Staso Pa Khaar Ke Khu Da Baaze Neem Sari Roja Wa Zamung Pa Kali Ke Wallah Bekhi Bekhi Roja Wa


Staso Pa Khaar Ke Khu Da Baaze Neem Sari Roja Wa

Zamung Pa Kali Ke Wallah Bekhi Bekhi Roja Wa

Shunde Ye Rakraky Ma Chaghe Kre Roja Mi Laara

Haghe We Chup Sha Mara Hase Hum Shakee Roja Wa

Kochai Khema Ke La Garmai Na Wa Naskora Prata

Shpelai Ye Na Wahala Gharu (Hill) Ke Da Shpoonki Roja Wa

Mor Mi Qissa Krra Che Bachiya Ay "SAHILA" Wawra

Domra Ghurbat Wo Zamung Tola Zindagi Roja Wa.........!

 

**********BARYALAY**********


Garmi Du Pashakal Da Ao Roje Dere Ogde Di,Yarano La Akhtar Ta Faslay Dere Ogde Di


ﮔﺮﻣﻰ ﺩ ﭘﺸﻜﺎﻝ ﺩ ﺍﻭ ﺭﻭﮊﻯ
ﮈﻳﺮﻯ ﺍﻭﮔﺪﻯ ﺩﻯ
.
ﻳﺎﺭﺍﻧﻮ ﻻ ﺍﺧﺘﺮ ﺗﮧ ﻓﺎﺻﻠﻰ ﮈﻳﺮﻯ
ﺍﻭﮔﺪﻯ ﺩﻯ
.
ﺍﺷﻨﺎ ﺗﮧ ﺧﻮ ﻻ ﻧﮧ ﻳﻰ ﺩ ﺭﻭﮊﻯ ﺩ
ﭨﻴﻨﮕﻮﻟﻮ
.
ﺩ ﺗﻨﺪﻯ ﺳﺮﻩ ﻧﮧ ﻛﻴﮕﻰ ﻏﺮﻣﻰ
ﮈﻳﺮﻯ ﺍﻭﮔﺪﻯ ﺩﻯ
.
ﺳﻴﺰﻥ ﺩ ﺛﻮﺍﺑﻮﻧﻮ ﺩﻯ ﺩ ﺧﻮﺭﻭ ﺩ
ﮔﭩﻠﻮ
.
ﺩ ﺷﻴﺦ ﺳﺮﻩ ﭘﮧ ﻻﺳﻮ ﻛﻰ
ﺗﺴﺒﻰ ﮈﻳﺮﻯ ﺍﻭﮔﺪﻯ ﺩﻯ
.
ﻭﻃﻦ ﺩ ﭘﺨﺘﻨﻮ ﺩﻯ ﺣﻴﺎ ﮈﻳﺮﻩ ﺩ
ﺯﻟﻤﻮ ﻛﻰ
.
ﺩ ﭘﻴﻐﻠﻮ ﭘﮧ ﺳﺮﻭﻧﻮ ﻟﻮﭘﭩﻰ ﮈﻳﺮﻯ
ﺍﻭﮔﺪﻯ ﺩﻯ
.
ﺧﻜﺎﺭﻳﮕﻰ ﺟﺎﻧﺎﻥ ﻛﮍﻯ ﺍﺭﺍﺩﻩ ﺩ
ﺍﻋﺘﻜﺎﻑ ﺩﻩ
.
ﭘﮧ ﭘﺎﻧﮍﻭ ﻳﻰ ﻟﻴﻜﻠﻰ ﻭﻇﻴﻔﻰ
ﮈﻳﺮﻯ ﺍﻭﮔﺪﻯ ﺩﻯ
.
"ﺍﺗﻠﮧ" ﻻ ﺍﻭﺩﻩ ﻧﮧ ﻳﻮ ﭼﻰ ﻭﺧﺖ ﺩ
ﭘﻴﺸﻤﻨﻰ ﺷﻰ
.
ﺯﻣﻮﻧﮓ ﺩ ﺟﻤﺎﻋﺘﻮﻧﻮ ﺗﺮﺍﻭﻯ
ﮈﻳﺮﻯ ﺍﻭﮔﺪﻯ ﺩﻯ


Sama ogda laka yao kaal roja wa, Sta intezaar da pshakaal roja wa

 

Poet:Muhammad Israr Atal

Type By

*.__NOMI__.*

 

Sama ogda laka yao kaal roja wa,
Sta intezaar da pshakaal roja wa.

 

Na taal la rala ao na bero la nan,
Nan da haghi zma pa khyal roja wa.

 

Paron Aazaan baandi poy shwi na wo,
Mong mata kri pa wisaal roja wa.

 

Daa nan zma stargi we jal aghasti,
Ka sta da zani ao da khaal roja wa.

 

Sakhkaal pi bya wo da sheikhaano tazaad,
Laar ki akhtar o pa diawal roja wa.

 

"Atala" tande pa kato mategi,

Paroskal somra da kamaal roja wa.

**********NOMI**********

 

Is Mulk Ko Gar Baap Ki Jageer Karo Ge,To Sorat-e-Halaat Ko Ghambir Karo Ge


اس ملک کو گر باپ کی جاگیر کرو گے
تو صورتِ حالات کو گھمبیر کرو گے

چاند اور ستارے کے وطن میں ہے اندھیرا
اِک ایٹمی طاقت کی یہ تشہیر کرو گے

زِندان سے ایوان میں پہنچے ہوئے لوگو
تم کس طرح اس ملک کی تطہیر کرو گے

ڈگری بھی نہ لے پائے ارے ٹھیک سے جعلی
سنجیدہ مسائل کی کیا تدبیر کرو گے

حل ہو بھی گئے تم سے جو کچھ جزوی مسائل
دن رات عنایات کی تشہیر کرو گے

دنیا سے تو اِک اینٹ بھی لے جا نہیں سکتے
جنت میں محل کس طرح تعمیر کرو گے

لاچاروں کے جب ہاتھ گریبان پہ ہوں گے
اس وقت بھی کیا مانگ کے تقریر کرو گے

تبدیلی کا آغاز بھی بن سکتی ہے وہ قیس

 حق بات اگر خون سے تحریر کرو گے

شہزاد قیس


Pardes Ki Eid ,Kiya Sunain Kis Haal Mein Aati Hai Pardais Mein Eid, Nikal Aate Hain Aansoo Jab Yaad Aati Hai Dais Ki Eid,

 

Kiya Sunain Kis Haal Mein Aati Hai Pardais Mein Eid,

Nikal Aate Hain Aansoo Jab Yaad Aati Hai Dais Ki Eid,


Rahain Wo Khush-o-Khurram Ghar Mein Apne,

Jin K Liye Hum Ko Rulati Hai Pardais Ki Eid,


Aate Hain Yaad Jab Wo Phool Se Chehre,

Us Lamhe Hum Ko Kitna Tadpati Hai Pardais Ki Eid,

 

Kis Se Galay Milein,Kise Kahein Ge Apna Hum,

Bas Yun Hi Tanhayi Mein Guzar Jati Hai Pardais Ki Eid,


Kehtay Hain Har Baar Bas Pardais Ki Hai Ye Akhri Eid,

Aglay Saal Phir Aa Jati Hai Pardais Ki Eid...!



Ay Andhere Dekh Le Munah Tera Kaala Ho Gaya Maa Ne Aankhen Khol Den Ghar Mein Ujala Ho Gaya


Ay Andhere Dekh Le Munah Tera Kaala Ho Gaya

Maa Ne Aankhen Khol Den Ghar Mein Ujala Ho Gaya

 

Istarah Mere Gunahon Ko Wo Dho Deti Hai

Maa Buhat Ghusse Mein Hoti Hai To Ro Leti Hai


Bulandiyun Ka Bade Se Bada Nishan Chhowa

Uthaya God Mein Maa Ne Tab Aasman Chhowa


Kisi Ko Ghar Mila Hissa Mein Ya Koi Dukaan Aayi

Main Ghar Mein Sab Se Chota Tha Mere Hissa Mein Maa Aayi


Bulandi Der Tak Kis Shakhas K Hissa Mein Rehti Hai

Buhat Oonchi Emarat Har Ghari Khatre Mein Rehti Hai


Buhat Jii Chahta Hai Qaid Jahan Se Hum Nikl Jaye

Tumhari Yaad Bhi Lekin Isi Malbay Mein Rehti Hai


Ye Aisa Qarz Hai Jo Main Ada Kar Hi Nahi Sakta

Main Jab Tak Ghar Na Laoton Meri Maa Sajdy Mein Rehti Hai


Meri Khuwahish Hai Keh Main Phir Se Fareshta Ho Jaon

Maa Se Istarah Lipat Jaon Keh Bacha Ho Jaon

 

Kam Se Kam Bachon K Honton Ki Hansi Ki Khatir

Aisi Matti Mein Milana Keh Khilona Ho Jaon


Mujh Ko Har Haal Mein Bakhashny Ka Ujala Apna

Chhand Reshty Mein Nahi Lagta Hai Mama Apna


Main Ne Rotay Howe Ponchay Thay Kisi Din Ansoo

Mudaton Maa Ne Nahi Dhoya Dopatta Apna


Umar Bhar Khali Yun Hi Hum Ne Makaan Rehne Diya

Tum Gaye To Dosre Ko Kal Yahan Rehne Diya


Main Ne Kal Shab Chahaton Ki Sab Kitaabein Phaad Den

Sirf Aik Kaghaz Par Likha Shabad Maa Rehne Diya...!

 

**********NOMI**********


Shehr Ko Teri Justajoo Hai Bahut, In Dino Hum Pe Guftagoo Hai Bahut


Poetess: Parveen Shakir

 

Shehr Ko Teri Justajoo Hai Bahut,

In Dino Hum Pe Guftagoo Hai Bahut,

Jab Se Parwaz K Shareek Mile,

Ghar Banane Ki Aarzoo Hai Bahut,

Dard Rah Rah K Sar Uthata Hai,

Kabho Kam Ho Gia Kabho Hai Bahut,

Kuch To Wo Yad Bhi Bahut Aaya,

Kuch Un Aankhon Mein Bhi Lahoo Hai Bahut,

Peene Wali Nigah Hai Darkar,

Aankh Ko Chand Ka Saboo Hai Bahut...!

 

Be Talab Aur Be Irada De, Dil Ko Ek Motabar Sa Wada De


Poetess: Noshi Gilani

 

Be Talab Aur Be Irada De,

Dil Ko Ek Motabar Sa Wada De,

Rat Phir Be Libas Phirti Hai,

Roshni Ka Isay Labada De,

Ishq Mein Wasl Ki Kahani Ko,

Too Bhi To Koi Harf-E-Sada De,

Kheil Ka Zabta Nahi Koi,

Shah Ko Maat Ka Piyada De,

Kis Ne Ye Bazm-E-Naz Mangi Hai,

Mujh Ko Mulk-E-Sukhan Ka Wada De...!


Sukhan Aarai Baqi Rah Gai Hai, Yehi Sachai Baqi Rah Gai Hai


Poetess: Noshi Gilani

 

Sukhan Aarai Baqi Rah Gai Hai,

Yehi Sachai Baqi Rah Gai Hai,

Sajana Chahte Thay Bazm-E-Shab Ko,

Magar Tanhai Baqi Rah Gai Hai,

Chale Thay Shoq-E-Manzal Le K Hum Bhi,

Shikasta Pai Baqi Rah Gai Hai,

Gharoor-E-Zindagi Banne Ko Ab To,

Meri Ruswai Baqi Rah Gai Hai,

Zameen K Sare Manzar Chup Gaye Hain,

Magar Beenai Baqi Rah Gai Hai...!


Hawa K Hathon Ki Mehrbani Se Dar Gaye Hain, Ye Phool Khushbo Ki Raigani Se Dar Gaye Hain


Poetess: Noshi Gilani

 

Hawa K Hathon Ki Mehrbani Se Dar Gaye Hain,

Ye Phool Khushbo Ki Raigani Se Dar Gaye Hain,

Humain Bhi Rukhsat Ki Rasam Kuch To Banana Thi,

Tumhari Aankhon Mein Aaye Pani Se Dar Gaye Hain,

Ye Tere Jitne Fiza Mein Aa Kar Tehr Gaye Hain,

Kisi Parinde Ki Be Zabani Se Dar Gaye Hain,

Unhein Bhi Daria Mein Apni Kashti Utarna Thi,

Jo Log Lehron Ki Sar Garani Se Dar Gaye Hain,

Ye Hum Jo Shehr-E-Wafa Mein Gum Sum Khare Howay Hain,

Phir Aik Taza Ghalat Biyani Se Dar Gaye Hain,

Abhi To Dil Ko Udas Karti Nahi Hain Shaamein,

Humain Bhi Sahil Pe Geet Likhna Thay Sipion Se,

Magar Hawaon Ki Mehrbani Se Dar Gaye Hain...!


Mohabbat Ki Aseeri Se Rehai Mangte Rehna, Bahut Aasan Nahi Hota Judai Mangte Rehna


Poetess: Noshi Gilani

 

Mohabbat Ki Aseeri Se Rehai Mangte Rehna,

Bahut Aasan Nahi Hota Judai Mangte Rehna,

Zara Sa Ishq Kar Lena Zara Si Aankh Bhar Lena,

Phir Us K Bab Mein Sari Khudai Mangte Rehna,

Kabhi Mehroom Honton Par Dua Ka Harf Rakh Dena,

Kabhi Wehshat Mein Us Ki Narsai Mangte Rehna,

Wafaon K Tasalsul Se Mohabbat Rooth Jati Hai,

Kahani Mein Zara Si Bewafai Mangte Rehna,

Ajab Hai Wehshat-E-Jan Bhi K Aadat Ho Gai Dil Ki,

Sakoot-E-Sham-E-Gham Se Hum Nawai Mangte Rehna,

Kabhi Bache Ka Nanhe Hath Par Tittli K Par Rakhna,

Kabhi Phir Us K Rangon Se Rehai Mangte Rehna...!


Hashar Ka Samaan Rehta Hai, Ya Wasl Ka Imkaan Rehta Hai,


Poetess: Noshi Gilani


Hashar Ka Samaan Rehta Hai,

Ya Wasl Ka Imkaan Rehta Hai,

Is Raste Se Us Ki Gali Tak,

Aik Charaghan Rehta Hai,

Barf Pe Dhoop Ka Jism Bhi Dekho,

Din Bhar Raqsan Rehta Hai,

Khaima-E-Sham Saja Lete Hain,

Jashan Ka Samaan Rehta Hai,

Dil K Liye To Harf-E-Dua Mein,

Dard Ka Darmaan Rehta Hai,

Jane Ki Ki Khoj Mein Tera,

Deeda-E-Hairaan Rehta Hai,

Rat Dhale Ek Khawab Ka Chehra,

Roz Paishmaan Rehta Hai...!


Sabhi Jazbe Badalte Ja Rahe Hain, K Jaise Khawab Marte Ja Rahe Hain,


Poetess Noshi Gilani

 

Sabhi Jazbe Badalte Ja Rahe Hain,

K Jaise Khawab Marte Ja Rahe Hain,

Koi Din K Liye Dil K Makeen Ko,

Nazar Andaz Karte Ja Rahe Hain,

Jo Dil Ka Haal Hai Dil Janta Hai,

Ba Zahir To Sambhalte Ja Rahe Hain,

Chale To Hain Tumhare Shehr Se Hum,

Kaf-E-Afsos Milte Ja Rahe Hain,

Kabhi Jin Mein Gharoor-E-Tazgi Tha,

Wo Khuddo Khal Dhalte Ja Rahe Hain...!


Soch Lo Chalne Se Pehle Rasta Dushwar Hai, Ishq Darwaza Nahi Hai Hijar Ki Deewar Hai

 

Poetess Noshi Gilani

 

Soch Lo Chalne Se Pehle Rasta Dushwar Hai,

Ishq Darwaza Nahi Hai Hijar Ki Deewar Hai,

Phir Fareib-E-Roz-O-Shab Ki Dosti Mumkin Nahi,

Kar Dia Inkar So Inkar Hai Inkar Hai,

Itna Khush Hon Nahi Acha Ab Us K Qurb Mein,

HIJAR Bhi In Wasl K Lamhon Ka Hisa Daar Hai,

Is Taraf To Raston Mein Dhool Si Urne Lagi,

Ab To Ja K Dekhna Hai Jo Samandar Paar Hai,

Phir Hawa-E-Shehr Mujh Se Munharif Hone Lagi,

Phir Mere Honton Pe Tere Naam Ki Takraar Hai,

Ab Kahan Chooye Gi Us K Dil K Sach Ki Roshni,

Jis K Hathon Mein Abhi Tak Jhoot Ki Talwar Hai..!

 

Hai Mohabbat Azab Barbadi, Dil Ko Ye Bat Kis Ne Samjha Di


Poetess Noshi Gilani

 

Hai Mohabbat Azab Barbadi,

Dil Ko Ye Bat Kis Ne Samjha Di,

Bewafai Ne Khaak Kar Daali Chahaton Ki Haari,

Bhari Daali Ek Shab Vasl Ki Guzarish Thi Us Ne,

Tasveer Apni Bhijva Di Tere Gham Ki Jazeera-e-Dil Mein,

Phelti Ja Rahi Hai Aabadi Kis Qadar Banjh Hoti Jati Hai,

Takht-e-Ikhlas Teri Shehzadi Waqt Zalim Tha,

Meri Har Khawahish Us Ne Deewaar-e-Gham Mein Chunwa Di..!


Nishani Koi To Ab K Safar Ki Ghar Lana, Thakan Paon Ki Aur Titlion K Par Lana,


Poetess Noshi Gilani

 

Nishani Koi To Ab K Safar Ki Ghar Lana,

Thakan Paon Ki Aur Titlion K Par Lana,

Main Likh Rahi Hon Kahani Teri Rafaqat Ki,

Jo Ho Sake To Koi Harf Motabar Lana,

Yehi Na Ho K Musalsal Wafa Thaka Dale,

Mohabbaton Mein Naya Pan Talash Kar Lana,

Jo Koh-E-Qaf Chale Ho To Chand Chehron Ka,

Mujasma Koi Acha Tarash Kar Lana,

Safar K Shoq Mein Chal To Pare Ho Tum Ghar Se,

Dukhon K Gird Se Daman Na Apna Bhar Lana,

Ajab Fiza Hai Jahan Sans Le Rahe Hain Hum,

Gharon Ko Lout K Aana To Chashm-E- Tar Lana..!


Tum Ne To Keh Dia K Mohabbat Nahi Mili, Mujh Ko To Ye Bhi Kehne Ki Mohlat Nahi Mili

 

Poetess Noshi Gilani

 

Tum Ne To Keh Dia K Mohabbat Nahi Mili,

Mujh Ko To Ye Bhi Kehne Ki Mohlat Nahi Mili,

Neendon K Deis Jate Koi Khawab Dekhte,

Lekin Dia Jalane Se Fursat Nahi Mili,

Tujh Ko To Khair Shehr K Logon Ka Khof Tha,

Aur Mujh Ko Apne Ghar Se Ijazat Nahi Mili,

Phir Ikhtalaf-E-Raye Ki Sorat Nikal Pari,

Apni Yahan Kisi Se Bhi Aadat Nahi Mili,

Be Zaar Youn Howe K Tere Ehd Mein Humain,

Sab Kuch Mila Sakoon Ki Dolat Nahi Mili..!


Apne Shagirdon Ko Ye Aam Hadayat Hai Meri K Samjh Lein Teh-E-Dil Se Wo Baja-O-Beja,

Poet Dagh Dehlvi

 Type By

 Khan61 

 UJRA_DIL

Apne Shagirdon Ko Ye Aam Hadayat Hai Meri

K Samjh Lein Teh-E-Dil Se Wo Baja-O-Beja,

Sheir Goi Mein Rahein Mad-E-Nazar Ye Batein,

K Baghair Un K Fasahat Nahi Hoti Paida,

Chast Bandish Ho Na Ho Sat Yehi Khoobi Hai,

Wo Fasahat Se Gira Sheir Mein Jo Harf Daba,

Arbi Farsi Alfaz Jo Urdu Mein Kahein,

Harf-E-Ilat Ka Bura Un Mein Hai Girna Dabna,

Alif Wasal Agar Aaye To Kuch Aib Nahi,

Lekin Alfaz Mein Urdu K Ye Girna Hai Rawa,

Jin Mein Gunjlak Na Ho Thori Bhi Sarahat Hai Wohi,

Wo Kanaya Hai Jo Tasreeh Se Bhi Ho Aola

Aib-O-Khoobi Ka Samjhna Hai Ek Amar Nazuk,

Pehle Kuch Aur Tha Ab Rang-E-Zaban Aur Howa,

Yehi Urdu Hai Jo Pehle Se Chali Aati Hai,

Dehli Ne Usay Aur Se Ab Aur Kia,

Mustanad Ehl-E-Zaban Khas Hain Dili Wale,

Us Mein Ghairon Ka Tasaruf Nahi Mana Jata,

Jo Hari Naqad Sukhan K Hain Parkhne Wale,

Hai Wo Taksaal Se Bahir Jo Kasoti Na Charha,

Baz Alfaz Jo Do Aaye Hain Ek Maani Mein,

Aik Ko Tark Kia Aik Ko Qaim Rakha,

Tark Jo Lafz Kia Ab Wo Nahi Mustamal,

Agle Logon Ki Zaban Par Wohi Deta Tha Maza

Gar Cheh Tanqeed Buri Hai Magar Achi Hai Kahein,

Ho Jo Bandish Mein Munasib To Nahi Aib Zara,

Sheir Mein Hashoo-O-Zawaid Bhi Bure Hote Hain,

Aisi Bharti Ko Samjhte Nahi Shaair Acha,

Gar Kisi Sheir Mein Etaaye Jali Aata Hai,

Wo Bara Aib Hai Kehte Hain Usay Be Maani,

Ista'ara Jo Maze Ka Ho Maze Ki Tashbeeha,

Us Mein Ek Lutf Hai Us Kehne Ka Phir Kia Kehna,

Istalah Achi Misal Achi Ho Bandish Achi,

Roz Mara Bhi Rahe Saf Fasahat Se Bhara,

Hai Izafat Bhi Zaroori Magar Aisi To Na Ho,

Aik Misar-E-Mein Jo H6 Char Jaga Bal K Siwa,

Atf Ka Bhi Yehi Haal Yehi Sorat Hai,

Wo Bhi Aaye Mutawali To Nihayat Hai Bura,

Laf-O-Nashar Aaye Muratab Wo Bahut Acha Hai,

Aur Ho Ghair Muratab To Nahi Kuch Beja,

Sheir Mein Aaye Jo Ayeham Kisi Moqa Par,

Kaifiat Us Mein Bhi Hai Wo Bhi Nihayat Acha,

Jo Na Marghoob Tabiat Ho Buri Hai Wo Radeef,

Sheir Be Lutf Hai Gar Qafia Ho Be Dhanga,

Aik Misara Mein Ho Tum Doosre Misra Mein Ho TO,

Ye Shitar Garba Howa Main Ne Isay Tark Kia,

Chand Behreen Mutaarif Hain Faqt Urdu Mein,

Farsi Mein Arbi Mein Hain Magar In K Siwa,

Sheir Mein Hoti Hai Shaair Ko Zaroorat Us Ki,

Gar Arz-O-Us Ne Parha Wo Hai Sukhan Wardana,

Mukhtasar Ye Hai K Hoti Hai Tabiat Ustad,

Deen ALLAH Ka Hai Jis Ko Ye Nemat Atta Ho,

Be Asar K Nahi Hota Kabhi Maqbool Kalam,

Aur Taseer Wo Shaye Hai Jise Deta Hai Khuda,

Gar Che Dunia Mein Howay Aur Hain Lakhon Shaair,

Kasab-E-Fun Se Nahi Hoti Hai Ye Khoobi Paida,

Syed Ahsan Jo Merd Dost Bhi Shagird Bhi Hain,

Jin Ko ALLAH Ne Di Fikar-E-Rasa Taba-E-Rasa,

Sheir K Husn-O-Qabah Jo Unhon Ne Poche,

Un Ki Darkhawast Se Ek Qatta Barjasta Kaha,

Pand Nama Jo Kaha Dagh Ne Bekaar Ne,

Kaam Ka Qatta Hai Ye Waqt Pe Kaam Aaye Ga..!

Baithe hai pehlo mein raat bhar Chalo sab diye bujha kar dekhtey hain


Poet:Hafiz Khurram


Baithe hai pehlo mein raat bhar

Chalo sab diye bujha kar dekhtey hain

Dukh0n se bhara baitha tha or

Wo bhi mushkura kar dekhtey hain

Aa jaye kuch taras janib ko

Aashk sab aj baha kar dekhtey hain

Koi bhi samjhta nahi tha baat ko

Un ko he chalo samjha kar dekhtey hain

Hum ne kuch khush'khat likhwa behja

Ab un ka arz-e-jawab dekhtey hain

Aa jaye ga Eid k rooz Khurram

Hum bhi sab giley bhula kar dekhtey hain


Chalo Lot Chalte Hain, Us Bechpan Ki Taraf

 

Eid Collectione 2015

Poet Umar Raahi

Type

By

*_FAROOQI.54_*

Chalo Lot Chalte Hain,
Us Bechpan Ki Taraf,

Na Ishq Tha Hamein,

Na Mohabbat Thi,

Na Pyar Tha Kisi Say,

Chalo Lot Chalte Hain,
Us Bechpan Ki Taraf,

Jab Dukh Darad Gham Naam Say Anjaan The,

Chalo Lot Chalte Hain,
Us Bechpan Ki Taraf,

Jab Har Din Tha Eid Ka Din,

Jab Har Lagta Tha Khushi Ka Din,

Jab Chhup Chhup K Rona Na Tha,

Aankh Ka Youn Barsna Na Tha,

Jab Din Ka Tarrpna To Raaton Ka Jagna Na Tha,

Chalo Lot Chalte Hain,
Us Bechpan Ki Taraf,

Jab Jawaani Youn Aai Na Thi,

Jab Akaile Mein Bhi Tanhai Na Thi,

Jab Ishq Say Aashnaai Na Thi,

Chalo Lot Chalte Hain,
Us Bechpan Ki Taraf,

Jab Roz Eid Manaya Karte The,

Jab Roz Geet Khushi Gaya Karte Thay...............*

 

Gay Dino Ki Baat Hai,, ' Shabaab Par Bahaar Thi,,

-

CollEction

RaJu-Jaan-*

-

Gay Dino Ki Baat Hai,,

'

Shabaab Par Bahaar Thi,,

'

Fiza Bhi Khushgawar Thi,,

'

Na Janay Kiyon Machal Parra,,

'

Main Apne Ghar SE Chal Parra,,

'

Kisi Ne Mujhe Ko Rok Kar,,

'

Bari Adaa Se Tok Kar,,

'

Kaha K Loat Aaiye,,

'

Meri Qasam Na Jaaiye,,

'

'

Aaj Phir,,

'

Wohi Haseen Shaam Hai,,

'

Bahaar Jis Ka Naam Hai,,

'

Chala Hon Ghar Ko Chhorr Kar,,

'

Na Jaanay Jaon Ga Kidhar,,

'

Koi Nahi Jo Rok Kar,,

'

Koi Nahi Jo Tok Kar,,

'

Kahay K Loat Aaiye,,

'

Meri Qasam Na Jaaiye...>*

*._.*

-

'AfSuRdaH'

 

Gham-E-Hayaat Mein Eid Aane Se, Mera Dill Sulagta Hai,


=¤=¤=¤=¤=¤=¤=¤=
Eid Collection-2015
=¤=¤=¤=¤=¤=¤=¤=

Poet Ayaz Khan

Type By

*._Ayaz_Khan_.*

Gham-E-Hayaat Mein Eid Aane Se,

Mera Dill Sulagta Hai,

Tera Aur Ki Bahoon
Mein Eid Manane Se,

Mera Dill Sulagta Hai,

Jab Kabhi Mein Teri Tasveer Ko Seene Se Lagta Hoon,

Youn Tarp Tarp Kar Aashk Bhaane Se,

Mera Dill Sulagta Hai,

Too Ne Mujhe Chor Dia Aur Phir Mera Dill Tor Dia,

Tanhaai Mein Janaa Ye Khayal Aane Se,
Mera Dill Sulagta Hai,

Too Ne Jo Waade Kiye Mujh Se Sub Ke Sub Jhothe The.

Ab To Kisi Aur Ko Jaana Aazmane Se,

Mera Dill Sulagta Hai,

Pardees Mein Betha Hoon Tere Sheher Se Door,

Ab To Eid Par Tere Sheher Aane Se,

Mera Dill Sulagta Hai,

Ab Zullmi Ke Labon Par Muskorahat Nahi Aati Hai,

Shagofe Apne Honton Par Sajane Se,

Mera Dill Sulagta Hai.......!


Eid Ka Aana Rula Daita Hai, Guzrta Jo Bin Taire Wo Zamana Rula Daita Hai


Eid Collection 2015

Poet Umar Raahi

Type

By

*_FAROOQI.54_*

Eid Ka Aana Rula Daita Hai,

Guzrta Jo Bin Taire Wo Zamana Rula Daita Hai,

Too Ja Kar Pardais Bas Gaya,

Dil Ka Soona Thikana Rula Daita Hai,

Lot Aao Ik Baar Deed To Kara Jao,

Bin Tairi Deed Eid Manana Rula Daita Hai,

Bikhri Zulfain Sooni Aankhein,
Khaali Kalaaiya'n,

Eid Par Bin Taire Mehndi Lagana Rula Daita Hai,

Maire Saathi Maire Ham Safar Maire RAAHI,

Eidein Thi Sang Taire

Ab Eid Manana Rula Daita Hai....................*


Mujhe Zindagi Mein Tumahari Zarorat Ho Gi, Ye Chand Lamho Ki Nahi Umer Bhar Ki Rafaqat Ho Gi


=¤=¤=¤=¤=¤=¤=¤=
Eid Collection-2015
=¤=¤=¤=¤=¤=¤=¤=

Poet Affan Khan

Type By

*._Ayaz_Khan_.*

 

Mujhe Zindagi Mein Tumahari Zarorat Ho Gi,

Ye Chand Lamho Ki Nahi Umer Bhar Ki Rafaqat Ho Gi,

Tere Khene Par Lagai Hai Ye Mehindi Mein Ne,

Too Agar Eid Par Na Aaya To Qayamat Ho Gi,

Suno Tum Mere Dil Se Hargiz Mat Khelna Warna,

Phir Kisi Ko Kisi Se Na Kabhi Mohabbat
Ho Gi,

Mein Teri Yaadon Se Jab Tak Wazoo Na Kar Loon,

Mukamal Na Kabhi Meri Koi Bhi Ibadat Ho Gi,

Too Ne Is Eid Par Bhi Gar Apna Wada Na Kia Pura.

AFFAN Tujhe Apne Wadon Par Bahut Nadamat Ho Gi......!


Kahan Aa Ke Rukne Thy Qafly,Kahan Mor'r Tha Ise Bhool Ja


کہاں آکے رکنے تھے قافلے
کہاں موڑ تھا اسے بھول جا
 
وہ جو مل گیا اسے یاد رکھ

جو نہیں ملا اسے بھول جا
 
وہ میرے نصیب کی بارشیں
کسی اور چھت پہ برس گئیں
 
دل بے خبر میری بات سن
اسے بھول جا اسے بھول جا


Idhar Bhi Ik Nigaah-e-Rooh Parwar,Hamara Dil Bhi Hai Aafat Raseeda


اِدهر بهی اک نگاہِ روح پرور،
ہمارا دل بهی ھے آفت رسیده ___ 
 
بساطِ زندگی پہ کهڑے ہیں،

گریباں چاک اور دامن دریده ___ 


Main Ek Setaare Ki Sorat Pe Mar Mita Warna Falak Se Karta Raha Chaand Bhi Ishaare Mujhe


ميں اک ستارے كى صورت پہ مر مٹا ورنہ

فلک سے كرتارہا چاند بھى اشارے مجھے

 

Main Ek Setaare Ki Sorat Pe Mar Mita Warna

Falak Se Karta Raha Chaand Bhi Ishaare Mujhe


Mojood Thi Udasi Abhi Pechli Raat Ki , Behla Tha Dil Zara Saa Keh Phir Raat Aa Gayi


موجود تھی اداسی ابھی پچھلی رات کی
.
.
بہلا تھا دل ذرا سا کہ پھر رات آگئ


Neend Bhi Nilaam Ho Jati Hai Bazaar-e-Ishq Mein


Neend Bhi Nilaam Ho Jati Hai Bazaar-e-Ishq Mein

.

.

Itna Aasan Nahi Hota Kisi Ko Bhool Ke So Jana


Jab Bhi Rut Gadraai Muasam Bheega Aankhein Bheeg Gai


Poet Farhat Abaas Shah

Type

By

*_FAROOQI.54_*

Jab Bhi Rut Gadraai Muasam Bheega Aankhein Bheeg Gai,

Jab Bhi Chaand Zara Aangan Pe Thehra Aankhein Bheeg Gai,

Taiz Hawa Jab Hum Ko Pagal Keh Kar Pas Se Guzri To,

Hum Ne Us Ki Baat Pe Hansha Chaha Aankhein Bheeg Gai,

Koi Sard Hawa Ka Jhonka Chhoo Kar Guzra Baalo Ko,

Koi Baadal Sa Aankhon Mein Utra Aankhein Bheeg Gai,

Kal Main Yonhi Gher Iraadi Tor Pe Sada Kaghar Par,

Likhte Likhte Jane Kaya Likh Betha Aankhein Bheeg Gai,

FARHAT Jee Mat Poochho Hum Jese Deewanon Ki Khushiyaan,

Hanste Hanste Jounhi Dil Mein Jhanka Aankhein Bheeg Gai...................*


Kash Main Tere Haseen Hath Ka Kangan Hota, Too bare Pyar Se Chao Se Baray Maan K Saath



Poet Wasi Shah

Kash Main Tere Haseen Hath Ka Kangan Hota,

Too bare Pyar Se Chao Se Baray Maan K Saath,

Apni Nazuk Si Kalaai Mein Charhaty Mujh Ko,

Or Betaabi Se Furqat K Khiza Lamhon Mein,

Tuo Kisi Soch Mein Doobe Jo Ghumate Mujh Ko,

Main Tere Haath Ki Khushboo Se Mehak Sa Jata,

Jab Kabhi Mood Mein Aakar Mujhe Chooma Karti,

Tere Honton Ki Main Hiddat Se Dehak Sa Jata,

Raat Ko Jab Bhi Tu Neend K Safar Pe Jati,

Marmarin Haath Ka Ek Takiya Banaya Karti,

Main Tere Kaan Se Lag Kar Kaii Baatain Karta,

Teri Zulfon Ko Tere Gaal Ko Choomaa Karta,

Kujh Ko Betaab Sa Rakhta Teri Chaahat Ka Nasha,

Main Teri Rooh K Gulshan Mein Mehakta Rehta,

Main Tere Jism K Aangan Mein Khanakta Rehta,

Kuch Nahi To Yehi Benaam Sa Bandhan Hota,

Kash Main Tere Hanseen Haath Ka Kangan Hota.


Patakh Raha Hai Bahaar Main Shaakh-e-Gul Pe Youn Andleeb Sar Ko


Patakh Raha Hai Bahaar Main Shaakh-e-Gul Pe Youn Andleeb Sar Ko,

.

.

Keh Jaise Koi Pujaari Dar-e-Sanam Khatkhata Raha Hai.......!

 

Poet:A.H.Addum

 

Ujr'ri Hoi Dukan Gulabon Ki Dekh QAIS


اجڑی ہوئی دکان گلابوں کی دیکھ قیس

گھر آ کے اتنا رویا کہ ہلکان ہو گیا!

شہزاد قیس


Ab To Is Raah Se Wo Shakhs Guzarta Bhi Nahi


 

 

Asla'an Naal Je Neki Kariye,Nasla'an Tak Nahi Pulde




Wafa Main Ab Ye Hunr Ikhtiyaar Karna Hai


وفا میں اب یہ ہنر اختیار کر نا ہے

وہ سچ کہے نہ کہے ، اعتبار کرنا ہے

یہ تجھ کو جاگتے رہنے کا شوق کب سے ہوا

مجھے تو خیر ترا انتظار کرنا ہے

ہوا کی زد میں جلانے ہیں آنسووں کے چراغ

کبھی یہ جشن سر_ راہ گزار کرنا ہے

مثال _شاخ _برہنہ ، خزاں کی رت میں کبھی

خود اپنے جسم کو بے برگ و بار کرنا ہے

تیرے فراق میں دن کس طرح کٹیں اپنے

کہ شغل _شب تو ستارے شمار کرنا ہے

کبھی تو دل میں چھپے زخم بھی نمایاں ہوں

قبا سمجھ کے بدن تار تار کرنا ہے

خدا خبر یہ کوئی ضد کہ شوق ہے محسن

خود اپنی جان کے دشمن سے پیار کرنا ہے


Hijar Ke Saare Din Hain Pore


ﮨﺠﺮ ﮐﮯ ﺳﺎﺭﮮ ﺩﻥ ﮨﯿﮟ ﭘﻮﺭﮮ

ﻟﯿﮑﻦ ﮨﮯ ﮨﺮ ﺭﺍﺕ ﺍﺩﮬﻮﺭﯼ

ﻟﻔﻈﻮﮞ ﮐﯽ ﮔﮩﺮﺍﺋﯽ ﻣﯿﮟ ﺟﮭﺎﻧﮑﻮ

ﺳﻤﺠﮭﮩﻮ ﻧﮧ ﮨﺮ ﺑﺎﺕ ﺍﺩﮬﻮﺭﯼ

ﻧﻢ ﺁﻧﮑﮭﯿﮟ ﺍﻭﺭ ﺳﻮﮐﮭﯽ ﭘﻠﮑﯿﮟ

ﮨﻮﺗﯽ ﮨﮯ ﺑﺮﺳﺎﺕ ﺍﺩﮬﻮﺭﯼ

ﻣﺠﮫ ﺳﮯ ﻣﺠﮫ ﮐﻮ ﭼﮭﯿﻦ ﮔﺌﮯ ﺗﻢ

ﺭﮦ ﮔﺌﯽ ﻣﯿﺮﯼ ﺫﺍﺕ ﺍﺩﮬﻮﺭﯼ


Teri Khushbo Nahi Milti,Tera Lehja Nahi Milta


تیری خوشبو نہیں ملتی، تیرا لہجہ نہیں ملتا

 ہمیں تو شہر میں کوئی ترے جیسا نہیں ملتا
یہ کسی دھند میں ہم تم سفر آغاز کر بیٹھے،
تمہیں آنکھیں نہیں ملتی ہمیں چہرہ نہیں ملتا

 ہر اک تدبیر اپنی رائیگاں ٹھہری محبت میں،
کسی بھی خواب کو تعبیر کا رستہ نہیں ملتا۔


Tum Khafa Kyun Ho? Tumhain Mujhse Gila Kia Hai


Tum Khafa Kyun Ho?
Tumhain Mujhse Gila Kia Hai?

Achanak Be-Rukhi Itni?
Batao To Hua Kia Hai?

Manaon Kis Tarah Tumko
Mujhy Itna To Batla Do

Agar Ab ho Sakey Tumse
To Ye Ehsaan Kar Do

Meri Manzil Mohabbat Hai
Mujhy Manzil Pe Pohancha Do

Tumhari Aankh Mein Aansu
Mujhy Ache Nahi Lagte

Tumhary Narm Honton Pe
Gilay Ache Nahi Lagte

Tumhary Muskurane Se
Mera Dil Muskurata Hai

Tumhary Rooth Janey Se
Mera Dil Toot Jata Hai........!


Bohat se log they mehmaan mere ghar lekin, Wo janta tha k hey ehtamam kis k liye

 

Bohat se log they mehmaan mere ghar lekin,
Wo janta tha k hey ehtamam kis k liye..

 

 

Us Ki Mutthi Main Buhat Roz Raha Mera Wajood,Mere Saahir Se Kaho Ab Mujhe Azaad Kare



اُس کی مُٹّھی میں بہت روز رہا میرا وجود


میرے ساحر سے کہو اب مجھے آزاد کرے




پروین شاکر

Zindagi Mein To Sabhi Pyar Kiya Kartay Hain, Main To Mar Kar Bhi Mairi Jaan Tumhein Chahon Ga,

 

Singer
Mehdi Hassan

Type
By

*_FAROOQI.54_*

 

Zindagi Mein To Sabhi Pyar Kiya Kartay Hain,

Main To Mar Kar Bhi Mairi Jaan Tumhein Chahon Ga,

Too Mila Hai To Ye Ahsas Huwa Hai Mujh Ko,

Ye Mairi Umar Mohabbat K Liye Thorri Hai,

Ik Zara Sa Gham-E-Dora'n Ka Shaq Hai Jis Par,

Main Nay Wo Sans Tairay Liye Rakh Chhorri Hai,

Tujh Pay Ho Jaon Ga Qurban,
Tujhay Chahon Ga,

Apnay Jazbat Mein Naghamat Rachanay K Liye,

Main Nay Dharrkan Ki Tarah Dil Mein Basaya Hai Tujhay,

Main Tasvur Bhi Judai Ka Bhala Kaisay Karon ?

Main Nay Qismat Ki Lakeeron Say Churaya Hai Tujhay,

Pyar Ka Ban K Nigehban Tujhay Chahon Ga,

Tairi Har Chap Say Jaltay Hain Khayalon Mein Charagh,

Jab Bhi Too Aaye,
Jagata Huwa Jadoo Aaye,

Tujh Ko Chhoo Loun To Phir Ay Jaan-E-Tamna Mujh Ko,

Dair Tak Apnay Badan Say Tairi Khushboo Aaye,

Too Bahaaron Ka Hai Unwan Tujhay Chahon Ga.......................!


Choota Jo Tera Haath To Hum Toot Ke Roye Tum Jo Na Rahe Saath To Hum Toot Ke Roye


Choota Jo Tera Haath To Hum Toot Ke Roye

Tum Jo Na Rahe Saath To Hum Toot Ke Roye


Chahat Ki Tamanna Thi Aur Zakham Diye Tum Ne

Paayi Jo Ye Saughaat To Hum Toot Ke Roye

 

Imkaan Na Tha Door Talak Tajdeed-E-Talluq Ka

Dekhe Jo Ye Halaat To Hum Toot Ke Roye


Anjaan Thy Hum Ab Tak Dard Ki Sorat Se

Hoi Jo Mulaqaat To Hum Toot Ke Roye


Logon Se Buhat Poocha Sabab Veerani ka

Jo Soojhi Na Koi Baat To Hum Toot Ke Roye


Thii Dhoop Buhat Taiz Har Simat Judayi Ki

Barsi Jo Na Barsaat To Hum Toot Ke Roye


Din Bhar To Rahe Chup Ke Dunya Ki Nazron Se

Bheegi Jo Siyaah Raat To Hum Toot Ke Roye


Samjha Tha Sadaa Tujh Ko Apna Hi Ik Hissa

Tukr'ron Mein Batti Zaat To Hum Toot Ke Roye

 

Hum Karte Rahe Kiyon Us Chhand Ki Khuwahish

Yaad Aayi Jo Aukaat To Hum Toot Ke Roye

 

**********NOMI**********

 

Ye Dolat Bhi Le Lo Ye Shohrat Bhi Le Lo


Singr Jag Jeet Singh

Type bY
UJRRA_DIL

Ye Dolat Bhi Le Lo
Ye Shohrat Bhi Le Lo,

Bhale Chheen Lo Mujh Se Meri Jawani,

Mgar Mujh Ko Lota Do,
Wo Bechpan Ka Sawan,
Wo Kaghaz Ki Kashti,
Wo Barish Ka Pani,

Muhle Ki Sub Say Purani Nishani,

Wo Burrhiya Jise Beche Kehte Thay Nani,

Wo Nani Ki Baton Pe Pariyon Ka Dera,

Wo Chehare Ki Jhuriyon Mein Sadiyon Ka Phaira,

Bhulaye Nahi Bhool Sakta Hai Koi,

Wo Chhoti Si Ratein,
Wo Lambi Kahaani,

Karri Dhoop Mein Apne Ghar Se Nikalna,

Wo Chirriya Wo Bulbul,
Wo Titli Pakrrna,

Wo Gurriya Ki Shadi Pe,
Larrna Jhagrrna,

Wo Jhoolon Se
Girna,
Wo Gir K Sanbhlna,

Wo Peetal K Chhalo'n K Pyare Se Tohfay,

Wo Tooti Hui Choorriyon Ki Nishani,

Wo Kaghaz Ki Kashti,
Wo Barish Ka Pani................!


Jeevan Ko Dukh,Dukh Ko Aag Aur Aag Ko Paani Kehte Bache Lekin Soye Hove Thay Kis Ko Kahani Kehte


Jeevan Ko Dukh,Dukh Ko Aag Aur Aag Ko Paani Kehte

Bache Lekin Soye Hove Thay Kis Ko Kahani Kehte


Sach Kehne Ka Hosala Tum Ne Cheen Lia Hai  Warna

Sheher Main Phaili Veerani Ko Sab Veerani Kehte


Waqt Guzarta Jata Aur Ye Zakham Harey Rehte To

Bar'ri Hifazat Se Rakhi Hai Teri Nishaani Kehte


Wo To Shayed Dono Ka Dukh Aik Jaisa Tha Warna

Hum Bhi Pathar Marte Tujh Ko Aur Deevani Kehte


Tabdeeli Sachayi Hai Is Ko Mante Lekin Kaise

Aayine Ko Dekh Ke Ik Tasveer Puraani Kehte


Tera Lehja Apnaya Ab Dil Mein Hasrat Si Hai

Apni Koi Baat Kabhi To Apni Zubaani Kehte


Chup Reh Kar Izhaar Kia Hai Keh Sakte To "ANEES"

Aik Alaheda Tarz-e-Sukhan Ka Baani Kehte.........!

 

**********NOMI**********

 

Gulshan Pak Hamara, Tan Man Dhan Se Pyara

 

Poet Nasir Kazmi
Type
By
*_FAROOQI.54_*

Gulshan Pak Hamara,

Tan Man Dhan Se Pyara,

Hum Ko Naaz Hai Is Gulshan Par,

Hum Ne Kitni Jaanein Day Kar,

Is Ka Rang Ubhaara,

Gulshan Pak Hamara,

Baste Shehar Zameen K Sehray,

Tehzeebon K Roshan Chehray,

Ghar Ghar Chaand Staara,

Gulshan Pak Hamara,

Pak Faza Parcham Noorani,

Baidaari Ki Zinda Nishani,

Nusrat Ka Gehwaara,

Gulshan Pak Hamara.......*


Aadhi Raat K Shayd Sapnay Jhootay Thay, Ya Phir Pehali Baar Staray Tootay Thay


Poetess: Naina'n


Type

By

*_FAROOQI.54_*

Aadhi Raat K Shayd Sapnay Jhootay Thay,

Ya Phir Pehali Baar Staray Tootay Thay,

Jis Din Ghar Say Bhag K Shehar Ponchi Thi,

Bhag Bhari K Bhag Usi Din Phootay Thay,

Mazhab Ki Bunyad Ye Kaya Taqseem Hui ?

Hamsayon Nay Hamsaye Hi Lootay Thay,

Shokh Nazar Ki Chutki Nay Nuqsan Kiya,

Hathon Say Chae K Bartan Chhootay Thay,

Aurrh K Phirti Hai Jo NAINA'N Sari Raat,

Us Raisham Ki Shal Pay Yaad K Bootay Thay.................!


Du Gatte Kor Tawan La Bozai Ma Charta Bal Jahan La Bozai

 

Poet:Muhammad Israr Atal

Type By

*.__NOMI__.*

 

Tapaize

 

Du Gatte Kor Tawan La Bozai

Ma Charta Bal Jahan La Bozai

Yao Zal Mi Khpal Arman La Bozai

Ma Du Kabul Janan La Bozai

Du Pekhawar Du Khkulo Star're Yam Mayana

Khair Dy Pu Sod Pu Ziyan De Washi

Zama Du Zr'ru Tawan De Washi

Kho Bas Zama Du Gran De Washi

Sta Du Wisaal Baraan De Washi

Khair Dy Ku Zu Du Maire Lond Kor Ta Razama

Pakhuwaney Yaad Mi Rapa Zr'ru Sho

Du Zar'rgi Sod Mi Pre Wanu Sho

Khalqa Du Meeney yaar Mi Sa Sho

Pu Rebarano Raza Nu Sho

Os Ba Palao Yaar Ta Pakhpala Ghuwar'raoma

Du Pukhton Khuwa Du Khkulo Khan Dy

Ashna Khpal Husan Ta Heran Dy

Pu Ma Du Khpala Zaana Gran Dy

Janan Zama Pa Sar Janan Dy

Ku Zu Ye Pregdam Du Koso Malang Ba Sheena

Toora Du Nang Waha Rakheja

Ghar Ao Gar'rang Waha Rakheja

Laachi Lawang Waha Rakheja

Spomiah Kr'rang Waha Rakheja

Yaar Mi Du Gulo Lao Kavi Gote Rebeena

Du Nazar Taar Mi Warla Yaosai

Yao Yao Parhaar Mi Warla Yaosai

Da Zr'ru Bemaar Mi Warla Yaosai

Du Shundo Pahar'r Mi Warla Yaosai

Ku Janan Khudai Rasool Mani No Rabasheena

Che Zr'ru Ye Yaar Pase Qalam Vi

Du Meene Shor Ye Cham Pu Cham Vi

Che Chaa Sara Khuwa Ke Sanam vi

Ku Sar're Der Pu Zr'ru Muhkam vi

Che Du Janan Du Ghege Zi Jar'ra Kaveena

Qisai Jahan Rapase Wakr're

Ku Der Khafgaan Rapase Wakr're

Zaar Ao Qurbaan Rapase Wakr're

Bya Ba Armaan Rapase Wakr're

So Wraze Yama Zr'ru Mi Kha Saata Mayana

Zr'ru Mi Pa Khpala Raza Byayei

Du Meene Dashte Rata Khaayei

Pu Khula Da Ghaley Zr'ru Ke Wayei

Ku Zu Khabar We Che Yaar Byayei

Ma Ba Tasveer Warla Du Shpey westaley Wona

Kali Ta Mu Za Pu Khaar Rasha

Ya Musafara! Yao War Rasha

Saa Mi Dy Ta Ta Esaar Rasha

Yao Zaley Bya Pu De Laar Rasha

Pu Pukhano Paloono De Prewatal Gardoona

Asmaan Ke Stoori Goori Raghey

Yaar Du Spogmai Pu Soori Raghey

Zama Sandare Shorai Raghey

Baad Du Kabul Du Loori Raghey

Pu Noro Treekh Wo Pu Ma Khog Olagedana

Star're Che Sta Pu Intezaar Sham

Dard Shama,Sr'reeka Sham Parhaar Sham

Du Zaana Wrak Shama Sta Yaar Sham

Du Kabul Seenda La Ta Zaar Sham

Du Shah Laila Du Khuley Kangaal Darke Razeena

Tol Armanona Mi Barbaad Sho

Lar'ra Hujra Jomaat Ke Baad Sho

Os Pu Pradi Khaar Ke Abaad Sho

Islam Abad Ke Mi Rayaad Sho

Laila Pu Zor'r Par'roni Speen Makh Pataveena

 Pu Sro gharmo Dy Swazedale

Kha Dardedale,Jar'redale

Wraz Ke Mi Yao Nazar Leedale

 Ta Ku Zama Zr'ru Ta Katale

Zu Ba Beyarta Beyarta Tlam Ta Ba Newama

Du Tooro Shrang ke Ku Oda Shwe

Nu Du Hujre Nu Du Kalu Shwe

Toorzan Pu Sa Pukhtoon Pu Sa Shwe

Ku Pu Maiwand Ke Shaheed Nu Shwe

Grana Laliya Be-Nangai La De Saateena

Ay Du Kabul Khaista Janana

Wale Khafa Garze Zama Na

Zr'ru ba Mi Ochvi Du Khafgaana

Ya Pa Ma Grana Be La Tana

Pu Ma Wadana Dunya Wrana Da Mayina

Lar're Du Bal Pu Loori Laar're

Sa Du Pagal Pu Loori Laar're

Du Khpal "ATAL" Pu Loori Laar're

Che Du Kabul Pu Loori Laar're

Laka Du Gul Mi Zar'rgey Panr're Panr're Shona.........!

 

**********NOMI**********

 

Aise Jurri Hui Teri Tasveer Dil Mein Hai, Jese Keh Poori Waadi-E-Kashmeer Dil Mein Hai


Poet Abdul Hameed Adam

Type

By

*_FAROOQI.54_*

Aise Jurri Hui Teri Tasveer Dil Mein Hai,

Jese Keh Poori Waadi-E-Kashmeer Dil Mein Hai,

Is Roshni Ki Had Hai Koi Aur Na Intiha,

Halaki Si Ik Umeed Ki Tanveer Dil Mein Hai,

Itna Mere Qareeb Na Betho Janaab-E-Man,

Had Se Ziyada Lazat-E-Taqseer Dil Mein Hai,

Nawok Chalane Wale Ko Kitni Duaein Doon ?

Piyosat Aik Shehad Bhara Teer Dil Mein Hai,

Too Phaink Kar To Dekh Kamnd Apni Zullf Ki,

Bay Intiha Mohabbat-E-Zanjeer Dil Mein Hai,

Aate Hain Dekhne Jise Pariyon K Jhandd ADAM,

Heran Hoon Aisi Kon Si Ta'ameer Dil Mein Hai....................?


Tahzeeb Be-Naqaab Ki Aankhein Nikaal Do Us Quam K Shabbaab Ki Aankhein Nikaal Do



Poet:Saghar Siddiqui

Tahzeeb Be-Naqaab Ki Aankhein Nikaal Do
Us Quam K Shabbaab Ki Aankhein Nikaal Do

Jis Ki Sada Nay Waqt Ko Baidar Kar Diya
Us Sahib-e-Kitaab Ki Aankhein Nikaal Do

Ab Manzil-e-Wafa Ki Zaroorat Nahi Rahi
Har Azam-e-Kamyaab Ki Ankhein Nikaal Do

Jis Nay Sama'aton Ko Diya Dars-e-Be-Khodi
Us Naghma-e-Rabbab Ki Aankhein Nikaal Do

Jis Main Na Ho Baseerat-e-Insan Ki Chaandni
Us Sheesha-e-Sharaab Ki Aankhein Nikaal Do

Makhmoor Gaisowon Ki Ghataon Ka Wazan Hai
Pur Noor Mehtaab Ki Aankhein Nikaal Do

SAGHAR
Nikhar Sakay Na Jahan Nighat-e-Khodi
Us Qariya-e-Gulaab Ki Aankhein Nikaal Do..........!

Chaak-e-Daman To Kher Sil Jata.

 

Chaak-e-Daman To Kher Sil Jata......

.

.

Chaak-e-Hasti Kahan Rafoo Karte......

.

A.H.Addam

.

Baran Waregi Ma Ta Taa Yadavi Da Sta War'ra War'ra Khanda Yadavi

 

Poet:Muhammad Israr Atal

Type By

*.__NOMI__.*

Tapaiza Sandara

 

Baran Waregi Ma Ta Taa Yadavi

Da Sta War'ra War'ra Khanda Yadavi

Du Pukhtonkhuwa Du Khkulo Khan She

Qurban Qurban Janan Janan She

Da Mi Dua Da Che Wadan She

Kabul Ta Mu Waya Che Wran She

Dy Che Wranegi Zama Zr'ru Warsara Chuweena


Baran Che Kala Hum Waregi

Pu Musafaro Sa Teregi

Zr'ru Mi Nare Nare Khugigi

Sta ba Zama na Gila Kegi

Zama Du Kor Pu Khalqo Nu Rasi Lasoona

Pu Naz Khabare De Maza Ka

Du Meene Chal Du Cha Na Zda Ka

Baran Waregi Dalta Shpa Ka

Awal Chelam Rata Taza Ka

Bya Ba Qisse Du Star'ri Jwand Darta Koma

Du Khpale Meene Zor Ta Gore

Zama Du Zr'ru Takor Ta Gore

Sa Waile Nu She Wror Ta Gore

Lewanai Khkata Porta Gore

Du Kali Mianz Ta Du Shpelai Awaz Razeena

Baran Waregi Ma Ta Taa Yadavi

Da Sta War'ra War'ra Khanda Yadavi

 

**********NOMI********** 

 

Goriyoon Kaliyoon Ne Maar Dia, Jaamnoon Waliyon Ne Maar Dia


Poet Abdul Hameed Addam


Type

By

*_FAROOQI.54_*

Goriyoon Kaliyoon Ne Maar Dia,

Jaamnoon Waliyon Ne Maar Dia,

Ang Hai Ya Rakaabiyan Dhun Ki ?

Mohni Thaliyon Ne Maar Dia,

Gungunaate Haseen Kaanon Ki,

Dolti Baaliyon Ne Maar Dia,

Auday Auday Sahaab Se Aanchal,

Rang Ki Jaaliyon Ne Maar Dia,

Zulf Ki Nikhaton Ne Jaan Le Li,

Hontoon Ki Laaliyon Ne Maar Dia,

Uff Wo Pyaase Muaez'Zeen Jinhein,

Rass Bhari Daaliyon Ne Maar Dia,

Jhoomti Daaliyon Se Jisam ADDAM,

Jhoomti Daaliyon Ne Maar Dia....................*


Takoreezey

 

Poet:Muhammad Israr Atal

Type By

*.__NOMI__.*

********************
Takoreezey
********************

Yadona "Takoreeza Du Pukhto Nawe Sanaf Dy,
Che Pu Awal Zal Staso Pu Wr'rande Dy"

Charta Khuwar Nu She
Ao Be-Laar Nu She
Da Mi Dua Da
Che Bemaar Nu She
Bachiya Du School Na Qarar Nu She
Zu Ba Pradai Jaame Gandam Ta Ba saatama

Sta Gham Mi Mal Dy
Zaka Mi Khpal Dy
Khog Pekhawar Dy
Shereen Kabul Dy
Watan De Byal,Watan Mi Byal Dy
Dua Salam de Ra-lega Che Sok Razeena

His Darna Nu Wr'ri
Gham Ba Pu Zr'ru Wr'ri
Khuwago La Rashi
Hamesh Trakhu Wr'ri
Khuwendey Du Ror Du Kora Sa Wr'ri
Khuwaru Zulfaan Pu Oogo Wr;ri Pu Jar'ra Zeena

Ilam Ba Zyat Kr'ram
Kha Ba Haalaat Kr'ram
Da Sta Khabaro
Mayin Pu Swat Kr'ram
Za Che Nazar Darbande Maat Kr'ram
Janana Khalaq De Har Zaai Sifat Kaveena

**********NOMI**********

 

Saloreeza

 

Poet:Muhammad Israr Atal

Type By

*.__NOMI__.*

**********
Saloreeza
**********
Ma Ku Pu Hera Charta Swal Du Pasarli Kar'reVi
Zikar Awal Ba Mi Du Khpal Zr'ru Lewani Kar're Vi
Ku Mi Loyi Chare Raghaley Ve Zara Pu Zr'ru Ke
Da Ba Mi Hase Du Raqeeb Sara Siyaali Kar're Vi

**********NOMI**********

 

Ma Meena Kar're

 

Poet:Muhammad Israr Atal

Type By

*.__NOMI__.*


***********************

       { Ma Meena Kar're }

***********************

 

Hagha Sar're Zama Qatil Dy

Zu Ye Wajaley Yama

Zu Pre Dawa Nu Kom

Zu Saza Nu Warkom

Zu Pre Jarga Nu Kom

Bas Domra Waim Warta

Che Zu Ye Pu Sa Wajlam

Akhir Gunah Mi Sa Wa

Che Domra Loya Saza

Pu Na Khabara Rakai

Kho Bas! Yao Swal Larama

Yaoa Pokhtana Kom

Ku Maintob Gunah Vi

Ku Lewantob Gunah Vi

No Ma Gunah Kar're Da

Zu Du Saza Laiq Yam

Ma De Be-Shaka mar'r Kr'ri

Zu Pre Dawa Nu Kom

Zu Pre Jarga Nu Kom

Ma Warta Khoon Bakhaley

Zaka.....

Ma Meena Kar're

 

**********NOMI**********

 

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo