Tum Samandar Ki Bat Karte Ho Log Ankhon Me Doob Jate Hain


Tum Samandar Ki Bat Karte Ho

Log Ankhon Me Doob Jate Hain


Meri be tahasha chahton k Tanha waris ho Tm


Meri be tahasha chahton k 

Tanha waris ho Tm


Ek shaks paas rehkar bhi samjha nahi mujhe Is baat ka malal hai shikwa nahi mujhe


Ek shaks paas rehkar bhi samjha nahi mujhe

Is baat ka malal hai shikwa nahi mujhe

Mein usko bewafa ka ilzam kaise du

Usne to abteda se hi chaha nahi mujhe

Kya kya umeed band kar aaya tha samne 

Usne to aank bhar ke bhi dekha nahi mujhe

Pathar samaj kar paoon ki thokar pe rakh liya

Afsoos uski aankho ne parkha nahi mujhe

Kab taherna tha dost uske paas

Aacha huwa usne bhi roka nahi mujhe


Drama e natamam lagty ho Ik mohabbat ka jaam lagty ho


Drama e natamam lagty ho

Ik mohabbat ka jaam lagty ho

Jo kabhi kar na nibhi hum sy

Us kahani ka anjaam lagty ho

Tum Zara bylagam lagty ho

Unkahy unchoey sabhi mery harf

Dramaey natamam lagty ho

Ik mohabbat ka jaam lagty ho

Jis ki taseer mein hain lab pyaasy

Wohi qissa e natamam lagty ho

Tum Zara bylagam lagty ho

Dramaey natamam lagty ho


Dil Pe Ik Tarfa Qayamat Karna,Muskuratey Howe Rukhsat Karna

ﺩﻝ ﭘﮧ ﺍِﮎ ﻃﺮﻓﮧ ﻗﯿﺎﻣﺖ ﮐﺮﻧﺎ
ﻣُﺴﮑﺮﺍﺗﮯ ﮨﻮﺋﮯ ﺭﺧﺼﺖ ﮐﺮﻧﺎ

ﺍﭼﮭﯽ ﺁﻧﮑﮭﯿﮟ ﺟﻮ ﻣﻠﯽ ﮨﯿﮟ ﺍُﺱ
ﮐﻮ
ﮐﭽﮫ ﺗﻮ ﻻﺯﻡ ﮨُﻮﺍ ﻭﺣﺸﺖ ﮐﺮﻧﺎ

ﺟُﺮﻡ ﮐﺲ ﮐﺎ ﺗﮭﺎ ﺳﺰﺍ ﮐِﺲ ﮐﻮ ﻣِﻠﯽ
ﮐﯿﺎ ﮔﺌﯽ ﺑﺎﺕ ﭘﮧ ﺣُﺠﺖ ﮐﺮﻧﺎ

ﮐﻮﻥ ﭼﺎﮨﮯ ﮔﺎ ﺗﻤﮭﯿﮟ ﻣﯿﺮﯼ ﻃﺮﺡ
ﺍﺏ ﮐِﺴﯽ ﺳﮯ ﻧﮧ ﻣﺤﺒﺖ ﮐﺮﻧﺎ

ﮔﮭﺮ ﮐﺎ ﺩﺭﻭﺍﺯﮦ ﮐﮭﻼ ﺭﮐﮭﺎ ﮨﮯ
ﻭﻗﺖ ﻣِﻞ ﺟﺎﺋﮯ ﺗﻮ ﺯﺣﻤﺖ ﮐﺮﻧﺎ
.
پروین شاکر

Poochney Ki To Muhlat Hi Na Di Us Ne Wo Lehja Badalta Gaya Aur Hum Door Hote Chaley Gaye


 Poochney Ki To Muhlat Hi Na Di Us Ne
Wo Lehja Badalta Gaya Aur Hum Door Hote Chaley Gaye

پوچھنے کی تو مہلتِ ہی نہ دی اس نے
وہ لہجہ بدلتا گیا اور ہم دور ہوتے چلے گئے

Labon Ko Deni Parrti Hain Qurbaniyan Razab Jab Sukh Ka Thorra Saans Laiti Hain Aarriyan


Labon Ko Deni Parrti Hain Qurbaniyan Razab

Jab Sukh Ka Thorra Saans Laiti Hain Aarriyan

Razab Tabraiz

لبوں کو دینی پڑتی ہیں_ قربانیاں رزب

جب سکھ کا تهوڑا سانس _ لیتی ہیں ایڑیاں
رزب تبریز


Jab Sehar Chup Ho Hansa Lo Hum Ko Jab Andhera Ho Jala Lo Hum Ko


شاعر ڈاکٹر بشیر بدر
بک امیج صفحہ 100
انتخاب
‫‏عروسہ ایمان
جب سحر چپ ہو ہنسالو ہم کو
جب اندھیرا ہو جلا لو ہم کو
ہم حقیقت ہیں نظر آتے ہیں
داستانوں میں چھپالو ہم کو
دن نہ پا جاۓ کہیں شب کا راز
صبح سے پہلے اٹھالو ہم کو
ہم زمانے کے ستاۓ ہیں بہت
اپنے سینے سے لگالو ہم کو
وقت کے ہونٹ ہمیں چھولیں گے
ان کہے بول ہیں گالو ہم کو
.
.

Poet Basheer Badar

Jab Sehar Chup Ho Hansa Lo Hum Ko

Jab Andhera Ho Jala Lo Hum Ko

Hum Haqeeqat Hain Nazar Aate Hain

Dastaanoon Mein Chhupa Lo Hum Ko

Din Na Pa Jaaye Kahein Shab Ka Raaz

Subah Se Pehle Utha Lo Hum Ko

Hum Zamaane K Sataaye Hain Bohat

Apne Seene Se Laga Lo Hum Ko

Waqat K Hont Hamein Chhoo Lein Ge

An Kahe Bol Hain Gaalo Hum Ko


Do Chaar Nahi Mujh Ko Faqat Aik Dekha Do Wo Shakhs Jo Andar Se Bhi Bahir Ki Tarah Ho


Jo Koi Bhi Baghair Murshid K Rasta Par Chala

Wo Shetano Ki Waja Se Gumraah Aur Halak Howa

Molana Jalal-U-Din Romi



Do Chaar Nahi Mujh Ko Faqat Aik Dekha Do Wo Shakhs Jo Andar Se Bhi Bahir Ki Tarah Ho


Do Chaar Nahi Mujh Ko Faqat Aik Dekha Do

Wo Shakhs Jo Andar Se Bhi Bahir Ki Tarah Ho



Gori Ne Wahi Jhail Liya Khuwaab Nagar Mein Mausam Jo Abhi Dahar Mein Shaya Nahi Howa

Gori Ne Wahi Jhail Liya Khuwaab Nagar Mein

Mausam Jo Abhi Dahar Mein Shaya Nahi Howa

Razab Tabraiz

گوری نے وہ بهی جهیل لیا _ خواب نگر میں

موسم جو ابهی دہر میں _ شائع نہیں ہوا
رزب تبریز


Mazhab munhijo maanhpo.. Deen dharam sabh dhoorr..



Mazhab munhijo maanhpo..
Deen dharam sabh dhoorr..


Mafhoom:

Mazhab mera insaniyat
Deen dharam sab dhool/mitti

Hum saaya-daar perr zamaane ke kaam aaye Jab sookhne lage toh jalane ke kaam aaye


Hum saaya-daar perr zamaane ke kaam aaye

Jab sookhne lage toh jalane ke kaam aaye

Talwaar ki myaan kabhi pheinkna nahin

Mumkin hai dushmanon ko daraane ke kaam aaye

Kaccha samajh ke bech na dena makaan ko

Shayad kabhi ye sar chhupaane ke kaam aaye

Aisa bhi husn kya ki tarasti rahe nighaah

Aisi bhi kya ghazal jo na gaane ke kaam aaye

Woh dard de jo raaton ko sone na de humein

Woh zakhm de jo sab ko dikhaane ke kaam aaye


Neel Gagan Ki Gehra'ee Main, Raat Ki Qaatil Tanhai Main, Dhoonda Tujh Ko Aur Pukaara, Baras Baras Barkhaa Bhi Haari,


Nazam ( SARAAB )

Poetess: Fakhraah Batool

Type By
*._.Murtaza._*

Neel Gagan Ki
Gehra'ee Main,

Raat Ki Qaatil Tanhai
Main,

Dhoonda Tujh Ko Aur
Pukaara,

Baras Baras Barkhaa
Bhi Haari,

Koi Khatt, Koi
Sandesa,

Teri Janib Se Na Aaya,

Jaane Tu Kis Dais
Gaya Hai ?

Toot Chukein
Tasbeeh Ki Soorat,

Saansain Meri,

Raat Hai In Akhiyoon
Main Gehri,

Soch Le Jaana !

Deep Agar Yeh Bujh
Jaa'ein Toh,

Kon Tera Rassta
Dekhega?

Har Su Kon Tujhe
Dhoondega?

Aik Saraab Na Ban'ne
Daina,

Jeevan Khawaab Na
Ban'ne Daina..............!

Book Name
Palkain Bheegi Bheegi See
Page No 95-95


Ma Darta Wail Ma Krra Aitbaar Zarrgiya Wede Ledal Sanga Ye Dar Krralo Guzaar Zarrgiya Wede Ledal


مادرته ويل مکړه اعتبار زړګيه ودى ليدل
څنګه يى درکړلو ګوزار زړګيه ودى ليدل

مادرته ويل چى ددى وخت جانان وفانلرى
وى تر مطلبه پورى يار زړګيه ودى ليدل


Ma Darta Wail Ma Krra Aitbaar Zarrgiya Wede Ledal

Sanga Ye Dar Krralo Guzaar Zarrgiya Wede Ledal

 

Ma Darta Wail Che Da De Wakht Janan Wafa Na Lari

Vi Tar Matlaba Pore Yaar Zarrgiya Wede Ledal

 

Hawa K Zor Sey Pindaar-E-Baam-O-Dar Bhi Gaya, Chiraag Ko Jo Bachaatey Thay ,Un Ka Ghar Bhi Gaya,

Hawa K Zor Sey Pindaar-E-Baam-O-Dar Bhi Gaya,
Chiraag Ko Jo Bachaatey Thay ,Un Ka Ghar Bhi Gaya,

Pukaartey Rahey Mehfooz Kishtiyon Walay,
Main Doobata Hua Dariya K Paar, Utar Bhi Gaya,

Ab Ehtiyaat Ki Diwaar Kya Uthaatey Ho,
Jo Chor Dil Main Chupa Tha, Wo Kaam Kar Bhi Gaya,

Main Chup Raha K Is Main Thi Aafiyat Jaan Ki,
Koi To Meri Tarah Tha ,Jo Daar Par Bhi Gaya,

Sulagtey Sochtey Veeraan Mausamon Ki Tarah,
Karraa Tha ehad-E-Jawani ,Magar Guzar Bhi Gaya,

Jisey Bhoola Na Saka ,Us Ko Yaad Kya Rakhta,
Jo Naam Dil Main Raha, Zehan Sey Utar Bhi Gaya,

Phati-Phati Hui Aankhon Sey Yoon Na Dekh Mujhe,
Tujhe Talaash Hai Jis Ki Wo Shakhs ,Mar Bhi Gaya,

Magar Falak Ki Adaawat Usi K Ghar Sey Na Thi,
Jahaan 'Faraz' Na Tha, Sail-E-Gham Udhar Bhi Gaya !

Ahmed Faraz

Mohabbat Khud Batati Hai Kahan Kis Ka Thikana Hai


Mohabbat Khud Batati Hai
Kahan Kis Ka Thikana Hai

Kise Aankhon Me Rakhna Hai
Kise Dil Me Basana Hai

Reha Karna Hai Kis Ko Aur
Kise Zanjeer Karna Hai

Mitana Hai Kise Dil Se
Kise Tehreer Karna Hai

Ise Maloom Hota Hai
Safar Dushwar Kitna Hai

Kisi Ki Chashm-e-Girya Me
Chupa Iqrar Kitna Hai

Shajar Jo Girne Wala Hai
Wo Saya Daar Kitna Hai

Mohabbat Khud Batati Hai
Kahan Kis Ka Thikana Hai...!


Zindagi Ki Talaash Mein Hum Mout K Kitnay Paas Aaye



Zindagi Ki Talaash Mein Hum

Mout K Kitnay Paas Aaye


Na-daan Ye Aurat Kia Jane,Sab Ghaat Lagaye Baithay Hain


نادان یہ عورت کیا جانے
سب گھات لگائے بیٹھے ہیں
باتوں میں تو کیسے آئے گی
سب بات بنائے بیٹھے ہیں
کب قدم تیرے رستہ بھٹکیں
سب نظریں جمائے بیٹھے ہیں
یہ مال سمجھتے ہیں تجھکو
بازار سجائے بیٹھے ہیں
منہ سے تجھے مظلوم کہیں
سوچوں میں نچائے بیٹھے ہیں
تو بہن بھی ہے تو ماں بھی ہے
سب رشتے گمائے بیٹھے ہیں
یہ عورت مرد کے رشتے کو
بس کھیل بنائے بیٹھے ہیں
یہ بد ہیں, بدکردار بھی ہیں
صورت کو چھپائے بیٹھے ہیں
گر ایسا نہیں تو چپ کیوں ہیں
کیوں دین گمائے بیٹھے ہیں
سبق ہیں جو الله نے دیے
کیوں سارے بھلائے بیٹھے ہیں
تو ان پہ بھروسہ نہ کرنا
یہ جال بچھائے بیٹھے ہیں
خود اپنی حفاظت کرنی ہے
یہ شرم مٹائے بیٹھے ہیں

Tumhare Baghair Mein Saans Nahi Le Sakta



Tumhare Baghair Mein Saans Nahi Le Sakta


Dil de to is mizaaj ka parvardeegaar de Jo ranj ki gharhi b khushi se guzaar de


Dil de to is mizaaj ka parvardeegaar de

Jo ranj ki gharhi b khushi se guzaar de


Hamaisha Soch Kar Aati Hon,Dil Ka Haal Lekhongi


ہمیشہ سوچ کر آتی ہوں
دل کا حال لکھوں گی
تمھیں وہ سب بتاؤں گی
جو میں محسوس کرتی ہوں
وہ سب جگنو دکھاؤں گی
جو تم کو سوچ لینے سے ہی آنکھوں میں اترتے ہیں
تمھیں دل کے وہ سب گوشے جہاں پر تم ہی رهتے ہو
دوبارہ سے دکھاؤں گی
ذرا مغرور سی ہو کر
تمہاری سمت پلٹوں گی
کہوں گی پھر
کہ یہ دیکھو۔۔۔۔!
نیۓ کچھ پھول بویۓ ہیں
کہو کیسے لگے تم کو؟؟
تمھیں یہ بھی کہوں گی میں مجھے کچھ تتلیاں بخشو
بنا سوچے۔۔۔بنا سمجھے ہتھیلی آگے کر دوں گی
کہوں گی بس،،،
ابھی دو ناں۔۔۔۔!!
مجھے ایسا ہی لگتا ہے
کہ تم دھیرے سے___اک حدت بھری
معصوم سی تتلی ___ہتھیلی پر سجا دو گے
مجھے محسوس ہوتا ہے
میرے یہ ان کہے جذبے
سبھی محسوس کر لو گے
کبھی محسوس کر لو گے
انہیں مرنے نہیں دو گے
کسی بھی سرد موسم میں
کسی بے درد موسم میں


Shehr-E-Dil Pe Zarb Kaari Dil Haar Gayi Mein Be-Chaari

Poetess:Uroosa Emaan

Shehr-E-Dil Pe Zarb Kaari

Dil Haar Gayi Mein Be-Chaari

Reshta-E-Dil Jorr Kar Torra

Wah Sajan Teri Adakaari

Ashk Aankh Mein Denay Walay

Pur-Nam Hai Chishm Khumaari

Tanhayi Bakhashnay Walay

Khush Rahey Hai Dua Ye Humari


شاعرہ عروسہ ایمان

شہر ۓ دل پر ضرب کاری
دل ہار گئی میں بیچاری
رشتہ ۓ دل جوڑ کر توڑا
واہ سجن تیری اداکاری
اشک آنکھ کو دینے والے
پرنم ہے چشم خماری
تنہائی بخشنے والے
خوش رہے یے دعا ہے ہماری


I Love You


I Love You



Dekha Do Agar Koi Hukm-E-Khuda Hai Keh Jannat Ujaarro Jannat Milay Gi

Dekha Do Agar Koi Hukm-E-Khuda Hai

Keh Jannat Ujaarro Jannat Milay Gi

Saeed Hashmi


Ibadat Rukh Makka Hai Muhabbat Ka Rukh Madeena Hai

Ibadat Rukh Makka Hai

Muhabbat Ka Rukh Madeena Hai


Us ne door rehnay ka Mashvara b likha hai Saath hi Muhabbat ka wasta b likha hai


Us ne door rehnay ka Mashvara b likha hai

Saath hi Muhabbat ka wasta b likha hai

Us ne yeh b likha hai meray ghar nahi aana

Aur saaf saaf lafzon mein raasta b likha hai

kuch haroof likhay hain zabt ki Naseehat mein

kuch haroof mein us ne haosla b likha hai

Shukriya b likha hai dil se yad karnay ka

Dil se dil ka hai kitna fasla b likha hai

Kia usay likhein Kia usay kahain

Jis ne bejaan kar k jaan b likha hy,


Wafadari Ki Sab Rasmain Nibhainge Hum Tum Qasmein Aik Bhi Saans Zindagi Ki Gar Ho Apne Bas Mein


وفا داری کی سب رسمیں نبھائیں گے ھم تم قسمیں
ایک بهی سانس زندگی کی گر ھو اپنے بس میں

Wafadari Ki Sab Rasmain Nibhainge Hum Tum Qasmein

Aik Bhi Saans Zindagi Ki Gar Ho Apne Bas Mein


Kamaal-E-Zabat Ko Khud Bhi To Aazmaaowoon Gi Main Apne Hath Se Us Ki Dulhan Sajaaowoon Gi


شاعرہ پروین شاکر
بک خوشبو صفحہ 179 180
انتخاب
‫‏عروسہ ایمان
کمال ۓ ضبط کو خود بھی تو آزماؤں گی
میں اپنے ہاتھ سے اس کی دلہن سجاؤں گی
سپرد کرکے اسے چاندنی کے ہاتھوں میں
میں اپنے گھر کے اندھیروں کو لوٹ آؤں گی
بدن کے کرب کو وہ بھی سمجھ نہ پاۓ گا
میں دل میں روؤں گی آنکھوں میں مسکراؤں گی
وہ کیا گیا کہ رفاقت کے سارے لطف گۓ
میں کس سے روٹھ سکوں گی کسے مناؤں گی
اب اس کا فن تو کسی اور سے ہوا منسوب
میں کس کی نظم اکیلے میں گنگناؤں گی
وہ ایک رشتہ ۓ بے نام بھی نہیں لیکن
میں اب بھی اس کے اشاروں پہ سر جھکاؤں گی
بچھا دیا تھا گلابوں کے ساتھ اپنا وجود
وہ سو کے اٹھے تو خوابوں کی راکھ اٹھاؤں گی
سماعتوں میں گھنے جنگلوں کی سانسیں ہیں
میں اب کبھی تیری آواز سن نہ پاؤں گی
جواز ڈھونڈ رہا تھا نئی محبت کا
وہ کہہ رہا تھا میں اس کو بھول جاؤں گی

Poetess Parveen Shakir

Kamaal-E-Zabat Ko Khud Bhi To Aazmaaowoon Gi

Main Apne Hath Se Us Ki Dulhan Sajaaowoon Gi

Suprad Kar K Usay Chaandni K Hathoon Mein

Main Apne Ghar K Andheroon Ko Loat Aaowoon Gi

Badan K Karb Ko Wo Bhi Samjh Na Paye Ga

Main Dil Mein Rowoon Gi Aankhoon Mein Muskuraaowoon Gi

Wo Kaya Gaya K Rafaaqt K Sare Lutf Gaye

Main Kis Se Rooth Sakhoon Gi Kise Manaaowoon Gi

Ab Us Ka Fun To Kisi Aur Se Huwa Mansoob

Main Kis Ki Nazam Akele Mein Gungunaaowoon Gi

Wo Aik Rishta-E-BeNaam Bhi Nahein Lekin

Main Ab Bhi Us K Ishaaroon Pe Sar Jhukaaowoon Gi

Bichha Diya Tha Gulaaboon K Sath Apna Wajood

Wo So K Uthe To Khawaaboon Ki Rakh Uthaaowoon Gi

Samaitoon Mein Ghane Jangloon Ki Saansein Hain

Main Ab Kabhi Teri Aawaz Sun Na Paaowoon Gi

Jawaaz Dhoond Raha Tha Nai Mohabbat Ka

Wo Keh Raha Tha K Main Us Ko Bhool Jaaowoon Gi.................................*


Agar Main Kuch Banati Hon To Bas Chaai Banati Hon


بہت عرصہ ہوا اک دن
بتایا تھا مجھے اس نے
بنانا کچھ نہیں آتا
اگر میں کچھ بناتی ہوں
تو بس چاۓ بناتی ہوں
پیو گے ناں
تو میں اس بات پر یوں
مسکراتا ہی رہا تھا کہ
کے بنانا کچھ نہی آتا
بناتی ہوں تو بس چاۓ
مجھے چاۓ سے الجھن ھے
نہیں پیتا
نہیں پیتا
اور اب اس بات کو گزرے
زمانے ھو گۓ کتنے
نہیں معلوم مجھکو کہ
وہ کیسی ھے؟
کہاں پہ ھے؟
مگر اب چاۓ پیتا ہوں
بڑی کسرت سے پیتا ہوں
بڑی حسرت سے پیتا ہوں


Yaaro Zara Batao Keh Dafnaon Kis Jagah Main Ne Kisi Ko Maar Diya Hai Gumaan Mein


 

Yaaro Zara Batao Keh Dafnaon Kis Jagah

Main Ne Kisi Ko Maar Diya Hai Gumaan Mein


Dekhta Baar Baar Hon Tum Ko Magar Shouq Pora Nahi Hota


دیکھتا بار بار ہوں تم کو  

مگر شوق پورا نہیں ہوتا

 

Dekhta Baar Baar Hon Tum Ko

Magar Shouq Pora Nahi Hota


Sharm,Dahshat,Jhijak,Preshani Naaz Se Kaam Kion Nahi Letein?


شرم ، دہشت ، جھجک ، پریشانی
ناز سے کام کیوں نھیں لیتیں ؟
"""آپ ،"" وہ """، جی"" ,مگر."""
یہ سب کیا ھے
تم مرا نام کیوں نھیں لیتیں

 

Sharm,Dahshat,Jhijak,Preshani Naaz Se Kaam Kion Nahi Letein?

Aap,Woh,Jii,Magar Ye Sab Kia Hai Tum Mera Naam Kion Nahi Letein?

Sachhal Sarmast Nango kajj na nidher khy Nimanan nang_paal.. Jin ja heena haal Tin ji parwar pat rakhej Too'n

ننگو کج نہ ندھر کي،

نماٹن ننگ پال

جن جا ھیٹا حال

تن جي پروردگار پت رکیج تون

(سچل سر مست)

Nango kajj na nidher khy
Nimanan nang_paal..
Jin ja heena haal
Tin ji parwar pat rakhej Too'n

Mafhoom
Zahir na Karna bad_naseeb ko
Ye arz hai nang paal
Jin ke miskeeni haal hain
Un ki TUM pardey daari rakhna

Ishq Da Chola Paa Le Saa'in,Chaandi Zulfaan Saja Le Saa'in


عشق دا چولا پا لے سائیں
چاندی زلفاں سجا لے سائیں
اکهیں سرمہ پا لے سائیں
داڑھی مچھ ودھا لے سائیں

یار دے در دا فقیر بنڑ جا
عشق دا سکہ کما لے سائیں
دم دم ہوکاں پهونکی جا
لوں لوں اگ لگا لے سائیں

یار دے در دا کتا بنڑ جا
عشق دا بھید پا لے سائیں
دم دم بهونک بهونکی جا
رو رو گل منا لے سائیں

یار دے در دا پاگل بنڑ جا
عشق دی بکل مار لے سائیں
دم دم چیک چیکی جا
یار توں لاڈ اٹھا لے سائیں

یار دے در دی کنجری بنڑ جا
عشق دے گھنگھرو پا لے سائیں
دم دم فیصل نچی جا
خلقت تمامی نچا لے سائیں

از قلم فیصل ربانی


Kitni Mukhtasar Si Hai Dunya Meri Ik Tu Aur Ik Chahat Teri


Kitni Mukhtasar Si Hai Dunya Meri
Ik Tu Aur Ik Chahat Teri

کتنی مُختصر سی ہے دنیا میری

اِک تو ہے اور اِک چاہت تیری..!!

Laughter Time


A Famous inspirational speaker said:
“Best years of my life were spent in the arms of a woman, who was not my wife.”
Audience were in shock and silence.

He added:
"She was my mother "
Applause & laughter in the crowd
An Engineer tried to crack this at home
He said Loudly to his wife in the kitchen :-
"Best years of my life were spent in the arms of a woman, who was not my wife."!
Standing for the moment and try to recall the 2nd half
when he gained senses he was on a hospital bed recovering from burns of boiling water.
Moral: Do not copy, If you cannot paste !


Jis roz humara kooch hoga phoolon ki dukaanain band hongin


Jis roz humara kooch hoga

phoolon ki dukaanain band hongin

sheereen sukhanoun k herf e dushnaam

be mehar zubaanain band hongin

palkon pe nami ka ziker hi kia 

yaadon ka suraagh tak na hoga

humwari e her nafs salaamat

dil per koi daagh tak na hoga

paamaali e khwaab ki kahani 

kehne ko charaagh tak na hoga

maabood !is aakhri safer main

tanhaayi ko surkhroo hi rakhna

juz tere koi nahin nigahdaar

us din bhi khayaal too hi rakhna

jis aankh ne umer bhar rulaaya

us aankh ko be wuzoo hi rakhna..!!

JIS ROZ HAMARA KOOCH HO GA,

PHOOLON KI DUKAANEN ,BND HON GI


Saare Taweez gale Mein daal Ke dekh liye Aaram to Bas Tere deedar se hi MILa Saahibbb


Saare Taweez gale Mein daal Ke dekh liye

Aaram to Bas Tere deedar se hi MILa Saahibbb!!!!!!


Choor Choor Ho Gaye Wo Khuwaab Jo Iqbal Ne Dekhay Aaj Usi Ke Naam Ki Park Mein Shaheen Bikhry Parre


Black day lahore blast‬

Choor Choor Ho Gaye Wo Khuwaab Jo Iqbal Ne Dekhay

Aaj Usi Ke Naam Ki Park Mein Shaheen Bikhry Parre

Jan Muhammad

Black day lahore blast‬

 
چور چور ہوگئے وہ خواب جو اقبال نے دیکهے
آج اسی کے نام کی پارک میں شاہین بکهرے پڑھے

(جان محمد)

Apni Hi Sada Sunon Kahan Tak,Jungal Ki Hawa Rahon Kahan Tak


شاعرہ پروین شاکر
بک خوشبو صفحہ 223
انتخاب
عروسہ ایمان
اپنی ہی صدا سنوں کہاں تک
جنگل کی ہوا رہوں کہاں تک
ہر بار ہوا نہ ہوگی در پر
ہر بار مگر اٹھوں کہاں تک
دم گھٹتا ہے گھر میں حبس وہ ہے
خوشبو کے لیے رکوں کہاں تک
پھر آکے ہوائیں کھول دیں گی
زخم اپنے رفو کروں کہاں تک
ساحل پہ سمندروں سے بچ کر
میں نام تیرا لکھوں کہاں تک
تنہائی کا ایک ایک لمحہ
ہنگاموں سے قرض لوں کہاں تک
گر لمس نہیں تو لفظ ہی بھیج
میں تجھ سے جدا رہوں کہاں تک
سکھ سے بھی تو دوستی کبھی ہو
دکھ سے ہی گلے ملوں کہاں تک
منسوب ہو ہر کرن کسی سے
اپنے ہی لیے جلوں کہاں تک
آنچل میرے بھر کے پھٹ رہے ہیں
پھول اس کے لیے چنوں کہاں تک

Khpal Zarrgay Ao Sta Yadoona Ba Zu Sa Krram Da Laas Nakhay Ao Guloona Ba Zu Sa Krram

خپل زړګی او ستا یادونه به زه څه کړم
د لاس نخښې او ګلونه به دې څه کړم


پرهرونه به د زړه خلکو نه پټ کړم
خو د اوښکو سیلابونه به زه څه کړم


Khpal Zarrgay Ao Sta Yadoona Ba Zu Sa Krram

Da Laas Nakhay Ao Guloona Ba Zu Sa Krram

Parharona Ba Da Zrru Khalko Na Pat Krram

Khu Da Okhko Selaabona Ba Zu Sa Krram


Teri Ghutti Mein Shamil Hai,Nahata Dekh Ke Insaan Faqat Barood Ban Jana (Dahshat Gard K Naam)


 !!!!!! بنام_دہشت گرد !!!!!!
تیری گهٹی میں شامل
ہے
نہتا دیکھ کے انساں
فقط
بارود بن جانا
تو
لامزہب سی مٹی
ہے
تجهے کیا ہوش کے
ناخن
کہ سب وحشی درندوں
میں
فقط گهس بیٹهیا ہے
تو
مگر
اے نار کے باسی
یہ میرا دیس ہے جس
میں
ہزاروں ڈهلتی شمعوں
کے
کروڑوں استعارے
ہیں
یہ اجل_مشت_وحشت
کے
بافضل_باریء تعالی
سبهی
غیبی اشارے ہیں
تو
ان پہ آنکھ مت رکهیو !
تیرے
بارود کی بو سے
یہ
نیّر اور چمکیں گے
تو
اس علمی قبیلے سے
بهلا
کیا خاک واقف ہے ... ؟؟؟
انہیں
کمزور مت کہیو !
دہر
میں مثل_ثرّیا
یہ
شملے نیل دیتے ہیں
کہ
اپنے قمری منتر سے
یہ
دشمن کیل دیتے ہیں
رزب تبریز
   Black Day March, 27 , 2016
 

Aisa kahan bahaar mein RANGEENIYON ka josh Shamil kisi ka KHOON-E-TAMNNA zaroor tha

1

Aisa kahan bahaar mein RANGEENIYON ka josh

Shamil kisi ka KHOON-E-TAMNNA zaroor tha....!!!

2

 KHOON-E-DIL,KHOON-E-JIGAR,KHOON-E-TAMANNA LEKAR

 MAIN NE VEERAN BAHARON KO SAJA RAKHA HAI..........!!!

3

  Muddat Hui Hai~Khoon-E-Tamanna Kiye Magar 

Ab Tak Tapak Raha Hai Lahoo Dil K Jaam Se !!!

  4

 Badshah-e-ishq hai hm taqaza wafa ka krte hn..!!!

Bewafa jo bi hue riyasat me,Qalam sar unka krte hn..!!!

 

Nazar jo teri laagi main deewani ho gayi Deewani haan deewani, deewani ho gayi

The song is sung by Shreya Ghoshal and composed by Sanjay Leela Bhansali, picturised on Deepika Padukone and Ranveer Singh

Nazar jo teri laagi main deewani ho gayi
Deewani haan deewani, deewani ho gayi
Mash’hoor mere ishq ki kahaani ho gayi
Jo jag ne na maani toh maine bhi thaani
Kahaan thi main dekho kahaan chali aayi..
Kehte hain ye deewani mastani ho gayi

Mash’hoor mere ishq ki ye kahani ho gayi
Jo jag ne na maani toh maine bhi thaani
Kahaan thi main dekho kahaan chali aayi..
Kehte hain ye deewani mastani ho gayi
Deewani haan deewani, deewani ho gayi

Zakham aisa tune lagaya
Deewani, deewani, deewani, deewani ho gayi
Marham aisa tune lagaya
Ruhaani, ruhaani, ruhaani, ruhaani ho gayi
Pehchaan mere ishq ki ab toh
Pehchaan mere ishq ki ab toh
Rawaani, rawaani, rawaani, rawaani ho gayi

Ho.. mash’hoor mere ishq ki kahani ho gayi
Kehte hai yeh deewani, mastani ho gayi
Haan deewani, haan deewani, deewani ho gayi
Mash’hoor mere ishq ki kahani ho gayi
Jo jag ne na maani toh maine bhi thaani
Kahaan thi main dekho kahaan chali aayi

Kehte hain ye deewani, Mastani ho gayi
Deewani haan deewani, deewani ho gayi

Sab noor noor sa bikhra hai
Ek tu hi khayalon mein utra hai
Bas jhoom jhoom jhoom jhoom jaata hai dil
Tu mastani hai..
Tu deewani hai..
Paakeza hasti hain teri, tu noorani hai..

Sab noor noor sa bikhra hai
Ek tu hi khayaalon mein utra hai


Aaj Ki Shab To Kisi Tuor Guzar Jai Gi,Raat Gehri Hai Magar Chaand Chamakta Hai Abhi


شاعرہ پروین شاکر
بک خوشبو
صفحہ 88 89

انتخاب
عروسہ ایمان‬

آج کی شب تو کسی طور گذر جاۓ گے
رات گہری ہے مگر چاند چمکتا ہے ابھی
میرے ماتھے پہ تیرا پیار دمکتا ہے ابھی
میری سانسو میں تیرا لمس مہکتا ہے ابھی
میرے سینے میں تیرا نام دھڑکتا ہے ابھی
زیست کرنے کو میرے پاس بہت کچھ ہے ابھی
تیری آواز کا جادو ہے ابھی میرے لیے
تیرے ملبوس کی خوشبو ہے ابھی میرے لیے
تیری بانہیں تیرا پہلو ہے ابھی میرے لیے
سب سے بڑھ کر میری جان تو ہے ابھی میرے لیے
زیست کرنے کو پاس بہت کچھ ہے ابھی
آج کی شب تو کسی طور گذر جاۓ گی
آج کے بعد مگر رنگ ۓ وفا کیا ہوگا
عشق حیراں ہے سر ۓ شہر ۓ سبا کیا ہوگا
میرے قاتل تیرا انداز ۓ جفا کیا ہوگا
آج کی شب تو بہت کچھ ہے مگر کل کے لیے
ایک اندیشہ بے نام ہے اور کچھ بھی نہیں
دیکھنا یہ ہے کہ کل تجھ سے ملاقات کے بعد
رنگ ۓ امید کھلے گا کہ بکھر جاۓ گا
وقت پرواز کرے گا کہ ٹھہر جاۓ گا
جیت ہو جاۓ گی یا کھیل بگڑ جاۓ گا
خواب کا شہر رہے گا کہ اجڑ جاۓ گا............................؟


Wo aur hongy jinhein mout aa gai hogi Nigaah e yaar ny bakshi hai zindagi hum ko


Wo aur hongy jinhein mout aa gai hogi

Nigaah e yaar ny bakshi hai zindagi hum ko


(Mor Khuwagay Morey) Ma Da Para Farekhta Ye Zama Kor Pa Ta Janat Dy


Ma Da Para Farekhta Ye

Zama Kor Pa Ta Janat Dy

Ma Da Para Farekhta Ye

Jwand La Ta Na Ibadat Dy

Tu Da Jwand Da Ghar Cheena Ye

Mor Khuwagay Morey

Mor Khuwagay Morey

Mor Khuwagay Morey

Ku Tu Na Wey Zu Ba Na Woma

Ao Ku Woma Zu Ba Sa Woma

Daa Pa Ma Che Nan Rahat Dy

Dagha Tol Sta Barkat Dy

Sta Ghamona Ma Ta Yaad Di

Sta Fikrona Ma Ta Yaad Di

Tola Shpa Ma Ta Dua Krre

Sta Nafloona Ma Ta Yaad Di

Zu De Gul Krram Zaan De Khaore

Da Sparli Da Baagh Wagma Ye

Mor Khuwagay Morey

Mor Khuwagay Morey

Che Ba Kala Shom Na-Jorra

Sta Jarra Zama Yadegi

Ma Che Oweene Takleef Ke

Sta Zarrgay Sora Khugigi

Yao Yao Haq De Pa Ma Ghar Dy

Da Ba Sanga Pora Kegi

Tu Che Na Ye Khudai De Na Krri

Zama Jwand Ba Sang Teregi

Khudai De Dase Na Krri Chare

Che Zu Yam Ao Tu De Na Ye

Mor Khuwagay Morey

Mor Khuwagay Morey

Waya Zaan Darta Logay Krram

Ku Jahan Darta Logay Krram

Maal-O-Zar Darna Qurban Krram

Ku Khpal Sar Darna Qurban Krram

Shairi Mi Darna Zaar Sha

Zindagi Mi Darna Zaar Sha

Khushali Mi Sta Raza Da

Da Zwani Mi Darna Zaar Sha

Ku Sajda Darta Ja'iz Way

Tu Zama Khaana-e-Kaaba Ye

Mor Khuwagay Morey

Mor Khuwagay Morey

Ma Da Para Farekhta Ye

Zama Kor Pa Ta Janat Dy

Ma Da Para Farekhta Ye

Jwand La Ta Na Ibadat Dy

Tu Da Jwand Da Ghar Cheena Ye

Mor Khuwagay Morey

Mor Khuwagay Morey

Mor Khuwagay Morey

**********NOMI*********


Apni Akhian Sanbhal Sajni,Zara Qayamat Ko Taal Sajni


اپنی اکهیاں _____ سنبهال سجنی

ذرا قیامت کو ______ ٹال سجنی

غشی کا دورہ _____ چہارسو ہے
ہم ہی نہیں ہیں ___ نڈهال سجنی

رہے اجل پہ _______ تمہارا ذمہ
یہی ہے موزوں ____ خیال سجنی

نہ رت جگے ہیں ____نہ نیند پارے
پڑا ہے ایسا _______ اکال سجنی

کوئی تبسم _______ کوئی اشارہ
کوئی تو ہو ______ اندمال سجنی

وہی مذمت ______ دل_حزیں کی
وہی نسوں کا ____ جنجال سجنی

تیری بزم ______ عسکری کچہری
اٹها نہ کوئی ______ سوال سجنی

خلل میں شوق_نظارہ ______الجها
دهنک دکهائے ______ گلال سجنی

تیرا خلاصہ _______ عروج_عشرت
میرا مخفف _______ زوال سجنی

سبو پہ پهونکو _____ یوں اسم_اعظم
" آزاد " سمجهے ________ حلال سجنی

شیخ اسلم آزاد


Dehaan Main Aa Kar Baith Gaye Ho Tum Bhi Naa'n Mujhe Musalsal Dekh Rahe Ho Tum Bhi Naa'n

Poetess:Anbreen Haseeb

Type By

*.__NOMI__.*


Tumhara Jo Sahara Ho Gaya Hai

Bhunvar Bhi Ab Kinaara Ho Gaya Hai


Muhabbat Mein Bhala Kia Aur Hota

Mera Ye Dil Tumhara Ho Gaya


>>>>>>>>>>>><<<<<<<<<<<<

Tum Bhi Naa'n

>>>>>>>>>>>><<<<<<<<<<<<


Dehaan Main Aa Kar Baith Gaye Ho Tum Bhi Naa'n

Mujhe Musalsal Dekh Rahe Ho Tum Bhi Naa'n


De Jate Ho Mujh Ko Kitnay Rang Naye

Jaise Pehli Baar Milay Ho Tum Bhi Naa'n


Har Manzar Mein Ab Hum Dono Hotay Hain

Mujh Mein Aise Aan Basey Ho Tum Bhi Naa'n


Ishq Ne Yun Dono Ko Hum-Aamaiz Kia

Ab To Tum Bhi Keh Detay Ho Tum Bhi Naa'n


Khud Hi Kaho Ab Kaise Sanwar Sakti Hon Main

Aainey Mein Tum Hotay Ho Tum Bhi Naa'n


Bankay Haseen Honton Par Bhi Rehtay Ho

Ashkon Mein Bhi Tum Rehtay Ho Tum Bhi Naa'n


Meri Band Aankhein Bhi Tum Parh Laitay Ho

Mujh Ko Itna Jaan Chukay Ho Tum Bhi Naa'n


Mang Rahe Ho Rukhsat Mujh Se Aur Khud Hi

Haath Mein Haath Liye Baithay Ho Tum Bhi Naa'n


Dehaan Mein Aa Kar Baith Gaye Ho Tum Bhi Naa'n

Mujhe Musalsal Dekh Rahe Ho Tum Bhi Naa'n

Wakif To hai hum bhi mashhoor hone k tariko se Par dil ko Zid hai apne hi anzaad se jeene ki


Wakif To hai hum bhi mashhoor hone k tariko se

Par dil ko Zid hai apne hi anzaad se jeene ki


Khayal e tarq e tamanna na kar sake tu bhi Udasiyon ka madawa na kar sake tu bhi


Khayal e tarq e tamanna na kar sake tu bhi
Udasiyon ka madawa na kar sake tu bhi

Khuda wo din na dikhaye tujhe k meri tarah
Meri wafa pe bharosa na kar sake tu bhi

Tujhe ye gham k meri zindgi ka kya hoga
Mujhe ye zid k madawa na kar sake tu bhi

Nasir Kazmi


zara soch kar samajh kar mujhe sogwaar karna Usey dhoond sab se pehle jo mila nahin hai tujh ko


Ghum-e-hijr se na dil ko kabhi hum-kinaar karna

main phir aaunga palat kar mera intezaar karna

Mujhe dar hai mere aansoo teri aankh se na jhalken

zara soch kar samajh kar mujhe sogwaar karna

Usey dhoond sab se pehle jo mila nahin hai tujh ko

ye sitaare aasmaan ke kabhi phir shumaar karna

Mere shehar ki fiza mein koi zehar bhar gaya hai

tere husn par hai laazim usey khushgawaar karna

Main uthaaungaa na ehsaan tere baad na-khuda ka

mujhe tu ne hi duboya mujhe tu hi paar karna

Mere badnaseeb saathi teri zindagi hi kya hai

na kisi se dil lagaana na kisi se pyaar karna

Kabhi iqtidaar bakhshe jo khuda qateel tujh ko

jo rawish hai qaatilon ki woh na ikhtiyaar karna

Qateel Shifai


Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha mohabbat bhi zaroori thi, bichharna bhi zaroori tha


Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha

mohabbat bhi zaroori thi, bichharna bhi zaroori tha

Zaroori tha ki hum dono tawaaf-e aarzoo karte

magar phir aarzuon ka bikharna bhi zaroori tha

Wohi hain sooraten apni, wohi main hun, wohi tum ho

magar khoya hua hun main, magar tum bhi kahin gum ho

Mohabbat mein daghaa ki thi, so kaafir the, so kaafir hain

mili hain manzilen phir bhi musaafir the, musaafir hain

Tere dil ke nikaale hum kahaan bhatke, kahaan pahunche

magar bhatke toh yaad aaya, bhatakna bhi zaroori tha


Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahin milta kahin zameen toh kahin aasmaan nahin milta


Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahin milta

kahin zameen toh kahin aasmaan nahin milta

Tamaam shehar mein aisa nahin khuloos na ho

jahan umeed ho iss ki wahan nahin milta

Kahan charaagh jalaayen kahan gulaab rakhen

chhaten toh milti hain lekin makaan nahin milta

Ye kya azaab hai sab apne aap mein gum hain

zubaan mili hai magar hum-zubaan nahin milta

Charaagh jalte hain beenaai bujhne lagti hai

khud apne ghar mein hi ghar ka nishaan nahin milta

Nida Fazli


Raqs karne ka mila huqm jo dariyaaon mein hum ne khush ho ke bhanwar baandh liye paaon mein


Raqs karne ka mila huqm jo dariyaaon mein

hum ne khush ho ke bhanwar baandh liye paaon mein


Surmayi aankhon ke neeche phool se khilne lage kehte kehte kuchh kisi ka sochna achchha laga

Bheer mein ek ajnabi ka saamna, achchha laga,

sab se chhup kar woh kisi ka dekhna ,achchha laga.

Surmayi aankhon ke neeche phool se khilne lage

kehte kehte kuchh kisi ka sochna achchha laga

Baat toh kuchh bhi nahin thi lekin uss ka ek dum

haath ko honthon pe rakh kar rokna achcha laga

Chaai mein cheeni milaana uss ghari bhaya bahut

zer-e-lab woh muskurata, shukriya achchha laga

Dil mein kitne ahad baandhe the bhulane ke usey

 woh mila toh sab iraade torna achchha laga

Neem shab ki khamoshi mein bheegti sarakon pe kal

 teri yaadon ke jaalo mein ghoomna achchha laga

Uss udu-e-jaan ko amjad main bura kaise kahun

 jab bhi aaya saamne woh bewafa achchha laga

Amjad Islam Amjad

Kisi bhi morr ya agle paraao par Juda hi hum ko hona hai toh aao phir



Kisi bhi morr ya agle paraao par

Juda hi hum ko hona hai toh aao phir

Yahin apne asaason ko alag kar lein

Ye jitne zakhm dil par hain

Idhar meri taraf kar do

K tum aksar ye kehte the

Ye sab meri badoulat hain

Magar thehro

Zara thehro

Yahan kuchh khwaab bhi honge

Jo mil ke hum ne dekhe thay

Suhaane khwaab tum rakh lo

Adhooray sab mujhe de do

Ki meri yun bhi aadat hai

Mujhe tooti hui cheezon se ek benaam ulfat hai

 

Bahut hi muddat ke baad kal jab kitaab-e-maazi ko maine khola


Bahut hi muddat ke baad kal jab

kitaab-e-maazi ko maine khola

Bahut se chehre nazar mein utare

bahut se naamon pe dil paseeja

Ek aisa safha bhi uss mein aaya

likha hua tha jo aansuon se

K jiska unwan 'humsafar' tha

jo safha sab se hi motabar tha

Kuchh aur aansu phir uss pe tapke

phir uss se aage main parh na paya

Kitaab-e-maazi ko band kar ke

uski baaton mein kho gaya main

Agar woh milta toh kaisa hota

inhi khyaalon mein so gaya main

Wahan tak saath chalte hain,jahan tak saath mumkin hai Jahan halaat badalenge,wahan tum bhi badal jana


Wahan tak saath chalte hain,jahan tak saath mumkin hai

Jahan halaat badalenge,wahan tum bhi badal jana


Tumhari aankhein kehti hain hisaar-e-zaat se niklo Tammana meri ban jaao, shab-e-barbaad se niklo


Tumhari aankhein kehti hain hisaar-e-zaat se niklo

Tammana meri ban jaao, shab-e-barbaad se niklo

Kinara thaam lo dil ka, bhula do sab gile-shikwe

Kabhi sacchi hansi hans do, puraani yaad se niklo

Khyaal-e-yaar accha hai, magar jis ne wafa na ki

Palat kar phir sadaa na do, dar-e-fariyaad se niklo

Aaj ki raat ka pehlu achaanak hum se kehta hai

Saja lo aankh mein sapne, udaas raat se niklo

Nahin tum ko ganwara ab humara qurb to keh do

Humare qarb ki chhoro ,tum iss azaab se niklo


Tool-e-Shab-e-Firaaq Jo Maapa Qais Nay......!!! Nikla Woh Zulf-e-Laila Sy Do Chaar Haath Kam...!!!

Tool-e-Shab-e-Firaaq Jo Maapa Qais Nay......!!!

Nikla Woh Zulf-e-Laila Sy Do Chaar Haath Kam...!!!

Tu Jis Waqt Ye Insan Banaya Ya RAB,Us Ghari Mujh Ko To Ye Kaam Na Bhaya Ya RAB

ابلیس کی فریاد

شاعر مرحوم طالب کہنڈیری

تونے جس وقت یہ انسان بنایا یارب

اس گھڑی مجھ کو تو یہ کام نہ بھایا یارب

اس لیے میں نے سر اپنا نہ جھکایارب

لیکن اب پلٹی ہے کچھ ایسی ہی کایا یارب

عقل مندی ہے اسی میں کہ میں توبہ کر لوں 

سوچتا ہوں کہ اب انسان کو سجدہ کر لوں

ابتدا تھی بڑی نرم طبیت اس کی

قلب و جاں پاک تھے شفاف تھی سیرت اس کی

پھر بتدریج بدلنے لگی خصلت اس کی

اب تو خود مجھ پہ مسلط ہے شرارت اس کی

اس سے پہلے کہ میں اپنا تماشا کر لوں

سوچتا ہوں کہ اب انسان کو سجدہ کر لوں

بھر دیا تونے بھلا کون سا فتنہ اس میں

پکتا رہتا ہے ہمیشہ کوئی لاوا اس میں

اپنا آتش کدہ زات ہی ٹھنڈا کر لوں

سوچتا ہوں کہ اب انسان کو سجدہ کر لوں

اب تو یہ خون کے رشتوں سے اکڑ جاتا ہے

باپ سے بھائی سے بیٹے سے بھی لڑ جاتا ہے

جب کبھی طیش میں حد سے جو اکڑ جاتا ہے

خود میرے شر کا توازن بھی بگر جاتا ہے

اب تو لازم ہے کہ میں خود کو سیدہا کر لوں

سوچتا ہوں کہ میں انسان کو سجدہ کر لوں

میری نظر میں تو بس مٹی کا مادھو تھا بشر

میں سمجھا تھا اسے خود سے بہت ہی کم تر

مجھ پے پہلے نہ کھلے اس کی سیاسی جوہر

کان میرے بھی کترتا ہے لیڈر بن کر

شیطانیت چھوڑ کے میں بھی یہی دھندہ کر لوں

سوچتا ہوں کہ اب انسان کو سجدہ کر لوں

اب جھجکتا ہے نہ ڈرتا ہے نہ شرماتا ہے

نت نئی فتنہ گری روز یہ پھیلاتا ہے

اب یہ ظالم میرے بہکاوے میں کب آتا ہے

میں برا سوچتا رہتا ہوں یہ کر جاتا ہے

میں بھی اس کی مریدی کا ارادہ کر لوں

سوچتا ہوں کہ اب انسان کو سجدہ کر لوں

 

Hum Nay Kaya Kaya Na Taray Ishq Mein Mehaoob Kiya..........? Sabar-E-Ayoob Kiya Gariya-E-Yaqoob Kiya...............!!


Hum Nay Kaya Kaya Na Taray Ishq Mein Mehaoob Kiya..........?

Sabar-E-Ayoob Kiya Gariya-E-Yaqoob Kiya...............!!

 

ہم نے کیا کیا نہ تیرے عشق میں محبوب کیا

صبر ایوب کیا گریہ، یعقوب کیا




Shehar Ke Dukandaro Karobaar-E-Ulfat Mein Sood Kia Zian Kia Hai, Tum Na Jaan Pao Gay


Shehar Ke Dukandaro Karobaar-E-Ulfat Mein Sood Kia Zian Kia Hai,
Tum Na Jaan Pao Gay
Dil Ke Daam Kitne Hein Khuwab Kitne Mehnge Hein Aur Naqd-E-Jaan Kia Hai
Tum Na Jaan Pao Gay
Koi Kaisay Milta Hai Phool Kaisay Khilta Hai Aankh Kaisay Jhukti Hai

Saans Kaisay Rukti Hai
Kaisay Reh Nikalti Hai Kaisay Baatein Chalti Hai Shouq Ki Zabaan Kya Hai,
Tum Na Jaan Pao Gay

Wasl Ka Sukoon Kya Hai, Hijr Ka Junoon Kya Hai,Husn Ka Fusoon Kya Hai,
Ishq Ke Daroon Kya Hai
Tum Mareez-E-Danai Maslihat Ke Shaydai Raah-E-Gumrahan Kya Hai
Tum Na Jaan Pao Gay

Zakhm Kaisay Phaltay Hein Daagh Kaisay Jaltay Hein Dard Kaisay Hota Hai
Koi Kaisay Rota Hai
Ashk Kia Hai Nalay Kia Dasht Kia Hai Chalay Kia Aah Kia Fughaan Kya Hai,
Tum Na Jaan Pao Gay

Namuraad Dil Kaisay Subah Shaam Kartay Hein Kaisay Zinda Rehtay Hein
Aur Kaisay Martay Hein
Tum Ko Kab Nazar Aayi Ghamzadoon Ki Tanhai Zeest Be-Umaan Kia Hai,
Tum Na Jaan Pao Gay
Janta Hoon Mein Tum Ko Zouq-E-Shaiyri Bhi Hai Shaksiyat Sayjanay Mein
Ik Yeh Mahiri Bhi Hai
Phir Bhi Harf Chuntay Ho Sirf Lafz Suntay Ho In Ke Darmiyaan Kya Hai,
Tum Na Jaan Pao Gay

JAVED AKHTER


Udaas logon se pyar karna,koi to seekhay sufaid lamhon main rang bharna,koi to seekhay




Udaas logon se pyar karna,koi to seekhay
sufaid lamhon main rang bharna,koi to seekhay

koi to aae,khizaan main patay ,ugaanay wala
gullon ki khushboo ko qaid karna,koi to seekhay


To Kia Main Tumhein Kabhi Yaad Hi Nahi Aaya Kisi Gulaab Ko Tehni Se Torr Kar Bhi Nahi To Kia Main Tumhein Kabhi Yaad Hi Nahi Aaya

 

To Kia Main Tumhein Kabhi Yaad Hi Nahi Aaya

Kisi Gulaab Ko Tehni Se Torr Kar Bhi Nahi

To Kia Main Tumhein Kabhi Yaad Hi Nahi Aaya

Subak Kalayi Mein Gajrey Kabhi Pehentay Hoe

Gulaab Haathon Pe Mehindi Kabhi Lagatay Hoe

Sufaid Dhoodhya Aanchal Ko Zard Rangtay Hoe

Gulaal Maltay Hoe Chhorriyaan Pehentay Hoe

Chamaktay Maathay Pe Bindia Kabhi Sajatay Hoe

Sanwar K Dair Tak Aainay Ko Taktay Hoe

To Kia Main Tumhein Kabhi Yaad Hi Nahi Aaya

Kisi Kabotar e Gardaa'n Ko Dekh Kar Bhi Nahi

Kabhi Diya Kisi Dargaah Pe Jalatay Hoe

Kisi Dukaan Pe Saarri Pasand Karte Hoe

Lachakti Shaakh Pe Pehla Gulaab Lagtay Hoe

Kabhi Yunhi Kisi Makhsoos Dhun Ko Suntay Hoe

Kabhi Kabhi Yunhi Koi Kitaab Parhtay Hoe

Barastay Abr Mein Chhat Pe Kabhi Nehatay Hoe

Kisi Suhaili Se Hanstay Samey Liptay Hoe

Kisi Khayal Mein Baithay Se Uth Ke Chaltay Hoe

Kisi Bhi Raat Ko Uth Kar Yunhi Tehltay Hoe

Akelay Door Tak Khashi Mein Chaltay Hoe

Khala Ki Zaat Ki Be-Aasra Bhataktay Hoe

Kisi Pahaarr Pe Sanbhal K Charrtay Hoe

Utartay Chaand Ka Muojon Mein Aks Partay Hoe

Kabhi Libaas Pe Khushbo Koi Lagatay Hoe

Fiza Mein Sokhay Patton Ka Shor Suntay Hoe

Mitay Hoe Se Darakhton Pe Naam Parrhtay Hoe

Kisi Bhi Roz Yunhi Ghar K Kaam Kartay Hoe

Aazaan Hote Hi Aanchal Se Sar Ko Dhaktay Hoe

To Kia Main Tumhein Kabhi Yaad Hi Nahi Aaya

Kisi Gulaab Ko Tehni Se Torr Kar Bhi Nahi

Kisi Kabotar e Gardaa'n Ko Dekh Kar Bhi Nahi

Kisi Darakht K Saaye Mein Bath Kar Bhi Nahi

To Kia Main Tumhein Kabhi Yaad Hi Nahi Aaya

Poet:Khalilullah Farooqui

 

تو کیا میں تمہیں کبھی یاد ہی نہیں آیا

کسی گلاب کو ٹہنی سے توڑ کر بھی نہیں

تو کیا میں تمہیں کبھی یاد ہی نہیں آیا

سُبک کلائی میں گجرے کبھی پہنتے ہوئے

گلاب ہاتھوں پہ مہندی کبھی لگاتے ہوئے

سفید دودھیا آنچل کو زرد رنگتے ہوئے

گُلال ملتے ہوئے چوڑیاں پہنتے ہوئے

چمکتے ماتھے پہ بندیا کبھی سجاتے ہوئے

سنور کے دیر تک آئینے کو تکتے ہوئے

تو کیا میں تمہیں کبھی یاد ہی نہیں آیا

کسی کبوترِ گرداں کو دیکھ کر بھی نہیں

کبھی دیا کسی درگاہ پر جلاتے ہوئے

کسی دکان پہ ساڑھی پسند کرتے ہوئے

لچکتی شاخ پہ پہلا گلاب لگتے ہوئے

کبھی یونہی کسی مخصوص دُھن کو سنتے ہوئے

کبھی کبھی یونہی کوئی کتاب پڑھتے ہوئے

برستے ابر میں چھت پہ کبھی نہاتے ہوئے

کسی سہیلی سے ہنستے سمے لپٹتے ہوئے

کسی خیال میں بیٹھے سے اُٹھ کے چلتے ہوئے

کسی بھی رات کو اُٹھ کر یونہی ٹہلتے ہوئے

اکیلے دور تک خامشی میں چلتے ہوئے

خلا کی ذات کی بے آسرا بھٹکتے ہوئے

کسی پہاڑ پہ تنہا سنبھل کے چڑھتے ہوئے

اُترتے چاند کا موجوں میں عکس پڑتے ہوئے

کبھی لباس پہ خوشبو کوئی لگاتے ہوئے

فضا میں سوکھے پتّوں کا شور سنتے ہوئے

مٹے ہوئے سے درختوں پہ نام پڑھتے ہوئے

کسی بھی روز یونہی گھر کے کام کرتے ہوئے

اذان ہوتے ہی آنچل سے سر کو ڈھکتے ہوئے

تو کیا میں تمہیں کبھی یاد ہی نہیں آیا

کسی گلاب کو ٹہنی سے توڑ کر بھی نہیں

کسی کبوترِ گرداں کو دیکھ کر بھی نہیں

کسی درخت کے سائے میں بیٹھ کر بھی نہیں

تو کیا میں تمہیں کبھی یاد ہی نہیں آیا

خلیل اللہ فاروقی


Kahin Pe Dard Ki Jheelen, Kahin Lehjay Ki Karwahat Suno Me Khush To Hun Lekin ,Mera Har Lafz Rota Hai


Kahin Pe Dard Ki Jheelen, Kahin Lehjay Ki Karwahat

Suno Me Khush To Hun Lekin ,Mera Har Lafz Rota Hai


Main Logon Se Mulaqaton K Lamhay Yaad Rakhta Hon Main Batein Bhool Bhi Jaon To Lehjey Yaad Rakhta Hon

Main Logon Se Mulaqaton K Lamhay Yaad Rakhta Hon

Main Batein Bhool Bhi Jaon To Lehjey Yaad Rakhta Hon

 

Mujhe Arzoo-E-Sahar Rahi Yunhi Raat Bhar Bari Dair Tak


Mujhe Arzoo-E-Sahar Rahi

Yunhi Raat Bhar Bari Dair Tak

Na Bikhar Saka Na Simat Saka

Yunhi Raat Bhar Bari Dair Tak

Tha Bohat Azab Aur Akele Hum

Shab-E-Gham Bhi Meri Taweel Tar

Rahi Zindagi Bhi Saraab Aur

Rahi Aankh Tar Bari Dair Tak

Yahan Har Taraf Hai Ajab Samaa

Sabhi khud Pasand Sabhi Khud Numa

Dil-E-Beqarar Ko Na Mil Saka

Koi Chara Gar Bari Dair Tak

Mujhe Zindagi Hai Aziz Tar

Isi Waste Mere Hamsafar

Mujhe Qatra Qatra Pila Zeher

Jo Kare Asar Bari Dair Tak


Main Jamaal Fitrat-E-Husn Hon,Meri Har Ada Hai Haseen Tar Jo Jhukon To Shaakh-E-Gulaab Hon,Jo Uthon To Abr-E-Bahaar Hon

Main Jamaal Fitrat-E-Husn Hon,Meri Har Ada Hai Haseen Tar

Jo Jhukon To Shaakh-E-Gulaab Hon,Jo Uthon To Abr-E-Bahaar Hon


میں جمالِ فطرتِ حسن ہوں مری ہر ادا ہے حسین تر

جو جھکوں تو شاخ گلاب ہوں جو اٹھوں تو ابر بہار ہوں


Kisi Din Zindagani Mein Karishma Kion Nahi Hota? Main Har Din Jaag To Jata Hon Zinda Kion Nahi Hota

Kisi Din Zindagani Mein Karishma Kion Nahi Hota?

Main Har Din Jaag To Jata Hon Zinda Kion Nahi Hota

 

کسی دن زندگانی میں
کرشمہ کیوں نہیں ہوتا؟

میں ہر دن جاگ تو
جاتا ہوں زندہ کیوں
نہیں ہوتا


Maqsad-E-Takhleeq-E-Chaman Ka Kaam Baki Hai Ta'ameer-O-Tarteeb Ka Buhat Kaam Baki Hai Pakistan Paindabad

 

Maqsad-E-Takhleeq-E-Chaman Ka Kaam Baki Hai

Ta'ameer-O-Tarteeb Ka Buhat Kaam Baki Hai

Pakistan Paindabad

مقصدِ تخلیق چمن کا اھتمام ابھی باقی ہے

تعمیر و ترتیب کا بہت کام ابھی باقی ہے

ﭘﺎﮐﺴﺘﺎﻥ ﺯﻧـــــــــــــــﺪﮦ ﺑﺎﺩ ، ﭘﺎﮐﺴﺘﺎﻥ ﭘﺎﺋـــــــــــــــﻨﺪﮦ ﺑﺎﺩ

 

Barq-e-Jamal-e-Yaar Ne Rakht Sukon Jala Diya


بیدم شاہ وارثی

مصحفِ بیدم

برق جمال یار نے رخت سکوں جلا دیا

برق جمال یار نے رخت سکوں جلا دیا
خانہ دل گداز نے عرش بریں ہلا دیا

خوب ہی دیں تسلیاں سینے پہ میرے رکھ کہ ہاتھ
صبرو قرار چھین کر درد جگر بڑھا دیا

سینے میں ڈھونڈتی ہے کیاتیری نگاہ فتنہ ساز
دل توتمہاری یاد میں مدت ہویئ لٹا دیا

دق تو کیا کلیم نے برق جمال یار کو
طور کا کیا قصور تھا طور کو کیوں جلا دیا

بیدم فقیر چیز کیا چھوڑا نہ کوہ طور کو
بن کہ جمال شمع رو جس پر گری جلا دیا.


Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo