Tu Ne Maikhana Nigahon Mein Chupa Rakha Hai Hosh Walon Ko Bhi Deewana Bana Rakha Hai

 

 

ﺗُﻮﻧﮯ ﻣﯿﺨﺎﻧﮧ ﻧﮕﺎﮨﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﭼﮭُﭙﺎ ﺭﮐﮭﺎ ﮨﮯ
ﮨﻮﺵ ﻭﺍﻟﻮﮞ ﮐﻮ ﺑﮭﯽ ﺩﯾﻮﺍﻧﮧ ﺑﻨﺎ ﺭﮐﮭﺎ ﮨﮯ
ﻧﺎﺯ ﮐﯿﺴﮯ ﻧﮧ ﮐﺮﻭﮞ ﺑﻨﺪﮦ ﻧﻮﺍﺯﯼ ﭘﮧ ﺗﯿﺮﯼ
ﻣﺠﮫ ﺳﯽ ﻧﺎ ﭼﯿﺰ ﮐﻮ ﺟﺐ ﺍﭘﻨﺎ ﺑﻨﺎ ﺭﮐﮭﺎ ﮨﮯ
ﺍﮮ ﻣﯿﺮﮮ ﭘﺮﺩﮦ ﻧﺸﯿﮟ ﺗﯿﺮﯼ ﺗﻮﺟﮧ ﭘﮧ ﻧﺜﺎﺭ
ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﺩﻧﯿﺎ ﺳﮯ ﺗﯿﺮﺍ ﻋﺸﻖ ﭼﮭُﭙﺎ ﺭﮐﮭﺎ ہے


Tu Ne Maikhana Nigahon Mein Chupa Rakha Hai
Hosh Walon Ko Bhi Deewana Bana Rakha Hai
Naaz Kaise Na Karon Banda Nawazi Pe Teri
Mujh See Na-Cheez Ko Jab Apna Bana Rakha Hai
Aey Mere Parda-Nasheen Teri Tawaja Pe Nisar
Main Ne Dunya Se Tera Ishq Chupa Rakha Hai

 

Main Dhidon Bhuka Maharma Mere Bhuk Ne Kheche Saa



Teri Aankhen Thein Mai-Kadah Lekin Apne Honton Ki Piyas Kia Karte



Teri Aankhen Thein Mai-Kadah Lekin
Apne Honton Ki Piyas Kia Karte
Aap Se Haal-e-Dil Chupa Tou Na Tha
Aap Se Iltemas Kia Karte
My eyes were dark but
Why do you thirst for your lips?
I did not hide my heart from you
What should I request you?

❤️
I was your eyes - sometimes but
What do you thirst for your lips?
I did not hide the condition of my heart from you.
What would you do with you?


Jinhon Ne Us Sanvli Ke Namkeen Khal o Khad Ko Chakha Hai FARIS Namak Ki Hurmat Ko Jante Hein Namak-Harami Nahi Karengy


 

جنہوں نے اُس سانولی کے نمکین خال و خد کو چکھا ھے فارس
نمک کی حُرمت کو جانتے ھیں، نمک حرامی نہیں کریں گے
رحمان فارس

Jinhon Ne Us Sanvli Ke Namkeen Khal o Khad Ko Chakha Hai FARIS

Namak Ki Hurmat Ko Jante Hein Namak-Harami Nahi Karengy
Rehman Faris

 

Che Zama Pu Shaan Zalmay Warpase Jadi HAMZA Waya Da Ba Khkoli Vi Kana


 

چی زما پہ شان زلمے ورپسی جاڑی
حمزہ وایا دہ بہ خکلی وی کنہ


Che Zama Pu Shaan Zalmay Warpase Jadi
HAMZA Waya Da Ba Khkoli Vi Kana

 

Mor Rapase Garzi Che Pu Ma Charta Na-Wakhta Shi Ma Ba Darta Na Wail Che Pu Ma Pase Ka'aba Garzi


 

مور راپسے گرزی چے پہ مہ چرتہ ناوختہ شی
♥♥♥
مہ بہ درتہ نہ ویل چے پہ ما پسے کعبہ گرزی

Mor Rapase Garzi Che Pu Ma Charta Na-Wakhta Shi
♥♥♥
Ma Ba Darta Na Wail Che Pu Ma Pase Ka'aba Garzi

 

Jise Aap Gintay Thay Aashna , Jise Aap Kehtay Thay Ba-Wafa Main Wahi Hoon MOMIN Mubtala , Tumhein Yaad Ho Keh Na Yaad Ho


 

جسے آپ گنتے تھے آشنا،جسے آپ کہتے  تھے  باوفا
میں وہی ہوں مومن مبتلا،تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

مومن خان مومن

Jise Aap Gintay Thay Aashna , Jise Aap Kehtay Thay Ba-Wafa
Main Wahi Hoon MOMIN Mubtala , Tumhein Yaad Ho Keh Na Yaad Ho

Momin Khan Momin

 

Tum Samandar Ki Baat Karte Ho Log Aankhon Mein Doob Jate Hein


 

تم سمندر    کی  بات   کرتے   ہو
لوگ آنکھوں میں ڈوب جاتے ہیں


Tum Samandar Ki Baat Karte Ho
Log Aankhon Mein Doob Jate Hein


Kashish Dil Tou Sabhi Dete Hein Aksar Piyar Mein Lekin Nigah e Shouq Chanchal Ko Chalakta Jaam Kar Dongi


 

کشش دل تو سبھی دیتے ہیں اکثر پیار میں لیکن
نگاہ شوق چنچل  کو  چھلکتا   جام   کردوں گی
Kashish Dil Tou Sabhi Dete Hein Aksar Piyar Mein Lekin
Nigah e Shouq Chanchal Ko Chalakta Jaam Kar Dongi

ثمینہ کشش فراش انڈیا
Sameena Kashish Firash India

 

Mujh Mein Koi Gosha Bhi Aabad Nahi Jangal Hai Sarkar ! Musalsal Jangal Hai


 

مجھ میں کوٸی گوشہ بھی آباد نہیں
جنگل ہے سرکار!مسلسل جنگل ہے
Mujh Mein Koi Gosha Bhi Aabad Nahi
Jangal Hai Sarkar ! Musalsal Jangal Hai

عمیر نجمی
Umair Najmi


Meri Khud-Dar Tabiyat Ko Gawara Hi Nahi Keh Mera Sar Kisi Kam-Zarf Ka Shana Dhoonday


 

میری  خُود دار طبیعت  کو  گوارہ  ھی نہیں
کہ میرا سر کسی کم ظرف کا شانہ ڈھونڈے


Meri Khud-Dar Tabiyat Ko Gawara Hi Nahi
Keh Mera Sar Kisi Kam-Zarf Ka Shana Dhoonday

 

Kabhi Ruk Gaye Kabhi Chal Diye Kabhi Chalte Chalte Bhatak Gaye


 

کبھی رک گئے
Kabhi Ruk Gaye

کبھی چل دیئے
Kabhi Chal Diye
کبھی چلتے چلتے بھٹک گئے
Kabhi Chalte Chalte Bhatak Gaye
یونہی عمر ساری گزار دی
Yunhi Umar Sari Guzar Di
یونہی زندگی کے ستم سہے
Yunhi Zindagi Ke Sitam Sahay
کبھی نیند میں
Kabhi Neend Mein
کبھی ہوش میں
Kabhi Hosh Mein
وہ جہاں ملا
Woh Jahan Mila
اسے دیکھ کر
Usay Dekh Kar

نہ نظر ملی نہ زباں ہلی
Na Nazar Mili Na Zubaan Hili
یونہی سر جھکا کر گزر گئے
Yuhi Sar Jhuka Kar Guzar Gaye

مجھے یاد ہے
Mujhe Yaad Hai
کبھی ایک تھے
Kabhi Aik Thay
مگر آج ہم ہیں جدا جدا
Magar Aaj Hum Hein Juda Juda
وہ جدا ہوئے تو سنور گئے
Woh Juda Hoe Tou Sanwar Gaye

ہم جدا ہوئے تو بکھر گئے
Hum Juda Hoe Tou Bikhar Gaye
کبھی عرش پر
Kabhi Arsh Par
کبھی فرش پر
Kabhi Farsh Par
کبھی ان کے در
Kabhi Unke Dar
کبھی در بدر
Kabhi Dar Badar
 غم عاشقی تیرا شکریہ
Gham e Aashiqi Tera Shukria
ہم کہاں کہاں سے گزر گئے
Hum Kahan Kahan Se Guzar Gaye


Mohsin! Takkalufaat ke ghaarat gari na pooch


 

مُحسن ! تکلُفات کی غارت گَری نہ پُوچھ
Mohsin! Takkalufaat ke ghaarat gari na pooch
تُجھ کو غمِ وفا,  مُجھے فِکرِ مُعاش ہے
Tujh ko ghum-e-waafa, mujhe fikare-e-moa'ash hai

 

Uske baad logon ne mujhe Uske zikr se maara



Uske baad logon ne mujhe
Uske zikr se maara


Palkon ki hadd tor ke daaman peh aa gira Ik ashq meray sabr ki touheen kar gaya



Palkon ki hadd tor ke daaman peh aa gira
Ik ashq meray sabr ki touheen kar gaya

 

Rehne de kuch to mere bhi kaase mein nematen Tujh ko khuda ka wasta mairi ana na maang



Rehne de kuch to mere bhi kaase mein nematen
Tujh ko khuda ka wasta mairi ana na maang


Ab Ke Mousam Mein Ye Ma'ayar e Junoon Thehra Hai Sar Salamat Rahein Dastar Na Rehne Paaye


 

اب کے موسم میں یہ معیارِ جنوں ٹھہرا ہے
سر سلامت رہیں دستار نہ رہنے پائے
***
ایک مدت کی رفاقت کا ہو کچھ تو انعام
جاتے جاتے کوئی الزام لگاتے جاؤ
***
اس کو چاہا تھا کبھی خود کی طرح
آج خود اپنے طلب گار ہیں ہم
***
زندگی گل ہے نغمہ ہے مہتاب ہے
زندگی کو فقط امتحاں مت سمجھ
***
بدن کو روندنے والو ضمیر زندہ ہے
جو حق کی پوچھ رہے ہو تو حق ادا نہ ہوا
***
لفظوں کے احتیاط نے معنی بدل دیئے
اس اہتمامِ شوق میں حسن اثر گیا
***
کیا خبر تھی ہمیں یہ زخم بھی کھانا ہوگا
تو نہیں ہوگا تری بزم میں آنا ہوگا
***
کس قدر نادم ہوا ہوں میں برا کہہ کر اسے
کیا خبر تھی جاتے جاتے وہ دعا دے جائے گا
***
ابلاغ کے لئے نہ تم اخبار دیکھنا
ہو جستجو تو کوچہ و بازار دیکھنا
***
لفظوں کو اعتماد کا لہجہ بھی چاہئے
ذکرِ سحر بجا ہے یقینِ سحر بھی ہے
***
سورج چڑھا تو پھر بھی وہی لوگ زد میں تھے
شب بھر جو انتظار سحر دیکھتے رہے
***
یہ میرے چاروں طرف کس لیے اجالا ہے
ترا خیال ہے یا دن نکلنے والا ہے
***
خندۂ لب میں نہاں زخمِ ہنر دیکھے گا کون
بزم میں ہیں سب کے سب اہلِ نظر دیکھے گا کون
***
سوچا تھا کہ اس بزم میں خاموش رہیں گے
موضوعِ سخن بن کے رہی کم سخنی بھی
***
بچھڑ کے تجھ سے میسر ہوئے وصال کے دن
ہیں تیرے خواب کی راتیں ترے خیال کے دن
***
اے مسیحاؤ اگر چارہ گری ہے دشوار
ہو سکے تم سے نیا زخم لگاتے جاؤ
***
روشنی ہیں سفر میں رہتے ہیں
وقت کی رہِ گزر میں رہتے ہیں
***
صدائے وقت کی گر باز گشت سن پاؤ
مرے خیال کو تم شاعرانہ کہہ دینا
***
جاہل کو اگر جہل کا انعام دیا جائے
اس حادثۂ وقت کو کیا نام دیا جائے
***
اے نازشِ صد رنگ نہ کر ان سے تغافل
ہے خاک نشینوں سے تری گل بدنی بھی
***
خبر کیا تھی نہ ملنے کے نئے اسباب کر دے گا
وہ کر کے خواب کا وعدہ مجھے بے خواب کر دے گا
***
بے خبر سا تھا مگر سب کی خبر رکھتا تھا
چاہے جانے کے سبھی عیب و ہنر رکھتا تھا
***
وہ زندگی کو نیا موڑ دے گیا محسنؔ
یہی زوال کے دن ہیں مرے کمال کے دن


Main Ne Rakhi Hai Faqat Dil Ki Tasalli Ke Liye Kia Koi Jurm Hai Tasweer Tumhari Rakhna?


 

میں نے رکھی ہے فقط دل کی تسلی کے لیے
کیا کوئی جرم ہے تصویر  تمھاری رکھنا؟


Main Ne Rakhi Hai Faqat Dil Ki Tasalli Ke Liye
Kia Koi Jurm Hai Tasweer Tumhari Rakhna?


Zindagi tu mujhe kis mod pe le aayi hai Khuwaab khulte the jahan barf wahan chhai hai



Zindagi tu mujhe kis mod pe le aayi hai
Khuwaab khulte the jahan barf wahan chhai hai
Sau dareeche hain magar shama kisi par bhi nahin
Chand nikle meri raton ka muqaddar bhi nahin
Kya karon kya na karon haath mein pathhar bhi nahin
Sheesh mahlon ko koi gham bhi nahin dar bhi nahin
Log gunge hain bayaban mein azaan kaise ho
Log qatil hain ilaaj-e-gham-e-jaan kaise ho
Log pathar hain toh ehsas-e-ziyaan kaise ho
Kis ko fursat jo pooche keh miyan kaise ho
Raat jab khatm hui thi to sehar lagti thi
Roshni rahguzar rahguzar lagti thi
Zindagi koocha-e-janan ka safar lagti thi
Apni manzil kahin jannat ke udhar lagti thi
Kuch bhi ankhon mein nahin ashk-e-nadamat ke siwa
Kuch bhi daman mein nahin dagh-e-malamat ke siwa
Kuch bhi chehre pe nahin gard-e-masafat ke siwa
Apni dukaan mein sab hai muhabbat ke siwa
QAISAR-UL-JAFRI

As the light slowly faded and the dark night
engulfed the land,I sit here, hand in chin, wondering
confused, deep in thought about what it was and what might be
as the trees swayed to the gentle lullaby of the night
sleep was the last thing on my mind
restless mind and sombre thoughts manifest inside me
my life has always been a dream
a never ending chase
often taking me to hell and back
a dream that at times seem like a nightmare
as i sit here and count the scars
these tortured thoughts scream louder and louder in my mind
a mind filled with dreams is now just filled with chaos
maybe out of chaos comes order
maybe one day but time is my enemy
I stand at the edge and wonder, as I look down
wishing that something could happen
I feel like a bird without wings

 

Sawaal zeher ka nahin tha woh to main pee gaya Taqleef logon ko tab hui jab main ji gaya



Sawaal zeher ka nahin tha
woh to main pee gaya
Taqleef logon ko tab hui jab main ji gaya

 


Bhulata Lakh Hoon Lekin Barabar Yaad Aatay Hein Ilahi Tark e Ulfat Par Woh Kion Kar Yaad Aatay Hein(Hasrat Mohani)



Be-Pardah Nazar Aaein Jo Kal Chand Bebeyan AKBAR Zameen Mein Ghairat e Qoumi Se Gad Gaya


 

Be-Pardah Nazar Aaein Jo Kal Chand Bebeyan

AKBAR Zameen Mein Ghairat e Qoumi Se Gad Gaya

Poocha Jo Main Ne Aap Ka Pardah Woh Kia Hoa

Kehnay Lagein Keh Aqal Pe Mardon Ke Pad Gaya


Mulaqaton Ka Kehtay Ho Mulaqatein Kahan Howein? Na Hum Jawein Hein Masjid Mein , Na Aap Aawein Hein Mai-Khana



Mulaqaton Ka Kehtay Ho Mulaqatein Kahan Howein?

Na Hum Jawein Hein Masjid Mein , Na Aap Aawein Hein Mai-Khana

 

Aaqil Ko Aseeri Ke Taqazay Kahan Manzoor Nadaan Hi Hota Hai Giraftar e Muhabbat


 

عاقل کو اسیری کے تقاضے کہاں منظور
نادان ہی ہوتا ہے گرفتارِ محبت

Aaqil Ko Aseeri Ke Taqazay Kahan Manzoor

Nadaan Hi Hota Hai Giraftar e Muhabbat


Dunya Se Be-Niaz Hoon Apni Hawa Mein Hoon Jab Tak Main Tere Dil Ki Muhabbat Sara Mein Hoon


 

غزل

Ghazal

 
پروین شاکر

Parveen Shakir


دُنیا سے بے نیاز ہُوں، اپنی ہَوا میں ہُوں 

 جب تک میں تیرے دل کی مُحبّت سَرا میں ہُوں

Dunya Se Be-Niaz Hoon Apni Hawa Mein Hoon

Jab Tak Main Tere Dil Ki Muhabbat Sara Mein Hoon

اِک تخت اور میرے برابر وہ شاہ زاد

لگتا ہے آج رات میں شہرِ سَبا میں ہُوں

Ik Takht Aur Mere Barabar Woh Shah-Zad

Lagta Hai Aaj Raat Main Shehr e Saba Mein Hoon

خُوشبو کو رقص کرتے ہُوئے دیکھنے لگی

سحرِ بہار میں کہ طلسمِ صبا میں ہُوں

Khusboo Ko Raqs Karte Hoe Dekhnay Lagi

Sahar e Bahaar Mein Keh Talsm e Saba Mein Hoon

ورنہ غبارِ ماہ بھی کب مُجھ کو چُھو سکا

آہستہ رَو ہُوئی ہُوں کہ شہرِ نوا میں ہُوں

Warna Ghubar e Maah Bhi Kab Mujh Ko Choo Saka

Aahista Ro Hoi Hoon Keh Shehr e Nawa Mein Hoon

جیسے کوئی عقب سے بُلاتا ہے بار بار

بچپن سے اِک عجیب سرابِ صَدا میں ہُوں

Jaise Koi Aqab Se Bulata Hai Bar Bar

Bachpan Se Ik Ajeeb Saraab e Sada Mein Hoon

 اِس دل کو جب سے غم کی ضمانت میں دے دیا

اُس وقت سے کِسی کے حصارِ دُعا میں ہُوں

Is Dil Ko Jab Se Gham Ki Zamanat Mein De Diya

Us Waqt Se Kisi Ke Hisar e Dua Mein Hoon

 

Main Zindagi Ka Saath Nibhata Chala Gaya Har Fikar Ko Dhouen Mein Udata Chala Gaya



Hoorein Milingi Wahan Par , Kia Millaygi Tu? Main Tou Meri Jaan Teri Raah Dekhta Reh Jaounga


 

حوریں ملیں گی وہاں پر، کیا ملے گی تو ؟
میں تو میری جان تیری راہ دیکھتا رہ جاؤں گا

Hoorein Milingi Wahan Par , Kia Millaygi Tu?

Main Tou Meri Jaan Teri Raah Dekhta Reh Jaounga

 

Is Qadar Bhi Tu Meri Jaan Na Tarsaya Kar Mil Ke Tanha Tu Galy Se Lag Jaya Kar


 

اس قدر بھی تو مری جان نہ ترسایا  کر
مل کے تنہا تو گلے سے کبھی لگ جایا کر

Is Qadar Bhi Tu Meri Jaan Na Tarsaya Kar

Mil Ke Tanha Tu Galy Se Lag Jaya Kar

 

Alfaz k jhootay bandhan main aakaash k gehray pardon main



Alfaz k jhootay bandhan main
aakaash k gehray pardon main
har shakhs mohabat karta ha
halan k mohabat,kuch bhi naheen
sb jhootay rishtay naatay han
sb dil rakhnay ki baaten han
kb kaun kisi ka hota ha
sb asli roop chupatay han
akhlaq se khali log yehan
lafzon k teer chalatay han
ik bar nigahon main aa kar
phir sari umar rulatay han
hm khushboo k saudagar han
aur sauda sacha krtay han
jo gahak phoolon jesa ho
hm bin damon bik jatay han
hm shahr e wafa k logon ka
tum haal bhalaa kia jano gay
hm dil ki baat chupatay han
hm aansoo tk pee jatay han
HM KHUSHBOO K SAUDAGAR HAN
AUR SAUDA SACHA KARTAY HAN


The wind is also happy There is a look even on the flowers



The wind is also happy
There is a look even on the flowers
Tarannum-e-thousand is there
Outside is full of spring
Where is Sakia going?
Come back here, come back here
Hey, what does he see?
Wake up Subu Subu Wake up
Wake up Subu and fill the cup
Fill the cup here
Have a look at the garden
Look at the evening, unaware
Those black black changes
I have come to Ufuk
How is that one hujum-e-mai
Oh God! I am not able to do anything.
What is this mischief?
Don't understand me
Where is Khayal-e-Zohd now
I am young right now
There is a mention of worship
Worried about salvation too
Passion is of reward
I think of a strange thing
But listen Shaikh ji
You are also a strange sleep
Good morning and love
Have we ever been separated
Have a beautiful jalwa-raz
Styles are Fitna-Khez
May the winds be perfume-bez
So why not have hobbies fast
Nigar-Ha-e-Fitnagar
Someone here and someone there
Building up on the ash
So what can someone do?
Let's go Kissa-Mukhtsar
Your look at the sight
If it is correct, then it should be.
I am young right now
This patrol is of Kohsar
This trip to Joo-e-Bar
These bubbles are the chirps
These are the words of Gul-Rukhon
Got a match with someone
So lost the grief and worry
The one who slept for a while
He laughed he cried
These stories of love
These juicy youths
Kindness from the other side
From here on out lan-taraniya
This sky this land
Scene-Ha-e-Dil-Nasheen
Hayat-Afrien to them
Should I just leave this right here
Death is like this
I won't be sure
Nope nope not now
I am young right now
No grief of Kushud O Basta
Neither of the high nor of the battered
Neither of drop nor of hand
Neither promise of laziness
Missing hope and yas
Lust is lost, why is it lost?
Lost around by sight
Hama-Bazuz glass is missing
There is nothing missing in my heart
Be a companion from Kadah
Luckily it was frozen
This is us - we remained
That melody tease mutriba
Tarab-Faza, Alam-Ruba
Effect of Sada-e-Saaz
The liver is on fire
Always be on every lips
Don't stop your hand Sakia
Give me a drink and give me a drink
I am young right now
The wind is also happy
Even the flowers have a pity.
The Tarannum-e-Hazar is there
Outside is full outside
Where are you going Saqiya?
Come here and come here
Hey, does he see?
Wake up early morning wake up
Woke up in the morning to a full cup.
Fill the cup here
A look at the garden
Look at the stuff, unaware
That black black change
It will happen on Ufuq. This is what I am doing
He is a crowd of people.
I am standing in the morning.
What kind of misunderstanding is this?
Don't understand me, I don't care.
Where is the thoughts of Zohd now
I am young now
What is the mention of worship
I am worried about Najat too.
Passion is of reward
I think of the torment
But listen to it.
You are also strange
Good night and love
Have we ever been separated?
Beautiful Jalva-Rez Hoñ
Aaaaaaaaaaaa. This is the reason why I am not fit.
hav ā. e ñ itr-no ho ñ
So why not the hobbies get sharp
Sight of Fitnagar
Someone here and someone there
Rising up on this
So what can someone do?
Let's go to the story for a while.
Your point of sight
If it is right then it should be but
I am young now
This patrol is of caution.
This poetry is of ja-e-bar
These are the uncle of bulbulo
These are the reasons of Gul-Ruhon
I met someone.
So Ranj lost his tension
Who ever slept a lot
He laughed and he cried
These stories of love
This is full of juicy youth
Thank you from there
From here on out
This sky, this earth
The sight of heart is the destiny
They are given life
I'm good here.
Death is such a qaran
I don't know. This is for sure
No no not now
I am young now
Unimaginable of Kushid and Bast
Don't be high or past
Neither of bud nor of hand
I don't promise to be lazy
Hope and sorrow
Lust is lost, Qayas is lost
Lost around the sight
We are missing a glass.
I don't have anything to do
May you be sympathetic to the Qadah
Destroyed, may this land remain.
This is ours and we remain
She is angry, Matriba.
Torab-Faza, Alam-Ruba
The effect of always.
My heart is on fire
Every lab should be always on it.
Don't stop your hand Sakiya
Pilaaa. This is what I got. Here you go
Now I am young.

Hafeez Jalandhari

 

Saleeqe se hawaaon mein jo khushbu ghol sakte hain Abhi kuch log baaqi hain jo Urdu bol sakte hain



Saleeqe se hawaaon mein jo khushbu ghol sakte hain
Abhi kuch log baaqi hain jo Urdu bol sakte hain


Falak Mein Aag Lag Jati Jo Donon Ro Ba Ro Hote Gharoob e Shams Lazim Tha Tuloo e Chand Se Pehle


 

Falak Mein Aag Lag Jati Jo Donon Ro Ba Ro Hote

Gharoob e Shams Lazim Tha Tuloo e Chand Se Pehle

 

Suno ahat nahi karna Abhi...hi dard soya hai



Suno ahat nahi karna
Abhi...hi dard soya hai

 

Tha bahut khush jo bhula ke mujh ko Aaj roya galay laga ke mujh ko



Tha bahut khush jo bhula ke mujh ko
Aaj roya galay laga ke mujh ko
Uss ne pehla sawaal yeh poocha
“Tum ko kaisa laga ganwa ke mujh ko
Zindagi ne to aazmaaya hai
Dekh lo tum bhi aazma ke mujh ko
Uss ne raasta badal liya apna
Pyar ki raah par chala ke mujh ko
De gaya umer bhar ke aansoon
Jo Kabhi hansta tha hansa ke mujh ko
Ajeeb shakhs tha, jaate hue woh
Khud bhi roya bahut rula ke mujh ko
Mujh ko patthar bana ke kehta hai
Jaan, dekho na muskura ke mujh ko

 

Lashkar ko bachaayengi yeh do char safen kya In mein bhi har ek shaksh yeh kehta hai hame kya



Lashkar ko bachaayengi yeh do char safen kya
In mein bhi har ek shaksh yeh kehta hai hame kya


Wohi shakhs merey lashkar se baghaawat kar gya Jeet kar saltanat jis ke naam karni thi


 

वही शख्स मेरे लश्कर से बगावत कर गया

जीत कर सल्तनत जिसके नाम करनी थी


Wohi shakhs merey lashkar se baghaawat  kar gya

Jeet kar saltanat jis ke naam karni thi


Apnay honay ka kuch ehsaas na honay se hua Khud se milna mera ek shakhs ka khonay se hua



Apnay honay ka kuch ehsaas na honay se hua
Khud se milna mera ek shakhs ka khonay se hua
Musawwir Sabzwari


Kabhi to chaunk ke dekhay koi humhari taraf Kisi ki aankh mein hum ko bhi intezaar dikhay



Kabhi  to chaunk ke dekhay koi humhari taraf
Kisi ki aankh mein hum ko bhi intezaar dikhay
Gulzar

 

Laakh Chuptay Phirein Harfon Mein Simat'tay Jaein Shair Aftad Hein Ud Ud Ke Lipat'tay Jaein


 

لاکھ چھپتے پھریں حرفوں میں سمٹتے جائیں
شعر افتاد ہیں اڑ اڑ کے لپٹتے جائیں
लाख छुपते फिरें हर्फ़ों में सिमटते जाएँ
शे'र उफ़्ताद हैं उड़ उड़ के लिपटते जाएँ

Laakh Chuptay Phirein Harfon Mein Simat'tay Jaein

Shair Aftad Hein Ud Ud Ke Lipat'tay Jaein

🔥
شعلۂ دل تو جلائے گا ہمیں یوں کب تک
تیری مرضی ہے سر حشر دہکتے جائیں
शो'ला-ए-दिल तू जलाएगा हमें कब तक
तेरी मर्ज़ी है सर-ए-हश्र दहकते जाएँ

Shoula e Dil Tou Jalaye Ga Humain Yun Kab Tak

Teri Marzi Hai Sar e Hashar Dhaktay Jaein

 

Jab se wo aankh hai khafa hum se Yoon lage hai khafa hai mai-khana


 

جب سے وہ آنکھ ہے خفا ہم سے
یوں لگے ہے خفا ہے میخانہ


Jab se wo aankh hai khafa hum se
Yoon lage hai khafa hai mai-khana

 

Hota Gar Samandar Tu Umeed e Hayat Rehti Doob Raha Hoon Teri Aankhon Mein Khuda Khair Kare


 

ہوتا گر سمندرتو امیدِ حیات رہتی

ڈوب رہا ہوں تیری آنکھوں میں خدا خیر کرے

होता गर समंदर तो उम्मीद ए हयात रहती

डूब रहा हुं तेरी आंखों में खुदा खैर करे

Hota Gar Samandar Tu Umeed e Hayat Rehti

Doob Raha Hoon Teri Aankhon Mein Khuda Khair Kare

If the sea is there
You would have been the hope of life
If there was an ocean
So hope would have remained in life
I am drowning in your eyes
May God bless
I am drowning in your eyes
May God have mercy


Kuch zulm o sitam sehnay ki aadat bhi hai hum ko Kuch yeh hai ki darbaar mein sunwaayee bhi kam hai



Kuch zulm o sitam sehnay ki aadat bhi hai hum ko
Kuch yeh hai ki darbaar mein sunwaayee bhi kam hai

 

Meri Be-Basi Ka Aalam Tere "KUN" Ka Muntazir Hai Mere Mehruban Dekha Day "FAYAKON" Ka Nazarah



Meri Be-Basi Ka Aalam Tere "KUN" Ka Muntazir Hai

Mere Mehruban Dekha Day "FAYAKON" Ka Nazarah


Gul Az Rakht Aamokhta Nazuk Badani Ra ,Badani Ra ,Badani Ra Gulab Ne Aapke Chehre Se Nazakat Ka Dars Lia Hai


 

کلام مولانا جلالدین رومی
Kalam:Molana Jalaludeen Romi

 
Gul Az Rakht Aamokhta Nazuk Badani Ra ,Badani Ra ,Badani Ra
Gulab Ne Aapke Chehre Se Nazakat Ka Dars Lia Hai


Bulbul Zato Aamokhta Shereen Sukhani Ra ,Sukhani Ra ,Sukhani Ra
Bulbul Ne Apni Zubaan Ki Mithas Aap Se Seekhi


Har Kas Keh Lab e La'al Tera Deedah Ba Dil Guft
Jis Ne Bhi Aap Ke Surkh Hont Dekhay Tou Dil Se Kaha


Haqa Keh Che Khush Kundah Aqeeq e Yamani Ra ,Yamani Ra ,Yamani Ra
Beshak Is Yamani Aqeeq Ko Buhat Hi Khobsorati Se Tarasha Gaya Hai
Yamani Aqeeq: Aik Surkh Rang Ka Qeemti Pathar


Khayat Azal Dokhta Bar Qaamat e Zaiba
Azal Ke Darzi Yani ALLAH Ne Aap Ke Khobsorat Qad Par


Dar Qad Tu Ein Jamah e Saro e Chamani Ra , Chamani Ra ,Chamani Ra
Bagh Ke Saro Ka Libas Siyah Hai
Saro: Aik Seedah Makhroti Khush-Numa Darakht


Az JAMI e Bechara Rasaned Salamay
Be-Chare Jami Ki Taraf Se Salam Pahoncha Do


Bar Dargah e Darbar e Rasool e Madani Ra , Madani Ra , Madani Ra
Rasool e Madani Ke Darbar Ke Huzoor


Mere Kanon Mein Misri Gholta Hai Koi Bacha Jab Urdu Bolta Hai


 

URDU ZUBAN KE HAWALAY BEHTAREEN ASHA'AR

Keh Do Keh Na Shikwah Lab e Maghmoom Se Niklay

Urdu Ka Janaza Hai Zara Dhoom Se Niklay

(Raees Amrohvi)

Apne Mahboob Ki Khatir Tha Khuda Ko Manzoor

Warna Quran Bhi Utarta Zuban e Urdu

(Akbar Ilah Abadi)

Aankhein Unki Urdu Zuban Goya

Jaise MEER O GHALIB Ka Deewan Goya

(Fozia Mughal)

Mere Kanon Mein Misri Gholta Hai

Koi Bacha Jab Urdu Bolta Hai

(Mushtaq Darbhangvi)


Badi Hi Mukhtasar Hai Zindagi Dekho Muhabbatein Udhar Na Karna



Badi Hi Mukhtasar Hai Zindagi

Dekho Muhabbatein Udhar Na Karna

 

Wirasat Mein Mili Hai Sad Shukar Kar Qadar Kar Mian URDU Zubaan Ki


 

وراثت میں ملی ہے صد شکر کر
قدر کر تو میاں اردو زباں کی
غلام علی آسی

Wirasat Mein Mili Hai Sad Shukar Kar

Qadar Kar Mian URDU Zubaan Ki

Ghulam Ali Aasi

 

Kuch Tumhari Nigaah Kafir Thi Kuch Mujhe Bhi Kharaab Hona Tha


 

کچھ تمہاری نگاہ کافر تھی
کچھ مجھے بھی خراب ہونا تھا
اسرارالحق

Kuch Tumhari Nigaah Kafir Thi

Kuch Mujhe Bhi Kharaab Hona Tha

Israrulhaq


Mere Dil Ke Sabhi Mousam Usi Pe Ja Ke Khultay Thay Main Aadhi Baat Karti Thi Woh Pori Jan Laita Tha


 

میرے دل کے سبھی موسم اُسی پہ جا کے کُھلتے تھے

میں آدھی بات کرتی تھی وہ پوری جان لیتا تھا
اگرچہ متفّق ہوتا نہیں تھا وہ ذرا سا بھی
ذرا سی بحث کرتا تھا مگر پھر مان لیتا تھا
حسیں انداز سے پڑھتا تھا وہ گلزار کی نظمیں
وہ جیسےریت میں سے ہیرے موتی چھان لیتا تھا
میں لفظوں کا لبادہ اوڑھ لیتی تھی مگر پھر بھی
مجھے وہ بِھیڑ میں بھی دُور سے پہچان لیتا تھا۔
بَرستی تیز بارش میں بھی وہ آجاتا تھا مِلنے
جو اُسکے دل میں آتی تھی تو پھر وہ ٹھان لیتا تھا
کبھی سَرگوشیوں میں میں دھیمی دھیمی گفتگو کرتا
کبھی خاموشیوں کی سَرد چادر تَان لیتا تھا
کبھی خود سر کبھی ضدی مگر اک بات اچھی تھی
میرے لکھے ہوئے لفظوں کو وہ بھی مان دیتا تھا
میرے ہاتھوں پہ اپنے ہاتھ رکھ دیتا تھا دانستہ
پھر اپنی مُسکراہٹ سے وہ میری جان لیتا تھا


Apne Seene Se Lagaye Huye Umeed Ki Laash Muddaton Zist Ko Nashad Kiya Hai Maine




Mana Du Plaar Da Yawa Khabara Na Hereegi Che Be-Pukhto Shi Du Rorai Di ALLAH Bekh Obasi



Mana Du Plaar Da Yawa Khabara Na Hereegi
Che Be-Pukhto Shi Du Rorai Di ALLAH Bekh Obasi


Du De Zrru Chavde Ao Zindagai De ALLAH Bekh Obasi
Shom Lewanay Du Judaaye Di ALLAH Bekh Obasi


Yawa Lahza Mo Pu Araam Du De Na Tera Na Krra
Rok Ye Sha Nom Du Dushmanai Di ALLAH Bekh Obasi


Du De Zrru Chavde Ao Zindagai De ALLAH Bekh Obasi
Shom Lewanay Du Judaaye Di ALLAH Bekh Obasi


Qasid Tu Iss Faraib Se Khat "Un" Ko Dejio Sahib Ye Kis Ka Khat Hai ? Zara Parh Tou Dejio


 

قاصد تو اس فریب سےخط " ان" کو دیجیو
صاحب یہ کس کا خط ہے ؟ ذرا پڑھ تو دیجیو


Qasid Tu Iss Faraib Se Khat "Un" Ko Dejio
Sahib Ye Kis Ka Khat Hai ? Zara Parh Tou Dejio


Mujh pe tari hai rah, Ashaq ke aasodda thakan Tujh pe kiya guzre mere chaand bata kyon chup hai


 

مجھ پہ طاری ہے راہ ِ عشق کی آسودہ تھکن
تجھ پہ کیا گزری مرے چاند بتا کیوں چُپ ہے


Mujh pe tare hai rah, Ashaq ke aasodda thakan
Tujh pe kiya guzre mere chaand bata kyon chup hai


Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo