Ik Chumi K Liye Hont Sadiyon Se Hain Tarse Huyi


Ik Chumi K Liye Hont Sadiyon Se Hain Tarse Huyi......*
.
.

Us K Rukhsar Pe Hai Jese Ramzan Ka Maheena.......*

 


Ta'alluq Rakh Lia Baqi Yakeen Ko Torr Aya Hoon


Ta'alluq Rakh Lia Baqi
Yakeen Ko Torr Aya Hoon

Kisi Ka Sath Dena Tha
Kisi Ko Chorr Aya Hoon

Us kay Sath Jeenay Ki Qasam
Khany Se Kuch Pehle

Main Kuch Waday
Kai Qasmain
Kahin Par Torr Aya Hoon

Palat Kar Aa Gaya Lekin
Yon Lagta Hy K Apna Ap

Jahan Wo Mujh Se Bichra Tha
Wahin Pe Chorr Aya Hoon

Usay Janay Ki Jaldi Thi
So Main Ankhon Hi Ankhon Mein

Jahan Tak Chor Sakta Tha

Wahan Tak Chor Aya Hoon


Aate Hain Zindagi Mein Kuch Dildar Log Jo Hote Jan Phir Bhi Dil Dukhate Hain Yar Log


Poet: Wasiq Ali Athar

Aate Hain Zindagi Mein Kuch Dildar Log

Jo Hote Jan Phir Bhi Dil Dukhate Hain Yar Log

Badal Gia Zamana Phir Bhi Mohabbat K Mare

Phir Bhi Aate Hain Nazar Mohabbat Mein Giraftar Log

Sitam To Jab Hai K Mohabbat Yak Tarfa Ho

Kisi Ko Parwa Nahi Aur Kuch Hote Hain Talbgar Log

Aise Hi Na Parwa Usay Meri Na Zarorat Hai Meri

Mein Gali Ka Aik Majno Hon Aur wo Parde Dar Log

Par Ye Sach Hai K WASIQ Mohabbat Zinda Aaj Bhi Kal Ki Tarha

Par Jo Bhi Karte Hain Hote Nahi Samajh Daar Log........!


Ab umar ki naqdi khatam hui Ab hum ko udhaar ki haajat hai



Poet:Ibn-e-Insha
Ab umar ki naqdi khatam hui
Ab hum ko udhaar ki haajat hai
Hai koi jo saahukaar bane?
Hai koi jo deewanhaar bane?
Kuch saal maheene din logo
Par suud beyaj ke bin logo
Haan apni jaan ke khazaane se
Haan umar ke tausha-khane se
Kia koi bhi saahukaar nahin
Kia koi bhi  deewanhaar nahin
Jub naam udhaar ka aaya hai
Kiyun sub ne sir ko jhukaya hai
Kuch kaam hamain nibtane hain
Jinhain jaan'ne wale jane hain
Kuch piyar dulaar ke dhande hain
Kuch jug ke dosre phande hain
 Hum maangte nahi hazaar barass
Dus paanch barass do chaar barass
Haan! suud beyaj bhi de lain ge
Haan! aur khiraj bhi de lain ge
Aassan bane dushwar bane
Par koi to deewanhaar bane
Tum kaon tumhara naam hai kiya
Kuch hum se tum ko kaam hi kiya
Kiyun is majme main aayi ho
Kuch maangti ho kuch laai ho
Ye Karobaar ki batain hain
Ye naqd udhar ki batain hain
Hum bethe hain kashkol liye
Sub umer ki naqdi khatam kiye
Gr sher ke rishte aayi ho
To samjho jald judai ho
Ab geet gaya sangeet gaya
Haan sher ka mausam beet gaya
Ab patjhar aai paat girain
Kuch subah girain kuch raat girain
Ye apne yaar purane hain
Ik umer se hum ko jane hain
In sub ke paas hai maal buhat
Haan! Umer ke mah-o-saal bohat
In sub ko hum ne bulaya hai
Aur jholi ko phelaya hai
Tum jao in se baat karain
Hum tum se na mulaqat kerain
Kya paanch baraas?
Kya apni umer ke paanch baras?
Tum jaan ki theli laai ho?
Kya pagal ho? Sodayi ho?
Jub umar ka aakhir aata hai
Her din sadyian ban jata hai
Jeene ki hawis hi nirali hai
Hai kaon jo is se khali hai
Kya maut se pehle marna hai?
Tum ko to bohat kuch kerna hai?
Phir tum ho hamari kaon bhala
Haan tum se hamara kia rishta
Kis sood biyaj ka laaluch hai
Kisi aur khiraj ka laaluch hai
Tum sohni ho man mohni ho
Tum jaaker poori umer jio
Ye paanch baras ye chaar baras
Chhin jayen to lagain hazaar baras
Sab dost gaye sab yaar gaye
The jitne saahukaar gaye
Bus aik ye naari bethi hai
Ye kaon hai kya hai kesi hai
Haan umer hamain darkaar bhi hai
Haan jeene se hamain pyar bhi hai
Jub maangain jeevan ki gharrian
Gustaakh akhiyan kithe ja larrian
Hum qarzz tumhain lauta den ge
Kuch aur bhi gharrian laa den ge
Jo saa-at o maah o saal nahi
Wo gharian jin ko zawaal nahi
Lo apne ji main utaar liya
Lo hum ne tum se udhaar liya

Sochta Hon Keh Usay Neend Bhi Aati Hogi Ya Meri Tarah Faqat Ashk Bahati Hogi


Poet:Wasi Shah

Sochta Hon Keh Usay Neend Bhi Aati Hogi

Ya Meri Tarah Faqat Ashk Bahati Hogi

Wo Meri Shakal Mera Naam Bhulanay Wali

Apni Tasveer Se Kia Aankh Milati Hogi?

Is Zameen Pe Bhi Hai Selaab Meray Ashkon Se

Mere Matam Ki Sada Arsh Helati Hogi

Shaam Hote Hi Wo Chokhat Pe Jala Kar Shamain

Apni Palkon Pe Kaii Khuwaab Sulati Hogi

Us Ne Silwa Bhi Liye Hongy Siya Rang Libaas

Ab Moharram Ki Tarah Eid Manati Hogi

Hoti Hogi Mere Bosay Ki Talab Main Pagal

Jab Bhi Zulfon Main Koi Phool Sajati Hogi

Mere Tareek Zamano Se Nikalnay Wali

Roshni Tujh Ko Meri Yaad Dilati Hogi

Dil Ki Masoom Ragain Khud Hi Sulagti Hogi

Jonhi Tasveer Ka Kona Wo Jalati Hogi

Roop De Kar Mujhe Us Main Kisi Shehzaday Ka

Apnay Bachon Ko Kahani Wo Sunati Hogi.......!


Tum mere dard bhi, gham bhi, aalam bhi tum Tum mera chain ho jana, mera araam bhi tum


Poet:Wasi Shah

Tum mere dard bhi, gham bhi, aalam bhi tum

Tum mera chain ho jana, mera araam bhi tum

Kamyaabi ko nahin hum ne tumhen chahaa hai 

Hum tumhare hain bhaley ho gaye nakaam bhi tum

Main maseeha hoon agar, mera wazeefa tum ho

Main hoon mujrim meri jaan mera ilzaam bhi tum

Kiya zaroorat hai mujhe dard ke me'khaanon ki

Tumhi nasha, tumhi paimaana, mera jaam bhi tum

Mukhtlif se bahaanon se mujhe sochtey ho

Aik din khul ke pukaaro ge mera naam bhi tum

Ye seyaasat bhi ajab khail hai bholey panchi

Yahan seyaad bhi tum ho, to teh'daam bhi tum

Jis se roshan mera aangan hai tumhi ho woh chiraag

Sach to ye hai ke tumhi ghar ho, dar-o-baam bhi tum

Raat din tum ko faqat tum ko mujhe sochna hai

Meri furssat bhi tum hi aur mera har kaam bhi tum........!


Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah

 

Poet:Wasi Shah

Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah

Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah

Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga

Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah

Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jaga'uon Ga

Sar-e-Sham Hi Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah

Mere Hi Dil Ka Makee.n Nikla Wo Shakhs ''Wasi'' 

Aur Mein Shehar Bhar Me Dhundta Raha Usy Kisi Pagal Ki Tarah


Haaye Wo Lamha Keh Jab Tujh Se Shanasaayi Howi Phir Jo Honi Thi Meri Jaan Wo Ruswaayi Howi


Poet:Wasi Shah

Haaye Wo Lamha Keh Jab Tujh Se Shanasaayi Howi

Phir Jo Honi Thi Meri Jaan Wo Ruswaayi Howi

Apni Nakaam Muhabbat Ka Na Yun Charcha Karo

Zakham Barh Jaye Ga Gar Is Ki Paziraayi Howi

Phir Zamanay Mein Kisi Ne Usey Dekha Na Suna

Tere Darbaar Mein Jis Shakhs Ki Shanwaayi Howi

Jab Teri Yaad Ko Koi Bhi Thikaana Na Milay

Meri Baahon Mein Chali Aati Hai Ghabraayi Howi........!


Ab magar kuch bhi nahin, kuch bhi nahin ho sakta Apne jazbon se ye rangeen shararat na karo

 

Poet:Wasi Shah

Ab magar kuch bhi nahin, kuch bhi nahin ho sakta

Apne jazbon se ye rangeen shararat na karo

Kitni masoom ho, naazuk ho, hamaqat na karo

Baar'haa tum se kaha tha keh muhabbat na karo......!


Saari raat ki jaagi aankhein College mein kiya parrhti hon gi


Poet:Wasi Shah

Saari raat ki jaagi aankhein

College mein kiya parrhti hon gi

Yunhi khoye, dil hi dil mein

Jaane kiya kiya karti hon gi

Saari raat ki jaagi aankhen

College mein kiya parrhti hon gi

Koi bolay, kaan na dharna

Koi hillaye to ek dam darna

Koi daikhe in ka barhna

Apne aap say larti hon gi

Saari raat ki jagi aankhein

College mein kiya parrhti hon gi

Apni kitaabein phartey rehna

Us ki baaten kartey rehna

Us ki yaadein ghartey rehna

Jeetay jeetay marti hon gi

Saari raat ki jagi aankhein

College mein kiya parrhti hon gi.......!


Apna to chahton mein yehi ik asool hai Tera bhalaa bura humain sab kuch qubool hai


Poet:Wasi Shah

Apna to chahton mein yehi ik asool hai

Tera bhalaa bura humain sab kuch qubool hai

Ye umar bhar ka jaagna bekaar hi na jaye

Tu na mila to saari reyaazat fazool hai

Khud hi kaha tha tu ne meri jaan chorr de

Ab chorr di to kiyon tera chehra malool hai

Aye Maan ye meri shohrtain meri ye izztain

Kuch bhi nahin bass tere kadmon ki dhool hai

Aayi jo teri yaad to aankhain barass parri

Iss waqt tere dard ka dil par nazool hai

Ik doosrey ke waastey dono baney Wasi

Guldaan mera dil hai teri yaad phool hai........!


Abhi kuch bhi nahin badla Darakhton par wohi maosam abi tak muskuratey hain


Poet:Wasi Shah

Abhi kuch bhi nahin badla 

Darakhton par wohi maosam abi tak muskuratey hain

Abhi tak surmeyi shamain hamare saath roti hain

Abhi tak mere honton par tumhare honton ki khushboo

Raqss karti hai

Abhi tak meri ankhon mein tumhare khuwaab hanstey hain

Abhi tak mere haathon par tumhari ungliyon

ki narm pooron se likhey sab harf

zinda hain

Abhi tak mere seeney mein tumhari saans chalti hai

Abhi to raston par doodhiya pairon se parney waley

saarey naqsh qayem hain

Abhi almaariyon mein saarey tohfey gungunatey hain

Tumhare khat abhi bhi raat ki tanhai mein mujh se

Tumhari baat kartey hain

Buhat se saal guzrey hain

Buhat se waqt beeta hai

Meri chahat nahin beeti

Meri himmat nahin guzri 

Abhi kuch bhi nahin badla

Abhi kuch bhi nahin badla

Agar chaho

Agar samjho

Meri maano

To laot aao.........!


Diya diye se jala loon to chain aaye mujhe Tumhain galey se laga loon to chain aaye mujhe


Poet:Wasi Shah

Diya diye se jala loon to chain aaye mujhe

Tumhain galey se laga loon to chain aaye mujhe

Muhabbton ke saheefay hain ya azaab koi

Tere khatoot jala loon to chain aaye mujhe......!


Roshni aur baharain tumhi rakh lo jana Mere jugnu mere mausam wapis kar do


Poet:Wasi Shah

Roshni aur baharain tumhi rakh lo jana

Mere jugnu mere mausam wapis kar do

Meri hasrat, meri mehroomiyan laota do mujhe

Mere aansoo, mere maatam mujhe wapis kar do

Jane waley se bas itna hi kaha tha mene 

Kuch na lotao mere gham mujhe wapis kar do

Kiyon ye takraar si hone lagi ''Main'' ki jana'n

Woh to hum tum mein tha, ik ''Hum'' mujhe wapis kar do

Jitni khushiyan hain wo rakh lo meri janib se Wasi

Meri aankhon mein chupey namm mujhe wapis kar do.......!


Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai Sonay jese shakhss ko peetal kar deta hai

Poet:Wasi Shah

Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai

Sonay jese shakhss ko peetal kar deta hai

Mere ishq mein shayed koi kami hoi ho

Tera hussn to ab bhi paagal kar deta hai

Aesi lazzat kahin nahin milti, shayed wo

Apna pyaar bhi chaaye mein hall kar deta hai

Dil mera veeran hoa to hasrat kesi

Hijar ka zeher to daryaa ko thall kar deta hai

Mujh ziddi ko rab bhi raazi na kar paye

Lekin teri aankh ka kaajal kar deta hai

Tere lamss ka jado bhi kesa jado hai

Jiss ko chuu le us ko sandal kar deta hai

Tera chahra har chehre par chaa jata hai

Ye manzar har manzar aujhal kar deta hai

Aankh ke registaa'n ko teri yaad ka badal

Chuu jaye to pal mein jal'thall kar deta hai......!

Mein Tere Lab Pe Hon Daireena Shikayat Ki Tarah Yaad Rakha Hai Tu Ne Mujh Ko Adaawat Ki Tarah


Poet:Wasi Shah

Mein Tere Lab Pe Hon Daireena Shikayat Ki Tarah
Yaad Rakha Hai Tu Ne Mujh Ko Adaawat Ki Tarah

Chaand Niklay To Mera Jism Mehak Uthta Hai
Rooh Mein Utri Howi Taaza Muhabbat Ki Tarah

Teri Khatir To Koi Jaan Bhi Le Sakta Hon
Mein Ne Chaaha Hai Tujhe Gaon Ki Izzat Ki Tarah

Khul Rahi Hai Mere Daireena Masaail Ki Giraah
Mere Mahoul Mein Utra Hai Wo Barkat Ki Tarah

Ab Tere Hijr Mein Kuch Lutf Nahi Hai Baaqi
Ab Tujhe Yaad Bhi Kartay Hain To Aadat Ki Tarah

Tum Meri Pehli Mohabbat To Nahi Ho Laikin
Mein Ne Chaaha Hai Tumhain Pehli Muhabbat Ki Tarah

Wo Jo Aati Hai To Phir Laot Ke Jaati Hi Nahi
Tum Lipat Jao Kubhi Aisi Museebat Ki Tarah

Mere Dil Mein Koi Masoom Sa Bacha Hai "Wasi"
Jo Tujhe Sochta Rehta Hai Shararat Ki Tarah.........!


Teri aankhon ke haseen jaal mein aajaon ga main Mujh ko lagta hai teri chaal main aajaon ga main


Poet:Wasi Shah

Teri aankhon ke haseen jaal mein aajaon ga main

Mujh ko lagta hai teri chaal main aajaon ga main

Zindagi baad tere hona thi mushkil lekin

Yeh na socha ke is haal mein ajaon ga main

Dekh kar us ko mujhe yad kare gi dunya

Aik din us ke had-o-haal mein aajaon ga main

Kitne mausam they jo de kar mujhe taanay guzre

Tum to kehte they ke ik saal mein ajaon ga main

Sur mein ajaye ga jeevan tere aa jane se

Tere aaney se kisi taal mein aajaon ga main.......!


Choomna kya usey aankhon se lagana kesa Phool jo coat se gir jaye uthana kesa


Poet:Wasi Shah

Choomna kya usey aankhon se lagana kesa

Phool jo coat se gir jaye uthana kesa

Apne honton ki hararat se jagaao mujh ko

Yoon sadaaon se dam-e-subah jagana kesa.......!


Zar ki namoos ki rasmon se baghawat kar ke Kuch nahin paaye ga wo mujh se muhabbat kar ke

Poet:Wasi Shah

Zar ki namoos ki rasmon se baghawat kar ke

Kuch nahin paaye ga wo mujh se muhabbat kar ke

Baiy'n karti hoi aankhain, ye pareshan zulfain

Aur kya chahte ho us se muhabbat kar ke

Phool to phool hain zakhmon ke bhi nakhre hain yahan

Hum ne dekha hai buhat in ki ibadat kar ke

Yeh kisi jabr pe honton ko siyaa karte hain

Zulam karte hain wo zaalim ki himayat kar ke

Dil ke sehraao'n ki veeraaniya'n jati hi nahin

Teri yaadon ne bhi dekha yahan hijrat kar ke

Woh mere hijr ko bhi khail samajhta hai Wasi 

Laot jaye ga kisi roz sharaarat kar ke............!

Mere lehje mein jo aansoo se utar aye hain Kitne barson ke sitam aankh main dar aye hain

 

Poet:Wasi Shah

Mere lehje mein jo aansoo se utar aye hain

Kitne barson ke sitam aankh main dar aye hain

Tum gaye they to ye dehleez na dekhi thi kabhi

Aaj tum aaye to hum laot ke ghar aaye hain

Jaane tanbeeha ki dhamki ke basharat hai koi

Mere aangan mein jo tootay huye par aaye hain

Ab hamain khauf hai jeeney ka na mar mitne ka

Teri chokhat se jo aye hain to mar aye hain.......!


Mujhe us se muhabbat hai Magar kese kahoon us se


Poet:Wasi Shah

Mujhe us se muhabbat hai
Magar kese kahoon us se
Woh meri baat ko sanjeedgi se
kam hi leti hai
Har ik pal muskurana
Khilkhilaana
Doston par fikray qassna
Nit'naye masoom mansoobay banana
Shokh chanchal har gharri taaza shararat
main buhat masroof rehti hai

Magar ik aur hadsha bhi hai mujh ko
Main izhaar se
Iqraar se
khud rokay rakhta hon
Ke mehke khuwaab bun'ne, khelne ka waqt hai uska
Meri chahat
Kahin masoomiyat na cheen le uski

Sadaa se hum ne dekha hai
Muhabbat aadmi ko is qadar sanjeeda karti hai
Ke phir mehfil, tamashey, khel us ko bojh lagte hain
Main darta hoon
Kahin yeh bhol'pan us ka
Yeh har pal cheh'chihaana muskurana sab
Meri izhaar se sanjeedgi mein na badal jaye

Kahin us shokhh ko bhi rog koi
Chup chaap na lag jaye

Mujhe us se muhabbat hai

Magar kese kahoon us se.........!


Jab se yeh peghaam mila hai Jaana'n! tum aaney wali ho


Poet:Wasi Shah

Jab se yeh peghaam mila hai
Jaana'n! tum aaney wali ho
Mausam ne saarey ghar ki tarteeb badal kar rakh daali hai
Chokhat par ik chaand bhi aa kar beth geya hai
Keyi sitaare lounge mein kab se pare huye hain
Kehte hain ke
Is raste se tum guzro gi
Nanhe mune gulabon ka kehna hai
Jitne din tum pass raho gi
Ghar ke har konay mein aakar woh mehkain ge

Phoolon ne mil kar sab konay baant liye hain
Jugnu kab se chat pe, ghar ke
Har goshay mein chamak rahe hain
Soraj aur barish bhi kal se saaye'baan par tikkay huye hain
Dheemey dheemey chehek rahe hain
Shaam to kab se kayi tarah ke mausam le kar
Is kamrey mein ruki hui hai, Jis kamrey mein tum thehro gi
Tum aao ge to yeh shaam hazaron mausam
Sundar sundar sajji huyi ankhon ko de kar
Kho jayegi

Phir na kabhi wapis aaye gi

Is se pehle ke yeh shaam bhi

Saarey mausam lekar mujhko khaali karke kho jaye

Tum aajao naa'n

Aa bhi jao.......!


Pehli baar jab us ne meri maan ko ami jaan kaha to Mujh ko yu’n mehsoos hua

 

Poet:Wasi Shah

Pehli baar jab us ne meri maan ko ami jaan kaha to
Mujh ko yu’n mehsoos hua
Apna sab kuch chorr ke jese
Ik lamhe mein
Mera sab kuch us ne apna maan liya hai
Mujh ko sab kuch jaan liya hai........!

Ab jo lotay ho itne saalon mein Dhoop utri hui hai baalon mein


Poet:Wasi Shah

Ab jo lotay ho itne saalon mein
Dhoop utri hui hai baalon mein

Tum meri aankh ke samundar mein
Tum meri rooh ke ujaalon mein

Phool hi phool khill uthey mujh mein
Kon aaya mere khayalon mein

Mene jii bhar ke tujh ko dekh liya
Tujh ko uljhaa ke kuch sawaalon mein

Meri khushiyon ki kaayenat bhi tu
Tu hi dukh dard ke hawalon mein

Jab tera doston mein zikar aaye
Theess uthti hai dil ke chaalon mein

Tum se abaad hai ye tanhai
Tum hi roshan ho ghar ke jaalon mein

Saanwli shaam ki tarah hai woh
Woh na goron mein hai na kaalon mein

Kya usey yaad aa raha hon Wasi

Rang ubhrey hain us ke gaalon mein.......!


Hum se kya poochte ho hijar mein kya karte hain Tere laut aaney ki din raat dua karte hain

 

Poet:Wasi Shah

Hum se kya poochte ho hijar mein kya karte hain
Tere laut aaney ki din raat dua karte hain

Ab koi hont nahin in ko churaaney ate
Meri aankhon mein agar ashk hoa karte hain

Teri tu jane, par aye jane-tamana hum to
Saans ke saath tujhe yaad kiya karte hain

Tu hi pehlu mein nahin warna december mein wahin
Dhoop mein akhbaar parha karte hain

Kabhi yaadon mein tujhe baahon mein bhar lete hain
Kabhi khuwaboon mein tujhe choom liya karte hain

Teri tasveer laga lete hain hum seeney se
Phir tere khat se teri baat kiya karte hain

Gar tujhe chorrne ki soch bhi aaye dil mein

Hum to khud ko bhi wahin chor'r diya karte hain.........!


Ashk girte rahe, dhol bajta raha Log marte rahe, dhol bajta raha


Poet:Wasi Shah

Ashk girte rahe, dhol bajta raha
Log marte rahe, dhol bajta raha

Ronqain lag gayin, roshni barh gayi
Khuwaab jalte rahe, dhol bajta raha

Kitne lachaar they, kitne be-bas they hum
Hath milte rahe, dhol bajta raha

Raqss they maseeha mere dam-be’dum

Dil tarrapte rahe, dhol bajta raha.........!


Charha Howa Tha Jo Darya Utar Gaya Kab Ka Tumhara Chaahnay Wala To Mar Gaya Kab Ka

 

Poet:Wasi Shah

Charha Howa Tha Jo Darya Utar Gaya Kab Ka
Tumhara Chaahnay Wala To Mar Gaya Kab Ka

Na Meri Rooh Meri Hai Na Mera Jism Mera
Tera Wajood To Mujh Mein Utar Gaya Kab Ka

Wo Ik Shakhs Jo Sab Ko Sambhaalay Rakhta Tha
Tumhain Khabar Hi Nahi Hai Bikhar Gaya Kab Ka

Tu Jis Ke Waadon Ko Dil Se Lagaye Baitha Hai
Wo Apni Baat Se Pyaaray Mukar Gaya Kab Ka

"Wasi" Mein Ishq Mein Ro Bhi Chuka Hon Mar Bhi Choka Hon
Hudood-e-Jism Se Mein To Guzar Gaya Kab Ka........!


Gali Main Dard Ke Purzay Talash Karti Thi Mere Khatoot Ke Tukray Talaash Karti Thi

 

Poet:Wasi Shah

Gali Main Dard Ke Purzay Talash Karti Thi
Mere Khatoot Ke Tukray Talaash Karti Thi

Kahan Gayi Wo Kunwari, Udaas Bee Aapa?
Jo Gaon Gaon Mein Rishtay Talaash Karti Thi

Bhulaye Kon Aziyat Pasandiyan Uski
Khushi Ke Dhair Main Sadmay Talaash Karti Thi

Ajeeb Hijar Parasti Thi Uski Fitrat Main
Shajar Ke Toot'tay Pat'tay Talaash Karti Thi

Qiyaam Karti Thi Wo Mujh Main Soofiyon Ki Tarha
Udaas Rooh Ke Goshay Talaash Karti Thi

Tamaam Raat Wo Parday Hata Ke Chaand Ke Saath
Jo Kho Gaye Thay Wo Lamhay Talaash Karti Thi

Kuch Is Liye Bhi Mere Ghar Se Us Ko Thi Wehshat
Yahan Bhi Apne Hi Pyaaray Talaash Karti Thi

Ghuma Phira Ke Judai Ki Baat Karti Thi
Hamesha Hijar Ke Harbe Talaash Karti Thi

Tamam Raat Wo Zakhm Ke Apni Pooron Ko
Mere Wajood Ke Raizay Talaash Karti Thi

Duaein Karti Thi Ujrre Huway Mazaron Par
Baray Ajeeb Sahaaray Talaash Karti Thi

Mujhe to Aaj Bataya Hai Baadlon Ne "Wasi"
Wo Laut Aanay Ke Raastay Talaash Karti Thi........!


Ab koi yaar hai na baili hai Zindagi dard ki saheli hai


Poet:Wasi Shah

Ab koi yaar hai na baili hai

Zindagi dard ki saheli hai

Uthne joga nahin hai tere baad

Dil ne takleef aesi jhaili hai

Sham se is liye muhabbat hai

Teri yadon ke saath kheli hai

Muztarib kiyon na hon shab-e-hijran

Dard ki gaud mein akeli hai

Koi batlaye khuwaab ka mafhoom

Raat hai, saamp hai, chambeli hai

In lakeeron mein tu nahin to Wasi

Kitni veeran ye hatheli hai.......!

 

Jub Bhi Wo Shakhs "Wasi" Mujh Se Khafa Ho Jaye Ik Sunami Mere Seenay Mein Bapaa Ho Jaye

 

Poet:Wasi Shah

Jub Bhi Wo Shakhs "Wasi" Mujh Se Khafa Ho Jaye
Ik Sunami Mere Seenay Mein Bapaa Ho Jaye

Dil Mein Phir Kuch Bhi Nahi Hoga Khalaon Ke Siwa
TU Kisi Roz Agar Mujh Se Judaa Ho Jaye

Wo Bohat Rakhta Hai Chaahat Ki Namazon Ka Hisaab
Wo Tou Ik Sajda Na Bakhshay Jo Qazaa Ho Jaye

Thapkian De Ke Sulaati Hai Teri Yaad Hamain
Neend Jis Raat Bhi Aankhon Se Khafaa Ho Jaye

Ye Tareeqa Hai Muhabbat Ki Ibaadat Ka "Wasi"
Us Ko Chhuu Lenay Se Ik Rukun Adaa Ho Jaye......!


Main kahin bhi kisi nagar mein raha Tere asaib ke asar mein raha

 

Poet:Wasi Shah

Main kahin bhi kisi nagar mein raha

Tere asaib ke asar mein raha

Woh bhi paagal hua juda ho kar

Umar bhar mein phir bhi safar mein raha

Aik jadugari to thi tujh me

Mein bhi kuch din tere asar mein raha

Bheegta doobta raha dil mein

Tera chehra meri nazar mein raha

Pesh-kash maan li zamane ne

Aur ek mein Agar magar mein raha.........!


Jo bhi deewar hai raste main giraa ke ro lain Aao ik doojay ko seene se laga ke ro lain

 

Poet:Wasi Shah

Jo bhi deewar hai raste main giraa ke ro lain

Aao ik doojay ko seene se laga ke ro lain

Saamne tu hai to hum dil mein bhi ro sakte hain

Yun karain hum tujhe baaton mein laga kar ro lain

Tere aaney se yeh naraaz raha karte hain

Jee mein hai aaj har ik gham ko manaa kar ro lain......!


Jo apni umar se aagey nikal rahi ho tum Tumhain khabar hai jawani mein dhal rahi ho tum

 

Poet:Wasi Shah

Jo apni umar se aagey nikal rahi ho tum
Tumhain khabar hai jawani mein dhal rahi ho tum

Kabhi tumhe bhi to daawa tha sard-mehri ka
Kisi ke lamss ko paa kar pighal rahi ho tum

Batao kyon nahin roka tha jaane waley ko
Ab aik umar se kyon hath mall rahi ho tum

Jo waaldain ne tum se kaha woh maan liya
Ab apni aag mein chup chaap jal rahi ho tum

Hamare dil ka khilona tumhi ne torra hai
Ab isi khilone ki khatir machal rahi ho tum

Tumhe gumaa’n hai ke mein janta nahin kuch bhi

Mujhe khabar hai ke rasta badal rahi ho tum..........!


Kese Aaye Ga Tere Khad-O-Khaal Ka Muasam ? Qismat Mein Likha Hai Jab Zawal Ka Muasam


Poetess: Noshi Gilani

Type

By

*_FAROOQI.54_*

 

Kese Aaye Ga Tere Khad-O-Khaal Ka Muasam ?

Qismat Mein Likha Hai Jab Zawal Ka Muasam,

Kis Ne Khel Khela Hai ?
Kis Ne Hijar Jheela Hai ?

Ab Guzar Gaya Janaa'n,
Is Sawal Ka Muasam,

Kis Tarah Se Mumkin Tha Ik Shakh Par Khilte,

Mein Keh Hijar Ka Lamha,
Too Visal Ka Muasam,

Dil Keh Ab To Sehra Hai,
Aur Aise Sehra Mein,

Jane Kab Talak Thehre Ab Malaal Ka Muasam,

Aaj Tak Bhi Thehra Hai Dil Ki Reh-Guzaaron Par,

Tere Lams Ka Tere Khad-O-Khaal Ka Muasam,

Hum Kabhi To Dekhein Ge Wehshton K Sehra Mein,

Ay KHUDA Mohabbat K Aetdaal Ka Muasam.........................*


Kaisa maftoh sa manzar hai kai sadiyon se Mere qadmon pe mera sir hai kai sadiyon se


Poet:Wasi Shah

Kaisa maftoh sa manzar hai kai sadiyon se

Mere qadmon pe mera sir hai kai sadiyon se

Khof rehta hai na seelab kahen le jae

Meri plkon pe tera ghar hai kai sadiyon se

Uss k pani mein bhi pehle sa wo thehrao nahin

To bhi bechain sumandar hai kai sadiyon se

Ashak ankhon mein solagte hoe so jate hain

Ye meri ankh jo banjhar hai kai sadiyon se

Kon kehta hai mulaqat meri ajj ki hai

Too meri rooh k andar hai kai sadiyon se

Ye mujhe sans bhi khol kar nahin laine daita

Meri shah raag pe jo khanjar hai kai sadiyon se

Ay meri maa main har ikk dhop se lar sakta hon

Mere sir par teri chadar hai kai sadiyon se

Main ne jis k lie har shakhs ko naraz kia

Roth jae na yahi dar hai kai sadiyon se

Usski adat hai jharhen katate rehne ki WASI

Jo meri zaat ka mehwar hai kai sadiyon se


Pa barhna aur mere Charon taraf tanhaiyaan Chon raha hon teri yaadon ki solagti kirchiyaan

Poet:Wasi Shah

Pa barhna aur mere Charon taraf tanhaiyaan
Chon raha hon teri yaadon ki solagti kirchiyaan

Kia kahein tarak-e-ta'aluq ka irada to nahin
Yaad jo karne lage ho tum purani talkhiyaan

Aah! Wo mousam wo heele aur kinara nehar ka
Yaad ati hain mujhe campus ki sari shokhiyaan

Kia kisi wehshat zada mousam ka tum ko khof hai
Kiss liye khamosh ho kholo na dil ki khirkiyaan

Mein use shohrat k baam-o-dar pe pohuchane k bad
Apne daman mein chopa le jaon ga ruswaiyaan

Apni barbadi ka mein ja kar kise ilzam don
Apne haathon se daboen mene apni kashtiyaan

Jeet to jata hon phir bhi dukh sa rehta hai mujhe
Kab talak us se mein khelon ga shikasta baziyaan

Boliyaan lagati hain ab bhi khoshiyon k sheher me
Ajj bhi bazar me bikti hain nazak titliyaan

Lijiye iss dil Ka phir mah-e-Moharam aa gaya
Matamon ka shor hai aur chal rahi hain barchiyaan

Yaad hai mujh ko December mein judai ki wo raat
Chaand ki kirnain lahoo mein ban gaen changariyaan

Hijar k sahil pe kiss k muntazir baithe ho tum
Iss sumandar se bhala kab lot'ti hain kashtiyaan

Phir kasila zaiqa mousam ka iss dil ko laga
Phir se ankhon mein utar ayen purani talkhiyaan

Kon jane kiss se badla le raha hon mein WASI
Aik moddat se ragon mein paal kar veeraniyaan...........!

 

Ay mere chaand ki aghosh se ubhre hoe chaand Tere ane se meri shokh ki sab muskanen


Poet:Wasi Shah

Ay mere chaand ki aghosh se ubhre hoe chaand
Tere ane se meri shokh ki sab muskanen

Us k morjhayi hoe chehre pe loat ai hain
To ne hi us k solagte hoe sub zakhmon par

 Apna nazak sa mehkata hoa marham rakha
Goya sehraon me barsat ka mosam rakha

Waqat ki andhi ne ikk phool mere angan ka
Gulshan ghair k zindan me la phenka tha

Me k jogno tha chine mujh se hawale mere
Kho gae jane kahan saare ojhale mere

Wo k titli thi sabhi rangon se mehrom hoi
Hijar k dard mein din raat wo Maghmom hoi

Bikhri bikhri si wo rehti thi meri sochon mein
Tere ane se meri shokh ne khoshiyan paen

To jo hansta hai tujhe daikh k jii uthti hai
To jo rota hai to gabra k bikhar jati hai

Mujh se wabasta jo karti thi maqadar apna
Ab samajhati hai faqat tujh ko sikandar apna

Ab teri zaat se mansoob hain sansain us ki
Aur khilati hain tere qurab me banhin us ki

Ay mere chaand ki aghosh mein khilte hoe chaand
To ne mujh par ajab ehsan kia hai piyaare

Ab tere qurab mein wo mujh ko bhala to de gi
Hijar k jalte hoe deep bajha to de gi.............!


Dhoaen ki lehar pe tasveer raqas karti rahi Wo cigaraton k tasalsal me yaad ata raha


Poet:Wasi Shah

Dhoaen ki lehar pe tasveer raqas karti rahi
Wo cigaraton k tasalsal me yaad ata raha............!

 

Ye kab kaha tha nazron se khof ata hai Mujhe to chaand sitaron se khof ata hai


Poet:Wasi Shah

Ye kab kaha tha nazron se khof ata hai
Mujhe to chaand sitaron se khof ata hai

Mein doshmano k kisi war se nahin darta
Mujhe to apne hi yaaron se khof ata hai

Ghazan ka jabar to sene pe rook laite hain
Humen udas baharon se khof ata hai

Mile hain doston besakhiyon se gham itne
Mere badan ko saharon se khof ata hai

Me iltafat ki khandak se dor rehta hon
Ta'aloqaat k gharon se khof ata hai.........!


Mujh ko bhi khof-e-tarak-e-ta'aloq ne aa lia Wo bhi isi khayaal se aoron ki ho gai


Poet:Wasi Shah

Mujh ko bhi khof-e-tarak-e-ta'aloq ne aa lia
Wo bhi isi khayaal se aoron ki ho gai

Pehle to us k haath ki mashaal bhojhi WASI
Phir youn hoa kahein meri taqdeer kho gai.......!


Me hon tera khayaal hai aur chaand raat hai Dil dard se nidhaal hai aur chaand raat hai

 

Poet:Wasi Shah

Me hon tera khayaal hai aur chaand raat hai
Dil dard se nidhaal hai aur chaand raat hai

Ankhon me chob gaen teri yadon ki kirchiyan
Kandhon pe gham ki shaal hai aur chaand raat hai

Dil toor k khamosh nizaron ka kia mila?
Shabnam ka ye sawaal hai aur chaand raat hai

Phir titliayan si orane lagen dashat khawab me
Phir khawaish-e-wasaal hai aur chaand raat hai

Campas ki nehar par hai tera haath haath me
Mosam bhi lazawaal hai aur chaand raat hai

Har ikk kali ne orah lia matami libas
Har phol par malaal hai aur chaand raat hai

Meri to por por me khoshbo si bus gai
Us par tera khayaal hai aur chaand raat hai

Chalka sa parh raha hai WASI wehshaton ka rang
Har cheez pe zawaal hai aur chaand raat hai.............!


Ajj wo modat bad aii thi Buss ye kehne Janna

 

Poet:Wasi Shah

Aaj wo modat bad aii thi
Buss ye kehne
Janna.....
Mere sare khat lota do
Sab tasveeren qalam kitaben
Wapis kar do saare tohfe
Mujh se sub kuch mangane wali
Jate jate
Mere kamare ki chokhat par
Chor gai hai
"APANA APP"

Mein janta hon k ab chaton par Diye jalane ki rasam baki nahin rahi hai


Poet:Wasi Shah

Mein janta hon k ab chaton par
Diye jalane ki rasam baki nahin rahi hai
Magar tumhen meri yaad aye
To yaad rakho

Tum apni aankhon se

Ansooun k chamakate moti na giarane daina

Bus itna karna

K apni chat par

Meri muhabbat ki nazam gaa kar

Meri rafaqat ko yaad kar k

Diya jalana

Tum apni chat par kisi bhi kone mein baith kar

Ikk diya jalana.......!


Gul-e-zuban pe wohi sardiyon ka mousam hai Tumhari "han"pe wohi sardiyon ka mousam hai

 

Poet:Wasi Shah

Gul-e-zuban pe wohi sardiyon ka mousam hai
Tumhari "han"pe wohi sardiyon ka mousam hai

Darakhat par jo kabhi choriyon se dala tha
Us ikk nishan pe wohi sardiyon ka mousam hai

Ye aik hum k nai boliyan sada bolain
Teri zuban pe wohi sardiyon ka mousam hai

Sulag rahi hain dahan mein qabaen lafzon ki
Magar zuban pe wohi sardiyon ka mousam hai

Tumhare ane pe soraj k haath chamken ge
Mere makan pe wohi sardiyon ka mousam hai

Har aik simat pigalane lage hain san'nate
Tere biyan pe wohi sardiyon ka mousam hai

Jahan jahan teri khoshboo k rang bikhare hain
Wahan wahan pe wohi sardiyon ka mousam hai

Teri judai k pal se howa hai ishaq hanok
K iss jahan pe wohi sardiyon ka mousam hai

Wo "han" kare gi baharon mein us ka wada tha
Us aik "han" pe wohi sardiyon ka mousam hai

Wo mujh ko sonmp gaya farqaten december ki
Darakhat-e-jaan pe wohi sardiyon ka mousam hai

Hamare lab to duaen jalae rakhate hain
Par asman pe wohi sardiyon ka mousam hai..........!


Jab raat ki nagan dasti hai Nas nas mein zehar utarta hai


Poet:Wasi Shah

Jab raat ki nagan dasti hai
Nas nas mein zehar utarta hai

Jab chand ki kirnain tezi se
Uss dil ko cheer k ati hain

Jab aankh k andar hi ansoo
Zanjeron mein bhand jate hain

Sab jazbon par cha jate hain
Tab yaad buhat tum ate ho

Jab dard ki bhanjar bajati hai
Jab raqas ghamon ka hota hai

Khuwabon ki taal pe saare dukh
Wehshat k saaz bajate hain

Gate hain khuwahish ki le me
Masti mein jhomte jate hain

Sab jazbon par cha jate hain
Tab yaad buhat tum ate ho
Tab yaad buhat tum ate ho


Teri Yaad

 

Poet:Wasi Shah

Raat ka pichla pehar hai
Matami malboos urahe
Dard ki un wadiyon se
Wehshaton k raste se
Lar-kharati
Dagamati
Baal khole
Bain karti
Chandani ko saath le kar
Meri janab chal pari hai
Aa rahi hai
Teri yaad........!


Dekhein janno app is bar Jaldi jaldi khat likhiye ga


Poet:Wasi Shah

Dekhein janno app is bar
Jaldi jaldi khat likhiye ga
Warna.........Warna........
Warna mein kia kar sakti hon?
Ro long gi bus..........
Ab se kitane mousam piche
Mein us k khat par roya tha
Shaid pura hafta meri aankh mein lali rachi rahi thi
Aur ab itne barson bad
Aj purane dard kanghale
Pichale kitne ghanton se
Apni us nadani par mein
Reh reh kar hans parta hon
Lakin door kahein aankhon mein
Anjana sa ansoo ab bhi
Uthta hai aur dab jata hai
Chup jata hai
Jaise kitne mousam piche
Shaid pura hafta meri aankh mein lali rachi rahi thi..........!


Jab main ghar se nikal raha tha Chaltey chaltey Mery senny sey hatatey pal

Poet:Wasi Shah

Jab main ghar se nikal raha tha
Chaltey chaltey
Mery senny sey hatatey pal
Dherey se ikk sarghoshi main
Us ney kaha tha
Dekhain chahy kuch bhi ho jae
Roz Mujhy RING ki jiye ga
Phir jab us ke haath aur nazrain
Dono meri tie par thin
Kehne lagi
Aap nahin hotey hain to bilkul khali ho jati hon
Chor nahi sakty ye BUSINESS?
Aap mujhy kion tarpate Hain?
Acha daikhen yon karte hain
Aik din khat aur aik din phone
Main ne us ko Boosa de kar
Us se kaha Tha
Ab k chahy kuch ho jae
Khat likhon ga phone karon ga
Haye! lekin khod sar fitrat
Aur kuch karobar k jhunjhat
Na to us ko phone kia tha
Aur na hi koi khat likh paea
Na koi MESSAGE na hi card
Ab jo ghar ko laut raha hon
Soch raha hon
Tanhai k ye do hafatey
Us par Sadiyon jaise hon ge
Lekin ye bhi janta hey dil
Us ko be-hadd shikwe hon ge
Tararpati ho gi
Chup kar takiye main raaton ko roi ho gi
Khafa khafa si
Lekin ghar main dakhil ho kar
Jab main us ke Mathe par ikk bosa don ga
Un honton par hont rakhon ga
Aur kahon ga
"Yar mujhe tum yaad ayi Thin
Lamhy lamhy main soo baar"
Bus itna hi kehna ho ga
Aur wo Pagli
Apna sab kuch sonp kar mujh ko
Mere seene lag jae gi
Phir jab us k haath aur nazrain
Dono mere seene K baalon par hon ge
Woh seena jo un ashkon se bheega ho ga
Sargoshi main mujhse kahe gi
Aap bhaley ab kuch bhi kar lain
Hargiz ab na janey don gi
Sachi aap to buhat bure hain
Buhat bure hain
Hain na BHONGOO.............!

Sochta hon k use nend bhi aati ho gi Ya meri tarah faqat ashak bahati ho gi


Poet:Wasi Shah

Sochta hon k use nend bhi aati ho gi
Ya meri tarah faqat ashak bahati ho gi

Wohi meri shakal mera naam bholany wali
Apni tasveer se kia aankh milati ho gi

Is zameen pr bhi hai seelaab meray ashkon se
Meray matam ki sada aarsh helati ho gi

Shaam hote hi wo chokhat pe jala kar shamain
Apni palkon pe kai khuwaab sulati ho gi

Us ne silwa bhi liye hon ge siya rang libas
Ab Moharram ki tarah Eid manati ho gi

Hoti ho gi mere bhosy ki talab main pagal
Jab bhi zulfon main koi phool sajati Ho gi

Mere tareek zamanon se nikalne wali
Roshni tujh ko meri yaad dilati ho gi

Dil ki masoom ragain khud hi sulagti ho gi
Jonhi tasveer ka kona wo jalati ho gi

Roop de kar mujhe us main kisi shehzade ka
Apne bachon ko kahani wo sunati ho gi.........!


Kitni zulfain khulin kitne anchal urhey chand ko kia khabar Kitna matam hoa kitne aansoo beahay chand ko kia khabar


Poet:Wasi Shah

Kitni zulfain khulin kitne anchal urhey chand ko kia khabar
Kitna matam hoa kitne aansoo beahay chand ko kia khabar

Modaton us ki khawahish main chaltay rehay haath ata nahin
Cha main us ki paron main hain abley chand ko kia khabar

Wo jo nikla nahin to batakte rahe hain mosafar kai
Aur lotate rahe hain kai qafile chand ko kia khabar

Wo to apni hi nagri main madhosh hai kab se khamosh hai
Kon raja bana kitne Syed lote chand ko kia khabar

Us ko dawa bubat methe pan ka WASI chandni se kaho
Us ki kirnon se kitne hi ghar jal gae chand ko kia khabar.......!


Mujh ko maloom hai tum badal jao ge ja k pardes main Chahaton ki hadon se nikal jao ge ja ke pardes main


Poet:Wasi Shah

Mujh ko maloom hai tum badal jao ge ja k pardes main
Chahaton ki hadon se nikal jao ge ja ke pardes main

Rakh ho jae gi qarbaton main mehakti hoi zindagi
Hijar ki agg main pigal jao ge ja ke pardes main

Sab ko bholo ge par apne bachon ki jab tum ko yaad ae gi
Khod bhi bachon ki sorat machal jao ge ja ke pardes main

Apni pehchan ko khawahishon k samandar mein gir kar kho dia
Dastanon mein phr tum bhi dhal jao ge ja ke pardes main

Ain mumkin hai jab tum wahan jao to aur barah jaen dukh
Kis ne tum se kaha hai behal jao ge ja ke pardes main

Ye bata don tumhen sardiyan agg barsaen gin us jaga
Soch lo abb bhi tum warna jaal jao ge ja ke pardes main

Tum pe yon haath dalen gin tanhaiyan aik waqt ae ga
Koi ahhat bhi ho gi dhahal jao ge ja ke pardes main..........!

 

Kal ajjab saneha sa hoa rait par Naam tera na likh saka rait par


Poet:Wasi Shah

Kal ajjab saneha sa hoa rait par
Naam tera na likh saka rait par

Kis ki awaz se tham gae hain qadam
Phir se kiss ne mujhe di sadaa rait par

Us ki ankhon se sholey nikalte rahe
Nachti reh gai kal ghata rait par

To ne jo bhi hawa se kaha reh gaya
Mit gaya main ne jo bhi likha rait par

Main tumhen chomana chahta hon abhi
Uss ne mujh se ye ikk din kaha rait par

Abb ye sehra hi tere muqaddar mein hain
To ne mangi hi kion thi dua rait par

Aik shola utha us jaga se WASI
Mera aansoo jahan gir gea rait par.........!


Meri wafa ne khilaye the jo gulaab Saare jholas gae hain Tumhari ankhon mai jis qadar the wo khuwaab saare jhulas gae hain


Poet:Wasi Shah

Meri wafa ne khilaye the jo gulaab Saare jholas gae hain
Tumhari ankhon mai jis qadar the wo khuwaab saare jhulas gae hain

Meri zameen ko Kisi nae haadse ka hai inatizar shayed
Gunah phalane lage hain ajar-o-sawaab saare jhulas gae hain

Jo tum gae to meri nazar pe haqeqaton k aazab utre
Ye sochta hon k Kia karon ga saraab saare jhulas gae hain

Ye mojaza sirf ikk shab ki musafaton ke sabab hua hai
Tumhare aur mere darmiyan ke hijaab saare jhulas gae hain

Use batana K us ki yadon k saare safahe jala chuka hon
Kitaab-e-dil mai raqam the jitne wo baab saare Jhulas gae hain

Nazar uthaon main jis taraf bhi muheb saye hain zulmaton k
Ye kia K mere naseeb k mahtaab saare jhulas gae hain

Tumhari nazron ki ye tapish hai k mere lafzon pe aabley hain
Sawaal saare jhulas gae hain jawaab saare jhulas gae hain

Ye agg khamoshiyon ki kaisi tumhari aankhon main tairti hai
Tumhare honton pe daraj the jo nisaab saare jhulas gae hain.........!


Hazaron dukh paren sehnna muhabbat mar nahin sakti Hai tum se bus yahi kahna muhabbat mar nahin sakti

 

Poet:Wasi Shah

Hazaron dukh paren sehnna muhabbat mar nahin sakti

Hai tum se bus yahi kahna muhabbat mar nahin sakti

Tera har bar mere khat ko parhna aur ro dena

Mera har bar likh dena muhabbat mar nahin sakti

Kiya tha hum ne campus ki nadi par ikk haseen waada

Bhale hum ko parre marna muhabbat mar nahin sakti

Jahan main jab talak panchi chahaktay urhtay phiraty hain

Hai jab tak phool ka khilna muhabbat mar nahin sakti

Purane ahhad ko jab zinda karne ka khayal aaye

Mujhe bus itna likh dena muhabbat mar nahin sakti

Wo tera hijar ki shab main fone rakhny se zara pehle

Buhat rotey hue kahna muhabbat mar nahin sakti

Agar hum hasraton ki qabar main hi dafan ho jayen

To yeh qutbon pe likh dena muhabbat mar nahin sakti

Purane rabton ko phir naye waade ki khawahish hai

Zara ikk baar to kehna muhabbat mar nahin sakti

Gaye lamhaat fursat ke kahan se dhoond kar laon

Wo pehron haath par likhna muhabbat mar nahin sakti...........!

 

Tamam shaher mein ab to hai raaj kanton ka Mujhe qabool nahin ye samaj kanton ka

 

Poet:Wasi Shah

Tamam shaher mein ab to hai raaj kanton ka
Mujhe qabool nahin ye samaj kanton ka

Chalo k kuch to tasali hoi mere dil ko
Isi mein khosh hon k paya kheraj kanton ka

Hamare phool se chehron ko nochane walo
Kabhi to tum pe bhi otar-e-anaj kanton ka

Sambhal sakte nahin hum ye gham ki jageren
Utaar lijiye sir se ye taaj kanton ka

Ye aur baat k gull ki tarah mehakte rahe
Wagarna rakhte the hum bhi mizaj kanton ka

Buhat ajeeb se lehje mein baat karta hai
Hai ajj phool mein kuch imtazaj kanton ka.........!


Meri ankhon k samandar mein jalan kaisi hai Ajj phir dil ko tarapane ki lagan kaisi hai

 

Poet:Wasi Shah

Meri ankhon k samandar mein jalan kaisi hai

Ajj phir dil ko tarapane ki lagan kaisi hai

Ab kisi chat pe charaghon ki qataren bhi nahin

Ab tere sheher ki galiyon me ghathan kaisi hai

Baraf k roop mein dhal jaen ge saare rishate

Mujh se pocho k mohabbat ki agan kaisi hai

Mein tere wasal ki khuwahish ko na marane don ga

Mosam-e-hijar k lehje mein thakan kaisi hai

Regazaron mein jo banti rahi kanton ki rida

Uss ki majboor si ankhon mein kiran kaisi hai

Mujhe masoom si larki pe taras ata hai

Isi daikho to mohabbat mein magan kaisi hai.........!


Andheri raat mein rehate to kitna acha tha Hum apni zaat mein rehte to kitna acha tha


Poet:Wasi Shah

Andheri raat mein rehte to kitna acha tha

Hum apni zaat mein rehte to kitna acha tha

Dokhon ne ban'nt lia hai tumhare bad humhein

Tumhare haath mein rehte to kitna acha tha.........!

 

Jab tumhari aankh ho gehre sumandar ki tarah Kion na lagata ho samandar dida-e-tar ki tarah


Poet:Wasi Shah

Jab tumhari aankh ho gehre sumandar ki tarah
Kion na lagata ho samandar dida-e-tar ki tarah

Iss lie roshan kia hai tere chehre ka charagh
Dopahar tarekh hai mere maqadar ki tarah

Nashna sa jis ki diwaren hain dar bhi ajnabi
Wo mila tha mujh ko hamesha ik nae ghar ki tarah.........!


Teri janib agar chale hote Hum na yon dar-badar hoe hote

 

Poet:Wasi Shah

Teri janib agar chale hote
Hum na yon dar-badar hoe hote

Sari duniya hai meri muthi main
Kon ae ga ab tere hote

Aur ab kiyon nahin nibhate tum
Itne wade nahin kiye hote

Paa liya mein ne sari duniya ko
Koi khuwahish nahin tere hote

Us ki ankhon main baar panne ko
Kash hum khuwab ban gae hote........!


Dayar-e-gair me kaise tujhe sada daite Tu mil bhi jata to akhir tujhe ganwa daite

 

Poet:Wasi Shah

Dayar-e-gair me kaise tujhe sada daite
Tu mil bhi jata to akhir tujhe ganwa daite

Tumhin ne ham ko sunaiya na apna dukh warna
Dua wo karte k ham asman hila daite

Hamein ye zoom raha ab k wo pukaren ge
Unhen ye zid thi k har bar ham sada daite

Wo tera gham tha k taseer mere lahje ki
K jis ko hal sunate use rula daite

Tumhen bholna hi awwal to dastaras me nahin
Jo ikhtiyar bhi hota to kia bhula daite?

Hum apne bachon se kaise kahen k ye ghoriya
Hamare bus me joo hoti to hum dila daite

Tumhari yad ne koi jawab hi na dia
Mere khayal k aansu rahe sada daite

Samaton ko me ta-umer kosata Syed
Wo kuch na kahte magar honth to hila daite......!


Bhanwar ki goud mein jaise kinara saath rehta hai Kuch aise hi tumhara aur hamara saath rehta hai

 

Poet:Wasi Shah

Bhanwar ki goud mein jaise kinara saath rehta hai
Kuch aise hi tumhara aur hamara saath rehta hai

Muhabbat ho k nafarat ho usi se mashwara ho ga
Meri har kafiyat mein istekhara saath rehta hai

Safar mein ain mumkin hai main khod ko chor don lekin
Duaen karne walon ka sahara saath rehta hai

Mere mola ne mujh ko chahaton ki saltanat de di
Magar pehli muhabbat ka khasara saath rehta hai

Agar syed mere lab par muhabbat hi muhabbat hai
To phir yeh kis liye nafarat ka dhahara saath rehta hai......!


Aaj yon mosam ne di jashn-e-mohabbat ki khabar Phot kar rone lage hain main mohabbat aur tum

 

Poet:Wasi Shah

Aaj yon mosam ne di jashn-e-mohabbat ki khabar
Phot kar rone lage hain main mohabbat aur tum

Hum ne jonhi kar liya mehsus manzil hai qareeb
Raste khone lagate hain main mohabbat aur tum

Chaand ki kirnon ne hum ko is tarah bosa dia
Devta hone lage hain main mohabbat aur tum

Dhar gea ilzam jab se apni hurmat par koi
Barshen dhone lage hain main mohabbat aur tum

Aaj phir mehromiyon ki dastanen orh kar
Khak main sone lage hain main mohabbat aur tum

Kho gae andaz bhi awaz bhi ilfaz bhi
Khamashi dhone lage hain main mohabbat aur tum.......!


Tumhen janna ijazat hai Keh in tareekh rahon par

 

Poet:Wasi Shah

Tumhen janna ijazat hai
Keh in tareekh rahon par
Thakan si khud me pao to
Andheron se kabhi dil dool jae
Thak si jao to
Mere jultey hoe lamhon
Mere kangal hathon se chora ke apny hathon ko
Fiza ki naghmagi se tum nae geet chun lena
Haseen palkon ki nokon per nae kuch khawab bun lena
Koi agar poch le mera to us se zikar mat karna
Mery jivan ki jalti dopahar se be gharaz ho ker
Tum apni chandni raton me jugno palti rehna
Meri tanhaiyon ki wehshaton ki fikar mat karna
Tumhein iski ijazat hai
Mere sub khat jala dena
Mere tohfon ko darya me baha dena
Tumhein bilkul ijazat hai
Keh jab chaho bhula dena
Muger itni guzarish hai
Agae aiisa na ho janna
To acha hai........!


Us k haathon se jo khoshbo-e-hina ati hai Aisa lagta hai k jannat se hawa ati hai

 

Poet:Wasi Shah

Us k haathon se jo khoshbo-e-hina ati hai
Aisa lagta hai k jannat se hawa ati hai

Chomne daar ko kis dhaj se chala hai koi
Aj kis naaz se maqtal mein qaza aati hai

Na kabhi koi kare tujh se tere jaisa salook
Haath uthtay hi yehi lab pe dua aati hai

Tere gham ko ye bar-hana nahin rehne deti
Meri ankhon pe jo ashkon ki rida aati hai

Us ke chehray ki tamazat bhi hai shamil is main
Aaj tapti hoi saavan ki ghata aati hai

Ghomnay jab bhi tere shehar mein jati hai wafa
Bain karti hui wapis wo sadaa aati hai

Hai wohi baat har ik lab pe bohat aam yahan
Hum se jo kehte hue un ko haya ati ha.........!


Qalam ho taigh ho taisha k dhaal mat cheno Kabhi kisi se kisi ka kamal mat cheno

 

Poet:Wasi Shah

Qalam ho taigh ho taisha k dhaal mat cheno
Kabhi kisi se kisi ka kamal mat cheno

Khushi isi mein agar hai to har khushi lay lo
Yeh dukh yeh dard yeh huzan o malal mat cheno

Isi khalish ke sabab phir muje obharna hai
Khuda ke wastay ahed-e-zawal mat cheno

Mein chor sakta nahin saath istiqamat ka
Meri aazaan se josh-e-Bilal mat cheno

Abhi kitab na cheno tum in ke haathon se
Hamare bachon ka hussan-o-jamal mat cheno

Hamari aankh mein yaadon ke zakham rehnay do
Hamare haath se phoolon ki dhaal mat cheno

Abi bhojao na Candle na cake kato abhi
Kuch aur dair mera pichla saal mat cheno.......!


Jab bhi raat ko ghar ata hon Apne darwaze pe dastak dete lamhe

 

Poet:Wasi Shah

Jab bhi raat ko ghar ata hon

Apne darwaze pe dastak dete lamhe

Aksar meri soch ye mujh se kahti hai

Aaj to darwaza khole gi

Mujh ko dekh ke muskaey gi

Mera matha chomay gi

Sharmayay gi....!

Ghar mein dakhil ho kar mein bhi koi shararat kar don ga

To Khud mein simat kar rah jay gi

Mein bhi kitna pagal hon na

Kia kia socha karta hon

Me bhi kitna pagal hoon na............!


Main tere hont k jiss till ko bahot chomta tha Ab wo khuwabon mein chamakata hai sitare ki tarah

 

Poet:Wasi Shah

Main tere hont k jiss till ko bahot chomta tha
Ab wo khuwabon mein chamakata hai sitare ki tarah......!


Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko Dard kya hota hai tanhai kesy kehtay hain

 

Poet:Wasi Shah

Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko
Dard kya hota hai tanhai kesy kehtay hain

Char su gunjti ruswai kisay kehtay hain
Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko

Koi lamha ho teri yaad mai kho jatay hain
Ab to khud ko bhi muyassar nahi aa patay hain

Raat ho din ho tere pyar mai hum behtay hain
Dard kya hota hai tanhai kesy kehtay hain

Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko
Woh jo ghum aye usay dil py saha karty thy

aik saath hum mil ker raha kartey thy
Ab akelay hi zamanay ke sitam sehty hain

Dard kya hota hai tanhai kesy kehty hain
Ab Jo bichray to ehsaas hua hai hum ko

Hum Ne khud apni raahon main bichaye kantay
Ghar main phoolon ki jagah la kar sajaye kantay

Zakham iss dil main basaye howe khud rehty hain
Yun toh duniya ki har cheez haseen hoti hai

Pyar sy magar kuch bhi nahi hoti hai
Rastah rok ky har aik say yehi kehty hain

Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko
Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain

Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain
Ab jo bichray to ehsaas hua hai hum ko.........!


Main Hans K Jhel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein Gale Jab Uske Lagta Hoon To Aankhen Bheeg Jaati Hain

 

Poet:Wasi Shah

Main Hans K Jhel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein
Gale Jab Uske Lagta Hoon To Aankhen Bheeg Jaati Hain.........!


Dosti Ka Dawa Krne Wale Kuch Aise Log Bhi Hein Wasi Jinhein Hum Azeez tou Hein Mgr Apni Masrofiat K Baad

 

Poet:Wasi Shah


Dosti Ka Dawa Krne Wale Kuch Aise Log Bhi Hein Wasi
Jinhein Hum Azeez tou Hein Mgr Apni Masrofiat K Baad........!


Kitni saada Kitni piyaari Kaanch ki choorhi jesi larhki


Poet:Wasi Shah


Kitni saada

Kitni piyaari

Kaanch ki choorhi jesi larhki

College k kamry mein bethi
Janay kya kuch soch rahi thi

Main bhe Oss k pas hi betha
Oss ko ghor se dekh raha tha

Kiya Qissa hai?
Main ne pocha?

Oss ki ankhein bheeg gaein
Dheemi si awaaz mein boli

Dekho?.?.?

"Chorhi toot gai"


Bohat Din Ho Gaye Shayad Sahara Kr Lia Us Ne Hmaray Baad B Akhir Guzara Kr Lia Us Ne

 

Poet:Wasi Shah


Bohat Din Ho Gaye Shayad Sahara Kr Lia Us Ne
Hmaray Baad B Akhir Guzara Kr Lia Us Ne

Hmara Zikr To Us K Labon Par aa Nahin Sakta
Hamen Ehsas Hy Hum Se Kinara Kr Lia Us Ne

Wo Basti Ghair Ki Basti Wo Koocha Ghair Ka Koocha
Suna Hy Ishq B Ab To Dobara Kr Lia Us Ne

Suna Hai Ghair Ki Bahon Ko Wo Apna Ghar Samajhta Hai
Lagta Hai Mera Ye Dukh Gawara Kr Lia Us Ne

Bhula Kr Pyar Ki Qasmen Wo Waday Torh Kr

"Wasi"

Kisi Ko Zindagi Se b Pyara Kr Lia Us Ne.......!


Jo meri ankhon se khawab dekho To ek bhi shab na so sako ge

 

Poet:Wasi Shah

Jo meri ankhon se khawab dekho
To ek bhi shab na so sako ge

Ke Laakh chaho na hans sako ge
Hazar chaho na ro sako ge

Ke Khawab kia hain azaab hain yeh
Mere dukhon ki kitaab hain yeh

Rafaqaten un ki choot-ti hain
Mohabbaten un ki rooth-ti hain

Panapti hain un main wehshaten si
Aziyaten un main phoot-ti hain

Inhi ke sar se khizaan hain jazbay
Inhi se shaakhen se toot-ti hain

Ghamon ki bandish main khawab mere
Dukhon ki barish main khawab mere

Ubal raha hai dukhon ka laawa
Zameen aatish hain khawab mere

Khayal saaray jhulas gaye hain
Sulagti khawahish hain khawab mere

Ukharti saansen hain zindagi ki
Lahu ki saazish hain khawab mere

Jo meri ankhon se khawab dekho
To ik shab bhi na so sako ge.........!


kabhi jo hum nahi hon gy kaho kis ko batao gy

 

Poet:Wasi Shah

kabhi jo hum nahi hon gy


kaho kis ko batao gy


wo apni uljahnain sari


wo becheni main dooby pal


wo ankhon main chupe ansoo


kise phir tum dikhao ye


kabhi jo hum nahi hon gy


bohat bechain ho gy tum


bohat tenha reh jao gy


abhi bhi tum nahi sumjhe


hamari unkahi batein


magar jab yaad aayen gy


bohat tum ko rulayen gy


bohat chaho gy phir bhi tum


humein na dhoond pao gy


kabhi jo hum nahi hon gy........!


Mein Yun Miloon Tujhse Ke Tera Libaas Ban Jaon Tujhe Bana Ke Samandar Aur Khud Pyaas Ban Jaon

 

Poet:Wasi Shah


Mein Yun Miloon Tujh se Ke Tera Libaas Ban Jaon


Tujhe Bana Ke Samandar Aur Khud Pyaas Ban Jaon

Aaj Pehloon Mein Mujhe Toot Ke Bikhar Jane Do


Kal Ko Shayad Mumkin Nahi Ke Mein Tum ko Paon


Tu Ban Jaye Lehar Aur Mein Sahil Ban Jaon


Ho Ishq Mera Sahil To Mein Roz Tujh se Takraon

Mein Yun Miloon Tujh se Ke Tera Libaas Ban Jaon

Tujhe Bana Ke Samandar Aur Khud Pyaas Ban Jaon.......!


Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do Har lamha mar ke aaj phir jee jaane do

 

Poet:Wasi Shah


Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do
Har lamha mar ke aaj phir jee jaane do

Isse mahobbat ne dil ko aaj phir dhadkaya hai

Mujhe ishq ki baaho mein so jaane do
Tadap ki aag hai judaai ki baahon mein

Mujhe aaj iss mohabbat se mil jaane do
Meri saans chalti hai tere naam ki aahat pe

Mujh benaam ko iss naam mein kho jaane do

Kasam tujhe chalne wali hawaon ki mehboob

Mujhe iss mohabbat ki aag mein jal jaane do.........!


Jane kis cheez ki wo mujhko saza deta hai meri hansti huyi aankhon ko rula deta hai

 

Poet:Wasi Shah


Jane kis cheez ki wo mujhko saza deta hai
meri hansti huyi aankhon ko rula deta hai

Kis tarah baat likhon dil ki usse, wo aksar
doston ko mere khat padh ke suna deta hai

Saamne rakh ke nigahon ke wo tasveer meri
apne kamre ke charaghon ko bhuja deta hai

Muddaton se to khabar bhi nahi bheji usne

uski aadat hai wo apno ko bhula deta hai.......!


Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo