Muhabbat Inayat Karam Dekhtey Hain Tumhein Itni Chhahat Se Hum Dekhtey Hain



محبت عنایت کرم دیکھتے ہیں
تمہیں اتنی چاہت سے ہم دیکھتے ہیں
نظر یہ ہماری نہ لگ جائے تم کو
یہی سوچ کہ تم کو کم دیکھتے ہیں

Muhabbat Inayat Karam Dekhtey Hain 
Tumhein Itni Chhahat Se Hum Dekhtey Hain
Nazar Ye Humari Na Lag Jae Tumko
Yahi Soch Keh Tum Ko Kam Dekhtey Hain

Parh liya jo gar unhone mere kore pannon ko tou hoga mehsoos jaise mujhe Ilahi mil gaya




Parh liya jo gar unhone
mere kore pannon ko
tou hoga mehsoos jaise
mujhe Ilahi mil gaya

Aour jo gar na parh paaye
wo mere kore pannon ko
tou hum yaaron wohi
saudai k saudai 

 31/10/2018

Usse harf-harf padhta, main jo aur zinda Rehta Mujhe thi azeez kitni Wo Kitaab-e-zindagaani



Usse harf-harf padhta, main jo aur zinda Rehta
Mujhe thi azeez kitni Wo Kitaab-e-zindagaani

Bare naz se soya tha wo humare sene par sir rakh kar Hum ne dharkan he rok le kahen us ki neend na toot jaye




بڑے ناز سے سویا تھا وہ ھمارے سینے پر سر رکھ کر
ھم نے دھڑکن ھی روک لی کہیں اس کی نیند نہ ٹوٹ جاۓ

Bare naz se soya tha wo humare sene par sir rakh kar
Hum ne dharkan he rok le kahen us ki neend na toot jaye

Hairat e Ishq Se Niklo Tou Kidhar Jaoun Main Aik Soorat Nazar Aati Hai Jidhar Jaoun Main



حیرتِ عشق سے نکلوں تو کدھر جاؤں میں
ایک صورت نظر آتی ہے جدھر جاؤں میں
یہ بھی ممکن ہے کہ ہر سانس سزا ہو جائے
ہو بھی سکتا ہے جدائی میں سنور جاؤں میں
یوں مسلسل مجھے تکنے کی نہ عادت ڈالو
یہ نہ ہو آنکھ جو جھپکو تو بکھر جاؤں میں
کیا تیرے دل پہ قیامت بھی بھلا ٹوٹے گی
گر تجھے دیکھ کے چپ چاپ گزر جاؤں میں
دیکھو انجام تو دینے ہیں امورِ دنیا
جی تو کرتا ہے تیرے پاس ٹھہر جاؤں میں
تھام رکھا ہے جو تُو نے تو سلامت ہے بدن
تُو اگر ہاتھ چھڑا لے تو بکھر جاؤں میں
جس قدر بگڑا ہوا ہوں میں یہی سوچتا ہوں
کب ترے ہاتھ لگوں اور سُدھر جاؤں میں
کون ہے؟ بول میرا، میری اداسی تجھ بن
تُو بھی گر پاس نہ آئے تو کدھر جاؤں میں
یہ مری عمر فقط چاہ میں تیری گزرے
مر نہ جاؤں جو ترے دل سے اتر جاؤں میں

Shab e taweel bhi kati Hai khud kalami se Koi shareek mere Raatjagy Mein tha hi Nahi



Shab e taweel bhi kati Hai khud kalami se
Koi shareek mere Raatjagy Mein tha hi Nahi

Tum jo perday mein sunwerty ho nateejha Kia hai Lutuf jab tha keh koi daiknay wala hota



تم جو پردے میں سنورتے ہو نتیجہ کیا ہے
لطف جب تھا کہ کوئی دیکھنے والا ہوتا

Tum jo perday mein sunwerty ho nateejha Kia hai
Lutuf jab tha keh koi daiknay wala hota

Zara Sa ishq ka Bhi iss mein Dakhal hota hai Koi Haseen Mukammal Haseen Nahi hota



ذرا سا عشق کا بهی اس میں دخل ہوتا ہے
کوئی حسین مکمل حسین نہیں ہوتا

Zara Sa ishq ka Bhi iss mein Dakhal hota hai
Koi Haseen Mukammal Haseen Nahi hota

Parakhna Mat Parakhne Se Koi Apna Nahi Hota Kisi Bhi Aainey Me Der Tak Chehra Nahi Rehta



غــــــــــزل 
پرکھنا مت ،پرکھنے سے کوئی اپنا نہیں رہتا
کسی بھی آئینے میں دیر تک چہرہ نہیں رہتا
بڑے لوگوں سے مِلنے میں ہمیشہ فاصلے رکھنا
جہاں دریا سمندر سے مِلا، دریا نہیں رہتا
ہزاروں شعر میرے سو گئے کاغذ کی قبروں میں
عجب ماں ہُوں، کوئی بچّہ مِرا زندہ نہیں رہتا
تُمھارا شہر تو بالکل نئے انداز والا ہے
ہمارے شہر میں بھی، اب کوئی ہم سا نہیں رہتا
محبّت ایک خوشبو ہے، ہمیشہ ساتھ چلتی ہے
کوئی اِنسان تنہائی میں بھی تنہا نہیں رہتا
کوئی بادل ہَرے موسم کا پِھر اعلان کرتا ہے
خزاں کے باغ میں، جب ایک بھی پتہ نہیں رہتا

Jis nazakat se lehre pairo ko chuti hai Yakeen nahi hota inhonay kabhi kashtiyan daboyi hongi



Jis nazakat se lehre pairo ko chuti hai
Yakeen nahi hota inhonay kabhi kashtiyan daboyi hongi

Hagha ba rashi da gulono da sahar ghondy kho Za ba te lary da khazaan badono wary yama



Hagha ba rashi da gulono da sahar ghondy kho
Za ba te lary da khazaan badono wary yama

Somra Sada Sada kaata de kawal Somra rasa rasa weshta de kawal



Somra Sada Sada kaata de kawal
Somra rasa rasa weshta de kawal
Da zra bazaar ta me de oor wartaka
Ta pa zaan sa poidy che sa de kawal

Naam Honton Pe Tera Aae Tou Rahat Sii Mile Tu Tasalli Hai , Dilasa Hai , Dua Hai , Kia Hai?



نام ہونٹوں پہ ترا آئے تو راحت سی ملے
تو تسلی ہے دلاسہ ہے دعا ہے کیا ہے


Naam Honton Pe Tera Aae Tou Rahat Sii Mile
Tu Tasalli Hai , Dilasa Hai , Dua Hai , Kia Hai?

Muhabbat Phool Hoti Hai Kaho Tou Phool Ban Jaoun Tumhari Zindagi Ka Ik Haseen Usool Ban Jaoun



محبت پھول ہوتی ہے، کہو تو پھول بن جاؤں
تمہاری زندگی کا اِک حسیں اصول بن جاؤں
Muhabbat Phool Hoti Hai Kaho Tou Phool Ban Jaoun
Tumhari Zindagi Ka Ik Haseen Usool Ban Jaoun
 
سُنا ہے ریت پہ چل کے تم اکثر مہک جاتے ہو
کہو تو اب کے بار میں زمیں کی دھول بن جاؤں
 Suna Hai Rait Pe Chal K Tum Aksar Mehik Jate Ho
Kaho Tou Ab K Baar Main Zameen Ki Dhool Ban Jaoun

بہت نایاب ہوتے ہیں جنہیں تم اپنا کہتے ہو
اجازت دو کہ میں بھی اس قدر انمول بن جاؤں
Buhat Na-Yaab Hote Hain Jenhain Tum Apna Kehty Ho
Ijazat Do K Main Bhi Iss Qadar Anmol Ban Jaoun

Uss K Labon Pe Raat Kahani Gazab Ki Thi Jazbat Beh Rahe Thay Rawani Gazab Ki Thi



اس کے لبوں پہ رات کہانی غضب کی تھی
جذبات بہہ رہے تھے روانی غضب کی تھی
Uss K Labon Pe Raat Kahani Gazab Ki Thi
Jazbat Beh Rahe Thay Rawani Gazab Ki Thi
 
راجہ بھی لاجواب تھا وادی عشق کا
لیکن دیار حُسْن کی رانی غضب کی تھی
Raja Bhi La-Jawab Tha Wadi e Ishq Ka
Lekin Diyar e Husn Ki Raani Gazab Ki Thi

کیا کیا نہ شام آئی میری عمر میں مگر
گزری جو تیرے ساتھ سہانی غضب کی تھی
Kia Kia Na Shaam Aai Meri Umar Mein Magar
Guzri Jo Tere Saath Suhani Gazab Ki Thi
 
دیکھی ہے میں نے شہر میں چڑھتی جوانیاں
لیکن جو تجھ پہ آئی جوانی غضب کی تھی
Dekhi Hai Main Ne Shehr Mein Charhti Jawaniyan
Lekin Jo Tujh Pe Aai Jawani Gazab Ki Thi
 
میں کے اک عمر تک لکھتا رہا داستان غم
جو تم نے سنائی کل شب وہ کہانی غضب کی تھی
Main K Ik Umar Tak Lekhta Raha Dastaan e Gham
Jo Tum Ne Sunai Kal Shab Woh Kahani Gazab Ki Thi

Jab Dil Moom ka tha Tou Pighal Sa Jaata tha Jab Se Patther ka Hua Kambaght Toot jaata Hai




Jab Dil Moom ka tha Tou Pighal Sa Jaata tha
Jab Se Patther ka Hua Kambaght Toot jaata Hai

29/10/2017

ye sardiyon ka udaas mausam ki dhadkane barf ho gai hain jab un ki yakhbastagi parkhna tamazaten bhi shumar karna



یہ سردیوں کا اداس موسم کہ دھڑکنیں برف ہو گئی ہیں
جب ان کی یخ بستگی پرکھنا تمازتیں بھی شمار کرنا

ye sardiyon ka udaas mausam ki dhadkane barf ho gai hain
jab un ki yakhbastagi parkhna tamazaten bhi shumar karna

Mun tu shudam tu mun shudi,mun tun shudam tu jaan shudi Taakas na guyad baad azeen, mun deegaram tu deegari



Mun tu shudam tu mun shudi,mun tun shudam tu jaan shudi
Taakas na guyad baad azeen, mun deegaram tu deegari

I have become you, and you me
I am the body, you soul
So that no one can say hereafter
That you are someone, and me someone else
Amir Khusro

Bahaal kar yah Murasem ko tor day yakser Yeh dermian ki azeeat say ab nikal mujhay



بحال کر یا مراسم کو توڑ دے یکسر
یہ درمیاں کی اذیت سے اب نکال مجھے

 
Bahaal kar yah Murasem ko tor day yakser
Yeh dermian ki azeeat say ab nikal mujhay


Woh Guftago se Gureza Main Chahon Baat pe Baat



وہ گفتگو سے گریزاں
  میں چاہوں بات پہ بات

Woh Guftago se Gureza
 Main Chahon Baat pe Baat

raat-bhar sard hawa chalti rahi raat-bhar ham ne aalaao taapa



raat-bhar sard hawa chalti rahi
raat-bhar ham ne aalaao taapa
main ne maazi se kai khushk si shaakhein kaatein
tum ne bhi guzre hue lamhon ke patte todhe
main ne jebon se nikaalein sabhi sukhi nazmein
tum ne bhi haathon se murjhaaey hue khat khole
apni in aankhon se main ne kai maanje todhe
aur haathon se kai baasi lakeerein phenkein
tum ne palkon pe nami sookh gai thi so gira di raat bhar jo bhi mila uggte badan par ham ko
kaat ke daal diya jalte aalaao mein ussay
raat-bhar phoonkon se har lau ko jagaaey rakha
aur do jismon ke endhan ko jalaaey rakha
raat-bhar bujhte hue rishte ko taapa ham ne
Gulzar

Main Ne Deikha Tha Unn Dinnon Mein Ussey Jab Woh Khiltey Gulaab Jaisa Tha



میں نے دیکھا تھا اُن دِنوں اُسے
جب وُہ کھِلتے گُلاب جیسا تھا
اُس کی پَلکوں سے نِیند چھَنتی تھی
اُس کا لِہجہ شراب َجیسا تھا
اُس کی زُلفوں سے بھِیگتی تھی گھَٹا
اُس کا رُخ ماہتاب جَیسَا تھَا
لوگ پَڑھتے تھے خال و خَد اُس کے
وُہ آد ب کِی کِتاب جَیسا تھا

بولتا تھا زُبان خُوشبُو کی
لوگ سُنتے تھے دَھڑ کنوں میں اُسے
اُس کے میرے مِلاپ میں حائل
آب تو صَدیوں بَھرا زَمانہ ہے
آب تو یُوں ہے کہ حال آپنا بھِی
دَشتِ ہِجراں کی شام جیسا ہے
کیا خَبر اِن دِنوں وُہ کیسا ہے ؟

Sukhan-e-Haq Ko Fazeelat Nahi Milne Wali Sabar Par Dad-e-Shuja'at Nahi Milne Wali



سخنِ حق کو فضیلت نہیں مِلنے والی
صبر پر دادِ شجاعت نہیں مِلنے والی
وقتِ معلوم کی دہشت سے لرزتا ہوا دل
ڈُوبا جاتا ہے کہ مُہلت نہیں مِلنے والی
زندگی نذر گزاری تو مِلی چادرِ خاک
اِس سے کم پر تو یہ نعمت نہیں مِلنے والی
راس آنے لگی دُنیا تو کہا دِل نے کہ جا!
اب تُجھے درد کی دولت نہیں مِلنے والی
ہوسِ لقمۂ تر کھا گئی لہجے کا جلال
اب کِسی حرف کو حُرمت نہیں مِلنے والی
گھر سے نکلے ہوئے بیٹوں کا مقدر معلوم
ماں کے قدموں میں بھی جنت نہیں مِلنے والی
زندگی بھر کی کمائی یہی مِصرعے دو چار
اِس کمائی پہ تو عزت نہیں مِلنے والی
افتخارعارف

Sukhan-e-Haq Ko Fazeelat Nahi Milne Wali
Sabar Par Dad-e-Shuja'at Nahi Milne Wali
Waqt e Maloom Ki Dehshat Se Larazta Huwa Dil
Dooba Jata Hai K Mohlat Nahi Milne Wali
Zindagi Nazar Guzari To Mili Chadar-e-Khaak
Iss Say Kam Par To Yeh Nemat Nahi Milne Wali
Raas Anay Lagi Duniya To Kaha Dil Ney K Ja
Ab Tujhe Dard Ki Doulat Nahi Milne Wali
Hawas-e-Luqmah-e-Tar Kha Gayi Lehjey Ka Jalal
Ab Kisi Harf Ko Hurmat Nahi Milne Wali
Ghar Sey Niklay Hue Baiton Ka Muqaddar Maloom
Maa K Qadmon Mein Bhi Jannat Nahi Milne Wali
Zindagi Bhar Ki Kamaai Yahi Misrey Do Chaar
Iss Kamaai Pay To Izzat Nahi Milne Wali
Iftikhar Arif

Buhat Hi Maan Hai Tum Par Suno Paas e Wafa Rakhna Sabhi Se Tum Milo Lekin Zara Sa Fasla Rakhna



ﺑﮩﺖ ﮨﯽ ﻣﺎﻥ ﮨﮯ ﺗﻢ ﭘﺮ
ﺳﻨﻮ ﭘﺎﺱ ﻭﻓﺎ ﺭﮐﮭﻨﺎ
ﺳﺒﮭﯽ ﺳﮯ ﺗﻢ ﻣﻠﻮ ﻟﯿﮑﻦ
ﺫﺭﺍ ﺳﺎ ﻓﺎﺻﻠﮧ ﺭﮐﮭﻨﺎ
ﺑﭽﮭﮍ ﺟﺎﻧﺎ ﺑﮭﯽ ﭘﮍتا ﮨﮯ
ذﺭﺍ ﺳﺎ ﺣﻮﺻﻠﮧ ﺭﮐﮭﻨﺎ
ﻭﮦ ﺳﺎﺭﮮ ﻭﺻﻞ ﮐﮯ ﻟﻤﺤﮯ
ﺗﻢ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺳﺠﺎ ﺭﮐﮭﻨﺎ
ﺍﺑﮭﯽ ﺍﻣﮑﺎﻥ ﺑﺎﻗﯽ ﮨﮯ
ﺍﺑﮭﯽ ﻟﺐ ﭘﺮ ﺩﻋﺎ ﺭﮐﮭﻨﺎ
ﺑﮩﺖ ﻧﺎﯾﺎﺏ ﮨﯿﮟ ﺩﯾﮑﮭﻮ
ﮨﻤﯿﮟ ﺳﺐ ﺳﮯ ﺟﺪﺍ ﺭﮐﮭﻨﺎ

Buhat Hi Maan Hai Tum Par Suno Paas e Wafa Rakhna
Sabhi Se Tum Milo Lekin Zara Sa Fasla Rakhna
Bichad Jana Bhi Padta Hai Zara Sa Hosla Rakhna
Woh Saare Wasal K Lamhe Tum Aankhon Mein Saja Rakhna
Abhi Imkaan Baqi Hai Abhi Lab Par Dua Rakhna
Buhat Na-Yaab Hain Dekho Humein Sab Se Juda Rakhna

Koi faryad tere Dil mein dabi ho jese Tuu ne aankhon se koi baat kahee ho jese



Koi faryad tere Dil mein dabi ho jese
Tuu ne aankhon se koi baat kahee ho jese
Jaagte jaagte ik umar kati ho jese
Jan baki hai magar saans ruki ho jese
Har mulaqaat pe mehsoos yehi hota hai
Mujh se kuch Teri nazar puchh rahi ho jese
Raah chalte hue aksar ye gumaan hota hai
Wo nazar chuph ke mujhe dekh rahi ho jese
Aik lamhe mein simat aaya sadion ka safar
Zindagi taiz boht taiz chali ho jese
Iss tarah pehron tujhe sochta rehta hon main
Meri har saans tere naam likhi ho jese

Ye sukhan jo hum ne raqam kiye, ye hain sab warq teri yaad ke Koi lamha subah e wisaal ka, koi sham hijr ki muddatein



یہ سخن جو ہم نے رقم کیے، یہ ہیں سب ورق تیری یاد کے
کوئی لمحہ صبحِ وصال کا، کوئی شامِ ہجر کی مدتیں

 Ye sukhan jo hum ne raqam kiye, ye hain sab warq teri yaad ke
Koi lamha subah e wisaal ka, koi sham hijr ki muddatein

Kabhi Khuwaab Chishm K Paani Mein Toofano Ka Parchaar Karein Kabhi Nafs Ammara Kehta Hai Palkon Mein Lap Jhap Aany Do



"JAWANI"
Kabhi Khuwaab Chishm K Paani Mein Toofano Ka Parchaar Karein
Kabhi Nafs Ammara Kehta Hai Palkon Mein Lap Jhap Aany Do
Razab Tabraiz

Zer e Tabassum Tane Hoe Se Woh Poochty Hain Yun Aainy Se Batao Kis Ko Parhain KALMA Batao Kis Ka EEMAAN Cheenein



Zer e Tabassum Tane Hoe Se Woh Poochty Hain Yun Aainy Se
Batao Kis Ko Parhain KALMA Batao Kis Ka EEMAAN Cheenein

Shikast e Faash Di Jo Meri Shoukh Nazar Ne Angasgt e Yaar Jheenp Ke Danton Mein Ja Chupi




شکست فاش دی جو  میری شوخ نظر نے
انگشت یار جهینپ کے دانتوں میں جا چهپی
 رزب تبریز

Shikast e Faash Di Jo Meri Shoukh Nazar Ne
Angasgt e Yaar Jheenp Ke Danton Mein Ja Chupi
Razab Tabraiz

Khushbo ke Jazeroon Se Sitaron Ki Hadood tak Iss Shehar Mein Sab Kuch Hai Bas Aik teri Kami Hai



Khushbo ke Jazeroon Se Sitaron Ki Hadood tak
 Iss Shehar Mein Sab Kuch Hai  Bas Aik teri Kami Hai

Koi Chhand Rakh Meri Shaam Par Mera Dil Jaley Tere Naam Par



کوئی چاند رکھ میری شام پر
میرا دِل جلے تیرے نام پر
یہ اکیلےپن کی اداسیاں
یہ فراق لمحے عذاب سے
کبھی دشتِ دل پہ آ رکیں
تیری چاہتوں کے سحاب سے
میں ہوں تجھ کو جاں سے عزیزتر
میں یہ کیسے مان لوں اجنبی
تیری بات لگتی ہے وہم سی
تیرے لفظ لگتے ہیں خواب سے
یہ جو میرا رنگ و روپ ہے
یونہی بے سبب نہیں دوستو
میرے خوشبوؤں سے ہیں
سلسلے میری نسبتیں ہیں گلاب سے
اسے جیتنا ہے تو ہمنشیں
یونہی گفتگو سے نہ کام لے
کوئی چاند لاکے جبیں پہ رکھ
لا کوئی گہر تہہِ آب سے
وہی معتبر ہے میرے لئے
وہ جو حاصلِ دل و جان ہے
وہ جو باب تم نے چرا لیا
میری زندگی کی کتاب سے
‏کوئی چاند رکھ میری شام پر
میرا دِل جلے تیرے نام پر

Kaisa jan lewa musam hai October ki sham Thandi hawa Udaas darecha Khamosh mobile Tanhaai main aor chaae



Kaisa jan lewa musam hai
October ki sham
Thandi hawa
Udaas darecha
Khamosh mobile
Tanhaai main aor chaae

tere naqsh e paa ko choom kar khud psheymaa'n hoon main hosh mein itni jurrrt ns hoti be-khudi mein khtaa ho gayi



tere naqsh e paa ko choom kar khud psheymaa'n hoon main
hosh mein itni jurrrt ns hoti be-khudi mein khtaa ho gayi

Phir palat rahi hain sardiyon ki suhani ratain Phir uss ki yaad mein jalne ka zamana aaya




Phir palat rahi hain sardiyon ki suhani ratain
Phir uss ki yaad mein jalne ka zamana aaya

Kabhi Rangoon se khelo tum Mujhe tasveer kar dalo



Kabhi Rangoon se khelo tum
Mujhe tasveer kar dalo,
Kabhi lafzoon mein daal kar jan
Mujh pe ik ghazal kar dalo,
Mein koi khwab hoon shayad
Isay tabeer kar dalo,
Meri souchein bhatak'ti hain
Zamane ki saray mein,
Kabhi mumkin Jo ho tum se
Inhein zanjeer kar dalo,
Meri Dunya tum hi tak hai
Tumhein kese btaoon mein,
Meri heer bano tum hi
Mujhy bhi ranjha kar dalo,
Kabhi Rangon se khelo tum
Kabhi lafzon mein dal kar jan,
Mujhe taabeer kar dalo
Mujhe bhi Ranjha kar dalo

Aye Chaand Tu Kis Mazhab ka Hai..?? Eid Bhi Teri Aur Karwachaut Bhi Tera



Aye Chaand Tu Kis Mazhab ka Hai..??
Eid Bhi Teri Aur Karwachaut Bhi Tera..!!
Mirza Ghalib

Bikharti Shaam Ki Parchhaiyan Mujhe De Do Tum Apni Shaam Ki Tanhaiyan Mujhe De Do



بکھرتی شام کی پرچھائیاں مجھے دے دو
تم اپنی شام کی تنہائیاں مجھے دے دو
میں تم کو یاد کروں اور تم چلے آو
تم اپنے پیار کی سچائیاں مجھے دے دو
میں ڈوب جاؤں تمھاری اداس آنکھوں میں
تم اپنے درد کی گہرائیاں مجھے دے دو

Bikharti Shaam Ki Parchhaiyan Mujhe De Do
Tum Apni Shaam Ki Tanhaiyan Mujhe De Do
Main Tum Ko Yaad Karon Aur Tum Chaley Aao
Tum Apne Piyar Ki Sachaiyan Mujhe De Do
Main Doob Jaon Tumhari Udaas Aankhon Mein
Tum Apne Dard Ki Gehraiyan Mujhe De Do

Chalo Boond Boond Utro Meri Saanson Me Keh Tere Hijar Ke Dardon Ne Wafa Maangi Hai




چلو بوند بوند اترو میری سانسوں میں
کہ ترے ہجر کے دردوں نے وفا مانگی ہے

Chalo Boond Boond Utro Meri Saanson Me
Keh Tere Hijar Ke Dardon Ne Wafa Maangi Hai

Kabhi Yaad Aye To Pochna Zara Apni Khalwat-E-Shaam Se



Kabhi Yaad Aye To Pochna
Zara Apni Khalwat-E-Shaam Se
Kisse Ishq Tha Teri Zaat Se
Kisse Pyar Tha Tera Naam Se
Zara Yaad Karo Wo Kon Tha
Jo Kabhi Tujhe Bhi Aziz Tha
Wo Jo Ji Utha Tere Naam Se
Wo Jo Mer Mitaa Tere Naam Pe
Hame Be Rukhi Ka Nahi Gila
K Yehi Wafaon K Hai Sila
Magar Aisa Jurm Tha Konsa
Gaye Ham Jo Dua-O-Salam Se
Na Kabhi Vissal Ki Chah Ki
Na Kabhi Firaq Mien Ahh Ki
K Mera Tareqa-E-Bandagi
Hai Juda Tareqap-E-Aam Se

Halat e haal k sabab , halat e haal hi gai Shouk mein kuch Nahi gaya , shouk ki zindagi gai



حالتِ حال کے سبب، حالتِ حال ہی گئی
شوق میں کچھ نہیں گیا، شوق کی زندگی گئی 

Halat e haal k sabab , halat e haal hi gai
Shouk mein kuch Nahi gaya , shouk ki zindagi gai

Poshaak e Zindagi tujhay seetay sanwartay Soa(100) chaidh ho Gaye hain rafogar ke haath mein



پوشاکِ زندگی تجھے سیتے سنوارتے
سو چھید ہو گئے ہیں رَفوگر کے ہاتھ میں

Poshaak e Zindagi tujhay seetay sanwartay
Soa(100) chaidh ho Gaye hain rafogar ke haath mein

Jo ujhaloon Mein kho jaien wo Taaq ratoon Mein bhii nahi miltay



جو اجالوں میں کھو جائیں وہ
طاق راتوں میں بھی نہیں ملتے

Jo ujhaloon Mein kho jaien wo
Taaq ratoon Mein bhii nahi miltay

Be-Wajha Na Janey Kiyun Zidd Hai Unn Ko Shabb e Furqat Walon Se Woh RAAT Barhaa Deiney Ke Liyey,Gaisoo Ko Sanwaara Kartey Hein



بے وَجہ نہ جانے کیُوں ضِد ہے اُن کو شَبِ فُرقَت والوں سے
وُہ رات بڑھا دینے کے لِئے ، گیسُو کو سَنوارا کرتے ہین

Be-Wajha Na Janey Kiyun Zidd Hai Unn Ko Shabb e Furqat Walon Se
Woh RAAT Barhaa Deiney Ke Liyey,Gaisoo Ko Sanwaara Kartey Hein

Ponchho Na Araq Rukhsaaron se,Rangeeni e Hussn Ko Barhney Do Suntey Hein Keh SHABNUM Ke Qatrey , PHOOLON Ko Sanwaara Kartey Hein



پُونچھو نہ عَرَق رُخساروں سے ، رَنگینئ حُسن کو بَڑھنے دو
سُنتے ہیں کہ شَبنَم کے قَطرے ، پھُولوں کو سَنواراکَرتے ہیں

Ponchho Na Araq Rukhsaaron se,Rangeeni e Hussn Ko Barhney Do
Suntey Hein Keh SHABNUM Ke Qatrey , PHOOLON Ko Sanwaara Kartey Hein

US KI YAADON SE KAHO,HAATH PAKAR LEN AA KAR GUM HUA JATA HAI,TAAREEKI MAIN SAYA MERA



اُس کی یادوں سے کہو ھاتھ پکڑ لیں آ کر
گُم ھُوا جاتا ھے تاریکی میں سایہ میرا

US KI YAADON SE KAHO,HAATH PAKAR LEN AA KAR
GUM HUA JATA HAI,TAAREEKI MAIN SAYA MERA

Doobtay doobtay,kashti ko uchalaa de doon man naheen,koi to,sahil pe uttar jae ga



Doobtay doobtay,kashti ko uchalaa de doon
man naheen,koi to,sahil pe uttar jae ga
zabt lazim ha,magar ,dukh ha qyamat ka FARAZ
zalim,ab k bhi na roae ga,to mar jae ga

Main aaj zad pe agar hoon tou Khush-gumaan na ho Charaagh sab ke bujheinge, Hawa kisi ki nahi



Main aaj zad pe agar hoon tou Khush-gumaan na ho
Charaagh sab ke bujheinge, Hawa kisi ki nahi
Ahmad Faraz

Jo fursat mily tou chand sy Meri khani pooch laina Aik wahi tou tha humraaz mera tere so jany ky baad



جو فرصت ملے تو چاند سے میری کہانی پوچھ لینا
اِک وہی تو تھا ہمراز میرا تیرے سو جانے کےبعد

Jo fursat mily tou chand sy Meri khani pooch laina
Aik wahi tou tha humraaz mera  tere so jany ky baad

Hasrat kuch aur waqt iltaja kuch aur Kon jee pata hai apni mutabiq zindgi yahan



حسرت کچھ اور،وقتِ التجا کچھ اور
کون جی پاتا ہے اپنے مطابق زندگی یہاں

Hasrat kuch aur waqt iltaja kuch aur
Kon jee pata hai apni mutabiq zindgi yahan

Tujh Ko Paaya To Chaak See Lein gay Ghum Bhi Amratt Samajhh Ke Pee Lein Gey Warna Yun Hay Keh Daman e Dil Mein Chand Saansein Hein Gin Ke Jee Lein Gey



تُجھ کو پایا تو چاک سِی لیں گے غَم بھی آمرَت سَمَجھ کے پِی لیں گے
وَرنہ یُوں ہے کِہ دامَنِ دِل میںچَند سانسیں ہیں ، گِن کے جِی لیں گے
Tujh Ko Paaya To Chaak See Lein gay Ghum Bhi Amratt Samajhh Ke Pee Lein Gey
Warna Yun Hay Keh Daman e Dil Mein Chand Saansein Hein Gin Ke Jee Lein Gey

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo