Teri yaad ka kaajal aankhon mein daal rakha hai Tere milne ki khaatir humm ne maut ko taal rakha hai


Teri yaad ka kaajal aankhon mein daal rakha hai
Tere milne ki khaatir humm ne maut ko taal rakha hai


Chaahe waakif hain jwaab ki har teh se hum
Fir bhi tere aage wahi apna swaal rakha hai


Yoon toh dil ki har parat ko chhupa liya hai
Bas tere naam pe har saans ko nikaal rakha hai


Dar b dar bhatkna hi naseeb hai iss mitti ka
Na jaane kon se janam ne tujh ko sambhaal rakha hai

 

Mujhe Shikvaah Nahin Barbaad Rakh Barbaad Rehne De Magar Lillaah Merey Dil Mein Apni Yaad Rehne De


Mujhe Shikvaah Nahin Barbaad Rakh Barbaad Rehne De
Magar Lillaah Merey Dil Mein Apni Yaad Rehne De

Merey Nashaad Rehne Se Agar Tujh Ko Masarrat Hai
Toh Mein Nashaad Hi Achcha Mujhe Nashaad Rehne Do

مجھے شکوہ نہیں، برباد رکھ، برباد رہنے دے
مگر لالِلّہ میرے دل میں اپنی یاد رہنے دے

مرے ناشاد رہنے سے اگر تجھ کو مسرّت ہے
تو میں ناشاد ہی اچھّا، مجھے ناشاد رہنے دے


Uski NazrOon Ka Khumaaar Ufff TObaa Yaqeen KarO DIL Na Dety TO Jaan Chali Jaati


Uski NazrOon
Ka Khumaaar
Ufff TObaa...>
"+,,+"
Yaqeen KarO DIL
Na Dety TO Jaan
Chali Jaati...>
"+,,+"


Woh Yun Gaya Keh Baad-E-Sabaa Yaad Aa Gayi Ehsaas Tak Bhi Hum Ko Dila Kar Nahin Gaya


Woh Yun Gaya Keh Baad-E-Sabaa Yaad Aa Gayi
Ehsaas Tak Bhi Hum Ko Dila Kar Nahin Gaya

Bas Aik Lakeer Khench Gaya Darmiyaan Mein
Divaar Raastey Mein Banaa Kar Nahin Gaya

Yun Lag Raha Hai Jaisey Abhi Laut Aaye Ga
Jaate Huye Charaagh Bujha Kar Nahin Gaya

 

 

وہ یوں گیا کہ، بادِ صبا یاد آگئی
احساس تک بھی ہم کو دلا کر نہیں گیا

بس اک لکیر کھینچ گیا درمیان میں
دیوار راستے میں، بنا کر نہیں گیا

یوں لگ رھاھےجیسےابھی لوٹ آےگا
جاتے ہوئے چراغ، بجھا کر نہیں گیا


Mere Haath Se Tere Haath Tak Wo Jo Haath Bhar Ka Tha Fasla, Usey Naaptey Usey Kaat'tey Meri Saari Umar Guzar Gayi

Mere Haath Se Tere Haath Tak Wo Jo Haath Bhar Ka Tha Fasla,

Usey Naaptey Usey Kaat'tey Meri Saari Umar Guzar Gayi


Ab Dekhon Ga,Kon Tore Ga Issey! Bana Laya Hon Main Bhi Dil Pathar Ka...!



Ab Dekhon Ga,Kon Tore Ga Issey!
Bana Laya Hon Main Bhi Dil Pathar Ka...!

Kuch Shokh Nasar Paaron Ki Tashreeh Ke Wastey Roohon Ki Bheerr Mein Mujhe Talash-e-Jisam Hai (Razab Tabraiz)


Kuch Shokh Nasar Paaron Ki Tashreeh Ke Wastey
Roohon Ki Bheerr Mein Mujhe Talash-e-Jisam Hai
(Razab Tabraiz)

کچھ شوخ نثرپاروں کی تشریح کے واسطے

روحوں کی بھیڑ میں مجھے تلاش_جسم ہے
(رزب تبریز)


Tu k na waqif-e-Adab-e-gulami hai abhee RAQS zanjeer pahen kar bhee kia jata hai


Tu k na waqif-e-Adab-e-gulami hai abhee
RAQS zanjeer pahen kar bhee kia jata hai

Aaj qatil ki hae marzi , k sarkash larki
sar-e-maqatil tujhay koron se nachaya jae
maut ka raqs, zamanay ko dikhaya jae
is tarahan zulm ko nazarana dia jata hai
raqs zanjeer pahin kar bhee kia jata hai

daikh fariyad na kar ,sar na jhuka paoon utha
kal k Jo log karain gay to abhee se kar ja
nachtay nachtay aazadi ki khatir mar ja
manzil-e-ishq main mar mar k jiya jata hai
raqs zanjeer pahin kar bhee kia jata hai

A VERY FAMOUS POEM OF,HABIB JALIB


Suun da nai suunan di kar da Aa ja'we tau jaan di karda Rehn'de aunzameen te bhan'wen Gal satwen aas'man di karda


Suun da nai suunan di kar da
Aa ja'we tau jaan di karda
Rehn'de aunzameen te bhan'wen
Gal satwen aas'man di karda
Men bhi oh'nun labh ke reh'na
Jehra chhupan chhupaan di karda
Oh'da nanwan lakh lakh dhawan
Jo rooh wichh samaan di karda
Men jiss da dil rakh'di phir'di
Auh me'ra dil dhan di karda
Ai koee Izra'eel te nai na
Gal kyun dran draan di karda
B'ya gal Rahman di kar'di
Au mar' a shaitan di karda


Mere khuwaabon ke gulshan main ,khizaayen raqs karti hain Meray honton ki larzish main ,wafayen raqs karti hain


Mere khuwaabon ke gulshan main ,khizaayen raqs karti hain

Meray honton ki larzish main ,wafayen raqs karti hain

Mujhe wo laakh tarpaaye, magar us shakhs ki khaatir

Mere dil ke andheron main ,duaain raqs karti hain

Usay kehna kay laut aye ,sulagti shaam se pehlay

Kisi ki khushk aankhon main, sadaain raqs karti hain

Khuda janay teri yadon main, aisi kia kashish hai dost

Main tera zikr cheroon to ,,,'hawaain raqs karti hain'


Wo Ru-Baru Hoe Magar Jabeen Ko Dhanpey Hoe,Jaise Neela Asmaan Zameen Ko Dhanpey Hoe (Razab Tabraiz)


وہ روبرو ہوئے مگر
جبین کو ڈھانپے ہوئے
جیسے نیلا آسماں
زمین کو ڈھانپے ہوئے

گفتگو کی ڈھیل سے
تاثیر ڈوب جائے گی
چھوٹی بات کیجیے
یقین کو ڈھانپے ہوئے

آئینہء عشق میں !
سچا عکس دیکھ کے
حسن سرنگوں ہوا
حسین کو ڈھانپے ہوئے

قرب تھا یہ آپ کا
یا تها اعجاز_آفریں
چاشنی لہو میں تھی
نمکین کو ڈھانپے ہوئے

دل کے مقبرے میں چور
اپنا ماتھا پھوڑتی
دعا صدا بدل گئی
آمین کو ڈھانپے ہوئے

بازار_عقل جب لگا تها
میلہء ہم زادگاں
ذہین بھی پہنچ گیا
فطین کو ڈھانپے ہوئے

چاند اسی بات پہ
رات پر برس پڑا
خورشید کیوں اترا رہا
نسرین کو ڈھانپے ہوئے

واں حادثہ نیا کوئی
تھا نصیب _دشمناں
منتظر میرے لیے
کمین کو ڈھانپے ہوئے

اک سپیرا کیا کہوں
آنکھ میں موجود تھا
سانپ سے چالاک تھا
بین کو ڈھانپے ہوئے

جانتے ہو تم رزب وہ
جو خود میں ایک تھا
محفلوں سے اٹھ گیا
توہین کو ڈھانپے ہوئے
(رزب تبریز)

 

Badey Hi Maan Se Beti Agar Kuch Mangney Aaye Kisi Bhi Baap Ki Us Pal Na Shaala Jaib Khali Ho


Badey Hi Maan Se Beti Agar Kuch Mangney Aaye

Kisi Bhi Baap Ki Us Pal Na Shaala Jaib Khali Ho


بڑے ہی مان سے بیٹی اگر کچھ مانگنے آئے

 کسی بھی باپ کی اس پل نہ شالا جیب خالی ہو


Chaand Niklaa Tha Magar Raat Na Thi Pahli Si Ye Mulaaqaat, Mulaaqaat Na Thi Pahli Si


Chaand Niklaa Tha Magar Raat Na Thi Pahli Si
Ye Mulaaqaat, Mulaaqaat Na Thi Pahli Si

Ranj Kuchh Kam To Huaa Aaj Tere Milne Se
Ye Alag Baat Ke Vo Baat Na Thi Pahli Si

Nasir Kazmi

Gali ke mod pe soona sa koi darwaza Tarasati aankhon se rasta kisi ka dekhega

Gali ke mod pe soona sa koi darwaza

Gali ke mod pe soona sa koi darwaza

Tarasati aankhon se rasta kisi ka dekhega

Nigaah door talak ja ke laut aayegi

Nigaah door talak ja ke laut aayegi

Karoge yaad to har baat yaad aayegi

Guzarte waqt ki har mauj thehar jaayegi

Karoge yaad to

Da Ghatey Ghatey Ranrre Okhkey Da Sabaq Warkavi, Che Mi Afghan Razi Razi Zu Ba Sartora Yama, Mung Ke Che Twaan Razi Razi Zu Ba Sartora Yama

Zu Ba Sartora Yama

Mung Ke Che Twaan Razi Razi Zu Ba Sartora Yama,

Mung Ke Che Twaan Razi Razi Zu Ba Sartora Yama,

Zama Bakhmal Gaidai Gaidai Zulfe Fairang Owestey,

Che Ajab Khan Razi Razi Zu Ba Sartora Yama,

Mung Ke Che Twaan Razi Razi Zu Ba Sartora Yama,

Da Kandahaar Da Paighley Chigha Tar Khaibera Raghla,

Zamung Che Zwaan Razi Razi Zu Ba Sartora Yama,

Mung Ke Che Twaan Razi Razi Zu Ba Sartora Yama,

Na Mi Shaal Lond Sho Na Mi Sta Sharrai Lamda Oleeda,

Bya Che Baraan  Razi Razi Zu Ba Sartora Yama,

Mung Ke Che Twaan Razi Razi Zu Ba Sartora Yama,

Da Ghatey Ghatey Ranrre Okhkey Da Sabaq Warkavi,

Che Mi Afghan Razi Razi Zu Ba Sartora Yama,

 Mung Ke Che Twaan Razi Razi Zu Ba Sartora Yama..........!

 

Haan Main ghareeb ka beta hon Zindagi ko sitam main kehta hon


Haan

Main ghareeb ka beta hon

Zindagi ko sitam main kehta hon

Majbooriyon me bhi khush rehta hon

Chand boondon se pait bhar leta hon 

Kyun ke Main ghareeb ka beta hon

Thand mein thithar leta hon

Barsaat mein bheeg leta hon

Garmi paaon jalaati hai

Toh Pathron pe main so leta hon

Kyun ke Main ghareeb ka beta hon

Kabhi sabzi, to kabhi kuch na milay, Namak

roti pe main jee leta hon

Zakham chahay jaisa bhi ho

Thori haldi main laga leta hon

Kyun ke

Main ghareeb ka beta hon

Ek kameez, ek patloon

Roz bina sabun

main dhota hon

Bari dukaano ki ronak dekh

Aksar khush main ho leta hon

Kyun ke Main ghareeb ka beta hon

Gham bhi bohot hai

Dard bhi hai

Dil mein sab dabaa leta hon

Kabhi akelay, to kabhi sab k samnay

Aankhon se angootha bhigo leta hon

Kyun ke Main ghareeb ka beta hon


Tum Likhte Rahe Mere Aansuon Pe Gazalen Afsoos Yea bhi Naa Poocha Ke Rote kyon hooo


Tum Likhte Rahe.....
Mere Aansuon Pe Gazalen......
Afsoos.....
Yea bhi Naa Poocha.....
Ke Rote kyon hooo.......??


Kitna Sitam-Zareef Hai Voh Sahib-E-Jamaal Uss Ne Diya Jalaa Ke Lab-E-Baam Rakh Diya


Kitna Sitam-Zareef Hai Voh Sahib-E-Jamaal

Uss Ne Diya Jalaa Ke Lab-E-Baam Rakh Diya

Ab Jis Ke Jee Mein Aaye Vo Hi Paaye Roshni

Hum Ne Toh Dil Jalaa Ke Sar-E-Aam Rakh Diya

 

کتنا ستم ظریف ہے وہ صاحبِ جمال 

اس نے دیا جلا کے لبِ بام رکھ دیا

  اب جس کے جی میں آےء وہی پاےء روشنی

ہم نے تو دل جلا کے سرِعام رکھ دیا


Phoolon Ne Kabhi Rangon Ne Paigham Diye Hain,Main Ne Teri Yadon Ko Kai Naam Diye Hain




Jo sunayi anjuman me shab e gham ki aapbeeti Kai ro ke muskuraye,,kai muskura ke roye


Jo sunayi anjuman me shab e gham ki aapbeeti  

Kai ro ke muskuraye,,kai muskura ke roye


Khoobsorati Ki Had Hai Na Hisaab Hai,Tu Gulaab Tu Gulaab,Tu Gulaab Hai


خوبصورتی کی حد ہے نہ حساب ہے
تُو گلاب ، تُو گلاب ، تُو گلاب ہے

چار سو کروڑ تتلیوں میں تُو مرا،
اِنتخاب ، اِنتخاب ، اِنتخاب ہے

چودہویں کا چاند ، نصفِ دِن کا آفتاب،
چندے آفتاب ، چندے ماہتاب ہے

خوشبو ، خوش بدن کی جگنو مست کر گئی
کہہ رہے ہیں یہ گلاب ، لاجواب ہے

ایک پل کو دیکھ لے ہمیں بھی پیار سے
یہ ثواب دَر ثواب دَر ثواب ہے

خواب میں بھی اُن کے آگے ایک نہ چلی
بولے جاگ جاؤ یہ ہمارا خواب ہے

دُھوپ میں جو مینہ برس پڑے تو جانئے
اَبر زُلفِ یار دیکھ آب آب ہے

عشق نے جہاں پہ لکھ دِیا تمام شد
حُسن کی کتاب کا وُہ پہلا باب ہے

حُسن کی نگاہ میں حیا کے سرخ پھول
آج کل کے دور میں یہ اِنقلاب ہے

قیس اُن نگاہوں میں چمک سی پیار کی
اِک نئی کتاب کا یہ اِنتساب ہے


Bhuulna humaara mubarak mubarak Magar shart ye hai na yaad aaiyega Jigar Muradabadi


And none will hear the postman’s knock

Without a quickening of the heart.

For who can bear to feel himself forgotten?

W.H. Auden


+.+.+.+.+.+.+.+.+.+.+.+.+.+.+.+.+.+.+.+.+.+.+.+

 
Bhuulna humaara mubarak mubarak

Magar shart ye hai na yaad aaiyega

Jigar Muradabadi


Dukh drd si meray muqadrran wich Mann shikwa kr k ki krda


Dukh drd si meray muqadrran wich

Mann shikwa kr k ki krda

Jadon menun jeena naeen aaya

Man mot v mng k ki karda

Jd antt judayaan penyaan si

Tera sath v mng k ki krda

Tu pyar di kishti dob chadi

Mann kalaa, tar k ki krda

Jd tu ee athroo poonjay naeen

Mann akhyan bhar k ki krda

Aethay lakhaan raanjhay phirday nen

Mann mirza bn k ki krda

O jaandi waari paltya naeen

Mann hath hila k ki krda


Merey Rashk-E-Qamar Tu Ne Pehli Nazar Jab Nazar Se Milaayi Mazaah Aa Gaya Barq Si Gir Gayi, Kaam Hi Kar Gayi, Aag Aisi Lagaayi Mazaah Aa Gaya


Merey Rashk-E-Qamar Tu Ne Pehli Nazar Jab Nazar Se Milaayi Mazaah Aa Gaya
Barq Si Gir Gayi, Kaam Hi Kar Gayi, Aag Aisi Lagaayi Mazaah Aa Gaya

میرے رشکِ قمر، تو نے پہلی نظر، جب نظر سے ملائی مزا آ گیا
برق سی گر گئی، کام ہی کر گئی، آگ ایسی لگائی
مزا آ گیا

Kahein Bad-Dua Na Dey Andar Ki Saadgi Aashiq Ki Gour Ko Pukhta Na Kijio (Razab Tabraiz)


Kahein Bad-Dua Na Dey Andar Ki Saadgi
Aashiq Ki Gour Ko Pukhta Na Kijio
(Razab Tabraiz)

کہیں بدعا نہ دے اندر کی سادگی
عاشق کی گور کو پختہ نہ کیجیو
(رزب تبریز)

Samandar Ke Safar Mein Iss Tarah Aawaaz De Mujh Ko Hawaayein Tez Hon Aur Kashtiyon Mein Shaam Ho Jaaye


Samandar Ke Safar Mein Iss Tarah Aawaaz De Mujh Ko
Hawaayein Tez Hon Aur Kashtiyon Mein Shaam Ho Jaaye

سمندر کے سفر میں اس طرح آواز دے مجھ کو
ہوائیں تیز ہوں اور کشتیوں میں شام ہو جائے

Zindagi Yun Thi Keh Jeene Ka Bahaana Tu Tha Hum Faqat Zaib-E-Hikayat Thay Fasaana Tu Tha


Zindagi Yun Thi Keh Jeene Ka Bahaana Tu Tha
Hum Faqat Zaib-E-Hikayat Thay Fasaana Tu Tha

Ab Ke Kuchh Dil Hi Na Maana Keh Palat Kar Aatey
Verna Hum Dar-Badaron Ka Toh Thikaana Tu Tha

 

زندگی یوں تھی کہ جینے کا بہانہ تُو تھا
ھم فقط زیب حکائیت تھے ، فسانہ تُو تھا

اب کے کچھ دل ھی نہ مانا ، کہ پلٹ کر آتے
ورنہ ھم در بدروں کا تو ٹھکانا تُو تھا


Halat-E-Haal Mein Kya Ro Ke Sunaau'n Tujh Ko? Tu Nazar Aaye Toh Palko'n Pe Bithaau'n Tujh Ko


Halat-E-Haal Mein Kya Ro Ke Sunaau'n Tujh Ko?
Tu Nazar Aaye Toh Palko'n Pe Bithaau'n Tujh Ko

Khud Ko Iss Hosh Mein Madhosh Banaa Ne Ke Liye
Ayat-E-Husn Parrhu'n Dehkta Jaau'n Tujh Ko

Ab Mera Ishq Dhamaalon Se Kahin Aagey Hai
Ab Zaroori Hai Keh Mein Wajd Mein Laau'n Tujh Ko

 

حالتِ حال میں کیا رو کے سناؤں تجھ کو
تو نظر آئے تو پلکوں پہ بٹھاؤں تجھ کو

خود کو اس ہوش میں مدہوش بنانے کے لئے
آیتِ حسن پڑھوں دیکھتا جاؤں تجھ کو

اب میرا عشق دھمالوں سے کہیں آگے ھے
اب ضروری ھے کہ میں وجد میں لاؤں تجھ کو


Khuwaab Le Lo Khuwaab Saab Khuwaab Le Lo Khuwaab Buhat Haseen Aur Dilkash Hain Mere Khuwaab

Poet:Ayaz Khan

Khuwaab Le Lo Khuwaab

Saab Khuwaab Le Lo Khuwaab

Buhat Haseen Aur Dilkash Hain Mere Khuwaab

In Khuwaabon Ki Koi Qeemat To Nahi

Par Muflisi Ne Is Qadar Bad-Haal Kar Diya Hai

Keh Khuwaabon Ke Siwa Mere Paas Baichney Ke Liye Kuch Nahi

Main Ne Ye Khuwaab Bachpan Se Jawani Tak

Jawani Se Zindagi Ki Aakhri Saanson Tak Dekhein Hain

Mere Ye Anmol Khuwaab Jo Meri Zindagi Ka Hasil Hain

Buhat Majboor o Laachaar Ho Kar Ye Khuwaab Baichney Aaya Hon

Koi Hai Jo Mujh Se Ye Mere Ye Haseen Aur Anmol Khuwaab Kharidey

 Khuwaab Le Lo Khuwaab

Saab Khuwaab Le Lo Khuwaab

Buhat Haseen Aur Dilkash Hain Mere Khuwaab

 

شاعرایازخان

خواب لےلوخواب

صاحب خواب لےلوخواب

بہت حسین اور دلکش ھیں میرے خواب

اِن خوابوں کی کوئی قیمت تو نہیں

پر مُفلسی نے اِس قدربدحال کردیا ھے

کے خوابوں کے سوا میرے پاس بیچنے کے لیے کچھ نہیں

میں نے یہ خواب بچپن سے جوانی تک

جوانی سے زندگی کی آخری سانسوں تک دیکھیں ھیں

میرے یہ انمول خواب جو میری زندگی کا حاصل ھیں

بہت مجبور لاچار ھو کر یہ خواب بیچنے آیا ھوں

کوئی ھے جو مجھ سے میرے یہ حسین اور انمول خواب خریدے

خواب لےلو خواب

صاحب خواب لے لو خواب

بہت حسین اور دلکش ھیں میرے خواب

Tum Ne To Bicharrne Mein Zara Dair Nahi Ki Kuch Dair To Uthta Hai Chiraghon Se Dhuwaan Bhi


Tum Ne To Bicharrne Mein Zara Dair Nahi Ki

Kuch Dair To Uthta Hai Chiraghon Se Dhuwaan Bhi




Chemotherapy Tarey kemyaee ilaj ne Mujhey zindagi mein mita dea


Chemotherapy
Tarey kemyaee ilaj ne
Mujhey zindagi mein mita dea
Merey shokh zinda wajood ko
Merey hasraton mein daba dea
Merey sarey zinda mubahisey
Merey Arzoo merey walwaley
Merey guftagoo merey justajoo
Merey zindagi merey kehkahey
Sabhi daldalon mein utar gae
Sabhi shokh rang bhar gae
Na mohabatoon mein saqat rahey
Na rafaqaton mein bharam reha
Na he dosti mein janoon reha
Na dukhey zamaney ka gham reha
Merey tootey phootey wajood mein
Koi na tawani se bas gae
Faqat iss shikasta wajood mein
Kahein cheekh hae kahein haey hae
Mera asno asno tarap tarap
Na suney koi na sunaey hae
Mein shakeeb e tan ye raqeeb jaan
Ye ilaaj qeemya ilaaj hae
Merey charagar ko khabar kero
Ye ilaj hae keh kheraaj hae
Merey keemyae wajood mein
Mera apna aap bikhar gea
Jisey mein bachaney ko lae thee
Wo mera wajood khidher gea
  Poetess:
BIQUIS MAHMOOD 
From her book mujhey bolney do

Raushan Chehra Bheegi Zulfein Kis Ko Dun Kis Par Tarjeeh ????? Ek Qaseeda Dhuup Pe Likhun Ya Ek Ghazal Barsaat Ke Naam

Raushan Chehra Bheegi Zulfein Kis Ko Dun Kis Par Tarjeeh ?????

Ek Qaseeda Dhuup Pe Likhun Ya Ek Ghazal Barsaat Ke Naam ?????


Waldah Marhooma Ki Yaad Main Kis Ko Ab Hoga Wattan Main Aah! Mera Intizaar, Kon Mera Khatt Na Aane Se Rahegaa Beqaraar,


Waldah Marhooma Ki
Yaad Main
Poet:Allama Muhammad
IQBAL
Type By
*._.Murtaza._*
Kis Ko Ab Hoga Wattan
Main Aah! Mera Intizaar,
Kon Mera Khatt Na
Aane Se Rahegaa
Beqaraar,
Khak-E-Marqad Par
Teri Le Kar Yeh
Fariyaad Aa'oonga,
Ab Dua'a-E-Neem
Shab Main Kis Ko Main
Yaad Aa'oonga,
Tarbeeyat Se Teri
Main Anjam Ka Hum
Qissmat Huaa,
Ghar Mere Ajdaad Ka
Sarmaa-E-Izzat Huaa,
Daftar-E-Hassti Main
Thi Zareen Waraq
Teri Hayaat,
Thi Saraapa Deen-O-
Dunia Ka Sabaq Teri
Hayaat,
Umar Bhar Teri
Mohabbat Meri
Khidmat Gar Rahee,
Main Teri Khidmat Ke
Qabil Jab Huaa, Tu
Chal Bassi,
Woh Jawan, Qaamat
Main Hai Jo Soorat-E-
Sar-O-Buland,
Teri Khidmat Se Huaa
Jo Mujh Se Barrh Kar
Behar Mand,
Karobaar-E-Zindagani
Main Woh Hum Pehlu
Mera,
Woh Mohabbat Main
Teri Tassveer, Woh
Bazoo Mera,
Tujh Ko Masl-E-Taflak
Be Dast-O-Paa Rotaa
Hai Woh,
Sabar Se Na Aashnaa
Shubha-O-Massa Rota
Hai Woh...........!
Book Name
Bang-E-Dara

Page 77-78
Se Intikhab

Aey Khuda Faqakashon Par Mehrubani Kijiye,Rizaq Ki Taqseem Par Kuch Nazarsaani Kijiye




Yeh samandar hai kinaare hi kinaare jaao Ishq har shakhs ke bas ka nahin pyaare jaao


Yeh samandar hai kinaare hi kinaare jaao

Ishq har shakhs ke bas ka nahin pyaare jaao

Dil ki baazi lagey phir jaan ki baazi lag jaaye

Ishq mein haar ke baitho nahin, haare jaao

Doobna ho ga agar doobna taqdeer mein hai

Chaahey kashti pe raho chaahey kinaare jaao

Tum hi socho bhala yeh shouq koyi shouq hua

Aaj oonchaayi pe baitho, kal utaarey jaao

Koyi rasta koyi manzil usey dushvaar nahin

Jis jagaah jaao mohabbat ke sahaare jaao


Urdu Hai Mera Naam Main Khisro Ki Pahaili,Main Meer Ki Humraz Hon Ghalib Ki Suhaili


اردو ہے میرا نام میں خسرو کی پہیلی
میں میر کی ہم راز ہوں غالب کی سہیلی

دکن کے ولی نے مجھے گودی میں کھلایا
سودا کے قصیدوں نے میرا حسن بڑھایا
ہے میر کی عظمت کہ مجھے چلنا سکھایا
میں داغ کے آنگن میں کِھلی بن کے چنبیلی

اردو ہے میرا نام میں خسرو کی پہیلی

میں میر کی ہم راز ہوں غالب کی سہیلی
غالب نے بلندی کا سفر مجھ کو سکھایا
حالی نے مروت کا سبق یاد دلایا
اقبال نے آئینہ حق مجھ کو دکھایا
مومن نے سجائی میرے خوابوں کی حویلی

اردو ہے میرا نام میں خسرو کی پہیلی

میں میر کی ہم راز ہوں غالب کی سہیلی
ہے ذوق کی عظمت کہ دیے مجھ کو سہارے
چکبست کی الفت نے میرے خواب سنوارے
فانی نے سجائے میری پلکوں پہ ستارے
اکبر نے رچائی میری بے رنگ ہتھیلی

اردو ہے میرا نام میں خسرو کی پہیلی
میں میر کی ہم راز ہوں غالب کی سہیلی

(شاعر: اقبال اشعر)


Naam Sunta Hoon Tera Jab Bharray Sansaar K Beech Lafz Ruk Jaatay Hain Aa Kar Meri Guftaar K Beech


Naam Sunta Hoon Tera Jab Bharray Sansaar K Beech

Lafz Ruk Jaatay Hain Aa Kar Meri Guftaar K Beech

Dil Ki Baaton Main Na Aa Yaar K Is Basti Main

Rooz Dil Waalay Chunnay Jaatay Hain Diwaar K Beech

Aik He Chehra Kitaabi Nazar Aata Hai Humen

Kabhi Aashaar K Bahir Kabhi Aashaar K Beech

Aik Dil Toota Magar Kitni Naqaaben Paltin

Jeet K Pehlo Nikal Aaye Keye Haar K Beech

Koi Mehfil Ho Nazar Is Ki Hamen Par Thehri

Kabhi Apno Main Sataya Kabhi Agiyaar K Beech

Aisay Zahid Ki Qayadat Mian Touba Touba

Kabhi Emaan Ki Baaten, Kabhi Kuffar K Beech

Kabhi Tehzeeb-O-Tamadun Ka Yeh Markaz Tha Mian

Tum Ko Basti Jo Nazar Aati Hai Asaar K Beech

Jis Tarhan Taat Ka Pewand Ho Makhmal Main Mohsin

Magrabi Chaal Chalan Mashraqi Iqdaar K Beech


Puchhte Hein Keh Kya Hua Dil Ko Husn Waalon Ki Saadgi Na Gayi


Puchhte Hein Keh Kya Hua Dil Ko
Husn Waalon Ki Saadgi Na Gayi
Aur Sab Ki Hikayatein Keh Dein
Baat Apni Kabhi Kahi Na Gayi

پُوچھتے ھیں کہ کیا ھؤا دل کو
حُسن والوں کی سادگی نہ گئی
اور سب کی حکائتیں کہ دیں
بات اپنی کبھی کہی نہ گئی

Ik Aas Hai Aisi Basti Ho Jahan Roti Zehar Se Sasti Ho



Ik Aas Hai Aisi Basti Ho

Jahan Roti Zehar Se Sasti Ho


Lafz-e-tassali to Ek takkaluf hai sahab Warna Jiska dard usi ka dard, Baaki sabke liye vo tamasha hai


Lafz-e-tassali to

Ek takkaluf hai sahab

Warna

Jiska dard usi ka dard,

Baaki sabke liye vo tamasha hai


Mera Ishq Maah-e-Syam Teri Yadein Aazaan-e-Maghrib

Mera Ishq Maah-e-Syam

Teri Yadein Aazaan-e-Maghrib


میرا عشق ماەِ صیام سا

 تیری یادیں آذانِ مغرب


Had-E-Shahar Se Nikali To Gaon-Gaon Chali Kuchh Yaadein Mere Sang Paaon Paaon Chali


Had-E-Shahar Se Nikali To Gaon-Gaon Chali

Kuchh Yaadein Mere Sang Paaon Paaon Chali

Safar Jo Dhoop Ka Kiya To Tajurba Hua

Woh Zindgi Hi Kya Jo Chhaon-Chhaon Chali


Koi Kaam Junoon Tak Puhoncha To Is Dil Ne Kaha Subhanallah


کوئی کام جنوں تک پہنچا تو
اس دل نے کہا سبحان اللہ
کوئی ہاتھ فسوں تک پہنچا تو
بسمل نے کہا سبحان اللہ
جب محفل سب برخاست ہوئی
جب رات نے دامن جهاڑ دیا
وہ بولے زہے نصیب اپنا
تم آج یہاں سبحان اللہ
اک بار چمن میں آئے تو
غنچوں نے قصیدے یاد کیے
کلیوں کی صدائیں پنکھ ہوئیں
پهولوں نے کہا سبحان اللہ
نہ عشق پہ کیسے ناز کریں
نہیں اس سے بہتر کهیل کوئی
ہر بار نیا اک بهید کهلا
ہر بار کہا سبحان اللہ
جب پری نے آدم زاد کوئی
تربیت کر کے چهوڑ دیا
اک جادو نگری دهوم مچی
دنیا نے کہا سبحان اللہ
جو شعر کہا آویز کہا
جو غزل کہی نشاط کہی
جو فہم کے درجے پهاند گیا
پهر اس نے کہا سبحان اللہ
دو تارے جب دل والوں کے
کہیں مل بیٹهے جب شام ڈهلے
کاتب نے کہا اجی کیا کہنے
قسمت نے کہا سبحان اللہ
میں دل کے حکم_صادر پر
سنگ لے کے رزب کو چل نکلا
سو بار تائید_دهڑکن کی
سو بار کہا سبحان اللہ 
 (رزب تبریز)

Yeh arzoo hai k jab bhi galy lagaon ussy Hisaar e zaat sy bahar nikal laon ussy


Yeh arzoo hai k jab bhi galy lagaon ussy

Hisaar e zaat sy bahar nikal laon ussy

Wo jal raha tha Kari dhoop ki tamazat mein

Mila jo ab tu orahon ga apni chaown ussy

Yeh ishq bhi hai ajab imtyhaan e ehd wafa

Wo azmaey mujhy aur mein azmaon ussy

Wo shehr shehr chiraghan sahi magar ik din

Hawaein yaad dilaeingi apna gaon ussy

Wo apny khaab mein shayad mujhi ko daikhta hai

Mein tishna lab sahi sooty mein kia jagaon ussy


Tum meri aankh ke baare mein bahut poochhte ho ye woh khidki hai jo dariya ki taraf khulti hai


Tum meri aankh ke baare mein bahut poochhte ho

ye woh khidki hai jo dariya ki taraf khulti hai


Jalwa e husn e yaar sy nazar jab milli Sher kehny lagy Geet honton sy mery pisaalny lagy


Jalwa e husn e yaar sy nazar jab milli

Sher kehny lagy

Geet honton sy mery pisaalny lagy

Unko daikha kiye jab bhi khilwat mein hum

Dill o zehn mein tazkiry un k shab bhar ko chalny lagy

Aur yaadon sy armaan machalny lagy

Shehr kehny lagy

Geet honton sy mery pisaalny lagy

Jalwa e yaar

hii ghazab

Hum behakny lagy

Un ki yaadon mein kho kar

Dill ki khamosh aahon ki sabhi tishnagi mein

Armaan sabhi phir behakty lagy

Aur honton sy naghmy pisaalny lagy

Dill dharkan laga

Saans chalny lagi

Aur yaadon ki baraat chalny

Raat dhalti rahi hum tarapty rahy


Har Waqt Lahoo Mein Nachta Hai Waswasa Koi Is Aabi Janwar Ki Atkheilian Na Poch (Razab Tabraiz)


Har Waqt Lahoo Mein Nachta Hai Waswasa Koi
Is Aabi Janwar Ki Atkheilian Na Poch
(Razab Tabraiz)

ہر وقت لہو میں ناچتا ہے _ وسوسہ کوئی

اس آبی جانور کی _ اٹکهیلیاں نہ پوچھ

(رزب تبریز)


Laga Ker aag shaher ko yeh badshah nay kaha Utha hai dil main tamashay ka aaj shouq bohat


Laga Ker aag shaher ko yeh badshah nay kaha

Utha hai dil main tamashay ka aaj shouq bohat 

Jhuka Kay sar ko bhi sab he shah parts Bol uthay 

Huzoor ka shooq salamat rahay , shaher Aor bohat


"Mohsin "ye rang roop ye ronaq baja magar Main zinda kia rahon , mera gii to bhrr gaya


"Mohsin "ye rang roop ye ronaq baja magar
Main zinda kia rahon , mera gii to bhrr gaya
Poet:Mohsin Naqvi

Aankhein Zullfein, Jhumkay Chahraa, Kangan Bindiyaa " Hayee Dill Haaar, Gaye Hum Tujhy, Be-Niqaab Dekh, Kar


Aankhein Zullfein,
Jhumkay Chahraa,
Kangan Bindiyaa
"
Hayee Dill Haaar,
Gaye Hum Tujhy,
Be-Niqaab Dekh,
Kar


Naazuk Mizaaaj Hai VO Pari Kuchh ISs Tarah " Payal JO Pahni PaaOn Mein TO Chham Chham Say Dar Gai


Naazuk Mizaaaj
Hai VO Pari Kuchh
ISs Tarah
"
Payal JO Pahni
PaaOn Mein TO
Chham Chham
Say Dar Gai


Dharrkte Dharrkte Ruk Jata Hai Bechara Dil Teri Judaai Ka Ye Mara Dil



شاعرہ عروسہ ایمان
دھڑکتے دھڑکتے رک جاتا ہے بیچارا دل.
.تیری جدائی کا یے مارا دل.
.رات کی تنہائی میں روتے روتے.
.تھک جاتا ہے ہمارا دل.
.جانے کب بھول جاۓ دھڑکنا.
.تیری یادوں کا مارا دل.
.جیت سکتا نہیں دنیا سے یے.
.اپنے آپ سے ہے ہارا دل.
.ایسا تو سوچا بھی نہ تھا میں نے.
.یوں چرا کر لے جاؤ گے سارا کا سارا دل
.
Poetess Uroosa Emaan‬
Dharrkte Dharrkte Ruk Jata Hai Bechara Dil
Teri Judaai Ka Ye Mara Dil
Raat Ki Tanhaai Mein Rote Rote
Thak Jata Hai Hamara Dil
Jane Kab Bhool Jaye Dharrkna
Teri Yaadoon Ka Mara Dil
Jeet Sakta Nahein Dunya Se Ye
Apne Aap Se Hai Hara Dil
Aisa To Socha Bhi Na Tha Main Ne
Youn Chura Kar Le Jao Ge Sara Ka Sara Dil..............................*

Jhoote Qissey Piro Bhi Saktey Hain,Apni Dharkan Pe Ro Bhi Saktey Hain


جھوٹے قصّے پرو بھی سکتے ہیں
اپنی دھڑکن پہ رو بھی سکتے ہیں
ہمیں پا کر نہ زعم کر پیارے
ہم دوبارہ کھو بھی سکتے ہیں
ہر یقیں خود میں اک گنجائش ہے
وہم چاہو تو ہو بھی سکتے ہیں
ہم کو ! "سُورج ہُنر" بهی آتا ہے
بانٹ اپنی لو بھی سکتے ہیں
دل کے دھبے عمل کی ٹکیہ سے
ایک فرصت میں دھو بھی سکتے ہیں
رات بھر ! یوں ہی جاگتے جزبے
تھپتھپانے پہ سو بھی سکتے ہیں
اپنے خواب لے کے تیری آنکھوں میں
تھوڑی اجرت پہ بو بھی سکتے ہیں
لاکھ معنی ہم ایک مصرعے میں
تو جو کہہ دے سمو بھی سکتے ہیں
اک تو لازم ہے ! بات کا مطلب
اور وہ ہو دو بھی سکتے ہیں
بن بھی جاتے ہیں ہاتھ کا چھالا
بوجھ پلکوں ڈھو بھی سکتے ہیں
یہ جو آثار ہیں چند قیامت کے
تیری آہٹ کے ہو بھی سکتے ہیں
شول ہم پہ بھی نکل آئے ہیں
بچ کے رہنا چبھو بھی سکتے ہیں
چھوٹی کشتی کے ناخدا ہیں رزب
تیرا بیڑہ ! ڈبو بھی سکتے ہیں
(رزب تبریز)

Chup Na Rehte Bayaan Ho Jaate Tujh Se Gar Bud-Gumaan Ho Jaate


Chup Na Rehte Bayaan Ho Jaate
Tujh Se Gar Bud-Gumaan Ho Jaate

Zabt-E-Gham Ne Bacha Liya Varna
Hum Koyi Daastaan Ho Jaate

Tu Ne Dekha Nahin Palat Ke Hamein
Varna Hum Meharbaan Ho Jaate

There Dil Ki Zameen Hi Na Mili
Varna Hum Aasmaan Ho Jaate

 

ﭼُﭗ ﻧﮧ ﺭﮨﺘﮯ ﺑﯿﺎﻥ ﮨﻮﺟﺎﺗﮯ
ﺗﺠﮫ ﺳﮯ ﮔﺮ ﺑﺪﮔُﻤﺎﻥ ﮨﻮﺟﺎﺗﮯ
ﺿﺒﻆِ ﻏﻢ ﻧﮯ ﺑﭽﺎ ﻟﯿﺎ ﻭﺭﻧﮧ
ﮨﻢ ﮐﻮﺋﯽ ﺩﺍﺳﺘﺎﻥ ﮨﻮﺟﺎﺗﮯ
ﺗُﻮ ﻧﮯ ﺩﯾﮑﮭﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﭘﻠﭧ ﮐﮯ ﮨﻤﯿﮟ
ﻭﺭﻧﮧ ﮨﻢ ﻣﮩﺮﺑﺎﻥ ﮨﻮ ﺟﺎﺗﮯ
ﺗﯿﺮﮮ ﺩﻝ ﮐﯽ ﺯﻣﯿﻦ ﮨﯽ ﻧﮧ ﻣِﻠﯽ
ﻭﺭﻧﮧ ﮨﻢ ﺁﺳﻤﺎﻥ ﮨﻮ ﺟﺎﺗﮯ


Kese Bhula Doon Tera Pyar O Mere Dil Ki Pukaar Aankhoon Mein Chehra Tera Sochoon Pe Pehra Tera


شاعر فرحت عباس شاہ
بک مت بول پیا کے لہجے میں
صفحہ 56 57
انتخاب
‫‏عروسہ ایمان
کیسے بھلا دوں تیرا پیار
او میرے دل کی پکار
آنکھوں میں چہرا تیرا
سوچوں پہ پہرا تیرا
سانسوں میں تیری مہکار
دل کے دریچے میں سدا
رہتی ہے ساون کی گھٹا
ہوتا ہے تیرا دیدار
پھولوں سا نکھرا بدن
جیسے ہو پہلی کرن
چاند بھی کرے اقرار
کیسے بھلا دوں تیرا پیار
او میرے دل کی پکار
.

Poet Farhat Abbas Shah

Kese Bhula Doon Tera Pyar

O Mere Dil Ki Pukaar

Aankhoon Mein Chehra Tera

Sochoon Pe Pehra Tera

Saansoon Mein Teri Mehkaar

Dil K Dareeche Mein Sada

Rehti Hai Saawan Ki Ghata

Hota Hai Tera Deedaar

Phooloon Sa Nikhra Badan

Jese Ho Pehli Kiran

Chaand Bhi Kare Iqraar

Kese Bhula Doon Tera Pyar

O Mere Dil Ki Pukaar..................................*


Tabeeb yuu'n koshish na kr , tujha kia khabar mere dard ki Tu ishq kr , phr chot khaa , phir likh dawa mere marz ki


Tabeeb yuu'n koshish na kr , tujha kia khabar mere dard ki

Tu ishq kr , phr chot khaa , phir likh dawa mere marz ki


طبیب یوں کوشش نہ کر،تجھے کیا خبر میرے مرض کی

تو عشق کر پھر چوٹ کھا،پھر لکھ دوا میرے مرض کی

 

Yahi Log Hain Azl Se Jo Faraib De Rahe Hain Kabhi Kheinch Kar Niqabein Kabhi Urrh Kar Lubada

 

Yahi Log Hain Azl Se Jo Faraib De Rahe Hain

Kabhi Kheinch Kar Niqabein Kabhi Urrh Kar Lubada


یہی لوگ ہیں ازل سے جو فریب دے رہے ہیں

کبھی کھینچ کر نقابیں ، کبھی اوڑھ کر لبادہ


Love is not to say, But to understand Love is not to show, But to feel inside


Love is not to say, But to understand
Love is not to show, But to feel inside
Love is not to find faults, But to make the best
Love is not to demand, But to sacrifice
Love is not to hurt, But to take care of
Love is not blind, But it doesn't need to see
(for friends)


Kuch waqt ki rawani ne, hamen yoon badal dya Mohsin Wafaa par ab bhi qaaim han,magar , MOHABAT, chor di hm ne


Kuch waqt ki rawani ne, hamen yoon badal dya Mohsin

Wafaa par ab bhi qaaim han,magar , MOHABAT, chor di hm ne


Aaj Kar Lete hain Waiz Khoob Tar Ka Faisla Tu Bula Ly Hur Ko Or Yaar Ko Late Hain Hum


Aaj Kar Lete hain Waiz Khoob Tar Ka Faisla

Tu Bula Ly Hur Ko Or Yaar Ko Late Hain Hum


Suno Yeh jo bhook hoti hay bohat safak hoti hay Kisi mazhab kisi firqe se iska wasta kaisa?


Suno 

Yeh jo bhook hoti hay bohat safak hoti hay 

Kisi mazhab kisi firqe se iska wasta kaisa? 

Tarapti aant mein jub bhook ka shola bharkta hay

To woh tehzeeb ke be rung kaghaz ko tamaden ki 

sabhi jhooti dalilon ko jela kar rakh karta hai


BEEMAR E 'MUHABBAT' KI MUKHTAR DUA HE YE SAR BHI NA DUKHAY US KA DIL JIS NE DUKHAYA HE


BEEMAR E 'MUHABBAT' KI MUKHTAR DUA HE YE

SAR BHI NA DUKHAY US KA DIL JIS NE DUKHAYA HE


AAJA KE ABTO AANKH MAIN AANSOO BHI AAGAYE, SAGHAR CHALAK UTHA MERE SABR-O-QARAR KA


AAJA KE ABTO AANKH MAIN AANSOO BHI AAGAYE,

SAGHAR CHALAK UTHA MERE SABR-O-QARAR KA


Aaey tu yun k jaisy hamesha thy meharban Bhooly tu yun k jaisy kabhi aashna na thy


Aaey tu yun k jaisy hamesha thy meharban

Bhooly tu yun k jaisy kabhi aashna na thy


Haath Se Haath Chhurrana Hi Zaruri Toh Nahin Saath Reh Kar Bhi Kayi Log Bichharr Jaate Hein

Haath Se Haath Chhurrana Hi Zaruri Toh Nahin 

Saath Reh Kar Bhi Kayi Log Bichharr Jaate Hein

 

ہاتھ سے ہاتھ چھڑانا ہی ضروری تو نہیں
ساتھ ره کر بھی کئی لوگ بچھڑ جاتے ہے


Dua kar game dil khuda se dua kar jo bijli chmakti hai unke mahalpe karle tasli mera ghar jlakar


Dua kar game dil khuda se dua kar jo bijli chmakti hai 

 unke mahalpe karle tasli mera ghar jlakar


Saqi sharab chhor aur nigah mila rindo se madhosh kar na behosh kar qatl kar aur lut le

Saqi sharab chhor aur nigah mila rindo se

madhosh kar na behosh kar qatl kar aur lut le


Zindagi tjh pe bht ghour kia me ne Tu rangeen khayaalo k siwa kuch bhi nhi


Zindagi tjh pe bht ghour kia me ne

Tu rangeen khayaalo k siwa kuch bhi nhi


Hamsafar Chaley Aao,Charagar Chaley Aao


ﮨﻤﺴﻔﺮ ___ ﭼﻠﮯ ﺁﺅ
ﭼﺎﺭﮦ ﮔﺮ ___ ﭼﻠﮯ ﺁﺅ
ﮈﮬﻮﻧﮉﺗﺎ ﮬﮯ ﺗﻢ ﮐﻮ ﺩﻝ
ﺩﺭ ﺑﺪﺭ ___ ﭼﻠﮯ ﺁﺅ
ﺷﺎﻡ ﺁﮔﺌﯽ ﭘﮭﺮ ﺳﮯ
ﺗﻢ ﺑﮭﯽ ﮔﮭﺮ __ ﭼﻠﮯ ﺁﺅ
ﺩﻝ ﺟﮩﺎﮞ ﭘﮧ ﻟﮕﺘﺎ ﮬﻮ
ﺍﺱ ﻧﮕﺮ __ ﭼﻠﮯ ﺁﺅ
ﭘﻞ ﺩﻭ ﭘﻞ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻤﺪﻡ
ﻋﻤﺮ ﺑﮭﺮ __ ﭼﻠﮯ ﺁﺅ
ﺧﻮﺩ ﮐﻮ ﺗﻮﮌ ﺑﯿﭩﮭﯽ ﮨﻮﮞ
ﮐﻮﺯﮦ ﮔﺮ ___ ﭼﻠﮯ ﺁﺅ
ﺍﻥ ﻭﻓﺎ ﮐﯽ ﺭﺍﮨﻮﮞ ﻣﯿﮟ
ﺑﮯﺧﻄﺮ ___ ﭼﻠﮯ ﺁﺅ

Kaabe Se Butkade Se Kabhi Bazm-E-Jaam Se Avaaz De Raha Hun Tujhe Har Muqaam Se


Kaabe Se Butkade Se Kabhi Bazm-E-Jaam Se

Avaaz De Raha Hun Tujhe Har Muqaam Se

Na-Aashna Hein Aaj Voh Hi Merey Naam Se

Dunya Pukaarti Thi Jinhein Merey Naam Se

Uff Yeh Shab-E-Firaaq Ke Maaron Ki Bekhudi

Khud Hi Bujha Diya Hai Charaaghon Ko Shaam Se


Murshid se kaha dard e MUHABBAT ki dawa do!! Hazrat ne muskura ke kaha"aur muhabbat"

Murshid se kaha dard e MUHABBAT ki dawa do!!

Hazrat ne muskura ke kaha"aur muhabbat"

 

Bikharti rait par, kis naqsh ko, abad rakhay gaa? Wo mujhko yaad rakhay bhi, to kitna yaad rakhay gaa?


Bikharti rait par, kis naqsh ko, abad rakhay gaa?

Wo mujhko yaad rakhay bhi, to kitna yaad rakhay gaa?

Usay bunyaad rakhni ha abhi dil main, MOHABAT, ki

Magar ye sng seenay par, wo meray baad rakhay ga

Palat kr bhi naheen dekhi, uski berukhi hm ne

Bhulaa den gay usay aisa, k wo bhi yaad rakhay gaa


BA HAL-E-HIJRAN BECHARA DIL HAI.SUNAI DETI HAI JISKI DHADKAN TUMHARA DIL YA HAMARA DIL HAI


WOH AAKE PEHLOO MAIN AIESE BETHE 
KE SHAAM RANGEEN HOGAYI HAI,
ZARA ZARA SI KHILI TABI'AT 
ZARA SI GHAMGHEEN HOGAYI HAI,
ZHALE MISKEEN MAKUN BA RANJISH 
BA HAL-E-HIJRAN BECHARA DIL HAI.SUNAI DETI HAI 
JISKI DHADKAN TUMHARA DIL YA HAMARA DIL HAI

Zehaal-e-miskeen makun taghaful, Duraye naina banaye batiyan.


This poem is written by Amir Khusro in Persian and Brij Bhasha. Brij Bhasha is a Dehaati Zabaan (country tongue) and a dialect of Hindi. In the first verse, the first line is in Persian, the second in Brij Bhasha, the third in Persian again, and the fourth in Brij Bhasha.
Zehaal-e-miskeen makun taghaful,
Duraye naina banaye batiyan.
Do not overlook my misery,
by blandishing your eyes and weaving tales,
Ke taab-e-hijran nadaram ay jaan,
Na leho kahe lagaye chatiyan.
My patience has over-brimmed, O sweetheart!
why do you not take me to your bosom.
Shaban-e-hijran daraz chun zulf,
Wa roz-e-waslat cho umer kotah.
Long like curls in the night of separation
short like life on the day of our union.
Sakhi piya ko jo main na dekhun,
To kaise kaTun andheri ratiyan.
My dear, how will I pass the dark dungeon night
without your face before.
Yakayak az dil do chashm-e-jadu,
Basad farebam baburd taskin.
Suddenly, using a thousand tricks
the enchanting eyes robbed me of my tranquil mind.
Kisay pari hai jo ja sunave,
Piyare pi ko hamari batiyan,
Who would care to go and report
this matter to my darling.
Cho shama sozan cho zaraa hairan,
Hamesha giryan be ishq an meh.
Tossed and bewildered, like a flickering candle,
I roam about in the fire of love.
Na nind naina na ang chaina,
Na aap aaven na bhejen patiyan,
Sleepless eyes, restless body,
neither comes she, nor any message.
Bahaq-e-roz-e-visaal-e-dilbar,
Ke daad mara gharib Khusro.
In honour of the day I meet my beloved
who has lured me so long, O Khusro!
Sapet man ke varaye rakhun,
Jo jaye pauN piya ke khatiyan.
I shall keep my heart suppressed
if ever I get a chance to get to her trick.

Main Inko Dal Kar Dana Buhat Masroor Hoti Hon Mujhe Aangan Ki Chirrion Se Dua Lainey Ki Adat Hai


Main Inko Dal Kar Dana Buhat Masroor Hoti Hon
Mujhe Aangan Ki Chirrion Se Dua Lainey Ki Adat Hai

میں ان کو ڈال کر دانا بہت مسرور ہوتی ہوں
مجهے آنگن کی چڑیوں سے دعاء لینے کی عادت ہے

Na samjho tum isey shor-e-bahaaran Khizaan patton main chhup ke ro rahi hai


Na samjho tum isey shor-e-bahaaran 

Khizaan patton main chhup ke ro rahi hai

 

Behti Rahi Nadi Merey Ghar Ke Qareeb Se Paani Ko Dekhne Ke Liye Mein Taras Gaya


Behti Rahi Nadi Merey Ghar Ke Qareeb Se

Paani Ko Dekhne Ke Liye Mein Taras Gaya

Milney Ki Khwaishein Sab Hi Dum Torrti Gayin

Dil Mein Kuchh Aisa Khauf Bichharrne Ka Bas Gaya

Divaar-O-Dar Jhulaste Rahey Tez Dhuup Mein

Baadal Tamaam Shehr Se Baahar Baras Gaya


Humein tum sy mohabbat hai Hum saada dill Aur anna k qaidi


Humein tum sy mohabbat hai

Hum saada dill

Aur anna k qaidi

Mohabbat k mutalaashi

Ankhon mein chahat k deep jalaey

Kisi ki ik nazar e iltyfaad par

Jaan sy guzar jaany waly

Kisi sy chup chaap bichar jaany par

Raaton ko chup chup k roony waly

Iss dill e khamosh par

Iss sada dill par

Odaasi k zakham lagany waly

Chand lafz zaban sy keh dyty

Tu sabhi pachtawy chath jaaty

Kash k us sy keh dyty

Kash k us sy keh paaty

Humein tum sy mohabbat hai


DehleeZz Pay TOotay Huwe Sagar Ki Tarah Ek Shakhs Nay Phanka Hai Mujhy Piyaas Bujhaa Kar


"+,,+"
DehleeZz Pay
TOotay Huwe
Sagar Ki Tarah...>
"+,,+"
Ek Shakhs Nay
Phanka Hai
Mujhy Piyaas
Bujhaa Kar...>
"+,,+"+,,+"+,,+"

Tootay huye dilon se na ulfat ki baat cherr Zikr e maka'n na kar kisi beghar ke samne


Tootay huye dilon se na ulfat ki baat cherr

Zikr e maka'n na kar kisi beghar ke samne


Log kehty rahy wo tera nahi ho sakta,,, Hum yeh soch kr khamosh rahy kismat khuda likhta hai log nahi


Log kehty rahy wo tera nahi ho sakta,,,

Hum yeh soch kr khamosh rahy kismat khuda likhta hai log nahi....!


Chubne Lage Hain Khawab, December Se Pehle Aa, Dharrkan Bani Azaab, December Se Pehle Aa


Poet: Shahzad Qais
Type By
*._.Murtaza._*
Chubne Lage Hain
Khawab, December
Se Pehle Aa,
Dharrkan Bani Azaab,
December Se Pehle Aa,
Tanhai, Qatal Gaah
Main, Le Ja Chuki Ae
Dost!
Hoti Ho Kamiaab
December Se Pehle
Aa,
Thandi Tareen Raat,
Adawat Pe Aa Ga'ee,
Pur Mehar-E-Mahtaab,
December Se Pehle
Aa,
Karwat Badal Badal
Ke, Katte Kaise Sard
Shab,
Hairat Main Hai Shabab,
December Se Pehle Aa,
Saanson Ka Qaraz,
Tanha Utarainge Kab
Talak,
Hargiz Nahi Hai Taab,
December Se Pehle Aa,
Hassrat Hai, Saal-E-Nu
Ki Shuru'aat Tum Se
Ho,
Khush Bakhat Aaftab
December Se Pehle
Aa,
Aankhon Main Chalne
Phirne Lage
Ankaboot-E-Gham,
Lab Par Hai Iztaraab
December Se Pehle
Aa,
Shajr-E-Qaraar Se
Girain, Ashkoon Ki
Tittliyaan,
Gum Sum Hue Gullaab,
December Se Pehle Aa,
Haathon Ko Jorr Kar,
Ose Tassveer Bhej Di,
Khatt Ka Na De Jawab,
December Se Pehle Aa,
Likha Biyaaz-E-Ashak
Main, Jee Bhar Ke Raat
"QAIS"
Aashoob-E-Jaan Ka
Baab, December Se
Pehle Aa......................!
Book Name
December Ke Baad Bhi
Page 31-32

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo