Suna Hai Ye Chaand Eid Ka Hai Suna Hai

==============

Eid Collection

==============


Poet Umar Rahi


Suna Hai Ye Chaand Eid Ka Hai,


Suna Hai Kal Eid Ho Gi,


Suna Hai Lout Aain Gay Pardaisi,


Suna Hai Khushian Lain Gay Pardaisi,


Suna Hai Har Koi Muskra Kar,


Kahe Ga Yaron Se EID MUBARIK,


Suna HAI Eid Hai Khushi Ka Din,


Suna Hy Muskrahit Bant'Ta Hy Ye Din,


To Keh Do Is Din Sy Ye Ja Kar,


Aata Hy Kyoun Ye Mujhy Rula Kar,


Suno Ye Keh Do Isy,


Mairi Khoi Hui Sari Khushiyan,


Aub K Lota Dy Mujh Ko,


In Zakhami Honton Py,


Bachpan Ki Wo Muskan Saja Dy,


Suno RAAHI Ye Is K Bas Mein Nahein,


Mohabbat Nafart K Tarkash Mein Nahi.......!

INFO BY AHMAD FARAZ

 

INFO BY POET AHMAD FARAZ

Naam: Ahmad Shah


Taklus: FARAZ


Date of Brith:

14/1/1931

Kohaat Khibar Pakhton Khawa.


Wafat: 25/8/2008


Education: M A Urdo


Poetry Books Totol 14 Aur 4 choti kitaben totol= 18


Book Names


1: Tanha Tanha


2: Dard e Aashob


3: Nayaaft


3: Jana Jana


4: Shab Khoon


5: Chand Aur Mein


6: Be Aawaz Gali Kuchoon Mein


7: Nabeena Shehr Mein Aaina


8: Pass Andaaz Musam


9: Budlak


10: Khawab e Gul Parishan


11: Ghazal Baha Na Karon


12: Sab Aawazen Meri Hain


13: Aye Ishq Jano Paisha


14: Mere Khawab Reeza Reeza ( Ye kitab 4 Choti kitabon Par Mushtamil Hai jin k nam niche hain


15: Roshniyon Ka Shehr


16: Sahil Ki Rait


17: Aakhar Shab k Humsafr


18: Moom K Pathar.

 

Har Baar Ki Tarha Is Bar Bhi EID Tujh Pe Qurban Kar Jaon Ga




GHAZAL FOR PAK ARMY

Har Baar Ki Tarha Is Bar Bhi EID Tujh Pe Qurban Kar Jaon Ga,

Main Ye Eid Bhi Teri Rakhwali Mein Guzraon Ga,

Hathon Mein Raifal Seene Pe Golian Sajaon Ga,

Aaye Watan Main Ye Eid Bhi Teri Sarhadon Pe Manaon Ga,

Apni Khushian Gham Apne Tere Sath Hi Manaon Ga,

Aye Watan Katt Jaye Sar Tan Se,

Par Teri Qasam Tujhe Bachaon Ga,

Main Ye EID Bhi Teri Sarhadon Pe Manaon Ga,

DEDICATED TO ALL Soldiers.Pak Army.

 

Eid Jab Bhi Aati Hy Mairy Shehar Mein

==============

Eid Collection

==============


Poet ZAHID MAHMOOD


Eid Jab Bhi Aati Hy Mairy Shehar Mein,


Aag Si Lag Jati Dil-O-Jigar Mein,


Din Eid K Rota Hon Aansoo Khoon K,


Khoya Rahta Hon Eid K Din Tairy Fikar Mein,


Sehar Ye Sajta Hy Phool Jaisy Mehkta Hy,


Andhaira Rahta Hy Ik Mairy Hi Ghar Mein,


Din Khushi Ka Guzar Jata Hy Matam Mein,


Manata Nahein Eid Tairy Hijar Mein,


Kahon Kaisy Usy ZAHID K Lot Aao,


Mil Kar Karein Eid Is Veeran Ghar Mein.

Ambar Ne Dharti Par Pheinki Noor Ki Cheint Udas Udas, Aaj Ki Shab To Andhi Shab Thi Aaj Kidhar Se Nikla Chand,



Poet Ibn-E-Insha
Ambar Ne Dharti Par Pheinki Noor Ki Cheint Udas Udas,
Aaj Ki Shab To Andhi Shab Thi Aaj Kidhar Se Nikla Chand,
INSHA JEE Ye Aur Nagar Hai Is Basti Ki Reet Yehi,
Sab K Apni Apni Aankhein Sab Ka Apna Apna Chand,
Apne Seene K Matla Par Jo Chamka Wo Chand Howa,
Jis Ne Mann K Andhiare Mein Aan Kia Ojpara Chand,
Chakhchal Muskati Muskati Goori Ka Mukhra Mehtab,
Pat Jhar K Peiron Mein Atka Peela Sa Ek Patta Chand,
Dukh Ka Daria Sukh Ka Sagar Us K Dam Se Dekh Liye,
Hum Ko Apne Sath Hi Le Kar Dooba Chand Aur Ubhra Chand...........!

Is Eid Py Mehndi Mujhe Laga Do Na

==============

Eid Collection

==============


Poet Umar Rahi


Is Eid Py Mehndi Mujhe Laga Do Na,


Apny Haathon Sy Mairy Hathon Py Saja Do Na,


Bhar Do Rang-E-Hina Mein Rang-E-Mohabbat,


Sath Mein Mairy Naam K Apna Naam Bhi Laga Do Na,


Chhairry Sehliyan Mujhy Aur Main Sharma Jaon,


Youn Muskan Mairy Honto Py Saja Do Na,


Khawahish Ye Hy Mairy Dil Ki Ajeeb Si,?


Ik Phool Mairi Zulfoon Mein Laga Do Na,


Pehan K Jorra Eid Ka Aaon Jo Samany Tairy RAAHI,


Seeny Sy Apny Phir Tum Laga Do Na.

Is Sham Wo Rukhsat Ka Samaan Yad Rahe Ga, Wo Shehr Wo Koocha Wo Makaan Yad Rahe Ga,



Poet Ibn-E-Insha
Is Sham Wo Rukhsat Ka Samaan Yad Rahe Ga,
Wo Shehr Wo Koocha Wo Makaan Yad Rahe Ga,
Wo Tais K Ubhri Thi Idhar Yad Rahe Gi,
Wo Dard K Utha Tha Yahan Yad Rahe Ga,
Hum Shoq K Shole Ki Lapak Bhool Bhi Jain,
Wo Shamma Fasurda Ka Dhowan Yad Rahe Ga,
Han Bazm-E-Shabana Mein Hama Shoq Jo Us Din,
Hum Thay Teri Janib Nigraan Yad Rahe Ga,
Kuch Meer K Abiat Thay Kuch Faiz K Misre,
Ek Dard Ka Tha Jin Mein Bayan Yad Rahe Ga,
Aankhon Mein Sulagti Hoi Wehshat K Jalo Mein,
Wo Hairat-O-Hasrat Ka Jahan Yad Rahe Ga,
Jaan Bakhsh Si Us Barg Gul Tar Ki Tarawat,
Wo Lams Azeez-E-Do Jahan Yad Rahe Ga,
Hum Bhool Sake Hain Na Tujhe Bhool Sakein Gay,
Too Yad Rahe Ga Humain Han Yad Rahe Ga................!

Onche Onche Namo Ki Takhtian Jala Dena

 

 

Poet Manzar Bhopali

Type By

*._Ayaz Khan_.* 

 

Onche Onche Namo Ki Takhtian Jala Dena,

Zulam Karne Walon Ki Wardian Jala Dena

Dar-Badar Bhatakna Kia Daftaron K Jangal Mein.

Belche Utha Laina Digriyan Jala Daina.

Muat Se Jo Dare Jaye Zindagi Nahi Milti.

Jang Jeetna Chaho To Kashtiyan Jala Dain.

Pher Bahoo Jalane Ka Haq Tumhen Puhonchta Hai.

Phele Apne Aangan Mein Betiyan Jala Dain..........!

Book: Zindagi

Page: 13


Ghazal: 1

 

 

Mera Pardaisi Aaya Meri Eid Ho Gai

==============

Eid Collection

==============


Poet Umar Rahi


Mera Pardaisi Aaya Meri

Eid Ho Gai,


Barason Se In Pyase Naino Ko Deed Ho Gai,


Aaya Wo Yar Umeed Na Thi Jis K Aane Ki,


Kiya Us Ny Mujh Py Ye Ahsaan Mairi

Eid Ho Gayi,


Main Bhi Hans Hans K Kahon Ga Logo

Eid Mubark,


Ghar Jala Kar Apna Main Nachon Mairi

Eid Ho Gayi,


Pall'Kon Py Bithaon Ya Dil Mein,?


Ghar Mein Aisi Jaga Na Paon Mairi

Eid Ho Gayi,


RAAHI Ny Manayi Khushi Is Eid Py,


Nazar Na Raqeeb Lagao Mairi Eid Ho Gayi.

Bhoole Howe Log Yad Aate Hain Eid K Din

==============

Eid Collection

==============


Poet UMAR RAAHI


Bhoole Howe Log Yad Aate Hain Eid K Din,


Khoon K Aansoon Rulate Hain Eid K Din,


LE Kar Angraian Yadein Un Ki,


Dard-E-Dil Sawa Kar Jati HAI Eid K Din,


Wo Ghar Wo Muhla Wo Galli Wo Gaon,


Aankhon Mein Thehar Jata Hai Eid K Din,


Yad Un Ki Mein Bheeg Jati Hain PalKain,


Kion Dil Ko Youn Rula Jaty Hain Eid K Din,?


Jo Roya Na Tha Kisi K Sitam Sy RAAHI,


Doori Apny Pyaaron Ki Rula Jati Hy Eid K Din.

Youn To Mehroom-E-Nava Kab Se Dahan Mera Tha

 

Poet: Ahmad Faraz

Type By

*._Ayaz Khan_.*

Youn To Mehroom-E-Nava Kab Se Dahan Mera Tha.

Phir Bhi Charcha Howa Jis Ko Wo Sukhan Mera Tha.

Mein Ne Kis Nasha Nakhoot Mein Kamaan Khinchi Thi.

Teer Jais Jaisam Mein Utra Wo Badan Mera Tha.

Too Kabhi Ghoor Se Dekh Apni Quba-E-Rishm.

Tere Khalt Mein Koi Taar-E-Kafan Mere Tha.

Ab To Mujh Ko Bhi Nadamat Hai Wafa Par Apni.

Muktalif Kitna Zamane Se Chalan Mera Tha.

Takhri Shaam-E-Khizaan Toot K Yaad Aati Hai.

Pher Nashiman Hi Mra Tha Na Chaman MeraTha.

Meri Aankhon Ne Jo Dekha Mere Lab Par Aaya.

Meri Taqseer Hi Be Sakhta Pan Mera Tha.

Thi Ufaq Ta Ba Ufaq Yuon To Meri Khaak FARAZ.

Kais Qadar Tang Magar Mujh Pe Watan Mera Tha........!

Book: Jana Jana

Page: 128 to 129

 

Jashan-E-Baharan Manao K Eid Aai Hai

==============

Eid Collection

==============


Poet Umar Rahi


Jashan-E-Baharan Manao K Eid Aai Hai,


Mehfil-E-Yaaran Sajao K Eid Aai Hai,


Mehak Rahe Phool Har Tarf,


Phool Ye Zulfon Mein Sajao K Eid Aai Hai,


Lag Jao Gale Se Aaj Dosto Muskra Kar,


Ranjishain Sub Bhool Jao K Eid Aai Hai,


Do Khushi Se Mubark Ahl-E-Watan Ko,


Dais Pe Apne Qurban Ho Jao K Eid Aai Hai,


RAAHI Eid Hai Ye Qurbani Ki Do Koi Qurbani,


Chalo Kuchh Apni Khushian Hi Lutao K Eid Aai Hai.

Ye Gham Bhi Kal Uthana Ho Ga Is Musafir Ko Kal Tere Shehr Se Jana Ho ga

 

 

Poet Zahid Mahmood

Ye Gham Bhi Kal Uthana Ho Ga,

Is Musafir Ko Kal Tere Shehr Se Jana Ho ga,

Alvida Keh Daina Ashak Chhupa Kar,

Hans Kar Tum Sy Kal Bichharr Jana Hoga,

Aj Ki Raat Zara Pyar Sy Batein Kar Ly,,

Kal Taira Shehar Mujy Chhorr Kar Jana Hoga,

Lot Kar Phir Na Aaoun Ga Is Shehar Mein,

KHUDA Jany Kahaan Aub Maira Thikana Hoga,?

Raah Daikhna Na Aub Tum ZAHID Ki,

Din Qayamat K Hi Aub To Apna Saamna Ho ga.

 

 

Pocha Kisi Ne Haal Kisi Ka To Ro Diye Pani Mein

 

Poet: Saghar Siddiqui

Type By

*._Ayaz Khan_.* 

 

Pocha Kisi Ne Haal Kisi Ka To Ro Diye...*

Pani Mein Aks Chand Ka Dekha To Ro Diye...*

Naghma Kesi Ne Saaz Pe Chherra To Ro Diye...*

Ghuncha Kesi Ne Shakh Se Torra To Ro Diye...*

Urrta Howa Ghubar Sar-E-Rah Dekh Kar...*

Anjaam Hum Ne Ishq Ka Socha To Ro Diye...*

Badal Faza Mein Aap Ki Tasveer Ban Gaye...*

Saya Koi Khayal Se Guzra To Ro Diye....*

Rang-E-Shafaq Se Aag Shagofon Mein Lag Gai...*

SAGHAR Humare Haat Se Jhalka To Ro Diye.......!

Book:

Kuliyat e Saghar

Page: 46

 

Nazar Se Nazar Milao K Eid Ka Din Hai Youn Na

===============

Eid Ka Din Hai

===============


Poet ZAHID MAHMOOD


Nazar SE Nazar Milao K Eid Ka Din Hai,


Youn Na Mujhe Satao K Eid Ka Din Hai,


Keh Do Aaj Mila K Dil Sy Dil Eid Mubarak,,


Pall Bhar Ko Hi Sahi Muskrao K Eid Ka Din Hy,,


Bhula Do Sary Ikhtlaf Mitta Do Ye Doori,,


Qareeb Aao Aaj To Tum K Eid Ka Din Hy,,


Ro Rahi Hy Ye Aankhein Mairi Eid K Din,,


Aaj To Ye Aansoo Mairy Sukhao K Eid Ka Din Hy,,


ZAHID Karta Hy Ye Iltja Aaj Tum Sy,,


Mairy Chaand Mujhy Nazar Aao K Eid Ka Din Hai...!

Eid Ki Subha Ko Mere Fone Ne Baj Kar

==============

Eid Collection

==============


Poet Umar Rahi


Eid Ki Subha Ko Mere Fone Ne Baj Kar,


Mujhy Apny Hony Ka Ahsaas Dilaya,


Fone Uthaya To,


Aik Bhooli Huyi,


Aawaz Kaan Ny Suni,


Sirf Aik Jumla Aik Lafaz,


Dil Py Sabbt Ho Kar Reh Gaya,


SUNO AAJ EID HY NA ?


Aur Aaj Qurbani Ka Din Hy Na ?


Mujhy Tum Sy Kuch Mangna Hy,


Bolo Do Gy Mujhy Tum ?


Kahaa Main Ny,


Agar Jaan Mango To,


Tum Py Qurban Kar Doun,


Kahaa Us Ny Mujh Sy,


SUN JAAN NAHEIN,


Tum Lot Aao Na Kyoun K,


Aaj Eid Hy Na,?


Mujhy Ye Eid RAAHI Sang Tairy Karni Hy,


SUNO LOT AAO NA,


SUNO LOT AAO NA.

Maidan-E-Karbala Sajta Hai Dil Mein Eid K Din

==============

Eid Collection

==============


Poet Umar Rahi


Maidan-E-Karbala Sajta Hai Dil Mein Eid K Din,,


Aahon Saskiyon Sy Hoti Hy Jang Eid K Din,,


Hoti Hy Hamla Aawar Youn Yaadein,,


Dil-O-Jigar Kar Jati Hy Zakhmi Eid K Din,,


Hota Nahein Ahsaas Eid K Din Ka,,


Zullam-O-Sitam Dahaati Hy Eid K Din,,


Paa-Ba-Zanjeer Kar K Phainka Jata Hoon,,


Yaadon Ki Zinddan Mein Eid K Din,,


RAAHI Ho Jata Hy Qaid-O-Tanha,,


Rihaai Pata Nahein Dil Eid K Din.......!

Alwida Sham-E-Gham K Dukhhan Alwida

Poet: Mohsin Naqvi


Type By

*._Ayaz Khan_.*


Alwida Sham-E-Gham K Dukhhan Alwida.


Musam-E-Hijar Ki Be Erada Chobhhan Alweda.


Dil Mein Khelte Howe Khuwaishon K Chaman.


Lab Jalate Howe Hijaraton Sukhan.


Nafraton Ki Ghutan Alweda.


Dil Pe Chhai Hoi Dukh Ki Soraj Garahan.


Alweda Alweda Fikar Goor-O-Kafan Alweda.


Dil Ne Mujh Se Kaha Saa-At Farq Hai.


Jan-E-Man Alweda Alweda.....!


Bk: Rakht e Shab

Pg: 198 to 199

Poem: 103

Kal Hum Ne Sapna Dekha Hai Jo Apna Ho Nahi Sakta Hai



Poet Ibn-E-Insha
Kal Hum Ne Sapna Dekha Hai,
Jo Apna Ho Nahi Sakta Hai,
Us Shakhs Ko Apna Dekha Hai,
Wo Shakhs K Jis Ki Khatir Hum,
Is Deis Phirein Us Deis Phirein,
Jogi Ka Bana Kar Bheis Phirein,
Chahat K Nirale Geet Lekhein,
Jee Mohne Wale Geet Lekhein,
Dharti K Mehkte Baghon Se,
Kalion Ki Jholi Bhar Laain,
Ambar K Sajeele Mandal Se,
Taron Ki Doli Bhar Laain,
Haan Kis K Liye Sab Us K Liye,
Wo Jis K Lab Pe Taiso Hain,
Wo Jis K Naina Aaho Hain,
Jo Khaar Bhi Hai Aur Khushbo Bhi Hai,
Jo Dard Bhi Hai Aur Daaro Bhi,
Wo Alharr Si Wo Chunchal Si,
Wo Shaairy Si Wo Pagal Si,
Hum Naam Na Us Ka Batlain,
Aaye Dekhne Walo Tum Ne Bhi,
Us Naar Ki Peet Ki Aancho Mein,
Is Dil Ka Tapna Dekha Hai?
kal Hum Ne Sapna Dekha Hai..........!
Page 66 To 67

Suno kia Tum mujhe se Kuch Dard Kharido Gi

 

Poet Ayaz Khan 

 

Suno kia Tum mujhe se Kuch Dard Kharido Gi.

Suna hai tumra dil bhi dard ka Kharidar Hai yahan.

 

Wo Kia Jane Apna Haal Char So Phela Hai Us Ka jaal

 

Wo Kia Jane Apna Haal Char So Phela Hai Us Ka jaal

Kaise Hoti Wafa Ab Milti Nahi Jafa.

 

Phool Chahe Thay Magar Hath Main Aaye Pathar Hum Ne

 

Poet: Saghar Saddiqui

Type By

*._Ayaz Khan_.* 

 

Phool Chahe Thay Magar Hath Main Aaye Pathar.

Hum Ne Aaghosh-E-Mohabbat Main Sulaye Pathar.

Wehsat-E-Dil K Takaluf Ki Zarorat K Liye.

Aaj is Shokh Ne Zulfon Main Sajaye Pathar.

Un K Kadmon K Tale Chand Sitare Dekhe.

Apni Rahon Main Sulagte Howe Paye Pathar.

Main Teri Yaad Ko Youn Dil Main Liye Phirta Hoon.

Jaise Farhad Ne Seene Se Lagaye Pathar.

Fikar SAGHAR K Khareedar Na Bholen ge Kabhi.

Main Ne Ashkon K Goher Thay Jo Banaye Pathar...........!

 

Mae ne majbori mae talwaar uthaai thi miaa'n

 

Mae ne majbori mae talwaar uthaai thi miaa'n

Hath barhta huwa dastaar talak aaya tha....

 

Khayal-E-Husan-E-Laila Ho,Ya Ho Dilkash Shabab-E-Gull

 

Khayal-E-Husan-E-Laila Ho,Ya Ho Dilkash Shabab-E-Gull,,

Ye Dil Yaksaan Barabar Hai,

Tarap Mein ßhi,

Talab Mein ßhi.!!

 

Ishq ! W0 Wahid Mazhab Hai Jis Me

 

Ishq ! W0 Wahid Mazhab Hai Jis Me...

-

-

H00ren ! Khud Azaab Deti Hein...!!.

 

Ghareeboo'n ki yeh Basti Hai Kahan se Shokhiaan Laoo'n

 

Ghareeboo'n ki yeh Basti Hai Kahan se Shokhiaan Laoo'n...???

Yahan Bachay To Rehtay hain Magar Bachpan Nahi Rehta...!!!.

 

Taak Per Dushman B Tha Or Pusht Per Ehbaab bhi

 

Taak Per Dushman B Tha Or Pusht Per Ehbaab bhi

Teer Pehla kis ne maara, Ye Kahani Phir sahi.....!!!.

 

Waqif e ghm, Mutabasam, mutakalam

 

=++> Waqif e ghm, Mutabasam, mutakalam,

mgr Khamosh....

.

.

=++> TUM ny dekhi hen kaheen, aisi Niraali aankhein...?

.

 

Main Lakh Mohtram h0i per dhoondti rahi

 

Main Lakh Mohtram h0i per dhoondti rahi,,,

Lazzat jo tere Shaher ki Ruswayion men thi,,,

.

Poets: Parveen Shakir

.

LaBoOn pay Meray DasS k Zara Dijiye SaBoOt

 

...,,LaBoOn pay Meray DasS k Zara Dijiye SaBoOt..,,/+

.

.

.

,,..SuNa Hai Tum ZeHar Say Ho BHarpoOr iN DiNOn..,,

 

Rah-e-Muhabbat mein ajab pathraao se raha waasta

 

Rah-e-Muhabbat mein ajab pathraao se raha waasta,,,!

,

,

,

Na zakham nazar aata hai,

Na dard saha jata hai....

 

Kitni Kali'yoon Ki Ragoo'n Ka Woh Lahoo Hota Hai, Jis Ko Mehboob Ke Haathon Ki Hina Kehte Hain

 

Kitni Kali'yoon Ki Ragoo'n Ka Woh Lahoo Hota Hai,

Jis Ko Mehboob Ke Haathon Ki Hina Kehte Hain - .

 

Main Nahein Manta Kaghaz Pe Likha Hua ShaJrA-e-Nasab

 

Main Nahein Manta Kaghaz Pe Likha Hua

ShaJrA-e-Nasab.

Baat Krne Se Qabile Ka PaTaa Chlta Hai..*.

 

So Gaye BacHay Eik GareeB Maa k JaLdi JalDi

 

So Gaye BacHay Eik GareeB Maa k JaLdi JalDi...*

Maa BoLi tHi "FarisHtay Aaatay Hain KHawaaB me Roti Lay Kar...!!.

 

Talaaq dy to rahy ho bardy gharoor aur qehar k sath

 

Talaaq dy to rahy ho bardy gharoor aur qehar k sath

mera shabaab b luta do mery mehar k sath..

 

Roshan Chehra Bheegi Zulfein, Kis Ko Kis Par Tarjeeh Doon

 

Roshan Chehra Bheegi Zulfein, Kis Ko Kis Par Tarjeeh Doon........??

"

Ek Qaseeda Dhoop Ka LikhooN, Ek Ghazal Barsaat Ke Naam...........!.

 

Mery Bachpan Ke Din Bhi Kia Khoob Thy

 

Mery Bachpan Ke Din Bhi Kia Khoob Thy.....!

Be Namazi b tha, Aur Be Gunah bhi....

 

Teri Ghazal To Nahi Hon me, Jo Her Lub Pe Saji Rahon

 

Teri Ghazal To Nahi Hon me, Jo Her Lub Pe Saji Rahon.

Main To 1 Misra_E_ Dard Hon, Mujhy Gungunany Ki Zid Na Kr.!.

 

Dil Ka Rog Tha Na Yadain Thien 0r Na Hi Ye Hijar

Dil Ka Rog Tha Na Yadain Thien 0r Na Hi Ye Hijar....

faraz,

Tere "ISHQ" Se Pehly Ki Neendain Bhi kamaal ki Thien........!

 

Jo mery zabt ka sheeraza muntashir kr dy

 

Jo mery zabt ka sheeraza muntashir kr dy

.

.

Tery sitam ko abi wo adaa nhi Aati. .

 

Barra Zidi Hai Dil Mera, Kay Jab Dekhay Haseen Cheez

 

Barra Zidi Hai Dil Mera, Kay Jab Dekhay Haseen Cheez

.

.

Machal Ky Mujh Sy Kehta Hy' Yehi Loonga, Yehi Loonga..

 

Rukh-e-yaar pe yeh zulfain yun phissal rahi hain jesay

 

Rukh-e-yaar pe yeh zulfain yun phissal rahi hain jesay,,,

kabhi din nikal raha hay, kabhi raat ho rahi hay..

 

Mere Sooz-E-Dil K Jalwe Ye Makaan Makaan Ujale

 

Poet Saghar Saddiqui

Type By

*._Ayaz Khan_.*

 

Mere Sooz-E-Dil K Jalwe Ye Makaan Makaan Ujale.

Meri Aah Pur Asar Ne Kai Aaftaab Dhale.

Mujhe Gardish Falak Se Nahi Ehtejaj Koi.

K Mata-E-Jaan-O-Dil Hai Teri Zulf K Hawale.

Ye Samaan Bhi Hum Ne Dekha Sar-E-Khaak Rul Rahe Hain.

Gul-O-Angbeen K Malik Mah-O-Kehkashaan K Pale.

Abhi Rang Aanson Main Hai Teri Akeedaton Ka.

Abhi Dil Main Bus Rahe Hain Teri Yaad K Shawale.

Meri Aankh Ne Suni Hai Kai Zamzamon Ki Aahat.

Nahi Barbaton Se Katar May Naab K Pyale.

Ye Tajaliyon Ki Mehfil Hai isi K Zair-E-Saya.

Ye Jahan Kaif Us Ka JAise Wo Nazar Sambhale.

Ye Hayat Ki Kahani Hai Fana Ka Aik SAGHAR,

To Labon Se Muskura Kar Isi Jaam Ko Laga Le........!

Book:

Kuliat-e-Saghar

Page: 168 to 169

Ghazal: 92

 

Jaam Pee Kar Jo Door Tak Dekha Chashm-E-Hasti

 

Poet: Saghar Saddiqui

Type By

*._Ayaz Khan_.* 

 

Jaam Pee Kar Jo Door Tak Dekha.

Chashm-E-Hasti Ne Toor Tak Dekha.

Ye Sharf Aaine Ko Hasil Hai.

Aaine Ne Hazoor Tak Dekha.

Chasham-E-Diwana Waar Jais Ko Mili.

Is Ne Had-E-Shaoor Tak Dekha.

Un Ki Zulfon Ka Rang Paya Hai.

Jab Bhi Takhleeq-E-Noor Tak Dekha.

Ajaz Ki Roshni Mein Aye SAGHAR.

Hum Ne Baam-E-Gharoor Tak Dekha......!

 

Book:

Kuliat-e-Saghar

Page: 144


Ghazal: 72

 

Hai Shab_e_Visal Ki Thakan Shayed

 

Hai Shab_e_Visal Ki Thakan Shayed..!!

Teri Ankh'00n Mein Kitni Laali Hai..!!

 

Manzil na de, chiraagh na de, hausla to de, Tinke ka hii sahii, tu magar, aasra to de

 

"Manzil na de, chiraagh na de, hausla to de, Tinke ka hii sahii, tu magar, aasra to de".

 

 

Kuch Aesi T0ba Shikan Har Ek Baat Us Butt-E-LaJawab Ki Hai

 

Kuch Aesi T0ba Shikan Har Ek Baat Us Butt-E-LaJawab Ki Hai,

,

Hai GaiSu Mein Ghata Ka AaLam, Nazar Mein MaSti Sharab Ki Hai....

 

A Dil...! ZaRa TasdEEq T0 Kar, AaMad T0 Nahi Un Ki Kahi'n

 

A Dil...!

ZaRa TasdEEq T0 Kar,

AaMad T0 Nahi Un Ki Kahi'n

Mehfil Mein Sh0r UtHa Hai

MasHa-ALLAH

Masha-ALLAH..

 

KHuloS Ki BariSH Se KaHo Zor Se BarSe

 

KHuloS Ki BariSH Se KaHo Zor Se BarSe,,,,;'*

NaFraT K AaiINoN Pe BoHaT DHoOl JaMi Hai,,,,,;'.*

 

HoNToN MeiN mEeTHa DarD Hai GaaLoN pE SurKH DaaGH

 

HoNToN MeiN mEeTHa DarD Hai GaaLoN pE SurKH DaaGH..

KalL RaaT Aa K Lay Gya BoSSay WO KHWaB MeiN.

 

Aks-E-Jamaal-E-Yaar Tere Ehtraam Mein

 

Aks-E-Jamaal-E-Yaar Tere Ehtraam Mein,,,

Ashkon Say Meri Aaankh,

Sada Baa-Wuzoo Rahi......

 

HuWay MuT'TafiQ DoNo BoSa_E_RukhsaaR Par

 

HuWay MuT'TafiQ DoNo BoSa_E_RukhsaaR Par..

RaaT GuZar Dii isSi BeHs Mein, PeHLay Aap, PeHLay Aap..

 

Izzat_e_Nafs Jis Se Zakhmi Ho

Izzat_e_Nafs Jis Se Zakhmi Ho....!

Dhoop Behtar Hai Aisi Chaaon Se....!

 

Poet: #Addam.

 

TEhzEEb K LibasS Uatar JayEn Gy JanaB. DoLLar MEn YoOn NachaaE'y Gi IkEEsvEEn SaDi

 

TEhzEEb K LibasS

Uatar JayEn Gy

JanaB.

DoLLar MEn YoOn

NachaaE'y Gi

IkEEsvEEn SaDi.

.

(BaShEEr BaDar)

.

 

."Kuch Bhi Ho Main To Ilzam Tuhmain Hi Doon Ga . .!!

."Kuch Bhi Ho Main To Ilzam Tuhmain Hi Doon Ga . .!!

Tum Masoom Bohat Ho.., Magar Touba Tumhari Aankhain..?

Farebi Bhi Hon...!! Ziddi Bhi Hon......!! Bad-Kalam Bhi...!!

 

Farebi Bhi Hon...!!

Ziddi Bhi Hon......!!

Bad-Kalam Bhi...!!

.

.

Masomiyat Kho Di

Hai Main Ne dunya ki talkh hakikat

"sehtay sehtay..!!.

 

Kisi Kam'Zarf K Haatho'n, Nhi Khhaai Hy Shikast,,, Khush Main Is Par Hun, K Dushman MeRy Meyaar Ka Tha....!!.

 

Kisi Kam'Zarf K Haatho'n, Nhi Khhaai Hy Shikast,,,

Khush Main Is Par Hun, K Dushman MeRy Meyaar Ka Tha....!!.

 

Jab Tum Zameen Waalo'n Ko, Neecha Dikhhaao Gy

 

Jab Tum Zameen Waalo'n Ko, Neecha Dikhhaao Gy,,,

Be'Daagh Soorato'n Ko Bhi, Sheesha Dikhhaao Gy,,,

Aaey Gi Aasmaan Sy, Us Waqt Ye Sadaa,,,

WA TU IZZU MAN TASHA, WA TU ZILLU MAN TASHA....!!.

 

suno Gar Piyas Hi BhuJaani Hai Tu NaiN0n K0 Dekh L0

 

suno Gar Piyas Hi BhuJaani Hai Tu NaiN0n K0 Dekh L0 !

=>' SharaaB Ka Dariya Behta Hai, NasheeLi Ankh0n Main...

 

Addam Ada'hi T0 D0lat Hai Meh Jaben00n Ki...

 

Addam Ada'hi T0 D0lat Hai Meh Jaben00n Ki...*J0 Be Rukhi Na Kare W0 Pari JamaL Nahee'n..............*

 

P0et: Abdul Hameed Addam.

 

Gar Siyah Bakhat Hi Hona Tha Naseebon Mein Meray

 

Gar Siyah Bakhat Hi Hona Tha Naseebon Mein Meray,

.

.

Zulf Hota Teray Rukhsaar Pay Yaa Till Hota...!!!.

 

JaLaY diL k0o JaLataY HaiN QaSaM hai uN k NakhreY ki.*

 

JaLaY diL k0o JaLataY HaiN QaSaM hai uN k NakhreY ki.*

'

' diYe b0oSaY

raQeEb0oN k0o

HuMhaiN keh kEr Edhar Dekh0o*.

 

Tum Jis Ada_e_ Khud Sarri Pe Ho Maghroor...!! Nisab_e_IshQ Main Wo Zulm Ki Had Hoti Hai...!!.

 

Tum Jis

Ada_e_ Khud

Sarri Pe Ho Maghroor...!!

Nisab_e_IshQ Main Wo

Zulm Ki Had Hoti Hai...!!.

 

Na Khof-e-Khuda Hai Na Khof-e-Khudai,

 

Na Khof-e-Khuda Hai Na Khof-e-Khudai,

Bashar De Raha Hai Bashar Ki Duhaai.:-*.

.

Poet:Saghar Siddiqui

.

 

Dil Mera Misar Ka Bazar Bhi Ho Sakta Hai Koi Dharkan Ka Khareedar Bhi Ho Sakta Hai

 

Dil Mera Misar Ka Bazar Bhi Ho Sakta Hai,

Koi Dharkan Ka Khareedar Bhi Ho Sakta Hai,

Koi Ho Sakta Hai Qatil Bhi Saf-E-Yara Main,

Koi Hum Dard Sar-E-Daar Bhi Ho Sakta Hai,

Ab Talak Ashq Gira Karte Thay Tanhai Mein,

Ye Tamasha Sar-E-Bazar Bhi Ho Sakta Hai,

Mujh Pe Taane Na Kasso Mujh Ko Pagal Na Samjho,

Main Bhi Insan Hon Mujhe Pyar Bhi Ho Sakta Hai,

Us Ki Chokhat Pe Jana Hai Jogi Ab Thaam Le Too Dil,

Wahan Iqrar Bhi Inkar Bhi Ho Sakta Hai.................! 

 

 

Short Poetry By Wasi Shah

Ye Jo Chehre Se Tumhain Lagte Hain Bemar Se Hum

Khoob Roye Hain Lipat Kar Dar-O-Deewar Se Hum.

 

(Wasi Shah)

 

Jane Too Kia Dhoond Raha Hai Basti Mein Weerane Mein, Laila To Aaye Qais Mile Gi Dil K Dolat Khane Mein,



Poet Ibn-E-Insha
Jane Too Kia Dhoond Raha Hai Basti Mein Weerane Mein,
Laila To Aaye Qais Mile Gi Dil K Dolat Khane Mein,
Janam Janam K Saton Dukh Hain Us K Maathe Par Tehreer,
Apna Aap Mitana Ho Ga Ye Tehreer Mitane Mein,
Mehfil Mein Us Shakhs K Hote Kaif Kahan Se Aata Hai,
Paimane Se Aankhon Mein Ya Aankhon Se Paimane Mein?
Kis Ka Kis Haal Sunaya Too Ne Aye Afsana Go,
Hum Ne Aik Tujhi Ko Dhoonda Is Sare Afsane Mein,
Is Basti Mein Itne Ghar Thay Itne Chehre Itne Log,
Aur Kisi K Dar Par Pohncha Aisa Hosh Deewane Mein...............!

Is Basti K Ek Kooche Mein Ek Insha Naam Ka Dewana,



Poet Ibn-E-Insha
Is Basti K Ek Kooche Mein,
Ek Insha Naam Ka Dewana,

Ek Naar Pe Jan Ko Haar Gia,
Mash Hoor Hai Us Ka Afsana,
Us Naar Mein Aisa Roop Na Tha,
Jis Roop Se Din Ki Dhoop Dabe,
Is Shehr Mein Kia Kia Goori Hai,
Mehtab Rukhe Gul Naar Labe,
Kuch Bat Thi Us Ki Baton Mein,
Kuch Bhaid Thay Us Ki Chatoon Mein,
Wohi Bhaid K Jot Jagate Hain,
Kisi Chahne Wale K Mann Mein,
Usay Apna Banane Ki Dhun Mein,
Howa Aap Hi Aap Se Begana,
Is Basti K Ek Kooche Mein,
Ek Insha Naam Tha Deewana,

Na Chakchal Khail Jawani K,
Na Pyar Ki Alhar Ghatein Thein,
Bas Raah Mein Un Ka Milna Tha,
Ya Fone Pe Un Ki Batein,
Is Ishq Pe Hum Hanste Thay,
Be Hasil Sa Be Hasil Tha?
Ek Roz Bephirte Sagar Mein,
Na Kashti Thi Na Sahil Tha,
Jo Bat Thi In K Jee Mein Thi,
Jo Bhaid Tha Yaksar Anjana,
Is Basti K Ek Kooche Mein,
Ek Insha Naam Deewana Tha,

Ek Roz Magar Bar Kharut Mein,
Wo Bhadon Thi Ya Sawan Tha,
Deewar Pe Beech Samandar K,
Ye Dekhne Walon Ne Dekha,
Mastana Hath Mein Hath Diye,
Ye Aik Kagar Par Baithe Thay,
Kia Rat Thi Wo Jee Chahta Hai,
Us Rat Pe Likhain Afsana,
Is Basti K Ek Kooche Mein,
Ek Insha Naam Tha Deewana,

Haan Umar Ka Sath Nibhane K Thay,
Ehad Bahut Paiman Bahut,
Wo Jin Pe Bharosa Karne Mein,
Kuch Sood Nahi Nuqsan Bahut,
Wo Naria Keh Kar Door Hoi,
Majboori Sajan Majboori,
Ye Wehshat Se Ranjoor Howe,
Aur Ranjoor Si Ranjoori?
Us Roz Humain Maloom Howa,
Us Shakhs Ka Mushkil Samjhana,
Is Basti K Kooche Mein,
Ek Insha Naam Tha Deewana,

Go Aag Se Chati Jalti Thi,
Go Aankh Se Daria Behta Tha,
Har Aik Se Dukh Nahi Kehta Tha,
Chup Rehta Tha Gham Sehta Tha,
Na Daan Hain Wo Jo Cherte Hain,
Is Aalam Mein Na Daano Ko,
Is Shakhs Se Aik Jawab Mila,
Sab Apno Ko Begano Ko,
Kuch Aur Kaho To Sunta Hon,
Us Baab Mein Kuch Mat Farmana,
Is Basti K Ek Kooche Mein,
Ek Insha Naam Tha Deewana,

Ab Aage Tehqeeq Nahi,
Go Sunte Ko Hum Sunte Thay,
Us Naar Ki Jo Batein Thein,
Us Naar K Jo Qisse Thay,
Ek Sham Jo Us Ko Bulwaya,
Kuch Samjhaya Bechare Ne,
Us Rat Ye Qissa Pak Kia,
Kuch Kha Hi Lia Dukhiare Ne,
Kia Bat Hoi Kis Tor Ho?
Akhbar Se Logon Ne Jana,
Is Basti K Ek Kooche Mein,
Ek INSHA Naam Ka Tha Deewana,

Har Bat Ki Khoj To Theek Nahi,
Tum Hum Ko Kahani Kehne Do,
Us Naar Ka Naam Maqam Hai Kia,
Is Bat Pe Parda Rehne Do,
Hum Se Bhi To Soda Mumkin Hai,
Tum Se Bhi Jafa Ho Sakti Hai,
Ye Apna Bayaan Ho Sakta Hai,
Ye Apni Khata Ho Sakti Hai,
Wo Naar Bhi Aakhir Pachtai,
Kis Kaam Ka Aisa Pachtana?
Is Basti K Ek Kooche Mein,
Ek Insha Naam Ka Tha Deewana.......!

Shama jali Parwane Jage Naqsh Ubhre Afsane Jage.

 

Poet: Saghar Saddiqui

Type By

*._Ayaz Khan_.*

 

Shama jali Parwane Jage.

Naqsh Ubhre Afsane Jage.

Gham Jaga Gham Khane Jage.

Khawabon K Werane Jage.

Sun K Meri Rudad-E- Muhabbat.

Apne Aur Begane Jage.

Basti Basti Shoor Macha Hai.

Shayad Pher Diwane Jage.

Saghar Jhalke Kirnain Phooti.

Wo Dekho May Khane Jage.......!

Bk:

Kuliyat e shaghar

Pg: 116

 

Likhna Nahi Aata To Meri Jan Parha Kar

 

 

Poet Iqbal Azeem 

 

Likhna Nahi Aata To Meri Jan Parha Kar

Ho Jaayegi Mushkil Teri Asan Parrha Kar

Parhne K Liye Tujh Ko Agar Kuch Na Mile To

Chehron Pe Likhe Dard K Unwan Parha Kar

Laa Raib Teri Rooh Ko Taskeen Mile Gi

Too Qurb K Lamhaat Mein Quran Parha Kar

Paida Ho Tere Behar Ki Mujon Mein Talatum

Too Hazrat_E_Iqbal K

Dawan Parha Kar

Aa Jaaye Ga "IQBAL" Tujhe Jeene Ka Qareena

Too Sarvar_E_Kaonain (S.A.W.W)K Farmaan Parha

Kar........?

 

 

Hum Ne Bhala Kabhi Socha Kisi Ka? Insha Jee Kion Dehan Aaya Kisi Ka,



Poet Ibn-E-Insha
Hum Ne Bhala Kabhi Socha Kisi Ka?
Insha Jee Kion Dehan Aaya Kisi Ka,
Seene Mein Yadon Ki Jawala Si Bharki,
Aankhon K Aage Hai Chehra Kisi Ka,
Kis Ka Gham Hai?
Tum Log Jano To Jano,
Hum Se Na Pocho Ho Ga Kisi Ka,
Batein Karein Log Kis Moorti Ki,?
Shardha Ka Mandar Toota Kisi Ka,
Pardeis Ja Kar Pocha Kisi Ne?
Haal Aa K Wapas Dekha Kisi Ka?
Seene Pe Charke Bairi Bira K,
Aankhon Mein Behta Daria Kisi Ka,
Sorat Moonhar Batein Raseeli,
Aage Tha Dhoka Hi Dhoka Kisi Ka,
Hum Ajnabi Hain Hum Se Na Milna,
Apna Bana Kar Kehna Kisi Ka................!

Ye Jo Chehre Se Tumhain Lagte Hain Bemar Se Hum

 

Poet Wasi Shah

 

Ye Jo Chehre Se Tumhain Lagte Hain Bemar Se Hum,

Khoob Roye Hain Lipat Kar Dar-O-Deewar Se Hum,

Yar Ki Aankh Mein Nafrat Ne Humain Qatal Kia,

Kon Kehta Hai Kate Yar Ki Talwar Se Hum,

Ranj Har Rang Ki Jholi Mein Bhare Hain Hum Ne,

Jab Bhi Guzre Hain Kisi Dard K Bazar Se Hum,

Ishq Mein Hukam Adooli Bhi Humain Aati Hai,

Talne Wale To Nahi Hain Tere Inkar Se Hum..................!

Book

Mere Khawab Tumhari Khusbo 

 

Abhi To Rut Badalni Thi Abhi To Phool Khilne Thay,

 

 

Poet Amjid Islam Amjid 

 

Abhi To Rut Badalni Thi,

Abhi To Phool Khilne Thay,

Abhi To Sar Zameen-E-Jaan Pe,

Ek Baadal Ko Ghirna Tha,

Abhi To Wasal Ki Barish Mein,

Nange Paon Phirna Tha,

Abhi To Kasht-E-Gham Mein,

Ek Khushi Ka Khawab Bona Tha,

Abhi To Sainkron Sochi Hoi Baton Ko Hona Tha,

Abhi To Sahilon Par Ek Howa-E-Shad Chalni Thi,

Abhi Jo Chal Rahi Hai Ye To Kuch Din Bad Chalni Thi..................! 

 

Aankhon ki bandgi nigahain Jhuka k Chal

 

 

**********************

Pakistani Aurat k Naam

**********************

Poet Nasir Kazmi

Aankhon ki bandgi nigahain Jhuka k Chal,

Shanun se Gir gia hai Dopata Utha K Chal,

Qomun ki zindgi Teri Aaghosh Men Pali.

Qomun ki zindgi Ka Muqadar Jaga k chal,

Ankhon K Teer Tery Badan Se Paray Rahen,

Sharm_o_Haya Ko Apna Lubada Bana K Chal,

Gar Ho sakay To Serat_e_Zohra Pe Kar Amal,

Is Zindgi Ko yon Na Tamasha Bana k Chal,

Ban Ja Sheaar_e_Azamat_e_Aslaaf ka NIshan,

Har Ek Gunah Se Daman_e_Ismat Bacha K Chal,

Mana Hawa Kharab Hai Mahool Bhe Ghaleez,

Gar Ho Sakay To Sath na Us hawa K chal,

Nasir Ko Teri Hurmat_o_ifat Azeez hai,

Is Dar_e_Namurad se us ko bacha K Chal...........!

 

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo