Jo aa ke rukay daman pe SABA wo ashk nahi hai pani hai , Jo ashk na chalkey ankhon se uss ashk ki qeemat hai




Aankhien bhee derkhanoo ki Zuban bolnien lageen Ojhal huwa wo shakhs tu kuhram mach gaye



آنکھیں بھی دھڑکنوں کی زباں بولنےلگیں
اوجھل ہوا وہ شخص تو ، کہرام مچ گی

 Aankhien bhee derkhanoo ki Zuban bolnien lageen
Ojhal huwa wo shakhs tu kuhram mach gaye

SABHI KE DEEP SUNDAR HAIN HAMARE KYA TUMHARE KYA UJALA HAR TARAF HAI IS KINARE US KINARE KYA



SABHI KE DEEP SUNDAR HAIN HAMARE KYA TUMHARE KYA
UJALA HAR TARAF HAI IS KINARE US KINARE KYA

Main khayal hoon kisi aur ka, mujhay sochta koi aur hai Sar e aaina mera aks hai, pas e aaina koi aur hai



Main khayal hoon kisi aur ka, mujhay sochta koi aur hai
Sar e aaina mera aks hai, pas e aaina koi aur hai

Main kisi ke dast e talab main hoon to kisi ke harf e dua main hoon
Main naseeb hoon kisi aur ka, mujhay mangta koi aur hai

Ajab aitabar o bay aitabari kay darmiyan hai zindagi
Main qareeb hoon kisi aur kay, mujhay janta koi aur hai

Meri roshni teray khud o khaal say mukhtalif to nahi magar
Tu qareeb aa tujhay daikh loon, to wohi hai ya koi aur hai

Tujhay dushmanon ki khabar na thi mujhay doston ka pata na tha
Teri dastan koi aur thi, mera waqea koi aur hai

Wohi munsifon ki riwayatain, wohi faislon ki ibaratain
Mera jurm to koi aur tha, peh meri saza koi aur hai

Kabhi laut aain to poochna nahi dekhna unhain ghaur say
jinhain rastay main khabar hui keh yeh rasta koi aur hai


Saleem Kauser

Chand nikla tha magar baat na thi pahley sii Yeh mulaaqat, mulaaqat na thi pahley sii



Chand nikla tha magar baat na thi pahley sii
Yeh mulaaqat, mulaaqat na thi pahley sii
Ranj kuch Kam to huwa aaj terey milney say
Yeh alag baat, Keh woh baat na thi pahley sii

mujh ko mery wujood ki had tak na janiye bey had hoon,bey hisaab hoon,bey inteha hoon main



ﻣﺠﮫ ﮐﻮ ﻣﯿﺮﮮ ﻭﺟﻮﺩ ﮐﯽ ﺣﺪ ﺗﮏ ﻧﮧ ﺟﺎﻧﺌﮯ
ﺑﮯ ﺣﺪ ﮨﻮﮞ، ﺑﮯ ﺣﺴﺎﺏ ﮨﻮﮞ، ﺑﮯ ﺍِﻧﺘﮩﺎ ﮨﻮﮞ ﻣﯿﮟ

mujh ko mery wujood ki had tak na janiye
bey had hoon,bey hisaab hoon,bey inteha hoon main


Tairay haath banaon pencil say Phir haath pe tairay, haath rakhoon



تیرے ہاتھ بناؤں پنسل سے
پھر ہاتھ پہ تیرے ہاتھ رکھوں

Tairay haath banaon pencil say
Phir haath pe tairay, haath rakhoon


Main Teri tasweer tankoon aur phir Asman say chand ko chalta karoon



میں تری تصویر ٹانکوں اور پھر
آسماں سے چاند کو چلتا کروں

Main Teri tasweer tankoon aur phir
Asman say chand ko chalta karoon


Yehi Nahi k faqt hum hi iztrab mein hein humaray bhoolny waly bhi is Azab mein hein



ﯾﮩﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﮧ ﻓﻘﻂ ﮨﻢ ﮨﯽ ﺍﺿﻄﺮﺍﺏ ﻣﯿﮟ ﮨﯿﮟ
ﮨﻤﺎﺭﮮ ﺑﮭﻮﻟﻨﮯ ﻭﺍﻟﮯ ﺑﮭﯽ ﺍﺱ ﻋﺬﺍﺏ ﻣﯿﮟ ﮨﯿﮟ
Yehi Nahi k faqt hum hi iztrab mein hein
humaray bhoolny waly bhi is Azab mein hein


Kabhi Rasta Nahi Milta Kabhi Mehwer Nahi Milta Zameen Paoun Se Sirki Hai Falak Sar Par Nahi Milta



کبھی رستہ نہیں ملتا کبھی محور نہیں ملتا
زمیں پاوں سے سرکی ہے، فلک سر پر نہیں ملتا

جو محروم بصیرت ہو وہ محروم بصارت ہے
کبھی آنکھیں نہیں کھلتیں ،کبھی منظر نہیں ملتا

تو ملبوسِ نظارہ ہے تو میں نظروں کا جو ہر ہوں
تجھے آنکھوں کی محرومی ، مجھے پیکر نہیں ملتا

ہزاروں خواب ٹوٹے ہیں مگر ایسی نفاست سے
کبھی بھی کوئی ریزہ میرے بستر پر نہیں ملتا

عجب سنسان اور ویران راہوں میں بھٹکتا ہوں
کوئی رہبر تو کیا ملتا ، کوئی رہ پر نہیں ملتا

ہتھیلی پر لکھی ہوتی ہے قسمت پھر بھی دنیا میں
جو قسمت میں لکھا ہو وہ ہتھیلی پر نہیں ملتا

رحمان حفیظ


DIL Usey Caahey , Jissey Aqal Nahien Chahti Hai Khanah-Jungi Hai Ajab , Zehn O Badan Mein Ab Ke



دِل اُسے چاہے ، جِسے عَقل نَہِیں چاہَتی ہے
خانہ جَنگی ہے عَجَب ذہن و بَدَن میں اَب کے

DIL Usey Caahey , Jissey Aqal Nahien Chahti Hai
Khanah-Jungi Hai Ajab , Zehn O Badan Mein Ab Ke


Ye shehr e talismaat hai kuch keh nahi saktay Pehloo mein khara shakhs farishta hai keh iblees



Ye shehr e talismaat hai kuch keh nahi saktay
Pehloo mein khara shakhs farishta hai keh iblees

Adhori Aurat Mere Andar Ki Tanhaai Tumhein Mahsoos Kar Ke Aur Barh Jati Hai



 ادھوری عورت

‎مرے اندر کی تنہائی
‎تمہیں محسوس کرکے اور بڑھتی ہے
‎اندھیروں کی شناسائی
‎خراجِ جان لینے کو
‎مجھے احساس دینے کو
‎ہر اک لحظہ لپکتی ہے
‎میں اکثر رات کو اٹھ کر
‎اندھیرے آسمانوں میں
‎سحر ہونے سے کچھ پہلے
‎تمہیں پہچان لیتی ہوں
‎تمہاری گہری آنکھوں کو
‎سلگتے لمس لمحوں کو
‎فسردہ دلنشیں انجام کو
‎میں جان لیتی ہوں
‎میں آگاہی کی اس منزل سے
‎رستہ مڑ نہیں سکتی
‎کہ اس کے بعد ہی
‎وہ درد کی رنگین منزل ہے
‎وہی اک بوجھ ہے جو صرف
‎مجھ کو ہی اٹھانا ہے
‎خود اپنے آپ کو کاندھے پہ لے کر
‎دور جانا ہے
‎اگر میں پوچھ لوں تم سے
‎کہ تنہا اس سفر میں
‎کون میرا ہم سفر ہوگا؟؟

شائستہ مفتی

Woh Dheemi Dheemi Aanch Jo Seenay Mein Na-Jane Kab Se Jal Rahi Thi Ab Aag Ban Chuki Hai




وہ دھیمی دھیمی آنچ
جو سینے میں نجانے کب سے جل رہی تھی
اب آگ بن چکی ہے
بےچینی
بےچارگی
دکھ، ملال
گزرتا ھوا اک اک لمحہ صدیوں پر محیط
گویا یہ انتظار لاحاصل انتظار
چشمیں ویراں سے بہتی قطرہ قطرہ تیری یاد
یہ ہونٹوں پر لرزتی دعائیں
یہ ٹوٹے حوصلے
یہ وحشت زدہ تنہائی
ترستی سماعتیں
کوئی تو خوش گمانی بھیجھو جو روح کو سرشار کر دے
میرے تمام عمر کے ہجر کو وصال کر دے


Jinhen gile wo aayen aur aa ke baat karen Dilon’ ki mez pe baithhen mazaakraat karen



Jinhen gile wo aayen aur aa ke baat karen
Dilon’ ki mez pe baithhen mazaakraat karen

Ajeeb hai ke ibaadat ke naam par ham log
Khuda se gher-munaasib mataalbaat karen

Neelofar Afzal

Roothnay Aur Mananay Ke Ihsaas Mein Hai Ik Kaif o Suroor Main Ne Hamaisha Ussay Manaya Woh Bhi Mujhe Manaye Tou



روٹھنے اور منانے کے احساس میں ہے اک کیف و سرور
میں نے ہمیشہ اسے منایا وہ بھی مجھے منائے تو

रूठने और मनाने के एहसास में है इक कैफ़-ओ-सुरूर
मैं ने हमेशा उसे मनाया वो भी मुझे मनाए तो

Roothnay Aur Mananay Ke Ihsaas Mein Hai Ik Kaif o Suroor
Main Ne Hamaisha Ussay Manaya Woh Bhi Mujhe Manaye Tou


Ye qurb marg-e-wafa hai agar khabar hoti Tou ham bhi tujh se bichhardne ki aarzoo karte







Ye qurb marg-e-wafa hai agar khabar hoti
Tou ham bhi tujh se bichhardne ki aarzoo karte



Ek laa-mehdood Udasi hai Ek be-intaha MOHABBAT ke baad



Ek laa-mehdood Udasi hai
Ek be-intaha MOHABBAT ke baad


Oh dil mere vich vasda, baitha naal asade hasda Puchha baatan te uoth nasda, lai baazaan waang udari



Oh dil mere vich vasda, baitha naal asade hasda
Puchha baatan te uoth nasda, lai baazaan waang udari


Ahbaab Ne Ussay Kabhi Katnay Nahi Diya Udti Rahi Sada Mere Mazaq Ki Patang





Ahbaab Ne Ussay Kabhi Katnay Nahi Diya
Udti Rahi Sada Mere Mazaq Ki Patang
Razab Tabraiz



Koi Ban Gaya Ronaq Pakhian Di Koi Chor Ke Sheesh Mehal Chalya



Koi Ban Gaya Ronaq Pakhian Di
Koi Chor Ke Sheesh Mehal Chalya
Koi Palya Naaz Te Nakhrian Wich
Koi Rait Garam Te Thal Chalya
Koi Bhul Gaya Maqsad Aawan Da
Koi Kar Ke Maqsad Hal Chalya Ithay Har
Koi Fareed Musafar Ae
Koi Aj Chalya Koi Kal Chalya

Pahunchi Dua Jo Arsh Bareen Par Aata Hai Kia Ay Mere Khush Naseeb Kabhi Ye Hoa Hai Kia



پہنچی دعـا جو عرشِ بریں پر عـطا ہے کیا
اے میرے خوش نصیب کبھی یہ ہوا ہے کیا
Pahunchi Dua Jo Arsh Bareen Par Aata Hai Kia
Ay Mere Khush Naseeb Kabhi Ye Hoa Hai Kia

لمحے کو مســـکرائے انہیں دیکھ کر جو ہم
اک آرزو جو دل میں پلی ہے خـــطا ہے کیا
Lamhe Ko Muskuraai Unhein Dekh Kar Jo Hum
Ik Aarzoo Jo Dil Mein Pali Hai Khata Hai Kia

تھیں مشــــــکلیں ہزاد مگر تیرے نـــــــام پر
دشتِ وفـــــا کو پار کریں حوصــــلہ ہے کیا
Thein Mushkelain Hazad Magar Tere Naam Par
Dasht e Wafa Ko Paar Karen Hosla Hai Kia

کیوں اسقـــــدر جہان میں تنہــا ہوئے ہیں ہم
پوچھے تو آکے ہم سے کوئی ماجرا ہے کیا
Kion Iss Qadar Jahan Mein Tanha Hoe Hain Hum 
Poochay To Aakey Hum Se Koi Majra Hai Kia

ہر زخـــم ہیں چھپـــائے ہوئے اپنی ذات میں
ہر ظلــــــم اپنی جــــان پہ ہم کو روا ہے کیا
Har Zakham Hain Chupaai Hoe Apni Zaat Mein
Har Zulam Apni Jaan Pe Hum Ko Rawa Hai Kia

شــــــائستہ مفتی
Shaista Mufti


Daleelon Mein Sare Humein Baat De Den Raqeebon Ka Seena Kitabon Bhara Hai



جدھر رخ کرو یہ عذابوں بھرا ہے
جہاں اب یہ سارا عتابوں بھرا ہے

دیے ہیں کہ جگنو کہ دل جل رہے ہیں
نگر میرا ظالم سرابوں بھرا ہے

دلیلوں میں سارے ہمیں مات دے دیں
رقیبوں کا سینہ کتابوں بھرا ہے

یہاں کوئی وقعت کہاں ہے ہماری
ہر اک آسماں آفتابوں بھرا ہے

مرے ہاتھ گر خار ہی خار آئیں
تو طے ہے چمن یہ گلابوں بھرا ہے

 اتباف ابرک

Humko na de zara bhi muhabbat ka wasta koi Keh bahut thokron k baad chooti hai ye aadat hamari




Humko na de zara bhi muhabbat ka wasta koi
Keh bahut thokron k baad chooti hai ye aadat hamari




Lehja e Yaar Mein Zehar Hain Bichhoo Ki Tarah Wo Mujhe Aap To Kehta Hain Magar Tu Ki Tarah




Ab Ghar Bhi Nahi Ghar Ki Tamanna Bhi Nahi Hai Muddat Hoi Socha Tha Keh Ghar Jaengy Ik Din



اب گھر بھی نہیں گھر کی تمنا بھی نہیں ہے
مدت ہوئی سوچا تھا کہ گھر جائیں گے اک دن

अब घर भी नहीं  घर की तमन्ना भी नहीं है
मुद्दत हुई सोचा था  कि घर जाएँगे इक दिन

Ab Ghar Bhi Nahi Ghar Ki Tamanna Bhi Nahi Hai
Muddat Hoi Socha Tha Keh Ghar Jaengy Ik Din


Baghbaan ne aag di jab aashiyane ko mere Jin pe takiya tha wahi patte hawa dene lage




Udasi , Shaam , Tanhai , Kasak Yadon Ki Be-Chaini Mujhe Sab Saunp Kar Sooraj Utar Jata Hai Pani Mein




Haan Uss Ke Ta'aqub Se Mere Dil Mein Hai Inkaar Wo Shakhs Kisi Ko Na Mily Ga Na Mila Hai



Haan Uss Ke Ta'aqub Se Mere Dil Mein Hai Inkaar
Wo Shakhs Kisi Ko Na Mily Ga Na Mila Hai


Wo Mere Haal Pe Roya Bhi Muskuraya Bhi Ajeeb Shakhs Hai Apna Bhi Hai Paraaya Bhi




Ishq Se Main Dar Chuka Tha Dar Chuka To Tum Mily Dil To Kab Ka Mar Chuka Tha Mar Chuka To Tum Mily



عشق سے مَیں ڈَر چُکا تھا, ڈَر چُکا تو تم ملے
دل تو کب کا مَر چُکا تھا, مَر چُکا تو تم ملے

جب مَیں تنہا گھٹ رہا تھا تب کہاں تھی زندگی
دل بھی غم سے بَھر چُکا تھا, بَھر چُکا تو تم ملے

بے قراری, پھر محبت, پھر سے دھوکہ ! اب نہیں
فیصلہ میں کَر چُکا تھا, کَر چُکا تو تم ملے

مَیں تو سمجھا سب سے بڑھ کر مطلبی تھا مَیں یہاں
خود پہ تُہمت دَھر چُکا تھا, دَھر چُکا تو تم ملے

تیرے آنے سے بھی پہلے کوئی آ کر خواب میں
رنگ مجھ میں بَھر چُکا تھا, بَھر چُکا تو تم ملے

ورنہ ہم سب ڈوب کر رکھتے محبت کا بھرم
اپنا بیڑا تَر چُکا تھا, تَر چُکا تو تم ملے

تم کو کیا معلوم ہوگا زیبؔ پچھلی جنگ میں
سارا لشکر ہَر چُکا تھا, ہَر چُکا تو تم ملے

Shayed Ussay Azeez Thein Aankhein Meri Bohat Woh, Mere Naam Apni ,Basarat Bhi Kar Gaya



شاید اُسے عزیِز تھیں آنکھیں مِری بُہت
وُہ میرے نام اَپنی بصارَت بھِی کَر گیا

Shayed Ussay Azeez Thein Aankhein Meri Bohat
Woh, Mere Naam Apni ,Basarat Bhi Kar Gaya


مُحسن یِہ دِل کہ اُس سے بچھڑتا نہ تھا کَبھِی
آج اُس کو بھُولنے کی جَسارت بھِی کَر گیَا

Mohsin Yeh DIL Keh ,Uss Se Bichharhta Na Tha Kabhi
Aaj ,Uss Ko Bhoolney Ki Jasaarat Bhi Kar Gaya


Hamare Aks Mein Hoti Jo Zakhm e DIL Ki Jhalak Hum , Aaiyney Ko Bhi Apni Tarah Rula Daitey



ہمَارے عَکس میں ہَوتِی جَو زَخمِ دِل کِی جھَلک
ہَم آئینے کو بھِی اَپنِی طَرَح رُلا دیتے

Hamare Aks Mein Hoti Jo Zakhm e DIL Ki Jhalak
Hum , Aaiyney Ko Bhi Apni Tarah Rula Daitey


Taseer e Ishq Ye Hai Tere Ehd e Husn Mein Mitti Ka Bhi Banaein To Ho Be-Qarar Dil



تاثیرِ عشق یہ ہے ترے عہدِ حسن میں
مٹی ڪا بھی بنائیں تو ہو بےقرار دل
Taseer e Ishq Ye Hai Tere Ehd e Husn Mein
Mitti Ka Bhi Banaein To Ho Be-Qarar Dil


Tamaam Shab Yunhi Dekhengi Soo e Dar Aankhen Tujhe Ganwa Ke Na Soengi Umar Bhar Aankhen



تمام شب یُونہی دیکھیں گی سُوئے در آنکھیں
تجھے گنوا کے نہ سوئیں گی عمر بھر آنکھیں
وہ پاس تھا تو زمانے کو دیکھتی ھی نہ تھیں
بچھڑ گیا تو ھُوئیں پِھر سے در بدر آنکھیں
Tamaam Shab Yunhi Dekhengi Soo e Dar Aankhen
Tujhe Ganwa Ke Na Soengi Umar Bhar Aankhen
Woh Paas Tha To Zamane Ko Dekhti Hi Na Thein
Bichad Gaya To Hoein Phir Se Dar Ba Dar Aankhen


Baqi Jo Kuch Hai Mujhe Sakht Saza Lagta Hai Meri Aankhon Ko Wahi Shakhs Bhala Lagta Hai



باقی جو کچھ ہے مجھے سخت سزا لگتا ہے
میری آنکھوں کو وہی شخص بھلا لگتا ہے
Baqi Jo Kuch Hai Mujhe Sakht Saza Lagta Hai
Meri Aankhon Ko Wahi Shakhs Bhala Lagta Hai

خامشی، اُس سے مجھے جوڑے ہوئے رکھتی ہے
درمیاں میں کوئی بولے تو بُرا لگتا ہے
Khamshi , Uss Se Mujhe Jodey Hoe Rakhti Hai
Darmiyan Mein Koi Boly To Bura Lagta Hai

لمحہ لمحہ مجھے یاد آتے ہوئے شخص! بتا
میں تجھے بھول سکوں گا؟ تجھے کیا لگتا ہے؟
Lamha Lamha Mujhe Yaad Aatey Hoe Shakhs Bata
Main Tujhe Bhool Sakunga Tujhe Kia Lagta Hai


Buhat Choti See Hasrat Buhat Pakeeza Chahat Hai



ﺑﮩﺖ ﭼﮭﻮﭨﯽ ﺳﯽ ﺣﺴﺮﺕ
ﺑﮩﺖ ﭘﺎﮐﯿﺰﮦ ﭼﺎﮨﺖ ﮨﮯ
ﺗﻤﮩﺎﺭﮮ ﺭﻭ ﺑﺮﻭ ﺁﮐﺮ
ﻣﯿﺮﯼ ﺟﺎﮞ ﺑﺎ ﻭﺿﻮ ﺁﮐﺮ
ﮔﻮﺍﮦ ﮐﺮ ﮐﮯ ﺳﺘﺎﺭﻭﮞ ﮐﻮ
ﮔﮕﻦ ﮐﮯ ﺳﺐ ﮐﻨﺎﺭﻭﮞ ﮐﻮ
ﻓﻘﻂ ﺍﺗﻨﺎ ﺳﺎ ﮐﮩﻨﺎ ﮨﮯ
ﻣﺠﮭﮯ ﺗﻢ ﺳﮯ ﻣﺤﺒﺖ ﮨﮯ
Buhat Choti See Hasrat
Buhat Pakeeza Chahat Hai
Tumhare Ro Ba Ro Aa Kar
Meri Jaan Ba-Wazo Aa Kar
Gawaah Kare Ke Sitaron Ko
Gagan Ke Sab Kinaron Ko
Faqat Itna Sa Kehna Hai
MUJHE TUM SE MUHABBAT HAI


Aaja ke abhi zabt ka mausam nahin guzra Aaja ke pahadon pe abhi barf jami hai



Aaja ke abhi zabt ka mausam nahin guzra
Aaja ke pahadon pe abhi barf jami hai
Khushboo ke jazeeron se sitaron ki had'on tak
Is sheher mein sab kuch hai, bas teri kami hai


Apni Shaam Ko Jab Nazr e Jaam Karte Hain Falak Se Hum Ko Sitare Salaam Karte Hain



اپنی شام کو جب نذرِ جام کرتے ہیں
فلک سے ہم کو ستارے سلام کرتے ہیں
Apni Shaam Ko Jab Nazr e Jaam Karte Hain
Falak Se Hum Ko Sitare Salaam Karte Hain


سجائیں کیوں نہ اسے یہ سرائے ہے دل کی
یہاں حسِین مسافر قیام کرتے ہیں
Sajaein Kion Na Ussay Ye Saraai Hai Dil Ki
Yahaan Haseen Musafir Qayaam Karte Hain


گلے لگاتے ہیں دشمن کو بھی سرور میں ہم
بہت برے ہیں، مگر نیک کام کرتے ہیں
Galey Lagate Hain Dushman Ko Bhi Suroor Mein
Buhat Bure Hain Magar Nek Kaam Karte Hain


حیات بیچ دیں تھوڑے سے پیار کے بدلے
یہ کاروبار بھی تیرے غلام کرتے ہیں
Hayaat Bech Den Thodey Se Piyaar Ke Badley
Ye Karobaar Bhi Tere Ghulam Karte Hain


وہ جن کو دیکھ کے دل میں خدا کی یاد آئے
ہم ان بتوں کا بڑا احترام کرتے ہیں
Woh Jin Ko Dekh Ke Dil Mein Khuda Ki Yaad Aaye
Hum Unn Button Ka Bada Ehteraam Karte Hain


ہمیں بس ایک نظر سے نواز اے ساقی
ہم اپنے ہوش و خرد تیرے نام کرتے ہیں
Humain Bas Aik Nazar Se Nawaz Ay Saaqi
Hum Apne Hosh o Khird Tere Naam Karte Hain


قتیلؔ کتنے سخن ساز ہیں وہ سناٹے
سکوتِ شب میں جو ہم سے کلام کرتے ہیں
QATEEL Kitney Sukhan Saaz Hain Woh San,natey
Sukoot e Shab Mein Jo Hum Se Kalaam Karte Hain


قتیل شفائی
Qateel Shifaai

kaho mujh sy muhabbat hai Mohabat ki tabiyat mein yeh kaisa bachpana qudrat ny rakha hai



کہو مجھ سے محبت ہے
محبت کی طبیعت میں
یہ کیسا بچپنا قدرت نے رکھا ہے
کہ یہ جیتنی پرانی جیتنی بھی مظبوط ہو جائے
اسے تاییید تازہ کی ضرورت پھر بھی رہتی ہے
یقین کی آخری حدوں تک دلوں میں لیحلاحاتی ہو
نگاہوں سے ٹپکتی ہو لہو میں جاجماجاتی ہو
ہزاروں طرح کے دلکش حَسِین حالے باناتی ہو
ایسے اظہار کے لفظوں کی حاجت پھر بھی رہتی ہے
محبت مانجتی ہے یوں گواہی اپنے ہونی کی
کہ جیسے تیفل ساده شام کو اک بییج بوای
اور شب میں بارہا اُٹھے ، زمین کو خود کر دیکھے
کہ پودا اب کاہان تک ہے ؟
محبت کی طبیعت میں عجب تکرار کی خوں ہے
کہہ یہ اقرار کے لفظوں کو سن ’ نئے سے نہیں تھکی
بیچارنای کی گھڑی ہو یا کوئی ملنے کی سات ہو
ایسے بس ایک ہی دھن ہے
کہو مجھ سے محبت ہے ، کہو مجھ سے محبت ہے
تمہیں مجھ سے محبت ہے
سمندر سے کہیں گہری ، ستاروں سے سوا روشن
ہواؤں کی ٹیڑ دائم ، پہاڑوں کی تیرا قائم
زمین سے آسمان تک جس قدر اچھے نظارے ہیں
محبت کے کانای ہیں وفا کے یستا ’ ارے ہیں
ہمارے ہیں
ہمارے واسطے یہ چاندنی راتیں سانویرتی ہیں ، سونیحرا دن نکلتا ہے
محبت جس طرف جائے زمانہ ساتھ چلتا ہے
کچھ ایسی بیساکونی ہے وفا کی سَر زامینون میں
کہ جو اہل محبت کو سدا بیچین راختی ہے
کہ جیسے پھول میں خوشبو ، کہ جیسے ہاتھ میں پڑا
کہ جیسے شام کا تارا
محبت کرنے والوں کی سحر راتوں میں رہتی ہے
گمان کے شاخچون میں آشیاں بنتا ہے الفت کا
یہ آئیں WISL میں بھی ہجر کے خادشون میں رہتی ہے
محبت کے مسافیر زندگی جب کاٹ چوکتی ہیں
تھکن کی کرچیاں چنتے وفا کی اجراکیں پہنی
سامی کی راہگزر کی آخری سرحد پائے روکتی ہیں
تو کوئی توبتی سانسوں کی ڈوری تھم کر
دھیرے سے کہتا ہے ، یہ سچ ہے نا ؟
ہماری زندگی اک دوسری کے نعم لکھی تھے
دھندلکا سا جو آنکھوں کے قریب و در پھیلا ہے
ایسی کا نعم چاحاات ہے
تمہیں مجھ سے محبت تھی ، تمہیں مجھ سے محبت ہے ،
محبت کی طبیعت میں
یہ کیسا بچپنا قدرت نے رکھا ہے

kaho mujh sy muhabbat hai
Mohabat ki tabiyat mein
yeh kaisa bachpana qudrat ny rakha hai
Kh yh jitnii puranii jitnii bhi mazbot ho jay
Isay taieed e tazaa ki zarorat phr bhi rehti hay
Yaqin ki akhri hadoon tak diloon mein lehlahatii ho
Nigahon sy tapakti ho laho mein jagmagatii ho
Hazaroon tarh ky dilkash haseen halay banatii ho
esy izhar ky lafzon ki hajat phr bhi rehti hai
Mohabat mangtii hai yon gawahii apny hony ki
Kh jaisay tefl e sadah sham ko ek beij boay
Aur shab mein baarhaa uthay,Zameen ko khood kr dekhay
kh poda ab kahan tak hai?
Mohabat ki tabiyat mein ajab takrar ki khoo hai
Keh yh iqrar ky lafzon ko sun’nay sy nahi thakti
Becharnaay ki ghari ho ya koi milny ki saat ho
Esy bas aik hi dhun hai
Kaho mujh sy mohabat hai, Kaho mujh sy mohabat hai
Tumhain mujh sy mohabat hai
Samandar sy kahien gehri,sitaroon sy siwa roshan
hawaon ki terh daaim, Paharon ki terah qaaim
Zameen say aasman tak jis qadar achay nazaray hain
Mohabat ky kanaay hain wafa kay esta’aray hain
hamary hain
Hamary wasty yh chandni ratain sanwertii hain,sunehraa din nikalta hai
Mohabat jis tarf jay zamana sath chalta hai
Kuch aisi besakonii hai wafa ki sar zamenoon main
kh Jo ehl e mohabat ko sada bechain rakhtii hai
Kh jaisy phol main khushbo, Kh jaisy hath main paraa
Kh jaisy sham ka tara
Mohabat karny waloon ki sehar ratoon main rehti hai
Gumaan ky shakhchoon main aashiyaan banta hai ulfat ka
Yh aien wisl mein bhi hijr ky khadson mein rehti hai
Mohabat ky musafirr zindagi jab kaat chukty hain
Thakan ki kirchiyaan chuntay wafa ki ajrakain pehny
Samy ki rahguzar ki aakhrii sarhad py rukty hain
To koi tobti sanson ki dori tham kar
Dhery sy kehta hai,Yeh sach hai na?
Hamari zindage ek dosry ky nam likhi the
Dhundalka saa jo aankhoon ky qareb o dur phela hai
Esi ka nam chahaat hai
Tumhain mujh sy mohabat thi,Tumhain mujh sy mohabat hai,
Mohabat ki tabiyat mein
yeh kaisa bachpana qudrat ny rakha hai


Mujhay karni hai dosti faqat waqt say Suna hai achay achoon ko badal daita hai



مجھے کرنی ہے دوستی فقط وقت سے
سُنا ہے یہ اچھے اچھوں کو بدل دیتا ہے

Mujhay karni hai dosti faqat waqt say
Suna hai achay achoon ko badal daita hai


Tera Husn Hai Aafat Aur Afreen Goya Aapsara Ya Pari-Zaad Ho Tere Sang Bitaaon Jeewan Ke Baqiya Zindagi Shaad Ho



Tera Husn Hai Aafat Aur Afreen Goya Aapsara Ya Pari-Zaad Ho
Tere Sang Bitaaon Jeewan Ke Baqiya Zindagi Shaad Ho


Bikhra Bikhra Sa Saaz o Samaan Hai Hum Kahein Dil Kahein Aqeeda Kahein



Bikhra Bikhra Sa Saaz o Samaan Hai
Hum Kahein Dil Kahein Aqeeda Kahein


Main Uss Ki Nazron Ka Kuch Iss Liye Bhi Hoon Qaail Woh Jis Ko Chahey Ussay Dekhna Sekhata Hai



میں اس کی نظروں کا کچھ اس لئے بھی ہوں قائل
وہ جس کو چاہے اسے دیکھنا سکھاتا ہے

मैं उस की नज़रों का कुछ इस लिए भी हूँ क़ाइल
वो जिस को चाहे उसे देखना सिखाता है

Main Uss Ki Nazron Ka Kuch Iss Liye Bhi Hoon Qaail
Woh Jis Ko Chahey Ussay Dekhna Sekhata Hai

 

Aukaat nahi thi Zamaane mein jo meri qeemat laga sake Kam-bakht ishq mein kya gire muft mein neelam ho gaye



Aukaat nahi thi Zamaane mein jo meri qeemat laga sake
Kam-bakht ishq mein kya gire muft mein neelam ho gaye


Teri gali se nikalte hi apna dum nikla Rahe hai kyuun ki andaleeb se gulistaan juda



Teri gali se nikalte hi apna dum nikla
Rahe hai kyuun ki andaleeb se gulistaan juda

Kiya habeeb ko mujh se juda falak ne magar
Naa kar saka mere dil se gham-e-habeeb juda


zauq

Tere husn par likh naa de koi ghazal Meri ye badnaam kalam Tujhe waasta khuda ka Mere saamne aaya kar koi naqaab lagaane k baad



Tere husn par likh naa de koi ghazal Meri ye badnaam kalam
Tujhe waasta khuda ka Mere saamne aaya kar koi naqaab lagaane k baad

Kaha tha keh main nazuk hoon mat tarash mujhey Janoon mein kar hi dia tu ne pash pash mujhey



کہا تھا نا کہ میں نازک ہوں مت تراش مجھے
جنوں میں کر ھی دیا تو نے پاش پاش مجھے

Kaha tha keh main nazuk hoon mat tarash mujhey
Janoon mein kar hi dia tu ne pash pash mujhey


Main Aaina Tha Woh Mera Khayal Rakhti Thi Main Toota Tha To Chun Kar Sanbhal Rakhti Thi



میں آئینہ تھا ، وہ میرا خیال رکھتی تھی
میں ٹوٹتا تھا تو چن کر سنبھال رکھتی تھی
میں جب بھی ترک تعلق کی بات کرتا تھا ،
وہ روکتی تھی مجھے ، کل پے ٹال رکھتی تھی
وہ میرے درد کو چنتی تھی اپنی پوروں سے
وہ میرے واسطے خود کو نڈھال رکھتی تھی
وہ ڈوبنے نہیں دیتی تھی دکھ کے دریا میں
میرے وجود کی ناؤ اچھال رکھتی تھی
دعائیں اس کی بلائو کو روک لیتی تھیں
وہ میرے چار سو ہاتھوں کی ڈھال رکھتی تھی
اک ایسی دھن کے نہیں پھر کبھی میں نے سنی
وہ منفرد سا ہنسی میں کمال رکھتی تھی
اسے ندامتیں میری کہاں گوارہ تھی
وہ میرے واسطے آسان سوال رکھتی تھی
بچھڑ کے اس سے میں دنیا کی ٹھوکروں میں ہوں محسن
وہ پاس تھی تو مجھے لازوال رکھتی تھی


Tum khas ho ibadat jaise Uttay haathon ki mangi dua jaise Kitaboon mein likha ilfaz jaise Tum khas ho bilkul meri zaat jaise



Tum khas ho ibadat jaise Uttay haathon ki mangi dua jaise 
Kitaboon mein likha ilfaz jaise Tum khas ho bilkul meri zaat jaise


Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo