Qurb K Na Wafa K Hote Hain,Saare Jhagre Anaa K Hote Hain






Taraash Kar Mere Bazoo Urraan Chhorr Gaya



Poetess Parveen Shakir

 

Taraash Kar Mere
Bazoo Urraan Chhorr
Gaya,

Hawaa Ke Pass
Barhaana Kamaan
Chhorr Gaya,

Rafaqatoon Ka Meri Us
Ko Dhiyaan Kitna Tha,

Zameen Le Li Magar
Aasmaan Chhorr Gaya,

Ajeeb Shakhs Tha
Barish Ka Rang Daikh
Ke Bhi,

Khule Dareeche Pe Ik
Phool Dan Chhorr
Gaya,

Jo Badaloon Se Bhi
Mujh Ko Chhupaaye
Rakhta Tha,

Barrhi Hi Dhoop To
Be Saibaan Chhorr
Gaya,

Nikal Gaya Kaheen An
Daikhe Paniyoon Ki
Taraf,

Zameen Ke Naam
Khula Baadbaan
Chhorr Gaya,

Uqab Main Gehra
Samandar Hai
Saamne Jhangal,

Kis Intiha Pe Mera
Meharbaan Chhorr
Gaya..!



Raqs Main Raat Hai Badan Ki Tarha, Barshoon Ki Hawaa Main Bann Ki Tarha



Poetess Parveen Shakir

 

Raqs Main Raat Hai
Badan Ki Tarha,

Barshoon Ki Hawa

 Main Bann Ki Tarha,

Chand Bhi Meri
Karwaton Ka Gawah,

Mere Bistar Ki Har
Shakan Ki Tarha,

Chaak Hai Daaman
Qaba-E-Bahaar,

Mere Khawaboon Ki
Perahan Ki Tarha,

Zindagi Tujh Se Door
Reh Kar Main,

Kaat Loongi Jalla
Watan Ki Tarha,

Mujh Ko Tasleem
Mere Chand Ke Main,

Tere Hamrah Hon
Gehan Ki Tarha,

Baraha Tera Intizaar
Kiya,

Apne Khawabon Main
Ik Dulhan Ki Tarha...!

 

 

Nam Hain Palkain Teri A Moaj-E-Hawaa Ke Saath



Poetess: Parveen Shakir

 

Nam Hain Palkain Teri
A Moaj-E-Hawaa Ke
Saath,

Kiya Tujhe Bhi Koi
Yaad Aata Hai Barsaat
Ke Saath,

Roothne Aur Manane
Ki Hadain Milne Lagain,

Chasham Pooshi Ke
Saleeqe Thy Shikaayat
Ke Saath,

Tujh Ko Kho Kar Bhi
Rahoon Khaloot Jaan
Main Teri,

Jeet Paayi Hai
Mohabbat Ajab Maat
Ke Saath,

Neend Laata Huwa
Phir Aankh Ko Dukh
Daita Huwa,

Tajurbe Doone Hain
Wabasta Haat Ke
Saath,

Kabhi Tanhaai Se
Mehroom Na Rakha
Mujh Ko,

Dost Hamdard Rahe
Kitne Meri Zaat Ke
Saath...

 

 




Aqs-e-Gul Ter Jala Howa Tha

 

Poetess:Parveen Shakir 

 

Aqs-e-Gul Ter Jala Howa Tha

 Khwaabon Ka Nagar Jala Howa Tha

Ya Dast-e-Dua Na Uth Saka Tha
Ya Os Ka Asar Jalaa Howa Tha

Har Ghar Tha Luta Howa Kayi Baar
Aur Baar-e-Gard Jalaa Howa Tha

Ya Noch Lye Gaye Thay Pattay
Ya Saara Shajar Jalaa Howa Tha

Aankhon Ki Jaga Pe Aablay Thay
Aur Taar-e-Nazar Jalaa Howa Tha

Malba Tha Tamaam, Sheher-e-Khobi
Aur Ho Ke Khandar Jalaa Howa Tha

Teh-Khaana Jaan Mein Tujh Ko Rakhti
Laikin Mera Ghar Jalaa Howa Tha

Kuch Dair Ka Sokhta Na Tha Sheher
Ye Aath Peher Jala Howa Tha

Parwaaz Ka Itna Dar Qafas Mein
Tota Howa Par Jalaa Howa Tha

Manzil Thi Ghubaar-e-Raah Mein Guum
Aur Rakht-e-Safar Jalaa Howa Tha

 

Manzar Hai Wohi Thathak Rahi Hun


Poetess:Parveen Shakir


Manzar Hai Wohi Thathak Rahi Hun
Hairat Se Palak Jhapak Rahi Hun

Ye Tou Hai Ke Mera Wehem Hai !
Band Aankhon Se Tujh Ko Tak Rahi Hun

Jaisay Ke Kubhi Na Tha Taarruf
Yun Miltay Howay Jhijak Rahi Hun

Pehchaan! Mein Teri Roshni Hun
Aur Teri Palak Palak Rahi Hun

Kia Chain Mila Hai -Sir Jo Iske
Shaanon Pe Rakhay Sisak Rahi Hun

Pathar Pe Khili, Ke Chasham Gul Mein
Kaantay Ki Tarah Khatak Rahi Hun

Jugnuu Kaheen Thak Ke Gir Chuka Hai
Jangal Mein Kahan Bhatak Rahi Hun

Gurrya Meri Soch Ki Chhanni Kia
Bachi Ki Tarah Bilak Rahi Hun

Ik Umar Howi Khud Se Lartay
Andar Se Tamaam Thak Rahi Hun

Rus Phir Se Jarron Mein Jaa Raha Hai
Mein Shak Pe Kab Se Pak Rahi Hun

Takhleeq-e-Jamaal-e-Fun Ka Lamha !
Kalyon Ki Tarah Chatakh Rahi Hun




Jagaa Sakey Na Terey Lub, Lakeer Aisi Thi

 

Poetess:Parveen Shakir

 

Jagaa Sakey Na Terey Lub, Lakeer Aisi Thi
Humarey Bakht Ki Raikha Bhi Meer Aisi Thi

Ye Haath Chomey Gai, Phir Bhi Be-Gulaab Rahey
Jo Rutt Bhi Aai Khizaa.n K Safeer Aisi Thi

Wo Merey Pao.n Ko Choney Jhuka Tha Jis Lamhey
Jo Mangta Usey Deti Ameer Aisi Thi

Shahadatain Merey Huq Main Tamam Jaati Thee.n
Magar Khamosh They Munsif, Nazeer Aisi Thi

Kutar K Jaal Bhi Sayyad Ki Raza Ke Baghair
Tamaam Um’r Na Urti Aseer Aisi Thi

Phir Us Ke Baad Na Dekhey Visaal Ke Mausam
Judaiyo.n Ki Ghari Chashm Geer Aisi Thi

Bas Ik Nigah Mujhe Dekhta, Chala Jata
Us Aadmi Ki Mohabbat Faqeer Aisi thi

Rida K Saath Luterey Ko Zaad-e Raah Diya
Teri Firagh Dili Merey Veer Aisi Thi

Kabhi Na Chahney Walo.n Ka Khoo.n Baha Manga
Nigaar-e-Sheher-e-Sukhan Be-Zameer Aisi Thi

 

 

Khuli aankhon mein sapna jhaankta hai


 Poetess:Parveen Shakir

 

Khuli aankhon mein sapna jhaankta hai,
Woh soya hai ke kuch kuch jaagta hai,

Tere chahat ke bheegey junglon mein,
Mera tan man mor ban kar nachta hai,

Mujhe har kefiyat mein kyon na samjhey,
Woh mere sab hawaaley jaanta hai,

Main uss ki dastrass main hoon magar woh,
Mujhe meri razaa se mangta hai,

Kissi ke dheyaan main dooba hua dil,
Bahaaney se mujhe bhi taalta hai,

Sarrak ko chorr kar chalna parega,
Ke mere ghar ka kacchaa rasta hai

 

 



Ik umar ke baad us ko dekha

 

Poetess:Parveen Shakir

 

Ik umar ke baad us ko dekha,
Aankhon mein sawaal they hazaaron,

Honton pe magar wohi tabasum,
Chehrey pe likhi huyi udaasi,

Lehjey mein magar balaa ka thehrao,
Awaaz main goonjti judai,

Baanhen thi magar wisaal-e-samaan,

Simtti huyi baazuyon mein,

Taa’der mein sochti rahi thi,
Kis abr-e-gurez paa ki tarah,
Main kis shajar se katt gayi thi,
Kis chaaon ko tark kar diya tha,

Main us ke galey lagi huyi thi,
Woh ponchh raha tha mere aansu,
Lekin barri dair ho chuki thi..

 

 

Ab Bhala Chorh Ke Ghar Kia Kartay


Poetess:Parveen Shakir

Ab Bhala Chorh Ke Ghar Kia Kartay
Shaam Ke Waqt Safar Kia Kartay

Teri Masroofiatain Jaantay Hain
Apne Aanay Ki Khabar Kia Kartay

Jab Sitaaray Hee Nahi Mil Paaye
Le Ke Ham Shams-o-Qamar Kia Kartay

Wo Musaafir Hee Khuli Dhoop Ka Tha
Saaye Phaila Ke Shajar Kia Kartay

Khaak Hee Awwal-o-Aakhir Thehri
Kar Ke Zarray Ko Gohar Kia Kartay

Raaye Phele Se Bana Li TU Ne
Dil Mein Ab Ham Tere Ghar Kia Kartay

Ishq Ne Saaray Saleeqay Bakhshay
Husn Se Kasb-e-Hunar Kia Kartay

 

 

Wo Aks-e-Mauja-e-Gul Tha, Chaman Chaman Mein Raha



Poetess: Parveen Shakir

 

Wo Aks-e-Mauja-e-Gul Tha, Chaman Chaman Mein Raha
Wo Rang Rang Mein Utraa, Kiran Kiran Mein Raha

 

Wo Naam Haasil-e-Fun Ho Ke Mere Fun Mein Raha
Ke Rooh Ban Ke Meri Soch Ke Badan Mein Raha

 

Sakoon-e-Dil Ke Lye Mein Kahan Kahan Na Gayi
Magar Ye Dil, Ke Sadaa Oski Anjuman Mein Raha

 

Wo Sheher Waalon Ke Aagay Kaheen Mohazzib Tha
Wo Ek Shakhs Jo Sheheron Se Door Ban Mein Raha

 

Charaagh Bujhtay Rahay Aur Khwaab Jaltay Rahay
Ajeeb Tarz Ka Mausam Mere Watan Mein Raha

 

 

Ab Kaisi Pardah-Daari , Khabar Aam Ho Chuki



Poetess:Parveen Shakir


Ab Kaisi Pardah-Daari , Khabar Aam Ho Chuki
Maa Ki Rida Tou, Din Howe, Neelaam Ho Chuki

 

Ab Aasmaa.n Se Chadar-e Shab Aaye Bhi Tou Kiya
Be-Chadari Zameen Pe iLzaam Ho Chuki

 

Ujrey Howe Diyaar Pe Phir Kiun Nigah Hai
Is Kasht Per Tou Barish-e-Ikraam Ho Chuki

 

Sooraj Bhi Os Ko Dhoond Ke Wapas Chala Gaya
Ab Ham Bhi Ghar Ko Lout Chalain Shaam Ho Chuki

 

Shimley Sambhaaltey Hee Rahay Maslehat Pasand
Hona Tha Jis Ko Pyaar Main Bad-Naam Ho Chuki

 

Aankhain Hain Aur Subha Talak Tera Intezaar
Mishal Bad’dast Raat Terey Naam Ho Chuki

 

Koh-e-Nida Se Bhi Sukhan Utrey Agar, Tou Kiya
Na-Sameoo.n Main Hurmat-e-iLhaam Ho Chuki

 


Zameen Par Paoon Thy Qayaam Asman Main Tha


Poetess: Parveen Shakir 

 

Zameen Par Paoon Thy Qayaam Asman Main Tha,

 Meri Tarha Se Wo Shakhs Bhi Imtihaan Main Tha,

 

 Ye Roshni Thi Ke Us Ka Chehra Dhihaan Main Tha,

 Storm Sa Aik Charagh Mere Makan Main Tha,

 

 Ke Chand Khud Aa Ke Aik Tare Ka Naam Poche,

 Hajoom-E-Siyar Gan Ye Kis Gumaan Main Tha,

 

 Main Us Ki Aankhoon Ko Daikhti Hoon To Sochti Hoon,

 Nazar Ka Aisa Talsum Kis Dalton Main Tha,

 

 Main Us Ki Kashti Se Apna Aanchal Hata Ke Samjhi,

 Safar Ka Bhi House Badbaan Main Tha,

 

 Dua Kabhi Main Ne Many Thi Dono What Millau, 

Ye Zindagi Bhar Ka Jhatpata Kab Dhihaan Main Tha, 

 

Judai Ka Faisla To Phir Bhi Hamoud Hota, 

Ye Maan Bhi Lain Agar Koi Darmiaan Main The..?


Agarche Tujh Se Buhat Ikhtelaf Bhi Na Howa, Magar Ye Dil Teri Janib Se Saaf Bhi Na Howa



Poetess:Parveen Shakir


Agarche Tujh Se Buhat  Ikhtelaf  Bhi Na Howa,

Magar Ye Dil Teri Janib Se Saaf Bhi Na Howa

 

Ta'aluqat K Barzakh Main Hi Rakha Mujh Ko,

Wo Mere Haq Main Na Tha Aor Khilaf Bhi Na Howa

 

Ajab Tha Jur-e-Muhabbat Keh Jis Pe Dil Ne Mere,

Saza Bhi Paai Nahi Aor Mua'af Bhi Na Howa

 

Malamaton Main Kahan Saans Le Saken Gy Wo Log,

Keh Jin Se Kuu-e-Jafa Ka Tawaaf Bhi Na Howa

 

Ajab Nahi Hai Keh Dil Par Jami Mili Kaai,

Buhat Dinon Se To Ye Hauz Saaf Bhi Na Howa

 

Hawa-e-Dhahar Humain Kis Liye Bhujati Hai,

Humain To Tujh Se Ikhtelaf Bhi Na Howa.........


**********NOMI**********



Main Jab Bachha Tha,To Aksar



ﻣﯿﮟ ﺟﺐ ﺑﭽﮧ ﺗﮭﺎ
ﺗﻮ ﺍﮐﺜﺮ _ _ _ _   ﻣﺠﮫ ﺳﮯ ﮐﮭﻠﻮﻧﮯﭨﻮﭦ ﺟﺎﺗﮯ ﺗﮭﮯ
ﺍﻭﺭ ﻣﯿﺮﮮ ﺭﻭﻧﮯ ﭘﺮ
ﻣﺎﮞ ﺁ ﮐﺮ ﮐﮭﻠﻮﻧﮯ ﺟﻮﮌ ﺩﯾﺘﯽ ﺗﮭﯽ
ﺳﻨﺎ ﮨﮯ ﻣﺎﮞ ﺳﮯ ﺑﮍﮪ ﮐﺮ
ﺗﺠﮭﮯ ﺍﻟﻔﺖ ﮨﮯ ﺑﻨﺪﻭﮞ ﺳﮯ
ﺗﻮ
ﺁ ﮐﮯ ﺟﻮﮌ ﺩﮮ ﯾﺎ ﺭﺏ
ﻣﯿﮟ ﺧﻮﺩ ﮐﻮ ﺗﻮﮌ ﺑﯿﭩﮭﺎ ﮨﻮﮞ۔




Mar Bhi Jaon To Kahan Loog Bhula Hi Dainge, Lafz Mere, Mere Hone Ki Gawahi Dainge

 

 

 

Poetess: Parv33n Shakir

 

Mar Bhi Jaon To Kahan Loog Bhula Hi Dainge,

Lafz Mere, Mere Hone Ki Gawahi Dainge,

 

Loog Thara Gaye Jis Waqt Manadi Aayi,

Aaj Peghaam Naya Zil-E-Ilaahi Dainge,

 

Jhonke Kuch Aise Tapakte Hain Guloon Ke Rukhsar,

Jaise Es Baar To Patt Jharr Se Bacha Hi Dainge,

 

Hum Wo Shab Zad Ke Sooraj Ki Anayaat Main Bhi,

Apne Bachon Ko Faqt Kowar Niga Hi Dainge,

 

Aasteen Sanpoon Ki Pehnegain Galle Main Maalla,

Ehl-E-Koofa Ko Nayi Shehar Pani Hi Dainge,

 

Shehar Ki Chabian Aada Ke Hawale Kar Ke,

Tuhftan Unhain Maqtol Sipahi Dainge...........?

 

 

Faqat ik farz baqi hai,nibha kr loat aaon ga



"poem" for my MOM

 


Faqat ik farz baqi hai,nibha kr loat aaon ga

Watan ka qarz baqi hai,chuka kr loat aaon ga

 

Qasam mujh ko watan ki matti ke zakhmon ki,

Safah-e-hasti say dushman ko mita kr loat aaon ga

 

Mujhy maloom hai k main teri aankhon ki thandak hun

Paraishan ho na meri Maa,main ja kr loat aaon ga

 

Saja rakhna meri khatir kafan tu sabz parcham ka

Lahuu mein sir sy paon tak naha kr loat aaon ga.

 

Dedicated to Pak Army 

 

 


Samajh Ai Magar Barson Rahy Dhoky Main Hum Pehly,AdabGah-e-Haram Se Buttkada Tha Do Qadam Pehly

Poet:Naseer-u-Din Naseer

Samajh Ai Magar Barson Rahy Dhoky Main Hum Pehly,

AdabGah-e-Haram Se Buttkada Tha Do Qadam Pehly

Ghazab Hy Yuon Tera Palkain Jhapakty Hi Badal Jana

Sitam Hony Laga Un Par Keh Tha Jin Par Karam Pehly

Haya Kahiye Keh Zid,Donon Taraf Se Thann Gai Aisi,

Qadam Apna Uthain Gy Na Wo Pehly,Na Hum Pehly

Humara Kia Hy,Tere Saath Thorhi Hum Bhi Pi Len Gy,

Khuda Ka Naam Le Kar Jaam Utha Sheikh-e-Haram ! Pehly

Tere Aany Se Pehly Hi Bichaaty Raah Main Aankhen,

Khabar Aamad Ki Dena Chahiye Thi Kam Se Kam Pehly

Baqa Ki Justajo Hy To Fana Kar Apni Hasti Ko

Keh Hast-o-Bood-e-Aalam Se Hy Dunya-e-Adum Pehly

Meri Taqdeer K Bal Ka Nikalna Baad Main Hoga

Zara Seedhy To Ho Len Ye Teri Zulfon K Kham Pehly

Judai K Tasawwer Se Bhar Aay Ashk Aankhon Main

Chaly Jana,Tehirny Do Zara Selaab-e-Gham Pehly

Janab-e-Sheikh Ki Dar Parda Rindi Ka Bhi Kia Kehna,

Pohunch Jaty Hain Aksar Maikaday Main Muhtaram Pehly

Chaly Hain Ko-e-Janann Ki Taraf  Hum Bhi Pasy Qasid

NASEER Ab Dekhty Hain,Wo Pohunchta Hai Keh Hum Pehly

**********NOMI**********

Paiman-e-Wafa Aor Hai Saman-e-Jafa Aor Hai,Us Fitna-e-Dawran Ne Kaha Aor,Kia Aor

Poet:Naseer-u-Din Naseer

Paiman-e-Wafa Aor Hai Saman-e-Jafa Aor Hai,

Us Fitna-e-Dawran Ne Kaha Aor,Kia Aor

Taiwar Alag,Andaz Juda,Unki Ada Aor,

Wo Aor Hawa Main Hain,Zamany Ki Hawa Aor

Tarkeeb Koi Unko Manany Ki Ho Kia Aor,

Main Jitna Manata Hon,Wo Hoty Hain Khafa Aor

Pi Len Jo Kabhi Sheikh To Pi Pi K Pukaren,

Ay Saaqi-e-Maikhana ! Zara Aor,Zara Aor

Mahroom Howa Deen Se,Dunya K Talab Main,

Na Fiham Ne Kuch Aor Hi Socha Tha,Howa Aor

Phoolon Ki Wahan Dhoop,Yahan Saaya-e-Wahshat,

Gulshan Ki Fiza Aor Hai,Sahra Ki Fiza Aor

Insaaf Mily Ga Sar-e-Maidan-e-Qayamat,

Un Ka Na Khuda Aor,Na Mera Hi Khuda Aor

Dekhen To Zara Hum Bhi Usy,Ay Hama-e-Khoobi !

 Hum Jaisa Wafadar Koi Dhond K La ! Aor

Chorhen Na Muhabbat Ko NASEER Ahl-e-Muhabbat,

Ye Shoq-e-Khata Hai,To Khata Aor Khata Aor

**********NOMI**********

Na Aay Tujh Ko Nazar,Tou Magar Udas Na Ho Talash Kar,Wo Yahein Tere Aas Paas Na Ho

Poet:Naseer-u-Din Naseer

Na Aay Tujh Ko Nazar,Tou Magar Udas Na Ho

Talash Kar,Wo Yahein Tere Aas Paas Na Ho

Mujhe Yaqeen Nahi,Us Ko Tera Paas Na Ho

Tera Guman Na Ho,Ye Tera Qiyas Na Ho

Wo Aor Kia Kare Aakhir Agar Udas Na Ho

Baghair-e-Ishq Na Chain Aay,Ishq Raas Na Ho

Ye Kis Ko Log Liye Ja Rahy Hain Kandhon Par

Kahin Ye Shakhas Tumhara Wafa Shanas Na Ho

Becharhny Walon Ko Ik Din Khuda Milata Hai

Tujhe Humari Qasam,Is Qadar Udas Na Ho

Ye Bandagi Hai,Keh Har Haal Main Ho Shukar Uska

Hazar Kuch Ho,Magar Koi Na Sapas Na Ho

Wo Majra Jo Hy Majnoon K Naam Se Mashhor

Kahin Hamare Fasany Ka Iqtebas Na Ho

Zia-e-Ilam-o-Hunar Se Hai Aabro-e-Bashar

Ye Roshni To Ho,Ujla Agar Libas Na Ho

Maza To Jab Hai,Keh Ho Baat Baat Qand-o-Nabat

Wo Baat Zahir Hai,Jis Baat Main Mithas Na Ho

Hai Aik Tanz Ka Nashtar,Dua-e-Umr-e-Daraz

Us Aik Shakhas Ko,Jeeny Ki Jis Ko Aas Na Ho

NASEER Khel Nahi Hai,Shour-e-Zaat-o-Sifat

Khuda Shanas Kahan Wo, Jo Khud Shanas Na Ho

**********NOMI**********

Hairan Hazaron Hain Preshan Hazaron,Phirty Hain Tujhe Dhoondty Hain Insan Hazaron

Poet:Naseer-u-Din Naseer

Hairan Hazaron Hain Preshan Hazaron,

Phirty Hain Tujhe Dhoondty Hain Insan Hazaron

 

Majnoon Hi Pe Kia,Lut Gay Insan  Hazaron,

Ik Dast-e-Janoon Main Hain Greban Hazaron

Ilzam Tere Sar Hain Ba-Har Aan Hazaron,

Hain Zulf-e-Pareshan Se Pareshan Hazaron

Eefa Kabhi Ho Jain To Taqdeer Humari,

Bandhy To Hain Us Shoukh Ny Paiman Hazaron

Aabro Hain Keh Mehrab-e-Haram Qibla-e-Ushaaq,

Aankhon Pe Luta Bhety Hain Eman Hazaron

Zahid Ne Chalakta Howa Saghar Nahi Dekha,

Har Moj Main Posheedah Hain Toofan Hazaron

Ho Jai Inayat Ki Nazar Kaash Idhar Bhi,

Hum Dil Main Liye Bethy Hain Arman Hazaron

O PardaNasheen Aik Zara Jalwa Numa Ho,

Bethy Hain Tere Sokhta Samaan Hazaron

 

Dunya-e-Muhabbat Main NASEER Aik Humain Kia,

Ghar Baar Kiye Bethy Hain Veeran Hazaron

**********NOMI**********

Aaj Ik Ik Badakash Masroor Maikhany Main Hai,Taza Taza Is K,Us K,Sab K Paimany Main Hai

Poet:Naseer-u-Din Naseer

Aaj Ik Ik Badakash Masroor Maikhany Main Hai,

Taza Taza Is K,Us K,Sab K Paimany Main Hai

 

Sheikh Jal Uthay Ga Tou ! Wo Shuola Maikhany Main Hai,

Maiy Nahi Ye,Ik Dhakti Aag Paimany Main Hai

 

Apna Deewana Bana Laita Hai Saari Khalq Ko,

Ik Ada-e-Khas Aisi Un K Deewany Main Hai

 

Der Botal K Uthany Main Lagy Gi Kuch Na Kuch,

Mujh Ko Utni Hi Buhat Hai Jitni Paimany Main Hai

 

Maikady Main Aany Walo ! Maikada Mat Chorhna,

Marny Jiny Ka Maza Kuch Hai,To Maikhany Main Hai

 

Pi Raha Hon,Ji Raha Hon,Shaad Hon,Masroor Hon,

Zindagi Hi Zindagi Labraiz Paimany Main Hai

 

Dil Ki Be-Kaifi Ka Ye Aalam Howa Bad-e-Janoon,

Lutaf Jeeny Ka Na Gulshan Main,Na Veerany Main Hai

 

Dhiyan Hai Aahat Pe,Hasrat-e-Dil Main HaiAankhon Main Dum,

Hum Chaly Dunya Se,Unko Der Agr Aany Main Hai

 

Jaag Utthi Qismat,Muqadar Jagmaga Uttha NASEER,

Jalwah Farma Aaj Koi Mere Kashany Main Hai

**********NOMI**********

Aa Gaiyn Chal K Hawain Tere Dewany Tak,Ab Yahi Le K Chalen Gi Usay Maikhany Tak

Poet:Naseer-U-Din Naseer

Aa Gaiyn Chal K Hawain Tere Dewany Tak,

Ab Yahi Le K Chalen Gi Usay Maikhany Tak

 

Koi Cherhy Na Mujhe Ahd-e-Bahar Aany Tak,

Main Pohunch Jaon Ga Khud Jhoom K Maikhany Tak

 

Aa K Khud Raqs Kia Karta Hai Jal Jany Tak,

Shamma-e-Sozan'n Kabhi Jati Nahi Parwany Tak

 

Aana Jana To Hai Waiz ! Mere Kashany Tak,

Aik Din Aap Chalay  Aao Gy Maikhany Tak

 

Ab Naqahat Ka Ye Aalam Hai Keh Utthay Nahi Haath,

Sirf Nazren Hi Pohunch Sakti Hain Paimany Tak

 

Is Karhe Waqt Main Ahbab Na Kaam Aain Gy,

Tashnagi De Gi Sahara Mujhe Maikhany Tak

 

Dhayan Zahid Ka Khuda Tak Kisi Soorat Na Gaya,

Dastras Thi Usy Tasbeeh K Har Daany Tak

 

Tujh Ko Bholy Se Bhi Main Sakon ! Na Mumkin,

Ye Ta'aluq To Rahy Ga Mere Mar Jany Tak

 

Dil Pe Aalam Ye Ghutan Ka,Ye Saba K Ghamzy,

Dekhiye Kia Ho,Teri Zulf K Lehrany Tak

 

Raah Dushwar Nahi,Sang Nahi,Khaar Nahi,

Mutmain Ho K Wo Aaein Mere Kashany Tak

 

Tum To Apny Thy,Na Thi Tum Se Ye Umeed Humain,

Koi Marta Ho,To Aa Jaty Hain Be-gany Log

 

Aaj Kal Be-Khudi-e-Shoq Ka  Aalam Hai Ajeeb,

Kahiin Main Aap Na Kho Jaon Tujhe Pany Tak

 

Mout Barhaq Hai,Magar Aakhiri Khuwahish Ye Hai,

Sans Chalti Rahy Meri,Tere Aajany Tak

 

Baat Karni Hai Nakireen Se Tanha Sab Ko,

Saath Rehty Hain Ye Ahbab To Dafnany Tak

 

Masnad-e-Peer-e-Mughan Door Buhat Hai Mujh Se,

Haath Utth Kar Bhi Pohunchty Nahi Paimany Tak

 

Qadam Utthy Nahi,Ab Dughaf Ka Aalam Hai NASEER, 

Koi Le Jai Mujhe Thaam K Maikhany Tak

**********NOMI**********

Silsila Tooty Na Saaqi Hosh Ur Jany K Baad,Mujh Ko Milta Hi Rahy Paimana, Paimany K Baad

Poet:Naseer-u-Din Naseer

Silsila Tooty Na Saaqi Hosh Ur Jany K Baad,

Mujh Ko Milta Hi Rahy Paimana, Paimany K Baad

 

Kho Diya Dunya Main Jo Kuch Tha,Tujhe Paany K Baad,

Jaan Se Jana Para Humko,Tere Aany K Baad

 

Tuo Hi Tha Wo Shamma Jis Ki Roshni Thi Har Taraf,

Rang Mehfil Main Kahan Ab Tere Utth Jany K Baad

 

Jao Bheto Chain Se Main Kia Kahon,Tum Kia Suno,

Ab Pashemani Se Kia Hasil,Sitam Dhany K Baad

 

Iska Kia Kihna ! Zahid K Thikany Hain Buhat,

Ye Kisi Masjid Main Ja Bhetay Ga Maikhanay K Baad

 

Shamma-e-Mehfil Roye Ya Hans Kar Guzaray Subah Tak,

Kon Ab Jalny Yahan Aay Ga Parwany K Baad

 

Husn-e-Rukh Ki Ik Jhalak Ny Kar Diye Aosan Gum,

Hosh Aaya To Magar Unky Chaly Jaany K Baad

 

Sach Hy Koi Bhi Shareek-e-Gham-o-Dard Hota Nahi,

Ho Gy Ahbab Rukhsat Mujh Ko Samjhany K Baad

 

Ab To Kehty Ho Keh  Ja ! Meri Nazar Se Door Ho,

Tum Manany Ao Gy Mujh Ko,Mere Jaany K Baad

 

Taair-e-Dil ! Khaal To Dekha,Kham-e-Gasoo Bhi Dekh,

Daam Bhi Tujh Ko Nazar Aa Jai Ga Dany K Baad

 

Wahshat-e-Dil Ki Badolat Hum Chaly Aai Yahan,

Dekhiye Ab Konsi Manzil Hy Weerany K Baad

 

Kon Rota Hy Kisi Ki KhastaHaaly Par NASEER, 

Zer-e-Lub Hasti Hy Dunya,Mere Lut Jany K Baad

**********NOMI********** 

Na Wo Ihtemam-e-May Kuhan,Na Wo MaiKaday Ka Nizam Hai

Poet:Naseer-u-Din Naseer

Na Wo Ihtemam-e-May Kuhan,

Na Wo MaiKaday Ka Nizam Hai

Na Wo Rind Hain,Na Wo Ha-o-Hu,

Na Wo Dawar Hai,Na Wo Jaam Hai

Wo Hai Khush Naseeb Jise Mily,

Mai-e-Ma'arifat Ka Ye Jaam Hai

Jo Wo Khud Pilain To Halal Hai,

Na Pilain Wo,To Haram Hai

Zara Dekh Apny Mareez Ko

 Keh Har Uski Sans Main Aaj Bhi

Tere Intezaar Ki Hai Kasak,

Teri Yaad Hai,Tera Naam Hai,

Kahon Kis Se Qissa-e-Shoq Main,

Na Wo Humnawa,Na Wo HumZuban'n

Na Wo Humsafar,Na Wo Karwan'n,

Na Wo Subah Hai,Na Wo Shaam Hai

Chali Aisi Bad-e-Khazan'n Asar,

Keh Hon Dam-e-Gham Main Shikasta Par

Na Buton Ki Dil Main Hai Aarzoo,

Na Wo Shoq-e-Jalwa-e-Baam Hai

Wo Niaz-o-Naz Ki Mahfilen,

Na Wo Chaand Hai Na Wo Chaandni

Na Wo Raat Hai,Na Wo Baat Hai,

Na Wo Husan-e-Maah-e-Tamam Hai

Na Firaq-e-Yaar K Mashghaly,

Na Wo Bazm-e-Shoq K Walwaly

Na Wo Soz-e-Seena Gudaz Hai,

Na Wo Aah-e-Barq Khiram Hai

Ye Ajeeb Dawar Hai Ronuma 

Keh Adab Ka Paas Nahi Raha

Na Wo Ahl-e-Dard Ki Hurmatain,

Na Wo Ihteram-e-Muqam Hai

Kahon Main Bhala,Wo Bura Kahain,

Karon Main Wafa,Wo Jafa Karen

Unhain Apny Kam Se Hai Gharaz,

Mujhe Apny Kam Se Kam Hai

Wo Hazar Koi Jatan Kare,

Teri Dastras Se Na Bach Saky

Teri Zulf HalqaBadosh Hai,

Teri Aankh Baada Ba-Jaam Hai

Tere Sang-e-Dar Pe Jo  Howa Ada,

Wahi Aik Sajdah Hai Kaam Ka

Yahi Ik Namaz Hai Ishq Ki 

Jo Baghair-e-Shart-e-Imam Hai

Main NASEER Faqar Sarashat Hon,

Keh Mureed-e-Saaqi-e-Chasht Hon

Mujhe Badshahon Se Kaam Kia,

Unhain Door Hi Se Salam Hai

**********NOMI**********

 

Khak-e-Paa Unki Jahan Bhi Kahin Pai Jai,Dil Ye Kehta Hai Keh Aankhon Se Lagai Jai

Poet:Naseer-u-Din Naseer

Khak-e-Paa Unki Jahan Bhi Kahin Pai Jai,

Dil Ye Kehta Hai Keh Aankhon Se Lagai Jai

Unki Tasveer-e-Sitam Kiyon Na Dikhai Jai,

Manzar-e-Aam Par Ye Shakal Bhi Lai Jai

Shualy Utthy Hain Agar Dil Main,Na Aansoo Roko,

Aag Lag Jai To Lazim Hai Bujhai Jai

Ik Nazar Deed Ki Taofeeq Aata Ho Hum Ko,

Kuch Na Kuch Husan Ki Khairat Lutai Jai

Guftago Sheesha-o-Saghar Ki Abas Hai Saaqi !

 Hum Wo Peety Hain Jo Aankhon Se Pilai Jai

Baarha Keh To Chuky Tum Se Kahani Dil Ki,

Kia Zarori Hai Keh Tahreer Main Lai Jai

Aap Kiyon Dil Ki Tamanaon ko Pamal Karen,

Raigan'n Kiyon Kisi Muflis Ki Kamai Jai

Husan Kia Shay Hai,Ada Kia Hai,Wo Khud Kaise Hain,

Baat Khul Jai Gi,Tasweer Mangai Jai

Qais-o-Farhad Ki Afsanon Main Kia Rakha Hai,

Dastan Mairi Mujhi Ko Na Sunai Jai

Mujh Se Kehta Hai NASEER Ab K Baras Josh-e-Janoon,

Kam Se Kam,Khaak Bayaban'n Ki Urai Jai

**********NOMI**********

Hamain Jab Keh Apna Bana Liya To Hai Rabat Kis Liye Hum Se Kam

Poet:Naseer-U-Din Naseer

Hamain Jab Keh Apna Bana Liya 

To Hai Rabat Kis Liye Hum Se Kam

Ye Hijab Kia,Ye Guraiz Kiuon,

Rahain Samny To Wo Kam se Kam

Gham-e-Aarzo,Gham-e-Justajo,

Gham-e-Imtehan,Gham-e-Jisam-o-Jaan

Meri Zindagi Ki Basaat Kia,

Meri Zindagi To Hai Gham Se Kam

Ye Muqam-e-Naz-o-Niaz Hai,

Mira Dil Hi Muhram-e-Raaz Hai

Wo Nawazty Hain Ba-Maslahat 

Humain Iltefat-o-Karam Se Kam

Tere Aastan Ka Faqeer Hon,

Magar Aap Apni Nazeer Hon

Meri Shan-e-Faqar Jahan Main Na Mily Gi,

Shaukat-e-Jam se kam

Ye Kaha Gaya,Ye Suna Gaya,

Ye Likha Gaya,Ye Parha Gaya

Na Jafa Hoi Kabhi Tum Se Kam,

Na Wafa Hoi Kabhi Hum Se Kam

Wahi Nisbatain,wahi Rifa'atain,

Wahi Ronaqain,Wahi Azmatain

Mere Dil Main Jab Se Hain Wo Makeen,

Nahi Ye Makan Bhi Haram Se Kam

Tere Aabroun Ki Haseen Kaman'n,

Nazar Aa Rahi Hai Falak Nishan'n

Na Karishmah Qos-e-Quza Se Kam,

Na Kashish Hilal ke Kham Se Kam

Na Sata Mujhe,Na Rula Mujhe,

Nahi Aur Tab-e-Jafa Mujhe

Keh Meri Mata'a-e-Shakeeb Hai,

Teri Kaainat-e-Sitam Se Kam

Na Karam Hai Kam Sar-e-Anjuman

 Keh Pilai Us Ne Maiy-e-Sukhan

Mujhe Paas Apny Bula Liya,

Rahi Baat Meri To Kam Se Kam

Nahi Jis Main Teri Tajalliyan,

Use Janchti Hai Nazar Kahan

Tere Noor Ka Na Zahoor Ho,

To Wajood Bhi Hai Aadum Se Kam

Kabhi Iniakaas-e-Jamal Hai,

Kabhi Aain-e-Shai Ki Misaal Hai

Nahi Mere Dil Ka Mua'amila,

Kisi Aainy K Bharam Se Kam

Mah-o-Aaftab-o-Najom Sab,

Hain Zia Fagan,Nahi Is Main Shak

Hai Musalam In Ki Chamak-o-Damak,

Magar Unky K Naqsh-e-Qadam Se Kam

Yahi Aarzoo,Yahi Mudda'a,

Kabhi Waqt Ho To Sunain Zara

Meri Dastan-e-Hayat-e-Gham 

Jo Likhi Gai Hai Qalam Se Kam

Ye NASEER Daftar-e-Raaz Hai,

Ye Ghubar-e-Raah-e-Niaz Hai

Karen Is Pe Ahl-e-Jahan Yaqeen,

Nahi Iska Qaol, Qasam Se Kam............! 

**********NOMI**********

Gham-e-Hijran Ki Tere Pas Dawa Hy Keh Nahi,Jaan Balab Hy Tera Bemaar , Suna Hy Keh Nahi

Poet:Naseer-U-Din Naseer

Gham-e-Hijran Ki Tere Pas Dawa Hy Keh Nahi,

Jaan Balab Hy Tera Bemaar , Suna Hy Keh Nahi

 

Wo Jo Aaya Tha,To Dil Le K Gaya Hy Keh Nahi,

Jhank Le Seeny Main Kam Bakht Zara,Hy Keh Nahi

 

Mukhamsy Main Teri Aahat Ne Mujhe Daal Diya,

Ye Mere Dil K Dharakny Ki Sada Hy Keh Nahi

 

Samny Aana,Guzar Jana,Taghaful Karna,

Kia Ye Dunya Main Qayamat Ki Saza Hy Keh Nahi

 

Ahl-e-Dil Ne Usy Dhonda,Usy Mahsoos Kiya,

Sochty Hi Rahy Kuch Log,Khuda Hy Keh Nahi

 

Tum To NaHaq Meri Baton Ka Bura Maan Gaye,

Main Ne Jo Kuch Bhi Kaha Tum Se,Baja Hy Keh Nahi

 

Aabro Jai Na Ashkon Ki Rawani Se NASEER, 

Sochta Hon,Ye Muhabbat Main Rawa Hy Keh Nahi


**********NOMI**********

Bahasain, Na Gawah Chahta Hon,Mujrim Hon,Saza Chahta Hon

Poet: Naseer-u-Din Naseer

Bahasain, Na Gawah Chahta Hon,

Mujrim Hon,Saza Chahta Hon

Jab Khatam Ho Mere Sanson Ki Ruo,

Tum Ko Sar-e-Rah Chahta Hon

Nazara-e-Mah-o-Shann Se Pehly,

Tatheer-e-Nigah Chahta Hon

Aoron K Karam Mujhe Gawara,

Apnon Se Panah Chahta Hon

Takmeel-e-Wafa Pe Zid Se Hasil?

Kion Khud Ko Tabah Chahta Hon

Ik Tum, Keh Churha Rahy Ho Daman,

Ik Main,Keh Nibah Chahta Hon

Hain Naqsh-e-Qadam Jahan Tumhare,

Taron Main Woh Raah Chahta Hon

Jo Sirf Mere Liye Uthi Ho,

Wo Ik Nigaah Chahta Hon

Tu Ne Mujhe Aj Tak Na Chaha,

Phir Bhi Tujhe Aah! Chahta Hon

Jis Par Tere Qurb Ka Ho Aanchal,

Wo Shaam-e-Siyah Chahta Hon

Tum Mujh Se Nibah Kia Karo Gy,

Main Tum Se Nibah Chahta Hon

Ho Jis Pe Nazar Qalandaron Ki,

Sir Par Wo  Kulah Chahta Hon

Ab Silsila-e-Karam Na Tooty,

Bas Rabt-e-Nigah Chahta Hon

Aor Un Se NASEER Kia Kahon Main,

Daman Main Panah Chahta Hon...

**********NOMI**********

Ay Mere Hamnashin Chal Kahin Aur Chal, Is Chaman Main Ab Apna Guzara Nahi



اے میرے ہمنشیں چل کہیں اور چل، اِس چمن میں اب اپنا گُزارہ نہیں

بات ہوتی گُلوں تک تو سہہ لیتے ہم،اب تو کانٹوں پے بھی حق ہمارا نہیں

آج آئے ہو تُم،کل چلے جاؤ گے، یہ مُحبت کو اپنی گوارہ نہیں

عُمر بھر کا سہارا بنو تو بنو ، دو گھڑی کا سہارا سہارا نہیں

دی صدا دار پر اور کبھی طور پر کس جگہ مہں نے تُم کو پُکارا نہیں ہے

ٹھوکریں یوں کِھلانے سے کیا فائدہ صاف کہہ دو کہ ملنا گوارہ نہیں

گُلستاں کو لہو کی ضرورت پڑی سب سے پہلے ہی گردن ہماری کٹی

پھر بھی کہتے ہیں مجھ سے یہ اہل چمن، یہ چمن ہے ہمارا ،تُمہارا نہیں

ظالمو اپنی قسمت پہ نازاں نہ ہو، دَور بدلے گا یہ وقت کی بات ہے

وہ یقینا سُنے گا صدائیں میری، کیا تُمہارا خدا ہے ہمارا نہیں

اپنی زُلفوں کو رُخ سے ہٹا لیجیئے، میرا ذوقِ نظر آزما لیجئیے

آج گھر سے چلا ہوں یہی سوچ کر ، یا تو نظریں نہیں یا نظارا نہیں

جانے کس کی لگن کس کی دُھن میں مگن ہم کو جاتے ہوئے مُڑکے دیکھا نہیں

ہم نے آواز پر تُم کو آواز دی، پھر بھی کہتے ہیں ہم نے پُکارا نہیں

مضطر اکبر آبادی



Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo