neend Toh Dard Ke Bistar Pe Bhi Aa Sakti Hai
Unke Aagosh Mein Sar Ho Yeh Zarori Toh Nahi

Khushboo se bhare shaam Mein jugnoo ke qalam se Aik nazam tere wastay likhein gay kisi din



خُوشبو سے بھری شام میں جگنو کے قلم سے
اِک نظم تیـــــرے واسطے لکھیں گے کسی دن

Khushboo se bhare shaam Mein jugnoo ke qalam se
Aik nazam tere wastay likhein gay kisi din

Ab naye rukh se haqaaeq ko ulat kar dekho jin pe chalte rahe un raahon se kat kar dekho



Ab naye rukh se haqaaeq ko ulat kar dekho
jin pe chalte rahe un raahon se kat kar dekho

Aisa karte hain ulat datey hain zanbeel-e-hayaat Aur is main koi kaam ka pal dhundte hain



ایسا کرتے ہیں، الٹ دیتے ہیں زنبیلِ حیات
اور اس میں کوئی کام کا پل ڈھونڈتے ہیں


Aisa karte hain ulat datey hain zanbeel-e-hayaat
Aur is main koi kaam ka pal dhundte hain

Itni bai-kaif na hoti ye guzar-gah-e-hayaat Tum kisi moor pe mil jate tu acha hota



اتنی بے کیف نہ ھوتی یہ گزر گاہِ حیات
تم کسی موڑ پہ مل جاتے تو اچھا ھوتا

Itni bai-kaif na hoti ye guzar-gah-e-hayaat
Tum kisi moor pe mil jate tu acha hota

Mere mathe pe likho bakht se hara hoa hai Ek zabardast, zabardast se hara hoa hai



میرے ماتھے پہ لکھو بخت سے ہارا ہوا ہے
اک زبردست ، زبردست سے ہارا ہوا ہے

Mere mathe pe likho bakht se hara hoa hai
Ek zabardast, zabardast se hara hoa hai

Dil hai tou dharakne ka bahanaa koi dhoonde Pathar ki tarah behis-O-be-jaan sa kyun hai



दिल है तो धड़कने का बहाना कोई ढूँढे
पत्थर की तरह बेहिस-ओ-बेजान सा क्यों है

Dil hai tou dharakne ka bahanaa koi dhoonde
Pathar ki tarah behis-O-be-jaan sa kyun hai

Or kuch dair na bujhne de use Rab-e-sahar Doobta chaand mera dast-e-dua lagta hai



اور کچھ دیر نہ بجھنے دے اسے ربِّ سحر
ڈوبتا چاند مرا دستِ دعا لگتا ہے


Or kuch dair na bujhne de use Rab-e-sahar
Doobta chaand mera dast-e-dua lagta hai

Tum jo rootho tou meri aankhon se , Sindh , jehlam , chanaab behty hain



Auqaat se zyada muhabbat kar li , is liye bardasht se zyada dard mila



Tadair mai-kade mein rahi hai meri namaz Saaqi mera Imaam badi dair tak raha



تادیر میکدے میں رہی ہے مِری نماز
ساقی مِرا اِمام بڑی دیر تک رہا

Tadair mai-kade mein rahi hai meri namaz
Saaqi mera Imaam badi dair tak raha

Dhoondta Phirta Hoon Logon Mein Shabahat Uss Ki Keh Woh Khawaabon Mein Bhi Lagti Hai Khayaalonn Jaisi



ڈھُونڈتا پھِرتا ہُوں لوگوں میں شبَاہَت اُس کی
کہ وُہ خوابوں میں بھِی لَگتِی ہے ، خیالوں جیسی

Dhoondta Phirta Hoon Logon Mein Shabahat Uss Ki
Keh  Woh  Khawaabon Mein Bhi Lagti Hai Khayaalonn Jaisi

اُس کی باتیں۔ بھِی دِلآویز ہیں ، صُورَت کی طَرح
میری سوچیں بھِی پرِیشاں ، مِرے بالوں۔ کی طَرح

Uss Ki Baatein Bhi DIL Aaweiz Hein Soorat Ki Tarah
Meri Sochein Bhi Pareshan Mere Baalon Ki Tarah

Tony Keety , Mantar Parheya ,Hath Wich Paae Yaqoot Te Ferozy Bakht Na Badly , Yaar Na Miliya , Har Nuskha Aazmaya Main Saaein



ٹونے کیتے, منتر پڑھیا, ہتھ وچ پائے یاقوت فروزے
بخت نہ بدلے۔ یار نہ ملیا۔ ہر نسخہ آزمایا میں سائیں

Tony Keety , Mantar Parheya ,Hath Wich Paae Yaqoot Te Ferozy
Bakht Na Badly , Yaar Na Miliya , Har Nuskha Aazmaya Main Saaein

Umar bhar ishq kisi taur na kam ho 'Ameen' Dil ko har rose ata niamat-e-gham ho 'Ameen'



Umar bhar ishq kisi taur na kam ho 'Ameen'
Dil ko har rose ata niamat-e-gham ho 'Ameen'
 
Mere Kaase ko hai bas chaar hi sikkon ki talab
Ishq ho waqt ho kaghaz ho qalam ho 'Ameen'
 
Hujra-e-zaat mein ya mehfil-e-yaraan mein rahoon
Fikr Dunya ki Mujhe ho bhi tou kam ho 'Ameen'
 
Jab main khamosh rahon raunaq-e-mehfil thehron
Aur jab baat karon baat mein dum ho 'Ameen'
 
Log Chahein bhi tou hum ko na juda kar paaen
Yun meri zaat teri zaat mein zam ho 'Ameen'
 
Ishq mein doob ke jo kuch bhi lekhon kaghaz par
Khud-ba-khud lauh-e-zamana pe raqam ho 'Ameen'
 
Na Dara Paae mujhe tergi-e-dasht-e-firaq
Har taraf raushni-e-deeda-e-nam ho 'Ameen'
 
'Meer' ke sadqe mere harf ko darweshi mile
Door mujh se hawas-e-dam-o-diram ho 'Ameen'
 
Mere Kanoon ne suna hai tere baare mein buhat
meri aankhon pe bhi thoda sa karam ho 'Ameen'
 
Jab Zameen akhri hiddat se peghalne lag jaae
Ishq ki chhanv mere sar ko baham ho 'Ameen'
 
Poet:Rehman Faris

Wada-e-yaar ka lamha thehar gaya mujh mein Main khud tou zinda raha waqt mar gaya mujh mein



Wada-e-yaar ka lamha thehar gaya mujh mein
Main khud tou zinda raha waqt mar gaya mujh mein

Sukoot-e-shaam mein cheekhen sunaai deti hain
Tu jate jate ajab shor bhar gaya mujh mein

Woh pehle sirf meri aankh mein samaya tha
phir ek rose ragon tak utar gaya mujh mein

Kuch aise dhyan mein chehra tera tulua hoa
Ghurob-e-shaam ka manzar nikhar gaya mujh mein

Main us ki zaat se munkir tha aur phir ik din
Woh apne hone ka elaan kar gaya mujh mein

Khandar samajh ke meri sair karne aaya tha
Gaya tou mausam-e-gham phool dhar gaya mujh mein

Gali mein goonjee khamoshi ki cheekh raat ke waqt
Tumhari yaad ka bachha sa dar gaya mujh mein

Bata main kya karon dil naam ke is angan ka
Tere umeed pe jo saj-sanwer gaya mujh mein

Ye apne apne muqaddar ki baat hai "Faris"
Main is mein semta raha woh bikhar gaya mujh mein
 
Poet:Rehman Faris

Yahi dua hai yahi hai salam ishq ba-khair Mere sabhi rufaqa-e-kiram ishq ba-khair



Yahi dua hai yahi hai salam ishq ba-khair
Mere sabhi rufaqa-e-kiram ishq ba-khair

Dayar-e-hijar ki suni udas galiyon mein
Pukarta hai koi subah-o-shaam ishq ba-khair

Main kar raha tha dua ki guzareshen us se
So keh gai hai udasi ki shaam ishq ba-khair

Bade ajeeb hain shehr-e-junoon ke bashende
Hamesha kehty hain baad-az-salam ishq ba-khair

Ye raah zaroor tumhare hi ghar ko jaati hai
Lekha hoa hai yahaan gaam gaam ishq ba-khair

Bayan ki hai ghazal-war dastan-e-ishq
So is kitaab ka rakkha hai naam ishq ba-khair

Ufaq ke paar mujhe yaad kar raha hai koi
Abhi mila hai udhar se payaam-e-ishq ba-khair

Poet:Rehman Faris

Ye jo mujh par nikhaar hai saa'en Aap hi ki bahaar hai saa'en



Ye jo mujh par nikhaar hai saa'en
Aap hi ki bahaar hai saa'en

Aap chahen tou jaan bhi le len
Aap ko ikhteyaar hai saa'en

Tum milate ho bichdey logon ko
Ek mera bhi yaar hai saa'en

Kisi khonti se bandh dijiye use
Dil bada be-mahar hai saa'en

Ishq mein laghzishon pe kijiye mua'af
Saa'en ye pehli baar hai saa'en

Kul mila kar hai jo bhi kuch mera
Aap se musta'ar hai saa'en

Ek kashti bana hi dejiye mujhe
Koi dariya ke paar hai saa'en

Rose aansoo kama kar lata hoon
Gham mera rozgaar hai saa'en

Wusa'at-e-rizaq ki dua dijiye
Dard ka karobaar hai saa'en

Khaar-zaron se ho ke aaya hoon
Pairhan taar taar hai saa'en

Kabhi aa kar tou dekhiye keh ye dil
Kaisa ujda dayar hai saa'en

Poet:Rehman Faris

Sukoot-e-sham mein goonji sada udasi ki Keh hai mazeed udasi dawa udasi ki



Sukoot-e-sham mein goonji sada udasi ki
Keh hai mazeed udasi dawa udasi ki 

Buhat shareer tha main aur hansta phirta tha
Phir ik faqeer ne de di dua udasi ki

Umoor-e-dil mein kisi teesre ka dakhal nahi
Yahaan faqat teri chalti hai ya udasi ki

Charaagh-e-dil ko zara ehteyaat se rakhna
Keh aaj raat chalegi hawa udasi ki

Woh imtezaj tha aisa keh dang thi har aankh
Jamaal-e-yaar ne pehni qaba udasi ki

Isi umeed pe aankhein barasti rehti hain
Keh ek din tou sunega khuda udasi ki

Shajar ne poocha keh tujh mein ye kis ki khushbo hai
Hawa-e-shaam-e-alam ne kaha udasi ki

Dil-e-afsurda ko main ne tou maar hi daala
so main tou theek hoon ab tu suna udasi ki

Zara sa chhu len tou ghanton dahakti rehti hai
humein tou maar gai ye ada udasi ki

Buhat dino se main us se nahi mila "Faris"
Kahein se khair-khabar le ke aa udasi ki
 
Poet:Rehman Faris

Sada'en dete hoe aur khaak udate hoe Main apne-aap se guzra hoon tujh tak aate hoe



Sada'en dete hoe aur khaak udate hoe
Main apne-aap se guzra hoon tujh tak aate hoe

Phir is ke baad zamane ne mujhe raund diya
Main gir pada tha kisi aur ko uthaty hoe

Kahani khatam hoi aur aisi khatam hoi
Keh log rone lage taliyan bajate hoe

phir is ke baad ata ho gai mujhe taseer
Main ro pada tha kisi ko ghazal sunate hoe

Khareedna hai tou dil ko khareed le fauran
Khilone toot bhi jate hain azmate hoe

Tumhara gham bhi kisi tifl-e-sheer-khuwaar sa hai
Keh uungh jata hoon main khud use sulate hoe

Agar mile bhi tou milta hai raah mein "Faris"
Kahein se aate hoe ya kahein ko jate hoe 
 
Poet:Rehman Faris

Raat aa baithi hai pehlo mein sitaro takhliya Ab humein darkaar hai khilwat so yaaro takhliya



Raat aa baithi hai pehlo mein sitaro takhliya
Ab humein darkaar hai khilwat so yaaro takhliya

Aankh wa hai aur husn-e-yaar hai paish-e-nazar
Shash-jihat ke baqi-manda sab nazaro takhliya

Dekhne wala tha manzar jab kaha darwaish ne
Kaj-kulaho badshaho taj-daro takhliya

Gham se ab hogi barah-rast meri guftago
Dosto teemardaro gham-gusaro takhliya

Chaar janib hai hujoom-e-na-shayan-e-sukhan
Aaj poore zor se "Faris" pukaaro takhliya

Poet:Rehman Faris

Nazar uthaen tou kia kia fasana banta hai sau pesh -e-yaar nigahein jhukana banta hai



Nazar uthaen tou kia kia fasana banta hai
sau pesh -e-yaar nigahein jhukana banta hai

Woh laakh be-khabar-o-be-wafa sahi lekin
Talab kia hai gar us ne tou jana banta hai

Ragon talak utar aai hai zulmat-e-shab-e-gham
so ab charaagh nahi dil jalana banta hai

Paraai aag mera ghar jala rahi hai so ab
Khamosh rehna nahi ghul machana banta hai

Qadam qadam pe tawazun ki baat mat kijiye
Ye mai-kada hai yahaan ladkhadana banta hai

Bichadne wale tujhe kis tarah bataon main
Keh yaad aana nahi tera aana banta hai

Ye dekh kar keh tere aashiqon mein main bhi hoon
jamaal-e-yaar tera muskurana banta hai

Junoon bhi sirf dekhawa hai wehshat bhi ghalat
Deewana hai nahi "Faris" deewana banta hai
 
Poet:Rehman Faris

Mujhe gharaz hai sitare na mahtaab ke saath Chamak raha hai ye dil poori aab-o-taab ke saath



Mujhe gharaz hai sitare na mahtaab ke saath
Chamak raha hai ye dil poori aab-o-taab ke saath

Napi-tuli si muhabbat laga-bandha sa karam
Nibha rahe ho ta'aluq bade hisaab ke saath 

Main is liye nahi thakta tere ta'aqub se
Mujhe yaqeen hai keh paani bhi hai sarab ke saath

Sawal-e-wasl pe inkaar karne waale sun
Sawal khatam nahi hoga is jawaab ke saath

Khamoshi jheel ke paani mein woh udasi thi
Keh dil bhi doob gaya raat mahtaab ke saath

Jata diya keh muhabbat mein gham bhi hote hain
Diya gulaab tou kaanty bhi thay gulaab ke saath

main le udunga tere khadd-o-khaal se ta'abeer
Na dekh meri taraf chashm-e-neem khuwaab ke saath

are ye sirf bahana hai baat karne ka
Meri majaal keh jhagda karon janab ke saath

Wisal-o-hijar ki sarhad pe jhutpute mein kahein
Woh be-hijaab hoa tha magar hijaab ke saath

Shikasta aaina dekha phir apna dil dekha
Dekhai di mujhe ta'abeer-e-khuwaab khuwaab ke saath

Wahan milonga jahan dono waqt milte hain
Main kam-naseeb tere jaise kamyaab ke saath

Dayar-e-hijar ke roza-guzar chahte hain
Keh roza kholen tere aur sharaab-naab ke saath

Tum achhi dost ho so mera mashwara ye hai
Mila-jula na karo "Faris"-e-kharaab ke saath

Poet:Rehman Faris

Main kar-amad hoon ya be-kaar hoon main Magar ay yaar tera yaar hoon main



Main kar-amad hoon ya be-kaar hoon main
Magar ay yaar tera yaar hoon main

Jo dekha hai kisi ko mat batana
Ilaqe bhar mein izzat-dar hoon main

Khud apni zaat ke sarmae mein bhi
Sifar feesad ka hissa-dar hoon main

Aur ab kiyon bain karte aa gaye hon
Kaha tha na buhat bemaar hoon main

Meri tou saari dunya bas tum hi ho
Ghalat kia hai jo dunya-dar hoon main

Kahani mein jo hota hi nahi hai
Kahani ka wahi kirdar hoon main

Ye tai karta hai dastak dene wala
Kahan dar hoon kahan deewaar hoon main

Koi samjhae mere dushmanon ko
Zara si dosti ki maar hoon main

Mujhe pathar samajh kar pesh mat aa
Zara sa rahm kar jaan-daar hoon main

Bas itna soch kar kijiye koi hukam
Bada munh-zor khidmat-gar hoon main

Koi shak hai tou be-shak aazma le
tera hone ka da'awe-dar hoon main

Agar har haal mein khush rehna fan hai
Tou phir sab se bada fan-kaar hoon main

Zamana tou mujhe kehta hai "Faris"
Magar "Faris" ka parda-daar hoon main

Unhein khilna sikhata hoon main "Faris"
Gulabon ka saholat-kaar hoon main
 
Poet:Rehman Faris

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo