Waqt Ka Pansa Palat Bhi Sakta Hai Jo Tuu Bhi Seh Sakay Wahi Sitam Kar



Waqt Ka Pansa Palat Bhi Sakta Hai
Jo Tuu Bhi Seh Sakay Wahi Sitam Kar

Zid Ki Hai Aur Baat Magar Khoo Ka Bura Nahi Bhoolay Se Uss Ne Sainkdon Waadey Wafa Kiya



Zid Ki Hai Aur Baat Magar Khoo Ka Bura Nahi
Bhoolay Se Uss Ne Sainkdon Waadey Wafa Kiya
Mirza Ghalib

Ussi Par Ishq Sajta Hai Jo Andar Se Qalandar Ho



Ussi Par Ishq Sajta Hai
Jo Andar Se Qalandar Ho

Uss Ka Ma'ayar Abhi Mujh Se Juda Hai Lekin Woh Bhi Bikhre Ga Tou Ho Jae Ga Mere Jaisa



Uss Ka Ma'ayar Abhi Mujh Se Juda Hai Lekin
Woh Bhi Bikhre Ga Tou Ho Jae Ga Mere Jaisa

Uss Ke Lafzon Ke Muqabil Mein Bhala Kia Kehta Main Ne Hairan Hi Rehny Mein Saholat Dekhi




Uss Ke Lafzon Ke Muqabil Mein Bhala Kia Kehta
Main Ne Hairan Hi Rehny Mein Saholat Dekhi


Jo bhi dukh yaad na tha,yaad aaya aaj kia janyae,kia yaad aaya?



جو بھی دُکھ یاد نہ تھا ، یاد آیا
آج کیا جانیے کیا یاد آیا ؟
پھر کوئی ھاتھ ھے دل پر جیسے
پھر تیرا عہد وفا یاد آیا
جس طرح دھند میں لپٹے ھُوئے پھول
اِک اِک نقش تیرا یاد آیا
ایسی مجبوری کے عالم میں کوئی
یاد آیا بھی تو کیا یاد آیا
یاد آیا تھا بچھڑنا تیرا
پھر نہیں یاد کہ کیا یاد آیا
جب کوئی زخم بھرا داغ بنا
جب کوئی بھول گیا یاد آیا
یہ محبت بھی ھے کیا روگ فراز
جسے بُھولے وہ سدا یاد آیا 
احمد فراز

 Jo bhi dukh yaad na tha,yaad aaya
aaj kia janyae,kia yaad aaya?
phir koi haath hai dil par jaisay
phir tera aehd e wafa yaad aaya

jis tarah dhund mein liptay hue phool
ik ik naqsh tera,yaad aaya

aisi majboori k aalam mein koi
yaad aaya bhi tou kia yaad aaya

yaad aaya tha bicharna tera
phir nahen yaad,keh kia yaad aaya

jb koi zakhm bhra,daagh bna
jab koi bhool gya,yaad aaya

ye muhabbat bhi hai kia rog Faraz
ajisay bhoolay,woh sada ,yaad aaya
Ahmad Faraz

Ghair Phir Ghair , Darguzar Kar De Kon Rokey Zubaan Apno Ki



دیکھ کر آن بان اپنوں کی
کیوں نکلتی ہے جان اپنوں کی
Dekh Kar Aan Baan Apno Ki
Kion Nikalti Hai Jaan Apno Ki

غیر پھر غیر، درگزر کر دے
کون روکے زبان اپنوں کی
Ghair Phir Ghair , Darguzar Kar De
Kon Rokey Zubaan Apno Ki

تیر کیسے نہ دل میں وہ اترے
جس کو چھوڑے کمان اپنوں کی
Teer Kaise Na Dil Mein Woh Utre
Jis Ko Chodey Kamaan Apno Ki

چاہِ یوسف میں پھینکنا ان کا
اس پہ آہ و فغان اپنوں کی
Chaah e Yousaf Mein Phainkna Unka
Us Pe Aah o Fughan Apno Ki

جب سے ہوں بیچنے کو رکھا گیا
تب سے چمکی دکان اپنوں کی
Jab Se Hoon Bechnay Ko Rakha Gaya
Tab Se Chamki Dukaan Apno Ki

آڑے اخلاق آ گئے ، ورنہ
لکھتا میں داستان اپنوں کی
Aadey Akhlaq Aa Gaye , Warna
Lekhta Main Dastaan Apno Ki

چھوڑ دے ساری محفلیں ابرک
تجھ سے گھٹتی ہے شان اپنوں کی
Chod Dey Sari Mehfilen ABRAK
Tujh Se Ghat'ti Hai Shaan Apno Ki

 اتباف ابرک
Atbaf Abrak
 

Bas Yahi Qeemti Shai Thi So Zaroori Samjha Jalte Ghar Se Teri Tasveer Utha Kar Le Aaye




Tere Piyaar Mein Ruswa Ho Kar Jaein Kahan Deewane Log Jane Kia Kia Pooch Rahein Hain Ye Jane Pehchane Log



تیرے پیار میں رسوا ہوکر جا ئیں کہاں دیوانے لوگ
جانے کیا کیا پوچھ رہیں ہیں یہ جانے پہچانے لوگ

جیسے تمھیں ہم نے چاہا تھا کون بھلا یوں چاہے گا
مانا اور بہت آئیں گے تم سے پیار جتانے لوگ

کیسے دکھوں کے موسم آئے کیسی آگ لگی یارو
اب صحراؤں سے لاتی ہیں پھولوں کے نذرانے لوگ

کل ماتم بے قیمت ہوگا آج ان کی توقیر کرو
دیکھو خوں جگر سے کیا کیا لکھتے ہیں افسانے لوگ

جانتے ہیں یہ عشق مسلسل روگ ہے آہ و زاری کا
پھر بھی اسکے کوچے میں جاتے ہیں عمر گنوانے لوگ

Tere Piyaar Mein Ruswa Ho Kar Jaein Kahan Deewane Log
Jane Kia Kia Pooch Rahein Hain Ye Jane Pehchane Log

Jaise Tumhein Hum Ne Chaha Tha Kon Bhala Yun Chahe Ga
Mana Aur Bhi Aaeingy Tum Se Piyaar Jatane Log

Kaise Dukhon Ke Mousam Aaye Kaisi Aag Lagi Yaaro
Ab Sahraoun Se Lati Hain Phoolon Ke Nazrane Log

Kal Matam Be-Qeemat Hoga Aaj Un Ki Tauqeer Karo
Dekho Khoon Jigar Se Kia Kia Lekhtay Hain Afsane Log

Jante Hain Ye Ishq Musalsal Rog Hai Aah o Zari Ka
Phir Bhi Uske Koochay Mein Jate Hain Umar Ganwane Log

Mudaton Baad Jo Dekhi Uss Ne Meri Khushk Aankhein Phir Ye Keh Ke Rula Gaya Keh Lagta Hai Sanbhal Gaye Ho



مدتوں بعد جو دیکھی اس نے میری خشک آنکھیں 
پھر یہ کہہ کے رلا گیا  کہ لگتا ہے سنبھل گئے ہو

Mudaton Baad Jo Dekhi Uss Ne Meri Khushk Aankhein
Phir Ye Keh Ke Rula Gaya Keh Lagta Hai Sanbhal Gaye Ho

Uss Ke Dil Se Utar Gaye Aise Jaise Hasrat Tamaam Ho Jaye



Uss Ke Dil Se Utar Gaye Aise
Jaise Hasrat Tamaam Ho Jaye

Uss Ke Be-Hijaab Hone Tak Hum Bhi Shamil Thay Hosh Walo Mein



Uss Ke Be-Hijaab Hone Tak
Hum Bhi Shamil Thay Hosh Walo Mein

Usi Ka Shehar Wahi Mudai Wahi Munsif Humain Yaqeen Tha Humara Qusoor Niklay Ga



Usi Ka Shehar Wahi Mudai Wahi Munsif
Humain Yaqeen Tha Humara Qusoor Niklay Ga

Umar Bhar Hum Yun Hi Ghalti Karte Rahe GHALIB Dhool Chehre Pe Thi Aur Hum Aaina Saaf Karte Rahe



Umar Bhar Hum Yun Hi Ghalti Karte Rahe GHALIB
Dhool Chehre Pe Thi Aur Hum Aaina Saaf Karte Rahe

Ujle-? Chamkeelay--? Makhmal Jaise Log---? Wasta Pada Tou Pathar Niklay



Ujle-?
Chamkeelay--?
Makhmal Jaise Log---?
Wasta Pada Tou Pathar Niklay........!!

Tum Ne Uss Waqt Be-Wafaai Ki Jab Yaqeen Aakhiri Muqaam Pe Tha



Tum Ne Uss Waqt Be-Wafaai Ki
Jab Yaqeen Aakhiri Muqaam Pe Tha

Tum Ne Tou Naam Hi Sunay Hain Faqat Hum Ne Seh Kar Azaab Dekhay Hain



Tum Ne Tou Naam Hi Sunay Hain Faqat
Hum Ne Seh Kar Azaab Dekhay Hain

Tum Jaisi Haseen Aankhon Wale Aate Hain Jab Sahil Par Lehren Bhi Shor Machati Hain Lo Aaj Samandar Doobay Ga



Tum Jaisi Haseen Aankhon Wale Aate Hain Jab Sahil Par
Lehren Bhi Shor Machati Hain Lo Aaj Samandar Doobay Ga

Tujhe Bhoolny Ko Ik Pal Chahiye Woh Pal Keh Jese Mout Kehty Hain Log



Tujhe Bhoolny Ko Ik Pal Chahiye
Woh Pal Keh Jese Mout Kehty Hain Log

Tu Yaad Kar Ya Bhool Ja Tu Yaad Hai Ye Yaad Rakh



Tu Yaad Kar Ya Bhool Ja
Tu Yaad Hai Ye Yaad Rakh

Raat Aai Tou Teri Bazm Ke Tare Jagay Ya Koi Meri Tarah Dard Ke Mare Jagay



 رات آی تو تیری بزم کے تارے، جاگے
یا کوی میری طرح درد کے مارے، جاگے

چاند جاگا کسی مقصد سے، فلک پر لیکن
جانے کچھہ لوگ بھلا کس کے سہارے، جاگے؟

ایک شمع تھی جو گھل گھل کے فروزاں جاگی
بہر تقدیر پتنگے بھی بیچارے، جاگے

اک چراغاں سا ہوا ہے، شبِ تنہای میں
جب کسی یاد کے گل رنگ نظارے، جاگے

درد جاگا کسی پہلو میں، تو آنسو جاگے
جب کوی ذکر چھڑا ، سارے کے سارے جاگے

رات کی بات ہی کیا، رات گزر جانی ہے
رات کی گود سے سورج کے اشارے، جاگے

آیئے صبح کے آثار ہیں ، سجدہ کر لیں
سر جو جھک جایں تو قسمت کے ستارے، جاگے

طاہر حسین

Uss ki zabaan mein itna asar hai keh nisf shab Woh roshni ki baat kare aur diya jale



Uss ki zabaan mein itna asar hai keh nisf shab
Woh roshni ki baat kare aur diya jale
Tazeeb Hafi

Lagaani Parhti Hai Dubki Ubharney Se Pehley Gharoob Hoaney Ka Matlabb , ZAWAAL Thorhi Hai




لگانی پَڑتی ہے ڈُبکی ، اُبھرنے سے پِہلے
غرُوب ہَونے کا مَطلَب ، زواَل تھَوڑی ہَے

Lagaani Parhti Hai Dubki Ubharney Se Pehley
Gharoob Hoaney Ka Matlabb , ZAWAAL Thorhi Hai


Saba Ko Hum Se Adaawat , Hamien Se Rutt Ko Guraiz Bharey Chaman Mein , Hamien , Shaakh e Be-Samar Thehre



صَبا کو ہَم سے عداوَت ، ہمِیں سے رُت کو گُریز
بھَرے چَمن میں ، ہمِیں شاخِ بے ثَمر ٹھِہرے

Saba Ko Hum Se Adaawat , Hamien Se Rutt Ko Guraiz
Bharey Chaman Mein , Hamien , Shaakh e Be-Samar Thehre

Tere Faraaq Ke Lamhon Mein ,DIL Ne Socha Hai TERE Wasaal Ke DIN , Kitne Mukhtasir Thehrey



تِرے فراق کے لَمحوں میں دِل نے سَوچا ہَے
تِرے وصال کے دِن ، کِتنے مُختصر ٹھِہرے

Tere Faraaq Ke Lamhon Mein ,DIL Ne Socha Hai
TERE Wasaal Ke DIN , Kitne Mukhtasir Thehrey

Ghair say tum ko Buhat rabt hai mana Lekin Yeh tamasha tou meray bad bhi ho sakta tha



غیر سے تم کو بہت ربط ہے مانا لیکن
یہ تماشا تو میرے بعد بھی ہو سکتا تھا

Ghair say tum ko Buhat rabt hai mana Lekin
Yeh tamasha tou meray bad bhi ho sakta tha

Aankhon Mein Koi Khuwaab Utarne Nahi Deta Ye Dil K Mujhe Chain Se Marne Nahi Deta



Aankhon Mein Koi Khuwaab Utarne Nahi Deta
Ye Dil K Mujhe Chain Se Marne Nahi Deta

Bicharay Tou Ajab Pyaar Jatata Hai Khaton Mein
Mil Jaye Tou Phir Had Se Guzarne Nahi Deta

Wo Shaks Khizan Rut Mein Bhi Mohtaat Rahay Kitna
Sokhay Hoye Phoolon Ko Bikharne Nahi Deta

Ik Roz Teri Pyaas Khariday Ga Woh Ghabro !
Pani Tujhe Panghat Se Jo Bharne Nahi Deta

Woh Dil Mein Tabassam Ki Kiran Gholne Wala
Roothay Tou Ruton Ko Bhi Sanwarne Nahi Deta

Mein Us Ko Manaon K Gham-e-Dehar Se Uljhon ?
 Mohsin Woh Koi Kaam Bhi Karne Nahi Deta

Zinda Rehne Ki ye Tarkeeb Nikali Main ne Apne Hone ki Khabar sab se chupa li main ne



Zinda Rehne Ki ye Tarkeeb Nikali Main ne
Apne Hone ki Khabar sab se chupa li main ne

Do ghari mayaser ho os ka humsafar hona phir hamain gawara hai apna dar ba dar hona




Do ghari mayaser ho os ka humsafar hona
phir hamain gawara hai apna dar ba dar hona


parveen shakir

Khalish , Ghutan Hai Ye Tishnagi Hai Humain Tha Dhoka Ye Zindagi Hai



خلش, گھٹن ہے یہ تشنگی ہے
ہمیں تھا دھوکہ یہ زندگی ہے
پلک جھپکتے خوشی ندارد
تو غم نہ کوئی بھی عارضی ہے
ہیں سب رویے بجھے بجھے سے
نہ دوست اب ہے نہ دشمنی ہے
نہ کوئی سنتا نہ کہہ سکے ہم
ہے شور اتنا کہ خامشی ہے
جلایا امید نے دیا جب
تو سب سے پہلے یہ خود جلی ہے
تلاش میں تھا میں منزلوں کی
سفر سفر میں گزر گئی ہے
لکھا گیا تھا حیات جس کو
یہ رفتہ رفتہ سی خود کشی ہے
کبھی محبت تھی حرفِ آخر
تو اب تعلق یہ سرسری ہے
میں جب بھی نکلا تری گلی سے
تو سامنے پھر تری گلی ہے
نہ جانے کب سے یوں جی رہا ہوں
کہ سانس جیسے یہ آخری ہے
میں جب سے سمجھا ہوں تجھ کو ابرک
یہ نیند تب سے اڑی اڑی ہے
اتباف ابرک

Saath tum thay tou humaen raas tha pagalpan bhi Ab tere baad karain kaisay guzara? Pagal



ساتھ تم تھے تو ہمیں راس تھا پاگل پن بھی
اب ترے بعد کریں کیسے گزارہ؟ پاگل

Saath tum thay tou humaen raas tha pagalpan bhi
Ab tere baad karain kaisay guzara? Pagal

Muhabbat yeh nahi hoti keh jis mein mua'af kar dena na mukin ho jaaye



محبت یہ نہیں ہوتی کہ جس میں معاف کر دینا ناممکن ہوُ جاے
محبت یہ نہیں ہوتی کہ تم نے کہہ دیا تو دن ہو
اور تم نے کہہ دیا تو رات ہو جاے
محبت یہ نہیں ہوتی کہ جب جیتو تو تم جیتو
کہ جب بولو تو تم بولو
گلے شکوے تمہیں ہوں
یہ سارے فیصلے تم ہی کرو
کس کو محبت بھیک میں دینی ہے
کسُ کو خواہشوں سے اپنانا ہے
کسُ سے وعدہ کرنا ہے یا کسُ کوُ بھول جانا ہے
محبت یہ نہیں ہوتی
ذرا سا سوچ لینا تم
جسے اب تک محبت کہتے آئے ہو
محبت وہ نہیں ہوتی

Muhabbat yeh nahi hoti keh jis mein mua'af kar dena na mukin ho jaaye
Muhabbat yeh nahi hoti keh tum nay keh diya DIN ho
Aur tum nay keh diya raat ho jaye
Muhabbat yeh nahi hoti keh Jab jeeto to tum jeeto
Keh jab bolo tou tum bolo
Gelay shikway tumhain hoon
Yeh saray faslay tumhi karo
Kis ko muhabbat bheek Mein Deni hai
Kis ko khuwahishon say apnana hai
Kis se wada karna hai Ya Kis ko bhool jana hai
Muhabbat ye nahi hoti
Zara sa sooch Lena tum
Jisay ab tak muhabbat kahtay aaye ho
Muhabbat woh nahi hoti

Rok sako tou pehli barish ki bondo ko tum roko Kachi mitti tou mehkai gi hai mitti ki majbori



روک سکو تو پہلی بارش کی بوندوں کو تم روکو
کچی مٹی تو مہکے گی، ہے مٹی کی مجبوری

Rok sako tou pehli barish ki bondo ko tum roko
Kachi mitti tou mehkai gi hai mitti ki majbori

Aaye Tou Yuun Keh Jaisey HAMAISHA Thay Meherabaan Bhooley Tou Yuun Keh Goya Kabhi AASHNA Na Thay



Aaye Tou Yuun  Keh Jaisey HAMAISHA Thay Meherabaan
Bhooley Tou Yuun Keh Goya Kabhi AASHNA Na Thay

Itna Tou Hausalah Mere Jazbon Ko Dey KHUDA Main Tulkhiyey Hayaat Ka Shikwah Na Kar Sakoon



Itna Tou Hausalah Mere Jazbon Ko Dey KHUDA
Main Tulkhiyey Hayaat Ka Shikwah Na Kar Sakoon

Shabnam Ki Tarah Gir Kar Bhi Khaamosh Hi Rahoon
Khushboo Ki Tarah DARD Ka Charchaa Na Kar Sakoon

Sahar hoi tou bohat der tak dekhaye dia Ghuroob hoti hoi raat ka kinara mujhay



Sahar hoi tou bohat der tak dekhaye dia
Ghuroob hoti hoi raat ka kinara mujhay

Zafer Iqbal

Woh Mere Paas Raha Ya Door Raha Safar Kanton Se Bhar-poor Raha



وہ میرے پاس رہا یا دور رہا
سفر کانٹوں سے بھر پور رہا

Woh Mere Paas Raha Ya Door Raha
Safar Kanton Se Bhar-poor Raha

Kitnay Mukhtat Hain Iss Shehar Ke Ahl e Emaan Chatriyan Taan Ke Barish Ki Dua Karte Hain



کتنے محتاط ہیں اِس شہر کے اہلِ ایماں
چھتریاں تان کے بارش کی دُعا کرتے ہیں

Kitnay Mukhtat Hain Iss Shehar Ke Ahl e Emaan
Chatriyan Taan Ke Barish Ki Dua Karte Hain

Ye Kon Mujh Ko Adhora Bana Ke Chod Gaya Palat Ke Mera Musawwer Kabhi Nahi Aaya



Ye Kon Mujh Ko Adhora Bana Ke Chod Gaya
Palat Ke Mera Musawwer Kabhi Nahi Aaya

jis roz humara kooch hoga phoolon ki dukaanain band hongi



جس روز ہمارا کوچ ہوگا
پھولوں کی دکانیں بند ہوں گی
شیریں سخنوں کے حرفِ دُشنام
بے مہر زبانیں بند ہوں گی
پلکوں پہ نمی کا ذکر ہی کیا
یادوں کا سراغ تک نہ ہوگا
ہمواری ِ ہر نفس سلامت
دل پر کوئی داغ تک نہ ہوگا
پامالیِ خواب کی کہانی
کہنے کو چراغ تک نہ ہوگا
معبود ! اس آخری سفر میں
تنہائی کو سرخ رو ہی رکھنا
جز تیرے نہیں کوئی نگہدار
اس دن بھی خیال تو ہی رکھنا
جس آنکھ نے عمر بھر رلایا
اس آنکھ کو بے وضو ہی رکھنا
جس روز ہمارا کو چ ہو گا
پھو لوں کی دکانیں بند ہوں گی
افتخار عارف

jis roz humara kooch hoga
phoolon ki dukaanain band hongi
sheereen sukhanoun k herf e dushnaam
be mehar zubaanain band hongi

palkon peh nami ka ziker hi kia
yaadon ka suraagh tak na hoga
humwari-e-her nafs salaamat
dil per koi daagh tak na hoga
paamaali-e-khwaab ki kahani
kehne ko charaagh tak na hoga

maabood !is aakhri safer main
tanhaayi ko surkhroo hi rakhna
juz tere koi nahin nigahdaar
us din bhi khayaal too hi rakhna
jis aankh ne umer bhar rulaaya
us aankh ko be wuzoo hi rakhna

jis roz humara kooch hoga
phoolon ki dukaanain band hongi
Iftekhar Arif
 

Tu Shairi Ke Har Hunar Se Waqif Hai Main Harf Harf Zakham Tu Tahreer Kar Mujhe



Tu Shairi Ke Har Hunar Se Waqif Hai
Main Harf Harf Zakham Tu Tahreer Kar Mujhe

Tu Ne Kaha Tha Main Teri Kashti Pe Bojh Hoon Aankhon Ko Ab Na Dhanp , Mujhe Doobta Bhi Dekh



Tu Ne Kaha Tha Main Teri Kashti Pe Bojh Hoon
Aankhon Ko Ab Na Dhanp , Mujhe Doobta Bhi Dekh

Tu Mera Hosla Tou Dekh Dad Tou Dy Keh Ab Mujhe Shouq Kamaal Bhio Nahi Khouf e Zawaal Bhi Nahi



Tu Mera Hosla Tou Dekh Dad Tou Dy Keh Ab Mujhe
Shouq Kamaal Bhio Nahi Khouf e Zawaal Bhi Nahi

Dheeray dheeray apna bana raha hai koi Piyar ke sapne dikha raha hai koi Ae Khuda ye sachhi muhabbat hai ya choona laga raha hai koi



Dheeray dheeray apna bana raha hai koi
Piyar ke sapne dikha raha hai koi
Ae Khuda ye sachhi muhabbat hai
ya choona laga raha hai koi

Hijar Wisal Ki Sarhad Pe Zindagi Guzri Humare Pehlo Se Ho Kar Har Ik Khushi Guzri



ہجر وصال کی سرحد پہ زندگی گزری
ہمارے پہلو سے ہو کر ہر اک خوشی گزری

ہمارے غم ہیں امیدوں کی سر پرستی میں
سیاہ رات بھی خود بن کے روشنی گزری

یونہی نہ کوس محبت کو تو خفا مت ہو
ملے یہ ہم سوں کو، ایسی نہیں گئی گزری

غلط ہیں کہتے، نہیں وقت لوٹ کر آتا
جو تیرے ساتھ گزاری، گھڑی گھڑی گزری

اب اور کیسے ہو طوفان کی بیاں شدت
کہ عمر گزری، نہ اس آنکھ سے نمی گزری

بس ایک گل تھا جو مطلوب وہ نہیں پایا
وگرنہ آنکھ سے یارو کلی کلی گزری

تلاش میں ہوں کہ نسخہ ہمارے ہاتھ لگے
ہمارے بعد بھلا کیسے آپ کی گزری

تو لکھنے والوں کا خود حال سوچ لے ابرک
جو پڑھنے والوں پہ ہے اس قدر کڑی گزری

 اتباف ابرک

Tum agar hum say bicharnay mein na ujlat kartay Hum ibaadat ki tarah tum say muhabbat kartay



تم اگر ہم سے بچھڑنے میں نہ عجلت کرتے
ہم عبادت کی طرح تم سے محبت کرتے
میں نے پوچھا تھا فقط تم سے تغافل کا سبب
بھیگی آنکھوں سے سہی کچھ تو وضاحت کرتے
اُن کو دعویٰ تھا محبت میں جُنوں کاری کا
ہم سے وہ کیسے خسارے کی تجارت کرتے
دُکھ کا ہر روپ بہر حال ہمارا ہوتا
ہم جو تقسیم کبھی دل کی وراثت کرتے
فیصلہ اُس نے کیا ترکِ مراسم کا مگر
زندگی بیت گئی میری وضاحت کرتے

Tum agar hum say bicharnay mein na ujlat kartay
Hum ibaadat ki tarah tum say muhabbat kartay

Main nay poocha tha faqat tum say taghaaful ka sababb
Bheegi aankhon say sahi kuch toh wazaahat kartay

Unn ko daawa tha muhabbat mein junoon kaari ka
Hum say kaisay woh khasaaray ki tajaarat kartay

Dukh ka har roop beharhaal hamaara hota
Hum jo taqseem kabhi dil ki waraasat kartay

Faisala uss nay kiya tark-e-maraasim ka magar
Zindagi beet gaee meri wazaahat kartay

Arfa Ho Tere Mast Ka Dast ! Analmast Masti Me Teri Waqf Ho Ye Hast ! Analmast



ارفع ہو ترے مست کا یہ دست ! انا المست
مستی میں تری وقف ہو یہ ہست ! انا المست
یوں تیری بلندی میں ہوا جذب فقیرا
لگتا ہے مجھے سارا جہاں پست ! انا المست 
آنکھوں پہ کسی چشمِ پریشاں کا فسوں ہے
سینے میں کوئی ایسا ہے پیوست ! انا المست
پڑھتی ہیں درود اس رُخِ روشن پہ یہ آنکھیں
دل جس کے سبب جگ سے ہوا رَست ! انا المست
مستوں کو کہاں کون و مکاں سے کوئی مطلب
ہیں مست ! یہاں مست ! وہاں مست ! انا المست
بس ایک تری گوشہ نشینی پہ حسیں شخص
ایں روح و دلم زین فدا است ! انا المست

Arfa Ho Tere Mast Ka Dast ! Analmast
Masti Me Teri Waqf Ho Ye Hast ! Analmast
 Yun Teri Bulandi Me Hoa Jazab Faqeera
Lagta Hai Mujhe Sara Jahan Past ! Analmast
Aankhon Pe Kisi Chishm Pareshan Ka Fason Hai
Seenay Me Koi Aisa Hai Paiwast  ! Analmast
Parhti Hain Darood Uss Rukh e Roshan Pe Ye Aankhein
Dil Jis Ke Sabab Jag Se Hoa Rast ! Analmast
Maston Ko Kahan Kon o Makaan Se Koi Matlab
Hain Mast ! Yahan Mast ! Wahan Mast ! Analmast
Bas Aik Teri Gosha Nasheeni Pe Haseen Shakhas
Ein Rooh Dilm Zeen Fada Ast ! Analmast

Kisi Namrood Ki Jannat Se Mujhe Gharz Nahin Hain Qubool Mujhko Yahi Farshi Thikany Mere



کسی نمرود کی جنت سے مجھے غرض نہیں
ہیں قبول مجھکو یہی فرشی ٹھکانے میرے

किसी नमरूद की जन्नत से मुझे ग़रज़ नहीं
हैं क़ुबूल मुझको यही फ़रशी ठिकाने मेर

Kisi Namrood Ki Jannat Se Mujhe Gharz Nahin
Hain Qubool Mujhko Yahi Farshi Thikany Mere

Ab talkhiyon ka samna karne ka waqt hai Ab umar khuwaab dekhney wali nahin rahi



Ab talkhiyon ka samna karne ka waqt hai
Ab umar khuwaab dekhney wali nahin rahi

Aks Pani Pe Main Tahreer Karon Zindagi Aa Tujhe Tasweer Karon



عکس پانی پہ میں تحریر کروں
زندگی آ تجھے تصویر کروں
بت بناؤں میں کوئی مٹی کا
روح پھونکوں اسے تسخیر کروں
خواب دیکھوں میں تری مرضی کا
اپنی مرضی کی میں تعبیر کروں
تجھ کو شہرت کی بلندی دے کر
اپنی گمنامی کی تشہیر کروں

Aks Pani Pe Main Tahreer Karon
Zindagi Aa Tujhe Tasweer Karon
Butt Banaoun Main Koi Mitti Ka
Rooh Phonkon Usay Taskheer Karon
Khuwaab Dekhon Main Teri Marzi Ka
Apni Marzi Ki Main Ta'abeer Karon
Tujh Ko Shuhrat Ki Bulandi De Kar 
Apni Gum-Naami Ki Tashheer Karon

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo