Ae mere chahne wale mujhe iss kadar dua na de Tadpoon mai raat bhar mujhe aisi sada na de



Ae mere chahne wale mujhe iss kadar dua na de
Tadpoon mai raat bhar mujhe aisi sada na de

Tu door ho ya paas ho mera ban ke tou dikha
Tera ishq zara se shaks ko aashiq bana na de

Khwaabon mei is kadar na aa ki so bhi na sakun
Yaadon me is taraah na aa ki din bhi na kate

Aaankhon me ashq aaye aur main ro bhi na sakun
Itna mujhe na chaah mujhe aisi dawa na de

Itni wafa ke baad gar chalkein palko ke jaam
Unko bhi na piyun mujhe aisi wafa na de

Apne shahar ki galiyon ko mai chodd hoon chuka
Aisa na ho teri gali tera pata na de

Sab kuch luta ke khush hoon jo pa liya tujhe
Aisa na ho tere dar pe hoon aur tu panaah na de

Kisi Ki Chhah Mein Aisa Bhi Kia Sar Shaar Ho Jana Keh Apne Rastay Ki Aap Hi Deewaar Ho Jana



کسی کی چاہ میں ایسا بھی کیا سرشار ہو جانا
کہ اپنے راستے کی آپ ہی دیوار ہو جانا
بہانے ترک رسم و راہ کے خود ڈھونڈتے رہنا
کسی کو چاہنا اتنا کہ پھر بیزار ہو جانا
سدا خلوت میں اپنے آپ سے باتیں بہت کرنا
اور اس کے سامنے چپ ، صورت دیوار ہوجانا
یہ کیا عادت ہے دکھڑے ہر کسی کے سامنے رونا
جسے ملنا ، لپٹ جانا ، گلے کا ہار ہو جانا
سحر دم گھر سے چلنا اک گدائے بے نوا بن کر
پھر اس عالم میں پھرنا ، شام کا اخبار ہو جانا
ہمارا ان دنوں یہ حال ہے شوقِ مسافت میں
کہ سب کے ساتھ چلنے کیلئے تیار ہو جانا

Koi Ban Gaya Ronaq Pakhian Di Koi Chor Ke Sheesh Mehal Chalya



Koi Ban Gaya Ronaq Pakhian Di
Koi Chor Ke Sheesh Mehal Chalya
Koi Palya Naaz Te Nakhrian Wich
Koi Rait Garam Te Thal Chalya
Koi Bhul Gaya Maqsad Aawan Da
Koi Kar Ke Maqsad Hal Chalya Ithay Har
Koi Fareed Musafar Ae
Koi Aj Chalya Koi Kal Chalya

ham se poochho Gazal kya hai Gazal ka fan kya hai chand lafzon mein koi aah chhupa di jaaye



ham se poochho Gazal kya hai Gazal ka fan kya hai
chand lafzon mein koi aah chhupa di jaaye

Jan Nisar Akhtar

dil bhi karta hai yad chup ke tujhe naam leti nahin zuban tera



dil bhi karta hai yad chup ke tujhe
naam leti nahin zuban tera
kis se poochon ga mein khabar teri
kon batlaye ga nishan tera
Teri ruswayon se darta hon
 jab tere shehar se guzarta hoon

Hal-e-dil bhi na keh saka garchey
tu rahi mudat kareeb mere
tu mujhey chorr kar chali hi gaye
khair kismat meri naseeb mere
ab mein kiyon tujh ko yaad karta hoon
jab tere shehar se guzarta hoon

wo zamana teri mohabbat ka
ik bholi hui kahani hai
kis tamanna se tujh ko chaha tha
kis mohabbat se haar mani hai
apni kismat pe naaz karta hoon
jab tere shehar se guzarta hoon

MILNA NAHI HAI MUJHSE TO KEH DO KHUSHI KE SAATH KYU KHEL KHELTE HO MERI ZINDAGI K SAATH




MILNA NAHI HAI MUJHSE TO KEH DO KHUSHI KE SAATH
KYU KHEL KHELTE HO MERI ZINDAGI K SAATH

APNA JISE KAHA WO MOHABBT NA DE SAKA
AB DOSTI KARENGE KISI AJNABI KE SAATH

HAI AASMA WAHI WAHI SHAMO SAHAR MAGAR
HAR SHEH BADAL GAI HAI TERI BARHMI KE SAATH

MUJHSE NAZAR MILA KE NA YU MUSKURAO TUM
AB KHEL MAT KARO MERI DIWANGI KE SAATH

HAI APNI APNI RAH ME DIN RAAT KA SAFAR
MEIN TEERGI KE SAATH HU TUM ROSHNI KE SAATH

Sab ne pocha khazan kia hoti hai Tum ne meri misaal de hoti



Sab ne pocha khazan kia hoti hai
Tum ne meri misaal de hoti
Pocha musam badalte hain kese ?
Tum ne apni misaal de hoti
Pocha kese gatha barasti hai
Meri aankhon ki baat ki hoti
Pocha ruk ruk k kon chalta hai
Mere dil ki misaal de hoti
Kash sab kuch yon na howa hota
Baat tum ne sanbhal li hoti
Parveen Shakir

KHOYE KHOYE SEE DHEEMI DHEEMI SEE



Hum Maslahat-e-Waqt Ke Qael Nahi Yaaro Ilzam Jo Dena Hai Sar-e-Aam Diya Jai



Hum Maslahat-e-Waqt Ke Qael Nahi Yaaro
Ilzam Jo Dena Hai Sar-e-Aam Diya Jai
Mohsin Bhopali

Badi Aag Hai,Badi Aanch Hai,Tere Maikady Ke Gulaab Mein Kai Balian,Kai Chodian Yahan Ghul Rahi Hain Sharaab Mein



بڑی آگ ہے، بڑی آنچ ہے، ترے میکدے کے گلاب میں
کئی بالیاں ، کئی چوڑیاں یہاں گھل رہی ہیں شراب میں
وہی لکھنے پڑھنے کا شوق تھا ، وہی لکھنے پڑھنے کا شوق ہے
ترا نام لکھنا کتاب پر، ترا نام پڑھنا کتاب میں
وہ بدن سخن کا جمال ہے، وہ جمال اپنی مثال ہے
کوئی ایک مصرعہ نہ کہہ سکا، کبھی اس غزل کے جواب میں
یہ نوازشیں یہ عنایتیں، ترا شکر کیسے ادا کروں
سرِ راہ پھول بچھا دیے، مرے آنسوؤں کے جواب میں
مرے زرد پتوں کی چادریں بھی ہوائیں چھین کے لے گئیں
میں عجب گلاب کا پھول ہوں‘جو برہنہ سر ہے شباب میں
یہ دُعا ہے ایسی غزل کہوں ‘کبھی پیش جسے میں کرسکوں
کوئی حرف تیرے حضور میں‘کوئی شعر تیری جناب میں

Badi Aag Hai,Badi Aanch Hai,Tere Maikady Ke Gulaab Mein
Kai Balian,Kai Chodian Yahan Ghul Rahi Hain Sharaab Mein
Wahi Lekhny Padny Ka Shoq Tha,Wahi Lekhny Padny Ka Shoq Hai
Tera Naam Lekhna Kitaab Par,Tera Naam Parhna Kitaab Mein
Wo Badan Sukhan Ka Jamaal Hai,Wo Jamaal Apni Misaal Hai
Koi Aik Misra Na Keh Saka,Kabhi Us Ghazal K Jawaab Mein
Ye Nawazeshein Ye Inayatein,Tera Shukar Kaise Ada Karon
Sar-e-Raah Phool Bicha Diye,Mere Aansoun K Jawaab Mein
Mere Zard Pat'ton Ki Chaadaren Bhi Hawaein Cheen K Le Gaein
Main Ajab Gulaab Ka Phool Hon,Jo Barehna Sar Hai Shabaab Mein
Ye Dua Hai Aisi Ghazal Kahon,Kabhi Paish Jise Main Kar Sakon
Koi Harf Tere Huzoor Mein,Koi Shair Teri Janaab Mein

Kabhee jigar pe kabhee dil pe chot padhti hai Teri nazar ke nishaane badalte rehatein hain


Kabhee jigar pe kabhee dil pe chot padhti hai
Teri nazar ke nishaane badalte rehatein hain

Faza-e-kunj-e-chaman mein hamein talaash na kar
Musaafiron ke thikaane badalte rehatein hain

Saif-u-din saif

Jee chahta hai umr-e-mohabbat na khatm ho mar jaiye kisi ki tamanna liye hue


جی چاہتا ہے عمر محبت نہ ختم ہو
‎مر جائیے کسی کی تمنا لیے ہوئے
‎نعش رواں ہوں زیست ہے میری فریب زیست
‎پھرتا ہوں زندگی کا جنازہ لیے ہوئے

Jee chahta hai umr-e-mohabbat na khatm ho
mar jaiye kisi ki tamanna liye hue

nash-e-rava'n hoon zeest hai meri fareb-e-zeest
phirta hoon zindagi ka janaza liye hue

Seemab Akbarabadi

Dil ishq mein bepaayaan, sauda ho to aisa ho Darya ho to aisa ho, sehra ho to aisa ho



Dil ishq mein bepaayaan, sauda ho to aisa ho
Darya ho to aisa ho, sehra ho to aisa ho

Ham se nahin rishta bhi, ham se nahin milta bhi
Hai paas wo baitha bhi, dhoka ho to aisa ho

Wo bhi raha ba-gaana, ham ne bhi na pehchaana
Haan ay dil-e-deewaana, apna ho to aisa ho

Hum ne yahi maanga tha, us ne yahi bakhshaa hai
Banda ho to aisa ho, daata ho to aisa ho

Is daur mein kya kya hai, ruswaayi bhi lazzat bhi
Kaanta ho to aisa ho, chubhta ho to aisa ho

Ay Qais junoon paisha, Insha ko kabhi dekha?
Wahshi ho to aisa ho, ruswa ho to aisa ho

 Ibn e Insha

Baaqi abhi hai tark-e-tamanna ki aarzoo Kyun-kar kahon koi tamanna nahin mujhe


Baaqi abhi hai tark-e-tamanna ki aarzoo
Kyun-kar kahon koi tamanna nahin mujhe

Muzzafar Ali Aseer

Masoom mohabbat ka bas itna fasana hai Kagaz ki haveli hai baarish ka zamaana hai


Masoom mohabbat ka bas itna fasana hai
Kagaz ki haveli hai baarish ka zamaana hai

Kya shart-e-mohabbat hai kya shart-e-zamaana hai
Awaz bhi zakhmi hai aur geet bhi gana hai

Uss par uterne ki ummeed bahot kam hai
Kashti bhi purani hai aur tufan ko bhi aana hai

Samjhe ya na samjhe wo andaaz mohabbat ke
Ek shks ko aankho se dil ka sara dard sunana hai

Bholi si ada koi phir ishq ki zid par hai
Phir aag ka dariya hai aur doob ke jana hai

Jal jao khamoshi Se Kadi dhoop mein lekin Apnon Se kabhi saya-e-deewar na mango


Jal jao khamoshi Se Kadi dhoop mein lekin

Apnon Se kabhi saya-e-deewar na mango

Kai rog de gai he naye mousamon ki barish Mujhe yaad aa rahe hein, mujhe bhool jane wale


Kai rog de gai he naye mousamon ki barish
Mujhe yaad aa rahe hein, mujhe bhool jane wale

Teri majbooryan darust magar Tu ne wada kia tha,yaad to kar


Teri majbooryan darust magar
Tu ne wada kia tha,yaad to kar

Tu jahan chnd roz thehra tha
Yaad karta ha tujh ko ,aaj wo ghar

Hm jahan roz saer kartay thay
Aaj sunsaan ha wo rehguzar

Tu jo nagaah saamnay aaya
Rakh liae man ne haath,aankhon par

Nasir Kazmi

DIL K TUKRON KO BAGAL BEECH LIAE PHIRTA HOON KUCH ILAJ ISKA BHI ,AE CHARA GIRAAN,HA K NAHEEN


DIL K TUKRON KO BAGAL BEECH LIAE PHIRTA HOON
KUCH ILAJ ISKA BHI ,AE CHARA GIRAAN,HA K NAHEEN

MIRZA RAFI SODA

Zu Ye Da Shundo Rapedal Bardasht Koly Na Sham Rebara Zaan Sara Baran Ke Janan Ma Rawala


زہ يے د شونڈو رپیدل برداشت کولے نہ شم 

 ریبارہ زان سرہ باران کی جانان مہ راولہ

Zu Ye Da Shundo Rapedal Bardasht Koly Na Sham
Rebara Zaan Sara Baran Ke Janan Ma Rawala

Husn ka haq nahin rehta baaqi Har adaa mein wo adaa kartein hain


Husn ka haq nahin rehta baaqi
Har adaa mein wo adaa kartein hain

Tumhari yaad me aankhon ka ratjaga hai koi khwab naya, aaye to kaise aaye


तुम्हारी याद में आँखों का रतजगा है
कोई ख़्वाब नया आए तो कैसे आए

Tumhari yaad me aankhon ka ratjaga hai
koi khwab naya, aaye to kaise aaye

Tamanna teri hai agar hai tamanna Teri aarzoo hai agar aarzoo hai


Tamanna teri hai agar hai tamanna
Teri aarzoo hai agar aarzoo hai

Khwaja Meer Dard

Ab k socha hai k khamoshi ko hi bana liengy andaaz e bayan apna Na lafz dhondhny pareingy ,na guzry ga nagawar kisi ko


Ab k socha hai k khamoshi ko hi bana liengy andaaz e bayan apna

Na lafz dhondhny pareingy ,na guzry ga nagawar kisi ko

Chup chaap zinda rehny ki raahein tatoliye

Bywajah nafsiyat ki girhein na kholiye

Chup chaap sahi maslyhatan waqt k hathon

Majboor sahi waqt sy haara tu nahi hon

Mustar kyun mujhy daikhta rehta hai zamana

Deewana sahi inka tamasha tu nahi hon

Abh ki baar tum mile to palkein band hi rakheinge Ye baatuni aakhein kuch bolne nahi deti


Abh ki baar tum mile to palkein band hi rakheinge
Ye baatuni aakhein kuch bolne nahi deti

Zu De Da Yao Khuwa Na Gandam Ta Balkhuwa Biya Seeri She Zama Da Jwand Rekhe Rekhe Grewana Stari De Kram


Zu De Da Yao Khuwa Na Gandam Ta Balkhuwa Biya Seeri She
Zama Da Jwand Rekhe Rekhe Grewana Stari De Kram

Yao Che Starge Darta Mrre Krri,Bal Khanda Pa Narmo Shundo Hagha Zrra Ka Da Mola Vi,Muhabbat Pake Paida Shi


Yao Che Starge Darta Mrre Krri,Bal Khanda Pa Narmo Shundo
Hagha Zrra Ka Da Mola Vi,Muhabbat Pake Paida Shi

Shankar Bhi Kai Khatam Hoe Shiv Bhi Chal Base Aankhon Ke Shawalon Mein Qadam Soch Ke Rakhna



Shankar Bhi Kai Khatam Hoe Shiv Bhi Chal Base
Aankhon Ke Shawalon Mein Qadam Soch Ke Rakhna
Razab Tabraiz

Aao mil kar karain wafa roshan Main sulagta hon tum hawa'ain do



Aao mil kar karain wafa roshan
Main sulagta hon tum hawa'ain do

Kahein Ishq Sajdy Mein Gir Gaya Kahein Ishq Sajdy Se Phir Gaya (ISHQ)


............. عشق .............

ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺳﺠﺪﮮ ﻣﯿﮟ ﮔِﺮ ﮔﯿﺎ
ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺳﺠﺪﮮ ﺳﮯ ﭘﮭﺮ ﮔﯿﺎ
ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺩﺭﺱِ ﻭﻓﺎ ﺑﻨﺎ
ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺣﺴﻦِ ﺍﺩﺍ ﺑﻨﺎ
ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﻧﮯ ﺳﺎﻧﭗ ﺳﮯ ﮈﺳﻮﺍ ﺩﯾﺎ
ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﻧﮯ ﻧﻤﺎﺯ ﮐﻮ ﻗﻀﺎ ﮐﯿﺎ
ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺳﯿﻒِ ﺧﺪﺍ ﺑﻨﺎ
ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺷﯿﺮ ﺧﺪﺍ ﺑﻨﺎ
ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﻃُﻮﺭ ﭘﺮ ﺩﯾﺪﺍﺭ ﮨﮯ
ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺫﺑﺢ ﮐﻮ ﺗﯿﺎ ﺭ ﮨﮯ
ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﻧﮯ ﺑﮩﮑﺎ ﺩﯾﺎ
ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﻧﮯ ﺷﺎﮦِ ﻣﺼﺮ ﺑﻨﺎ ﺩﯾﺎ
ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﮐﺎ ﻧﻮﺭ ﮨﮯ
ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﮐﻮﮦِ ﻃُﻮﺭ ﮨﮯ
ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺗُﻮ ﮨﯽ ﺗُﻮ ﮨﮯ
ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺍﻟﻠﮧ ﮬُﻮ ﮨﮯ
............. ISHQ .............

Kahein Ishq Sajdy Mein Gir Gaya 
Kahein Ishq Sajdy Se Phir Gaya
Kahein Ishq Dars-e-Wafa Bana
Kahein Ishq Husn-e-Ada Bana
Kahein Ishq Ne Saanp Se Daswa Diya
Kahein Ishq Ne Namaz Qaza Kia
Kahein Ishq Saif-e-Khuda Bana
Kahein Ishq Sher-e-Khuda Bana
Kahein Ishq Toor Par Deedaar Hai
Kahein Ishq Zabah Ko Tayyar Hai
Kahein Ishq Ne Behka Diya
Kahein Ishq Ne Shah-e-Misar Bana Diya
Kahein Ishq Aankhon Ka Noor Hai
Kahein Ishq Koh-e-Toor Hai
Kahein Ishq Tuu Hi Tuu Hai
Kahein Ishq ALLAH Hoo Hai
 

Sardiyon ke mausum men Be sabab in aankhon men Kuchh nami si reh'ti hai


Sardiyon ke mausum men
Be sabab in aankhon men
Kuchh nami si reh'ti hai

Zindagi mukammal ho
Phir bhi zaat men jaise
Ek kami si reh'ti hai

Wo Kehti Hai Keh Dar Khatka,Main Kehta Hon Hawa Hogi


وہ کہتی ہے کہ در کھٹکا
میں کہتا ہوں ہوا ہو گی
وہ کہتی ہے کوئی بولا
میں کہتا ہوں قضا ہو گی
وہ کہتی ہے کوئی رویا
میں کہتا ہوں وفا ہو گی
وہ کہتی ہے کوئی گزرا
میں کہتا ہوں صبا ہو گی
وہ کہتی ہے کہ برسی ہے
میں کہتا ہوں گھٹا ہو گی
وہ کہتی ہے کہ بے رخ ہوں
میں کہتا ہوں ادا ہو گی
وہ کہتی ہے محبت تھی
میں کہتا ہوں خطا ہو گی

Bahte daryaa men utar jana tha Khaak the aur bikhar jana tha


Bahte daryaa men utar jana tha
Khaak the aur bikhar jana tha

Us se bichhre to zamaanaa beeta
Ab talak zakhm ko bhar jana tha

Maan leta hon tujhe hi manzil
Ab kahaan yaad kidhar jana tha

Hausle ham ne bachakar rakkhe
Jab hamein had se guzar jana tha

Jaan !!! is hijar pe rona kaisa
Ek din yun bhi to mar jana tha

Main K Is Shehr Ka Seemaab-Sifat Shayer hoon Meri Takhleeq Mere Fikar Ki Pehchaan bhi hai


Main K Is Shehr Ka Seemaab-Sifat Shayer hoon
Meri Takhleeq Mere Fikar Ki Pehchaan bhi hai
Mere harfon, Mere Lafzon Mein hai chehra Mera
Mera Fan ab Mera Mazhab, Mera Emaan bhi hai
Meer-o-Ghalib Na sahi Phir bhi Ghanemat Jaano
Mere Yaaron Ke Sarhaane Mera Deewaan bhi hai

Duniya-o-Akhrat Mein Na Bhooke Maren ge Hum Ghurbat Mein Bhi Na Apne Qadam Dagmagayen ge


Duniya-o-Akhrat Mein Na Bhooke Maren ge Hum
Ghurbat Mein Bhi Na Apne Qadam Dagmagayen ge
Be-Rozgaar Ho bhi gye gar tou Dekhna
Jannat Ke Ghar Ko Baiech Ke Roti Kamayen Ge

Tanz-e-Aghyaar Se Ehbaab Ke Ikhlaas Talak Main Ne Har Naimat-e-Uzmaa Ka Labada Pehna


Tanz-e-Aghyaar Se Ehbaab Ke Ikhlaas Talak
Main Ne Har Naimat-e-Uzmaa Ka Labada Pehna
Meri Aankhon Mein Kharashen Thin Dhanak Ki Lekin
Meri Tasweer Ne Malboos To Saada Pehna

Sab Dagh Barisho'n Ki Hawa Mein Bujhe Rahe Bas Dil Ka Aik Zakham Purana Ajeeb Tha


سب داغ بارشوں کی ہَوا میں بُجھے رہے
بس دل کا ایک زخم پرانا عجیب تھا

پروین شاکر

Sab Dagh Barisho'n Ki Hawa Mein Bujhe Rahe
Bas Dil Ka Aik Zakham Purana Ajeeb Tha

Parveen Shakir

Tu bhi kisi ka pyar na paye Khuda kare Tujh ko tera naseeb rulaye Khuda kare


Tu bhi kisi ka pyar na paye Khuda kare
Tujh ko tera naseeb rulaye Khuda kare

Raton mein tujh ko neend na aye Khuda kare
Tu dar-ba-dar ki thokren khaye Khuda kare

Aye bahar tere gulistan mein bar bar
Tujh par kabhi nikhar na aye Khuda kare

Meri tarah tujhe bhi jawani mein gham mile
Tera na koi sath nibhaye Khuda kare

Manzil kabhi bhi pyar ki tujh ko na mil sake
Tu bhi dua ko hath uthaye Khuda kare

Tujh par shab-e-wisal ki raten haram hon
Shammein jala jala k bujhaye Khuda kare

Ho jayen bad-duaen meri dosto ghalat
Ab un pe koi harf na aye Khuda kare

Khushi ki bheek mein kis kis Sy mangta Acha howa k ghamon sy tabiyat behal gai


Khushi ki bheek mein kis kis Sy mangta

Acha howa k ghamon sy tabiyat behal gai

Ye Samandar Hai Kinare Hi Kinare Jao


یہ سمندر ہے کنارے ہی کنارے جاؤ
عشق ہر شخص کے بس کا نہیں پیارے ، جاؤ
یوں تو مقتل میں تماشائی بہت آتے ہیں
آؤ اس وقت کہ جس وقت پکارے جاؤ
دل کی بازی لگے پھر جان کی بازی لگ جائے
عشق میں ہار کے بیٹھو نہیں ، ہارے جاؤ
کام بن جائے اگر زلف جنوں بن جائے
اس لیے اس کو سنوارو کہ ، سنوارے جاؤ
کوئی رستہ کوئی منزل اسے دشوار نہیں
جس جگہ چاہو محبت کے سہارے جاؤ
ہم تو مٹی سے اگائیں گے محبت کے گلاب
تم اگر توڑنے جاتے ہو ستارے ، جاؤ
ڈوبنا ہو گا اگر ڈوبنا تقدیر میں ہے
چاہے کشتی پہ رہو ، چاہے کنارے جاؤ
تم ہی سوچو بھلا یہ شوق کوئی شوق ہوا
آج اونچائی پہ بیٹھو ، کل اتارے جاؤ
موت سے کھیل کے کرتے ہو محبت " عاجز "
مجھ کو ڈر ہے کہیں بے موت نہ مارے جاؤ
کلیم عاجز

Karb Ka Lashkar Tha Muqabil Aur Tanha Main Sankron Lakhon Masail Aur Tanha Main


ﮐﺮﺏ ﮐﺎ ﻟﺸﮑﺮ ﺗﮭﺎ ﻣﻘﺎﺑﻞ ﺍﻭﺭ ﺗﻨﮩﺎ ﺍﯾﮏ ﻣﯿﮟ
ﺳﯿﻨﮑﮍﻭﮞ ﻻﮐﮭﻮﮞ ﻣﺴﺎﺋﻞ ﺍﻭﺭ ﺗﻨﮩﺎ ﺍﯾﮏ ﻣﯿﮟ

ﺁﻧﺪﮬﯿﻮﮞ ﮔﺮﺩﺍﺏ ﻣﻮﺟﻮﮞ ﺍﻭﺭ ﻃﻮﻓﺎﻧﻮﮞ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ
ﺩﺭﭘﺌﮯ ﺁﺯﺍﺭ ﺳﺎﺣﻞ ﺍﻭﺭ ﺗﻨﮩﺎ ﺍﯾﮏ ﻣﯿﮟ

ﻣﯿﮟ ﺟﻨﮩﯿﮟ ﺍﭘﻨﺎ ﺳﻤﺠﮭﺘﺎ ﺗﮭﺎ ﺍﻧﮩﯿﮟ ﮨﻤﺮﺍﮦ ﻟﺌﮯ
ﺁ ﺭﮨﺎ ﺗﮭﺎ ﻣﯿﺮﺍ ﻗﺎﺗﻞ ﺍﻭﺭ ﺗﻨﮩﺎ ﺍﯾﮏ ﻣﯿﮟ

ﺍﯾﺴﮯ ﻋﺎﻟﻢ ﻣﯿﮟ ﮐﮩﺎﮞ ﺟﺎﺅﮞ ﮐﺴﮯ ﺁﻭﺍﺯ ﺩﻭﮞ
ﺁﮒ ﺻﺤﺮﺍ، ﺩﻭﺭ ﻣﻨﺰﻝ ﺍﻭﺭ ﺗﻨﮩﺎ ﺍﯾﮏ ﻣﯿﮟ

ﺩﺭﺩ، ﺁﻧﺴﻮ، ﺑﮯ ﻗﺮﺍﺭﯼ، ﯾﺎﺱ ﺍﻭﺭ ﺩﯾﻮﺍﻧﮕﯽ
ﮐﺎﻭﺵِ ﭘﯿﮩﻢ ﮐﺎ ﺣﺎﺻﻞ ﺍﻭﺭ ﺗﻨﮩﺎ ﺍﯾﮏ ﻣﯿﮟ

ﺍﯾﮏ ﺗُﻮ ﮐﮧ ﺯﻧﺪﮔﯽ ﺩﺭﺍﺻﻞ ﺗﺠﮫ ﭘﺮ ﺧﺘﻢ ﮨﮯ
ﺁﺑﻠﮧ ﭘﺎ، ﺭُﻭﺡ ﮔﮭﺎﺋﻞ ﺍﻭﺭ ﺗﻨﮩﺎ ﺍﯾﮏ ﻣﯿﮟ

 ﻓﺮﺣﺖ ﺷﮩﺰﺍﺩ

Do Hi Gawah Thay Meri Muhabbat Ke Waqt Aur Wo__!! Aik Guzar Gaya Dosra Mukar Gaya



Do Hi Gawah Thay Meri Muhabbat Ke
Waqt Aur Wo__!!
Aik Guzar Gaya Dosra Mukar Gaya

*******************************************

نا لفظوں سے لهو نکلتا هے نا کتابیں بول پاتی هیں
میرے درد کے دو گواه تهے دونوں بے زباں نکلے

Na Lafzon Se Lahoo Nikalta Hai Na Kitabein Bol Paati Hain
Mere Dard Ke Do Gawah Thay Dono Be-Zubaan Niklay

Zu "Adat" Pa "Muhabbat "Yam" Ta "Gulaab" Ye" Ta Sharaab "Ye"


Zu "Adat" Pa "Muhabbat "Yam"
Ta "Gulaab" Ye" Ta Sharaab "Ye"

Zu" Malang "Sta" Da Darbaar "Yam"
Zu" Patang" Sta" Da Rukhsaar"Yam"

Zu" Har " Rang " Sta "Da" Singaar "Yam"
Tu" Sanam "Ye" Tu "Marham" Ye"

Zu" Ranzoor "Yam" Sta "Da" Meeni"
Zu "Mansoor" Yam" Veeni "Veeni"

Zu "Majboor" Yam "Tu "Mi" Weenee"
Tu "Rahat" Ye" Tu" Ulfat" Ye"

Zu" Nakaam" Da" Muhabbat" Yam"
Zu "Faryaad" Da "Museebat" Yam"

Zu "Adat" Pa "Muhabbat "Yam"
Zu "Adat" Pa "Muhabbat "Yam"

Aaghaaz Muqarar Tou Hai Anjaam Muqarar,Soda Nahi Hota Hai Yahan Daam Muqarar



آغاز مقرر تو ہے انجام مُقَرر
سودا نہیں ہوتا ہے یہاں دام مقرر

آتی ہیں نئے رعب میں مغرور یہ صبحیں
ہر صبح کی ہوتی ہے مگر شام مقرر

انساں کو فخر کیا کہ نئی منزلیں کھوجے
ہر راہ مقرر ہے تو ہے گام مقرر

پتا بھی نہیں ہلتا بِنا اس کی اجازت
کیسے نہ کئے جائیں گے پھر کام مقرر

اذن اس کا بھلائی ہے برائی ہے مرے ہاتھ
کیا ہوگا جو کہتے ہیں کہ ہے جام مقرر

قسمت میں جو لکھا ہے وہی ملتا ہے لیکن
بڑھ جاتے دعا سے ہیں یہ انعام مقرر

جو عقل سے کر پائے نہ تو فیصلے ابرک
قرآں میں سبھی ملتے وہ احکام مقرر

اتباف ابرک

Ab Woh Galiyan Wo Makaan Yaad Nahi Kaun Rehta Tha Kahan Yaad Nahi


Ab Woh Galiyan Wo Makaan Yaad Nahi
Kaun Rehta Tha Kahan Yaad Nahi
Jalwa-e-Husn-e-Azal The Woh Dayaar
Jin Ke Ab Naam-o-Nishaan Yaad Nahi
Koi Ujala Sa Bhalaa Sa Ghar Tha
Kis Ko Dekha Tha Wahan Yaad Nahi
Yaad Hai Zeena-e-Pechaan Us Ka
Dar-o-Deewar-e-Makaan Yaad Nahi
Yaad Hai Zamzama-e-Saaz-e-Bahaar
Shor-e-Awaaz-e-Khizaan Yaad Nahi!
Ahmad Mushtaq

Main Taare Ginti Hon! Jab Sota Hai Ye Aalam! Roti Tadapti Hon! Kat'ti Hi Nahi Zalim!



Main Taare Ginti Hon!
Jab Sota Hai Ye Aalam!
Roti Tadapti Hon!
Kat'ti Hi Nahi Zalim!
Ik Raat Judai Ki,So Raat,Se Bhari Hai,
Dil Cheez Hai Kia Janaan,Ye Jaan Bhi Tumhari Hai!!!

Dahar Mein Kaise Chha Gaye Barog Be-Misaal Uthay Toh Phir Mily Nahi Log Be-Misaal


ایک تازہ غزل آپ سب کے ذوق کی نظر


Dahar Mein Kaise Chha Gaye Barog Be-Misaal
Uthay Toh Phir Mily Nahi Log Be-Misaal
Hawa Ki Phaank Chhaat Mein Wo Aalam-e-Lahoot
Shamma-e-Mazar-e-Chisham Ke Sab Rog Be-Misaal
Kangan Ko Izn-e-sam Ki Marhamat Se Kinara
Zuban Daraz Saaz Ke Sanjog Be-Misaal
Aanchal Ke Makeeno Se Aah Tabasumi Ubhyas
Qalb Ke Hansor Ke Haay Jog Be-Misaal
Badan Ki Kasampursi Mein Quran Se Nikaah
Nazukandam Aarzo Ke Sog Be-Misaal
RAZAB ! Riasat-e-Qalam Sharh-e-Nafos Dekh
Ba-Kamal Sab Haroof Arog Be-Misaal
Razab Tabraiz

Soraj Turda Naal Barabar Din Kion Lagan Saal Barabar


سورج ٹردا _نال برابر
دن کیوں لگن _سال برابر
وتھ تے سجنا وتھ ہوندی اے
بھاونویں ہووے _وال برابر
اکھ دا چانن _مر جاوے تے
نیلا، پیلا_ لال برابر
جُلی منجی بھین نوں دے کے
ونڈ لئے ویراں_ مال برابر
مرشد جے نہ راضی ہووے
مجرا ، ناچ_ دھمال برابر
اتوں اتوں _پردے پاون
وچوں سب دا _حال برابر

Soraj Turda Naal Barabar
Din Kion Lagan Saal Barabar
Wat Te Sajna Wat Hondi Ye
Bhaveen Hoe Waal Barabar
Aakh Da Chanan Mar Jave Te
Neela Peela Laal Barabar
Juli Manjhi Behin Nu De Ke
Wand Liye Veeraan Maal Barabar
Murshad Jey Na Raazi Hove
Mujra,Naach Dhamaal Barabar
Itoun Utoun Pardey Paon
Wichoon Sab Da Haal Barabar

Aik Maikhana Hai Dunya Saari Iss Liye Hat Ke Zara Jeetay Hain



ایک میخانہ ہے دنیا ساری
اس لئے ہٹ کے ذرا جیتے ہیں

جامِ غفلت ہے یہ انساں کی طلب
جب سے سمجھے یہ نہ ہم پیتے ہیں

کس پہ کیا بیتی خبر کیا ہم کو
ہم تو بس خود پہ سدا بیتے ہیں

تو تھا بازی تجھی کو ہار دیا
پھر جو جیتے ہیں تو کیا جیتے ہیں

زخم بن جائے نہ شہرت ابرک
سو چھپا کر سبھی سے سیتے ہیں 

اتباف ابرک

Aik Maikhana Hai Dunya Saari
Iss Liye Hat Ke Zara Jeetay Hain

Jaam-e-Ghaflat Hai Ye Insan Ki Talab
Jab Se Samjhe Ye Na Hum Peetay Hain

Kis Pe Kia Beeti Khabar Kia Hum Ko
Hum Toh Bas Khud Ye Sada Beetay Hain

Tuu Tha Baazi Tujhee Ko Haar Dia
Phir Jo Jeetay Hain Toh Kia Jeetay Hain

Zakham Ban Jai Na Shuhrat "ABRAK"
So Chupa Kar Sabhi Se Seetay Hain

Atbaf Abrak

Tujhay roz dekhoon qareeb se mere shoq bhi hain ajeeb se


Tujhay roz dekhoon qareeb se
mere shoq bhi hain ajeeb se
mujhay maangnaa ha tujjhi ko bs
apnay rabb aur us k habib se
meri aankh main bhi hai aajzi
mere khawb bhi hain ghareeb se
meray sb dukhon ki dawa ho tum
milay kia sakoon phir,tabeeb se
man bohat khush hon
jor k naseeb apna tere naseeb se
parveen shakir

Teri khushbo nahin milti,tera lehja nahin milta hamein to shaher main koi,teray jesa nahin milta


Teri khushbo nahin milti,tera lehja nahin milta
hamein to shaher main koi,teray jesa nahin milta
ye kesi dhund main,hm tum,safar ka aghaz kr bethay
tumhen aankhein nahin miltein,hamein chehra nahin milta
bhala us k dukhon ki raat ka,koi madawa hai?
wo maan jisko kabhi,khoya huwa bachha nahin milta
zamanay ko,qareenay se wo apnay sath rakhta hai
magar meray liye usko,koi lamha nahin milta
musafat main dua-e-abr un ka saath deti hai
jinhein sahra k daman main,koi drya nahin milta
jahan zulmat,ragon main apnay panjay gaar deti hai
usi tareek rastay par,dya jalta nahin milta
Noshi Gilani

teri umeed tera intzaar jab se hai na shab ko din se shikayat,na din ko shab se hai


teri umeed tera intzaar jab se hai
na shab ko din se shikayat,na din ko shab se hai
kisi ka dard ho kartey hein tere naam rakam
gila hai jo kisi se tere sabab se hai
hua hai jab se dil-e-nasaboor be kaboo
kalam tujh se nazar ko bare adab se hai
agar sharar hai to bharke,jo phool hai to khiley
tarhan tarhan ki talab,tere rang-e-lab se hai
kahan gaye shab-e-furqat ke jagney waley
sitara-e-sehri hum kalam kab se hai
Faiz

Adab Ki Baat Hai,Warna MUNIR Socho Toh Jo Shakhs Sunta Hai,Wo Bol Bhi Toh Sakta Hai





Adab Ki Baat Hai,Warna MUNIR Socho Toh
Jo Shakhs Sunta Hai,Wo Bol Bhi Toh Sakta Hai
Munir Niazi

Aik Aurat Aik Mard Se




ایک عورت ایک مرد سے

محبت کو منکوحہ غلام مت بناؤ
میری انگلی میں
یہ ہیرے کی انگوٹھی
اس طرح مت پہناؤ
جس طرح کسی غلام کے گردن میں
ایک طوق آوایزاں کیا جاتا ہے
کسی مولوی کو مت بلاؤ
میری آنکھوں میں دیکھو
اور مجھے بتاؤ
کیا میں وہی عورت ہوں؟
جس کے لیے تم ایک عورت کے
جسم سے جدا ہوئے تھے؟
جس کے لیے تم نے جنم لیا تھا؟
جس کے لیے تم نفی سے اثبات بنے تھے؟
وعدہ مت کرو
وفا بن جاؤ۔
اور اس طرح قریب آؤ
جس طرح ایک طبیب نہیں
جس طرح ایک حبیب آتا ہے
میرے لیے جھمکے مت خریدو
مجھے اپنا انتظار پہناؤ
اور میرے کانوں میں آؤ
ایک کہانی کی طرح
اور میری آنکھوں کا خواب بن جاؤ
زندگی نہیں
موت بن کر آؤ
اور مجھے لے جاؤ
وہاں
جہاں
محبت ایک مولوی کا مسئلہ نہیں
ایک موالی کی مستی ہے


Yunhi khiza'n ka roop suhana laga mujey har phool fasl-e-gul main purana laga mujhey


Yunhi khiza'n ka roop suhana laga mujey
har phool fasl-e-gul main purana laga mujhey

main kya kisi pe sang utthaney ki sochta
apna hi jism aaina khana laga mujhey

ay dost jhoot aam tha dunya main iss qadar
tuney bhi sach kaha to fasana laga mujhey

abb usko kho raha hoon barhey ishtiyaq se
wo jisko dhondhne main zamana laga mujhey

Mohsin hujom-e-yaas main marne ka shok bhi
jeeney ka ik haseen bahana laga mujhey

Woh shaks kabhi dasht se guzray usay kehna Ek pal mery ghar mein bhi thehray usay kehna


Woh shaks kabhi dasht se guzray usay kehna
Ek pal mery ghar mein bhi thehray usay kehna

Kehna k samundar k kinare pe na jaye
Kuch log smundar se bhi hain gehray usay kehna

Zarkheiz zameene kabhi banjhar nahi hoti
Darya hi badal lehte hain raasty usay kehna

Kuch log safar k lyie mouzu nahi hote
Kuch raasty kattay nahi Tanha usay kehna

Is shehar me kuch keh k gunahgaar na hona
K basti k sabhi log hain behray usay kehna

Phir waqt k maktal mein sajhti hain woh aankhein
Jo dekhti hain khowaab sunehry usay kehna

Bheer main aik ajnabi ka saamna accha laga Sab se chup kar woh kisi ka dekhna accha laga


Bheer main aik ajnabi ka saamna accha laga
Sab se chup kar woh kisi ka dekhna accha laga

Surmae ankhon k neechay phool se khilne lage
Kehte kehte,kisi ka sochna accha laga

Baat to kuch bhi nahi thi lekin uska aik dum
Haath honton par rakh kar rokna accha laga

Dil main kitne ahed baandhe the bhulane k usne
Woh mila to sab irade torna accha laga

Chae main cheeni milana us ghari accha laga
Zair-e-lab wo muskurata ‘shukriya’ accha laga

Is ada-e-jan ko main bura kaise kahon
Jab bhi aya saamne woh bewafa accha laga

Log Kehty Hain Pagasl Hon Main Jahan Ki Khushi Se Ghafil Hon Main


لوگ کہتے ہیں..... پاگل ھوں میں
جہاں کی خوشی سے غافل ھوں میں
****
لوگوں کو کیا پتا کیا خبر
اندر سے کتنا, گھائل ھوں میں
****
راتوں کی ننیدیں حرام ھیں
غمِ شب کا حاصل ھوں میں
****
سوچتا ھوں جہاں میں آیا,کیوں ؟
شاید کسی کے قابل ھوں میں
****
برسنے کے لئے جو تڑپتا ھے
آسمان کا ایسا بادل ھوں میں
****
شیخ اسلم آزاد
Log Kehty Hain Pagasl Hon Main
Jahan Ki Khushi Se Ghafil Hon Main
****
Logo Ko Kia Pata Kia Khabar
Andar Se Kitna,Ghail Hon Main
****
Raton Ki Neendein Haram Hain
Gham-e-Shab Ka Hasil Hon Main
****
Sochta Hon Jahan Mein Aaya Kion?
Shaid Kisi Ke Qabil Hon Main
****
Barasnay Ke Liye Jo Tadapta Hai
Asman Ka Aisa Badal Hon Main
****
Sheikh Aslam Azad

Roz-e-Azal Husn Ba Turkaan Dadand Zulf Paichaan Kamar Naram Ba Iran Dadand


Roz-e-Azal Husn Ba Turkaan Dadand
 Zulf Paichaan Kamar Naram Ba Iran Dadand
Naaz-o-Andaz Ada Khatam Ba Zanaan-e-Hind
Jihl Nadani-o-Jang Afghan Dadand

سعدی صاحب کیا کہتے ھے
روز ازل حسن بہ ترکاں دادند
زلف پیچاں کمر نرم بہ ایران دادند
ناز و انداز ادا ختم بہ زنان ھند
جہل نادانی و جنگ افغان دادند
 
ترجمہ
سعدی صاحب کہتے ھے
 روز ازل سے حسن ترکوں کی حصے میں ایی
 زلفوں کی پیچ اور نرم کمر ایرانوں کے حصے میں ایی
 ناز وانداز اور ادا ھندوستان کی عورتوں پر ھی ختم ھوتی ھے
 جبکہ جہالت کم عقلی اور لڑائی یہ افغانوں کی حصہ میں ایی ھے

Woh shaks kabhi dasht se guzray usay kehna Ek pal mery ghar men bhi thehray usay kehna


Woh shaks kabhi dasht se guzray usay kehna
Ek pal mery ghar men bhi thehray usay kehna

Kehna k samundar k kinare pe na jaye
Kuch log smundar se bhi hain gehray usay kehna

Zarkheiz zameene kabhi banjhar nahi hoti
Darya hi badal lehte hain raasty usay kehna

Kuch log safar k liye mouzu nahi hote
Kuch raasty kattay nahi Tanha usay kehna

Is shehar me kuch keh k gunahgaar na hona
K basti k sabhi log hain behray usay kehna

phir waqt k maktal me sajhti hain woh aankhein
jo dekhti hain khowaab sunehry usay kehna

Waqt bas rengta hai umr ke saath taara taara gina hai umr ke saath


Waqt bas rengta hai umr ke saath
taara taara gina hai umr ke saath

kitna asan sa ta'alluq tha
kitna mushkil hua hai umr ke saath

phir safar naam hai aziyyat ka
rasta hanpta hai umr ke saath

kis ki aankhon ko neend chubhti hai
kaun jaaga raha hai umr ke saath

jaane aram aae ga kab tak
dard bahne laga hai umr ke saath

ik gunah tha chhupae rakkha tha
samne aa gaya hai umr ke saath

zindagi zindagi nahin lagti
koi dhoka hua hai umr ke saath

subh-e-kazib se sham-e-sadiq tak
ek mahshar bapa hai umr ke saath

kaisa chehra hai raat ki tafsil
kaun jal kar bujha hai umr ke saath

Yasmin Habib

Mozi Ihsasaat Ki Baqa Ke Wastay Yaqeen Mein Kahein Kahein Sorakh Chod Do





Mozi Ihsasaat Ki Baqa Ke Wastay
Yaqeen Mein Kahein Kahein Sorakh Chod Do
Razab Tabraiz

Tooti ha meri neend,magar tum ko is se kia bajtay rahen hawaon se dar,tum ko is se kia


Tooti ha meri neend,magar tum ko is se kia
bajtay rahen hawaon se dar,tum ko is se kia
tum mauj mauj misl e saba ghoomtay raho
kt jaen meri soch k par,tum ko is se kia
auron k haath thaamo,unhen rasta dikhao
man bhool jaoon apna hi ghar,tum ko is se kia
abr e gurez pa ko barasnay se kia garz
seepi main bn na pae gohar,tum ko is se kia
le jaen mujhko maal e ganimat k sath adu
tum ne to daal di ha sapar,tum ko is se kia
tum ne to thak k dasht main khaimay laga liae
tanha katay kisi ka safar,tum ko is se kia

Ye barishen bhi tum si hain jo baras gaeen, to bahaar hain jo tehar gaeen to qarar hain


.......YE BARISHEN..............
Ye barishen bhi tum si hain
jo baras gaeen,
to bahaar hain
jo tehar gaeen
to qarar hain
kabhi aa gaeen yunhi besabab
kabhi chaa gaeen
yunhi roz o shab
kabhi shor hain
kabhi chup si hain 
ye barishen bhi,tum si hain
kisi yaad main
kisi raat ko
ik dabi hui si raakh ko
kabhi yun hua
k bhuja dia
kabhi khud se khud ko
jalaa dia
kaheen boond boond main gum si hain
YE BAARISHEN BHI,,,,,,,,,,,TUM SI HAIN

Soraj Gharoob Hone K Baad Chaand Nikly Ga



ایک نثری نظم

زندگی کا سوال

سورج غروب ہونے کے بعد
چاند نکلے گا

گر ہوگی اماوس کی رات تو
دیپ جلے گا

روشنی رہے گی
اجالا رہے گا
میرے دوست

آج اگر گهٹن والا ماحول ہے
چہرہ چہرہ اداس ہے

خوشی نظر نہیں آتی
مرے ہوئے احساس ہیں

ہاں پهر بهی مسکراہٹ رہے گی
قہقہہ رہے گا میرے دوست

لیکن
کیا دل ٹوٹنے کے بعد ..؟؟؟؟

مانتا ہوں
یادیں بهی رہیں گی
تصویریں بهی رہیں گی
اور یہ جہان بهی رہے گا باقی

مگر کیا میرے لیے زندگی رہے گی ؟
جینے کا حوصلہ رہے گا باقی
میرے دوست ...؟؟؟؟
**

از قلم:
شیخ اسلم آزاد



Hum Na Urdu Na Hindi Mein Ghazal Kehty Hain Hum Toh Bas AAp Ki Boli Mein Ghazal Kehty Hain


Hum Na Urdu Na Hindi Mein Ghazal Kehty Hain
Hum Toh Bas AAp Ki Boli Mein Ghazal Kehty Hain
Jo Ameeri Mein Ghazal Kehty Hain Kehty Hon Gy
Sachhay Shair Toh Faqeeri Mein Ghazal Kehty Hain

****************************************

"Ghareebi"
Agar Bazar Mein Milti Toh Sab Ghar Par Utha Late
Khushi Paane Ka Zareya Sirf Paisa Ho Nahi Sakta
Kabhi De Do Bina Mangy Imdad Muflis Ko
Kisi Khud'daar Ke Hathon Mein Kaasa Ho Nahi Sakta

Qurbatoon mein bhi juda'ee ke zamaanay maange Dil wo be-mehr keh roonay ke bahaanay maange


Qurbatoon mein bhi juda'ee ke zamaanay maange
Dil wo be-mehr keh roonay ke bahaanay maange
Hum na hotay to kisi aur ke charchay hotay
Khalqat-e shehr tau kehnay ko fusaanay maange
Yeh-hi dil tha keh tarasta tha maraasim ke lya
Ab yeh-hi turk-e talug ke bahaanay maange
Zindagi hum tere daghoon se rahe sharminda
Aur tu hai keh sada aina khaanay maange
Dil kisi haal per qaanay hi nahin jaan-e faraz
Mil gaye tum bhi tau kya aur na jaane maange

Woh dushman-e-jaan, jaan se pyara bhi kabhi tha Ab kiss se kahein koi hamara bhi kabhi tha


Woh dushman-e-jaan, jaan se pyara bhi kabhi tha
Ab kiss se kahein koi hamara bhi kabhi tha
Utra hai rag-o-pey main to dil katt sa geya hai
Yeh zeher-e-judaayi ke gawara bhi kabhi tha
Har dost jahan abar-e-gurezaan ki tarah hai
Yeh sheher kabhi sheher hamara bhi kabhi tha
Titlii ke taaqub mein koi phool sa bacha
Aesa hi koi khawb hamara bhi kabhi tha
Ab agley zamaney ke milain log to poochain
Jo haal hamara hai, tumhara bhi kabhi tha
Har bazm main hum ne usey afsurda hi dekha
Kehtey hain Faraz anjuman-e-araa bhi kabhi tha

Ishq Haqeeqi Ho Ya Ishq Majazi Dono Mein Shirq Ki Gunjaish Nahi Hoti





Ishq Haqeeqi Ho Ya Ishq Majazi
Dono Mein Shirq Ki Gunjaish Nahi Hoti

Khamosh Lab Hain Jhuki Hain Palkein Dilon Mein Ulfat Nai Nai Hai


Khamosh Lab Hain
Jhuki Hain Palkein
Dilon Mein Ulfat Nai Nai Hai
Khamosh Lab Hain
Jhuki Hain Palkein
Dilon Mein Ulfat Nai Nai Hai
Abhi Talluf Guftgo Mein
Abhi Muhabbat Nai Nai Hai
Khamosh Lab Hain
Jhuki Hain Palkein
Dilon Mein Ulfat Nai Nai Hai
Abhi Na Aai Gi Neend Tum Ko
Abhi Na Hum Ko Sukoon Mily Ga
Abhi To Dharrky Ga Dil Ziada
Abhi Ye Chhahat Nai Nai Hai
Khamosh Lab Hain
Jhuki Hain Palkein
Dilon Mein Ulfat Nai Nai Hai
Bahar Ka Aaj Pehla Din Hai
Chalo Chaman Mein Tehel Ke Aaein
Fiza Mein Khushbo Nai Nai Hai
Gulon Mein Rangat Nai Nai Hai
Khamosh Lab Hain
Jhuki Hain Palkein
Dilon Mein Ulfat Nai Nai Hai
Jo Khandani Raees Hai Wo Mizaj Rakhtay Hain Narm Apna
Tumhara Lehja Bata Raha Hai Tumhari Daolat Nai Nai Hai
Khamosh Lab Hain
Jhuki Hain Palkein
Dilon Mein Ulfat Nai Nai Hai
Zara Sa Qudrat Ne Kia Nawaza Keh Aa Ke Bhaitay Ho Pehli Saf Mein
Abhi Se Udnay Lagay Hawa Mein Abhi Tou Shuhrat Nai Nai Hai

Mujh Ko Rangon Ki Tarah Lagti Hai Dunya Saari Rang,Rangon Mein Milein Rang Badal Jate Hain



Mujh Ko Rangon Ki Tarah Lagti Hai Dunya Saari
Rang,Rangon Mein Milein Rang Badal Jate Hain
Atbaf Abrak

Ishq-e-Rasool Kia Hai,ALLAH se Loo Lagana Momin Ki Rooh Dhalna,Quran Ko Raah Karna



Ishq-e-Rasool Kia Hai,ALLAH se Loo Lagana
Momin Ki Rooh Dhalna,Quran Ko Raah Karna

Atbaf Abrak

Wo Itny Dil-Faraib Thy Keh Dil Sanbhala Na Gaya Aur Hum Itny Sada-Loh Keh Khenchty Chaly Gaye


وہ اتنے دلفریب تھے کہ دل سنبھالا نہ گیا

اور ہم اتنے سادہ لوح کہ کھنچتے چلے گئے

Wo Itny Dil-Faraib Thy Keh Dil Sanbhala Na Gaya
Aur Hum Itny Sada-Loh Keh Khenchty Chaly Gaye

Aayan Hai,Ye Nihan Hai Be-Kran Hai,Muhabbat Naam Jis Ka Javedaan Hai



عیاں ہے، یہ نہاں ہے بے کراں ہے
محبت نام جس کا جاوداں ہے

کہاں بچ پایا ہے کوئی مسافر
محبت آج بھی اندھا کنواں ہے

یہ ایسی آگ جو دِکھتی نہیں ہے
مگر چاروں طرف گہرا دھواں ہے

یہ وہ کشتی جو خشکی پر ہے مردہ
بھرے پانی میں دیکھو کیا رواں ہے

کسی طوفاں کا یہ کیا خوف رکھے
محبت اپنے اندر بادباں ہے

یہ بچھڑے تو ملے صحرا کا موسم
اگر لوٹے تو پھر جل تھل سماں ہے

اندھیری رات میں یہ دیپ روشن
کڑی دھوپوں میں گویا سائباں ہے

یہ دنیا نقد سودے میں ہے دھوکہ
ملے بِن مول سب یہ وہ دکاں ہے

کہاں ہے,کب ہے,کیسے کیوں کدھر ہے
کوئی کب اس کا اتنا رازداں ہے

مخاطب ہے جو بس اہلِ نظر سے
یہ وہ منظر حسیں, دلکش بیاں ہے

نہیں شامل ہے جس میں یہ محبت
بھلا بولو وہ کیسا کارواں ہے

جو یہ ہے تو مکمل داستاں ہے
وگرنہ زندگی اک امتحاں ہے

یہ ہے تو رابطہ لوگوں میں قائم
نہیں تو ایک سرحد درمیاں ہے

گلہ اس سے کہ یہ سنتی نہیں ہے
مگر سچ ہے محبت بے زباں ہے

کہاں نقصان کر پائے کسی کا
جو الٹا تیر رکھے وہ کماں ہے

نہ جانے کون جنجھٹ ہے سمجھتا
ہمارے واسطے یہ ارمغاں ہے

جو حاصل یہ نہیں تو درحقیقت
جو حاصل بھی ہے سب وہ رائیگاں ہے

ہاں چاروں اور دشمن بستیاں ہیں
محبت ایک بس ذاتی مکاں ہے 

اتباف ابرک


Dil munafiq tha shab-e-hijar mein soya kaisa Aur jab tujh se mila toot ke roya kaisa



Dil munafiq tha shab-e-hijar mein soya kaisa
Aur jab tujh se mila toot ke roya kaisa
Zindagi mein bhi ghazal hi ka kareena rakha
Khawaab dar khawab tere gham ko piroya kaisa
Ab to chehron pe bhi katbuo’n ka gumaan hota hai
Aankhain pattahre hui hain lab-e-goya kaisa
Dekh ab qurb ka mausam bhi na sar sabz lage
Hijar hi hijar maraasim mein samoya kaisa
Aik aansoo tha ke dariya-e-nidaamat tha "FARAZ"
Dil se baibaak shanawar ko daboya kaisa

Khuwabon Se Karein Kaise Wo Dilshad Musalsal,Ta'abeer Jinhein Karti Hai Barbad Musalsal



خوابوں سے کریں کیسے وہ دل شاد مسلسل
تعبیر جنہیں کرتی ہے برباد مسلسل

لاحق ہے مری زیست کو تشویش مسلسل
میں قید مسلسل ہوں یا آزاد مسلسل

یہ بستیاں دل کی ہیں عجب حوصلوں والی
امیدِ مسلسل سے ہیں آباد مسلسل

ڈھونڈے ہے نظر تیری فقظ ایک اسی کو
نظروں میں رہا جس کی تو بے داد مسلسل

وا پس نہیں آیا جو بھی اک بار گیا ہے
بس چہرے بدلتی ہے یہ روداد مسلسل

بکھرے ہوئے پتے ہیں بہاروں کی علامت
خوش فہمی نئی کرتا ہوں ایجاد مسلسل

اب ڈھائے ستم وقت کہ پھر جان سکوں میں
کچھ موم ہوا ہوں یا ہوں فولاد مسلسل

باتوں میں سبق ان کی بھی ہے نرم دلی کا
سوچوں میں بسے جن کے ہیں جلاد مسلسل

تنکا بھی نہ توڑا ہے کجا دودھ کی نہریں
اور خود کو سمجھ بیٹھے ہیں فرہاد مسلسل

کیوں آج ذکر ان کا ہے دنیا کی زباں پر
رتبہ کی وجہ جن کی ہیں اعداد مسلسل

ناپُرساں یونہی شہر یہ بگڑے گا مسلسل
جب تک کوئی بدلے گا نہ بنیاد مسلسل

پتھر ہیں ترے گرد یہ انسان نہیں ہیں
ابرک نہ کئے جا تو یوں فریاد مسلسل


Qazaq Aankhein Gulal Chehra,Badan Pe Salwat Nishan Ko Tarse


Image may contain: 1 person, close-up

قزاق آنکھیں گلال چہرہ
بدن پہ سلوٹ نشاں کو ترسے
لپٹتا آنچل سمٹتا دامن لمس
میں تیرے ایماں کو ترسے
لچیلی باہیں اٹھیں تو تیرے
بدن کو ایسے کمان کر دیں
ہر ایک کافی ہر اک کویتا
اثر میں تیرے بیاں کو ترسے
کوئی ہُمکتا گرم تنفس،
کوئی چٹکتا سُریلا نغمہ
دھڑکتے سینے کے ساحلوں میں
کوئی لہر تو طوفاں کو ترسے
نمود کومل وجود ریشم
تھکن کو چنتی آغوش نِسواں
میرے مچلتے غیّور جذبے
دعا میں تیری اماں کو ترسے
وہ نیلی نس میں سیال جیسی
نشے کو جپتی نبض کی مالا
شراب جیسے گاہک کو ڈھونڈے
خمار سود و زیاں کو ترسے
شرر سے الجھا اگن سے کھیلا
یہ شوق آخر کو لوٹ آیا
طواف_ظاہر تو کر لیا اب
نظارہ دید_نہاں کو ترسے
سبھی سے مخفی خودی پہ اِفشا
رزب بتا دے یہ راز کیا ہے
قرینہ اب یہ بعید کر دے
جذب بھی اب تو عیاں کو ترسے
(رزب تبریز)


Marhalay Shoq Ke Dushwar Howa Kartay Hain Saaye Bhi Raah ki Dewaar Howa Kartay Hain


Marhalay Shoq Ke Dushwar Howa Kartay Hain
Saaye Bhi Raah ki Dewaar Howa Kartay Hain
Wo Jo Sach Boltay Rehnay Ki Kasam Khaatay Hain
Wo Adalat Mein Gunaah-gaar Howa Kartay Hain
Sirf Haathon Ko Na Dekho Kabi Aakhen Bhi Parho
Kuch Sawaali Barray Khud-daar Howa Kartay Hain
Wo Jo Pathar Yunhi Rastay Mein Paray Rehtay Hain
Un Ke Seenay Mein Bhi Shaah-kaar Howa Kartay Hain
Subaah Ki Pehli Kiran Jin Ko Rula Deti Hai
Wo Sitaaron Ke Azadaar Howa Kartay Hain
Jin Ki Aankhon Mein Sadaa Pyaar Ke Sehra Chamkain
Dar Haqiqat Wohi Fankaar Howa Kartay Hain
Sharam Aati Hai Dushman Kisay Samjhain "Mohsin"
Dushmani Ke Bhi Kuch Mayaar Howa Kartay Hain

Gulaab Aankhen Sharab Ankhen Yehi To Hein La-jawab Aankhen


Gulaab Aankhen Sharab Ankhen

Yehi To Hein La-jawab Aankhen

Inhi Me Ulfat , Inhi Me Nafrat

Sawab Aankhen , Azab Aankhen

Kbhi Nazar Me Bala Ki Shokhi

Kbhi Sarapa Hijab Aankhen

Kbhi Chhupaati Hn Raaz Dil K

Kbhi Hn Dil Ki Kitab Aankhen

Kisi Ny Daikhi To Jheeel Jaisi

Kisi Ny Payeen Saraab Aankhen

Woh Aaye To Log Mujh Se Bolay

Hazoor Aankhen Janab Aankhen

Ajeeb Tha Guftagu Ka Aalam

Sawal Koi Jawab Aankhen

Yeh Mast Mast be-Misal Ankhen

Nashy Se Hr Dam Nidhal Ankhen

Uthain To Hosh-o-Hawaas Cheenen

Giren To Kr Dain kamal ankhen

Koi Hai Inn K Karam Ka Talib

Kisi Ka Shook-e-Wisal Ankhen

Na Yun Jalain Na Yun Satain

Karen To kuch Ye kheyal Ankhen

Hyn Jeene ka ik Bahana Yaro

Ye Rooh Parwar Jamal Ankhen

Daraz Palken Ghazal Ankhen

Musawri ka Kamal Ankhen

Shrab RAB Ne Haram kardi

Magr Rakhi Hen Halal Ankhen

Hazaro inse Qatal HueHen

Khuda k Banday Sambhal Ankhen.......

Pathar Bana Dia Mujhe Rony Nahi Dia Daman Bhi Tere Gham Ne Bhigony Nahi Dia


Pathar Bana Dia Mujhe Rony Nahi Dia
Daman Bhi Tere Gham Ne Bhigony Nahi Dia

Tanhaiyan Tumhara Pata Poochti Rahin
Shab Bhar Tumhari Yad Ne Sony Nahi Dia

Ankhon Me Aa K Baith Gai Ashkon Ki Leher
Palkon Pe Koi Khawab Pirony Nahi Dia

Dil Ko Tumhare Naam K Aansu Azeez The
Duniya Ka Dard Us Me Samony Nahi Dia

Nasir Yoon Us Ki Yad Chali Hath Tham K
Mely Me Us Jahan K Khony Nahi Dia

Phir Dekhe Hain,Wo Hijar Ke Tapte Hoe Din Bhi Jb Fikar-e-Dil-o-Jaan Mein,Fughan Bhool Gayi Hai


پھر دیکھے ھیں ، وہ ھِجر کے تپتے ھُوئے دن بھی
جب فکرِ دل و جاں میں ، فغاں بُھول گئی ھے
ھر شب وہ سیاہ بوجھ , کہ دل بیٹھ گیا ھے
ھر صُبح کی لو تیر سی ، سینے میں لگی ھے

تنہائی میں کیا کیا نہ ، تجھے یاد کیا ھے
کیا کیا نہ دلِ زار نے ، ڈھونڈی ھیں پناھیں
آنکھوں سے لگایا ھے ، کبھی دستِ صبا کو
ڈالی ھیں کبھی ، گردنِ مہتاب میں بانہیں
فیض احمد فیض

نظم دو عشق سے انتخاب

Kahai Mizaj Dekhon Zamane Tere Main Ab Ik Shakhs Le Gaya Hai Sabhi Khaof-o-Dar Mera





Kahai Mizaj Dekhon Zamane Tere Main Ab
Ik Shakhs Le Gaya Hai Sabhi Khaof-o-Dar Mera
Atbaf Abrak

Amoman Sachi Aarzion Par Haseen Dastkhat Nahi Karte





Amoman Sachi Aarzion Par
Haseen Dastkhat Nahi Karte
Razab Tabraiz

Hum Ne Hi Laotny Ka Irada Nahi Kia,Us Ne Bhi Bhool Jane Ka Wada Nahi Kia


پروین شاکر کی ایک خوبصورت غزل
 
ہم نے ہی لوٹنے کا ارادہ نہیں کیا
اس نے بھی بھول جانے کا وعدہ نہیں کیا
دکھ اوڑھتے نہیں کبھی جشنِ طرب میں ہم
ملبوس دل کو تن کا لبادہ نہیں کیا
جو غم ملا ہے بوجھ اٹھایا ہے اس کا خود
سرزیرِبارِساغر و بادہ نہیں کیا
کارِ جہاں ہمیں بھی بہت تھے سفر کی شام
اس نے بھی التفات زیادہ نہیں کیا
آمد پہ تیری عطر و چراغوسبو نہ ہوں
اتنا بھی بود و باش کو سادہ نہیں کیا

Gaon Ki Ik Tabeeba-e-Azeq Ke Ro-Baro Uthi Jo Chishm Dha Gai Be-Khaof Saadgi





Gaon Ki Ik Tabeeba-e-Azeq Ke Ro-Baro
Uthi Jo Chishm Dha Gai Be-Khaof Saadgi
Mua'alja-e-Chishm Ne Jakad Ke Wahein Nabz
Bata Dia Mujhe Keh Tera Za'af  Saadgi
Razab Tabraiz

Dhurai Ne Har Qalb Ko Masroof Kar Dia Hain Janaury Mein Yadoon Ke Salana Imtehan





Dhurai Ne Har Qalb Ko Masroof Kar Dia
Hain Janaury Mein Yadoon Ke Salana Imtehan
Razab Tabraiz

Yaqeen Ne Lekha Basar Pe Hai Janaury Raseeli Jab Nakhun Gulaab Se Do Part Khizan Se Cheeli


No automatic alt text available.

Yaqeen Ne Lekha Basar Pe Hai Janaury Raseeli
Jab Nakhun Gulaab Se Do Part Khizan Se Cheeli
Razab Tabraiz

Touba Karne Se Badalti Nahi Aadat Apni Aa Gai Phir,Kisi Kafir Pe Tabiat Apni



توبہ کرنے سے بدلتی نہیں عادت اپنی
آ گئی پھر , کسی کافر پہ طبیعت اپنی
ھم نے کی حسن پرستی , تو تجھے کیا ناصح؟
آنکھ اپنی ھے ، دل اپنا ھے ، طبیعت اپنی
جلیل مانکپوری

Touba Karne Se Badalti Nahi Aadat Apni
Aa Gai Phir,Kisi Kafir Pe Tabiat Apni
Hum Ne Ki Husn-Parasti,Tou Tujhe Kia Nasih
Aankh Apni Hai,Dil Apna Hai,Tabiat Apni
Jalil Manekpuri

Kafir Hon Sarphera Hon Mujhe Maar Dejiye Main Sochne Laga Hon Mujhe Maar Dejiye


کافر ھُوں، سر پھرا ھُوں مجھے مار دیجیے
میں سوچنے لگا ھُوں مجھے مار دیجیے
Kafir Hon Sarphera Hon Mujhe Maar Dejiye
Main Sochne Laga Hon Mujhe Maar Dejiye

ھے احترام ِ حضرت ِانسان میرا دین
بے دین ھو گیا ھُوں مجھے مار دیجیے
Hai Ihteram-e-Hazrat-e-Insan Mera Deen
Be-Deen Ho Gaya Hon Mujhe Maar Dejiye
میں پوچھنے لگا ھُوں سبب اپنے قتل کا
میں حد سے بڑھ گیا ھُوں مجھے مار دیجیے
Main Poochne Laga Hon Sabab Apne Qatal Ka
Main Had Se Bad Gaya Hon Mujhe Maar Dejiye

کرتا ھُوں اہل جبہ و دستار سے سوال
گستاخ ھو گیا ھُوں مجھے مار دیجیے
Karta Hon Ahl-e-Juba-o-Dastar Sawal
Gustakh Ho Gaya Hon Mujhe Maar Dejiye

خوشبو سے میرا ربط ھُے جگنو سے میرا کام
کتنا بھٹک گیا ھُوں مجھے مار دیجیے
Khushbo Se Mera Rabt Hai Jugno Se Mera Kam
Kitna Bhatak Gaya Hon Mujhe Maar Dejiye

معلوم ھے مجھے کہ بڑا جرم ھے یہ کام
میں خواب دیکھتا ھُوں مجھے مار دیجیے
Maloom Hai Mujhe Keh Bada Jurm Hai Ye Kaam
Main Khuwaab Dekhta Hon Mujhe Maar Dejiye

زاہد یہ زہد و تقویٰ و پرہیز کی روش
میں خوب جانتا ھُوں مجھے ما ردیجیے
Zahid Ye Zuhad-o-Taqwa-o-Parhez Ki Rawish
Main Khuwaab Janta Hon Mujhe Maar Dejiye

بے دین ھُوں مگر ھیں زمانے میں جیتنے دین
میں سب کو مانتا ھُوں مجھے مار دیجیے
Be-Deen Hon Magar Hain Zamane Mein Jitne Deen
Main Sab Ko Manta Hon Mujhe Maar Dejiye

پھر اس کے بعد شہر میں ناچے گا ھُو کا شور
میں آخری صدا ھُوں مجھے مار دیجیے
Phir Is Ke Baad Sheher Mein Nache Ga Hoo Ka Shor
Main Akhri Sada Hon Mujhe Maar Dejiye

میں ٹھیک سوچتا ھُوں، کوئی حد میرے لیے
میں صاف دیکھتا ھُوں ،مجھے مار دیجیے
Main Theek Sochta Hon Koi Had Mere Liye
Main Saaf Dekhta Hon Mujhe Maar Dejiye

یہ ظلم ھے کہ ظلم کو کہتا ھُوں صاف ظلم
کیا ظلم کر رھا ھُوں مجھے مار دیجیے
Ye Zulam Hai Keh Zulam Ko Kehta Hon Saaf Zulam
Kia Zulam Kar Raha Hon Mujhe Maar Dejiye

میں عشق ھُوں ،امن ھُوں ,علم ھُوں میں خواب
اک درد لادوا ھُوں مجھے مار دیجیے
Main Ishq Hon,Aman Hon,Ilam Hon Main Khuwaab
Ik Dard La-Dawa Hon Mujhe Maar Dejiye

زندہ رھا تو کرتا رھُوں گا ہمیشہ پیار
میں صاف کہہ رھا ھُوں مجھے مار دیجیے
Zinda Raha Tou Karta Rahonga Hamesha Piyaar
Main Saaf Keh Raha Hon Mujhe Maar Dejiye

جو زخم بانٹتے ھیں انہیں زیست پہ ھے حق
میں پھول بانٹا ھُوں مجھے مار دیجیے
Jo Zakham Bant,te Hain Unhein Zeest Pe Hai Haq
Main Phool Bant'ta Hon Mujhe Maar Dejiye

ھے امن میری شریعت تو محبت مرا جہاد
باغی بہت بڑا ھُوں مجھے مار دیجیے
Hai Aman Meri Shariyat Tou Muhabbat Mera Jihad
Baghi Buhat Bada Hon Mujhe Maar Dejiye

بارود کا نہیں مرا مسلک دُرود ھے
میں خیر مانگتا ھُوں مجھے مار دیجیے
Barood Ka Nahi Mera Maslak Darood Hai
Mein Khair Mangta Hon Mujhe Maar Dejiye

Usay maine hi likha tha Ke lehjey barf ho jayein


Usay maine hi likha tha
Ke lehjey barf ho jayein
To phir pigla nahi kartey
Parinday darr k urr jayein
Tho phir lota nahi kartey
Usay maine hi likha tha
Yaqeen uth jaye tho shayed
Kabhi wapis nahi aata
Hawa'on ka koi toofaan
Kabhi barish nahi lata
Usay maine hi likha tha
Ke sheesha too't jaye tho
Kabhi phir jurr nahi pata
Jo rastey se bhatak jaye
Wo wapas murr nahi pata
Usay kehna adhoora khat
Usay maine hi likha tha
Usay kehna k deewanay
mukammal khat nahi likhtey

Kabhi Hum Bhi Khubsorat Thy Kitabon Mein Basi Khushbo Ki Manind Saans Sakin Thi


کبھی هم بھی خوبصورت تھے
کتابوں میں بسی خوشبو کی مانند
سانس ساکن تھی
بہت سے ان کہے لفظوں سے تصویریں بناتے تھے
پرندوں کے پروں پر نظم لکھ کر
دور کی جھیلوں میں بسنے والے لوگوں کو سناتے تھے
جو ہم سے دور تھے
لیکن ہمارے پاس رہتے تھے
نئے دن کی مسافت
جب کرن کے ساتھ آنگن میں اترتی تھی
تو ہم کہتے تھے۔۔۔۔۔امی
تتلیوں کے پر بہت ہی خوبصورت ہیں
ہمیں ماتھے پہ بوسا دو
کہ ہم کو تتلیوں کے‘ جگنوؤں کے دیس جانا ہے
ہمیں رنگوں کے جگنو‘ روشنی کی تتلیاں آواز دیتی ہیں
نئے دن کی مسافت
رنگ میں ڈوبی ہوا کے ساتھ
کھڑکی سے بلاتی ہے
ہمیں ماتھے پہ بوسا دو
همیں ماتھے په بوسه دو

Kabhi Hum Bhi Khubsorat Thy
Kitabon Mein Basi Khushbo Ki Manind
Saans Sakin Thi
Buhat Se An-Kahai Lafzon Se Tasveerein Banate The
Parindon Ke Paron Par Nazam Lekh Kar
Door Ki Jheelon Mein Basne Wale Logon Ko Sunate The
Jo Hum Se Door The
Lekin Hamare Paas Rehte The
Nai Din Ki Musafat
Jab Kiran Ke Saath Angan Mein Utarti Thi
Tou Ham Kehte The.....Ammi
Titlion Ke Par Buhat Khubsorat Hain
Hamein Mathe Pe Bosa Do
Keh Hum Ko Titlion Ke,Jugnoun Ke Dais Jana Hai
Hamein Rangon Ke Jugno,Roshni Ki Titlian Awaz Deti Hain
Nai Din Ki Masafat
Rang Mein Dobi Hawa Ke Saath
Khidki Se Bulati Hai
Hamein Mathe Pe Bosa Do
Hamein Mathe Pe Bosa Do

Sheikh Muhammad Aslam Azad

Voton Se Keh Noton Se Keh Loton Se Bane Hai Ye Raaz Hain Aise Jinhein Khola Nahi Karte



ووٹوں سے کہ نوٹوں سے کہ لوٹوں سے بنے ھے
یہ راز ھیں ایسے جنہیں کھولا نہیں کرتے
جمہوریت اک طرزِ حکومت ھے کہ جس میں
اندر کی جو باتیں ھیں ٹٹولا نہیں کرت 
 انور مسعود

Voton Se Keh Noton Se Keh Loton Se Bane Hai
Ye Raaz Hain Aise Jinhein Khola Nahi Karte
Jamhoriat Ik Tarz-e-Hukomat Hai Keh Jis Mein
Andar Ki Jo Batein Hain Tatola Nahi Karte
Anwar Masood

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo