Uss ke chahray ko tu ne theek se dakha hi nahi Panch jheelon ke barabar tou faqat ankhain hain



اس کے چہرے کو تو نے ٹھیک سے دیکھا ہی نئیں
پانچ جھیلوں کے برابر تو فقط آنکھیں ہیں

Uss ke chahray ko tu ne theek se dakha hi nahi
Panch jheelon ke barabar tou faqat ankhain hain

Kuch nahi chahiyye tujh se aye meri umr-e-rawan Meri gurya, mere jugnoo, mera bachpan laadey



Kuch nahi chahiyye tujh se aye meri umr-e-rawan
Meri gurya, mere jugnoo, mera bachpan laadey

Kehna ghalat ghalat !! Toh chupana ! Sahee sahee Qasid kaha jo Uss ne , btana ! sahee sahee




کہنا غلط غلط!! تو، چھپانا! صحیح صحیح
قاصد کہا جو اس نے، بتانا! صحیح صحیح
یہ صبح صبح چہرے کی، رنگت اُڑی ہوئی
کل رات تم!! کہاں تھے؟ بتانا! صحیح صحیح
دل لے کے میرا ہاتھ میں، کہتے ہیں مجھ سے وہ
کیا لو گے اس کے دام؟ بتانا صحیح صحیح

Kehna ghalat ghalat !! Toh chupana ! Sahee sahee
Qasid kaha jo Uss ne , btana ! sahee sahee
Ye subah subah chehre ki , rangat uri uri
Kal raat tum kahan tha ?? Batana sahee sahee
Dil le ke mera haath main , kehte hain mujh se woh
Kia lo ge is ke daam ?? Batana sahee sahee

Woh,Pehley DIL Mein Utarney Ke Fun Mein Taaq Hua Phir Uss Ne Seekha Hunar Baat Se Mukarney Ka




وُہ پِہلے دِل میں اُترنے کے فَن میں طاق ہُوا
پھِر اُس نے سِیکھا ہُنر ، بات سے مُکرنے کا

ہَم آیک بار نَہِیں ، بَار بَار مارے گئے
ہَمیں جُنون چَڑھا تھا، کِسی پہ مرنے کا


Woh,Pehley DIL Mein Utarney Ke Fun Mein Taaq Hua
Phir Uss Ne Seekha Hunar Baat Se Mukarney Ka

Hum Aik Baar Nahin,Baar Baar , Maarey Gaye
Humein Junoon Charha Tha Kisi Pe Marrney Ka


Aqal Aur Main Toh Muttafiq Hein Magar Aik DIL , Darmiyaan Mein Rehta Hai



عَقل آور مَیں ،تو مُتفِق ہیں مَگر
آیک دِل ، دَرمیان میں رِہتا ہَے

Aqal Aur Main Toh Muttafiq Hein Magar
Aik DIL , Darmiyaan Mein Rehta Hai

Guzarte ja rahe hain maah o saal zindgaani Magar ek gham pas e umar e rawan thehra hua hai



Guzarte ja rahe hain maah o saal zindgaani
Magar ek gham pas e umar e rawan thehra hua hai

Ik umar se hon lazzat e giriya se bhi mahroom Aa rahat e jaan mujhko rulaane k liye aa



Ik umar se hon lazzat e giriya se bhi mahroom
Aa rahat e jaan mujhko rulaane k liye aa

In barishon se keh do barsna hai toh khul kar barsai Itni rim jhim toh hamari aankhon mein hamesha rehti hai



ان بارشوں سے کہہ دو برسنا ہے تو کھل کے برسے
اتنی رم جھم تو ہماری آنکھوں میں ہمیشہ رہتی ہیں

In barishon se keh do barsna hai toh khul kar barsai
Itni rim jhim toh hamari aankhon mein hamesha rehti hai

Bai-jagah barasne par abar se gila kaisa Kon kitna piyasa hai barishon ko kiya maloom



بے جگہ برسنے پر ابر سے گلہ کیسا
کون کتنا پیاسا ہے بارشوں‌کو کیا معلوم

Bai-jagah barasne par abar se gila kaisa
Kon kitna piyasa hai barishon ko kiya maloom


Rook sako tu pehli barish ki bondo ko tum roko Kache mitthi tou mehkai gi hai mitthi ki majbori



روک سکو تو پہلی بارش کی بوندوں کو تم روکو
کچی مٹی تو مہکے گی، ہے مٹی کی مجبوری

Rook sako tu pehli barish ki bondo ko tum roko
Kache mitthi tou mehkai gi hai mitthi ki majbori

Jaan Ki Parwah Kis Ko Ho,Jab Qaatil Ho ,Yaaron Saa Baatein Hon Dildaaron Jaisi,Lehjah Ho , Gham Khawaaron Saa



جان کی پروا پھِر کِس کو ہو، جَب قاتل ہو یاروں سا
باتیں ہوں دِلداروں جیَسِی ،لِہجہ ہو غَم خواَروں سَا

Jaan Ki Parwah Kis Ko Ho,Jab Qaatil Ho ,Yaaron Saa
Baatein Hon Dildaaron Jaisi,Lehjah Ho , Gham Khawaaron Saa

Mujhe dard-e-dil ka pata na tha, mujhe aap kis liye mil gaye Main akela yuun hi maze mein tha, mujhe aap kis liye mil gaye



Mujhe dard-e-dil ka pata na tha, mujhe aap kis liye mil gaye
Main akela yuun hi maze mein tha, mujhe aap kis liye mil gaye

Yuun hi apane safar mein gum, kahi door main kahi door tum
Chale ja rahe the juda juda, mujhe aap kis liye mil gaye

Main ghareeb haath badha toh don, tumhe pa sakon ke na pa sakon
Meri jaan bahot hain ye faasla, mujhe aap kis liye mil gaye

Na main chaand hoon kisi shaam ka, na chiraagh hoon kisi baam ka
Main toh raaste ka hoon ek diya, mujhe aap kis liye mil gaye

kuch ishq tha kuch majbori thi so main ne jeewan war diya main kaisa zinda admi tha ik shakhs ne mujh ko mar diya



kuch ishq tha kuch majbori thi so main ne jeewan war diya
main kaisa zinda admi tha ik shakhs ne mujh ko mar diya

ye saja sajaya ghar saqi meri zat nahin mera hal nahin
ay kash kabhi tum jan sako jo us shakhs ne azar diya

main khuli hui ik sachai mujhe jan'ne wale jante hain
main ne kin logon se nafrat ki aur kin logon se pyar kiya

woh ishq bahut mushkil tha magar asan na tha yun jeena bhi
us ishq ne zinda rahne ka mujhe zarf diya pindar diya

ik sabz shakh gulab ki tha ik duniya apne pyar ki tha
woh ek bahar jo ai nahin us k liye sab kuch har diya

main rota hoon aur asman se tare tutate dekhta hon
un logon par jin logon ne mere logon ko azar diya

woh yar hon ya mahboob mere ya kabhi kabhi milne wale
ik lazzat sab k milne mein woh zakham diya ya pyar diya

Koi rafugari karay ga meri? Ishq khaa gya,jaga jaga se



کوئی رفوگری کرے گا میری
عشق کھا گیا "جگہ جگہ "سے

Koi rafugari karay ga meri?
Ishq khaa gya,jaga jaga se

Woh chahta tha magar pehlay,main ne chora haath Us ke hisay ki nidamat bhi uthaai main ne



وہ چـاہتـا تھـا مگـر پہلـے مـیں نـے چـھوڑا ہاتـھ
اُس کـے حصـے کـی ندامـت بھـی اُٹھـائـی مـیں نـے

Woh chahta tha magar pehlay,main ne chora haath
Us ke hisay ki nidamat bhi uthaai main ne

Harees Nazren Haya Ki Devi Ko Nochti Hain Azab e Jaan Hai Kisi Ki Beti Agar Jawan Hai



حریص نطریں حیا کی دیوی کو نوچتی ہیں
عذابِ جاں ہے کسی کی بیٹی اگر جواں ہے

Harees Nazren Haya Ki Devi Ko Nochti Hain
Azab e Jaan Hai Kisi Ki Beti Agar Jawan Hai

Basti Bhi Samandar Bhi Bayabaan Bhi Mera Hai Aankhen Bhi Meri Khuwaab e Pareshan Bhi Mera Hai



بستی بھی سمندر بھی بیاباں بھی مرا ہے
آنکھیں بھی مری خواب ِ پریشاں بھی مرا ہے
جو ڈوبتی جاتی ہے وہ کشتی بھی ہے میری
جو ٹوٹتا جاتا ہے وہ پیماں بھی مرا ہے

Basti Bhi Samandar Bhi Bayabaan Bhi Mera Hai
Aankhen Bhi Meri Khuwaab e Pareshan Bhi Mera Hai
Jo Doobti Jati Hai Woh Kashti Bhi Hai Meri
Jo Toot'ta Jata Hai Woh Paimaan Bhi Mera Hai

Betiyan Zakhm ... Seh Nahi Patein Betiyan Dard ... Keh Nahi Patein



ﺑﯿﭩﯿﺎﮞ ﺯﺧﻢ ... ﺳﮩﮧ ﻧﮩﯿﮟ ﭘﺎﺗﯿﮟ
ﺑﯿﭩﯿﺎﮞ ﺩﺭﺩ ... ﮐﮩﮧ ﻧﮩﯿﮟ ﭘﺎﺗﯿﮟ
ﺑﯿﭩﯿﺎﮞ ﺍٓﻧﮑﮫ ... ﮐﺎ ﺳﺘﺎﺭﺍ ﮨﯿﮟ
ﺑﯿﭩﯿﺎﮞ ﺩﺭﺩ ... ﻣﯿﮟ ﺳﮩﺎﺭﺍ ﮬﯿﮟ۔
ﺑﯿﭩﯿﻮﮞ ﮐﻮ ... ﮨﺮﺍﺱ ﻣﺖ ﮐﺮﻧﺎ
ﺍﻥ ﮐﻮ ﮨﺮ ﮔﺰ ... ﺍﺩﺍﺱ ﻣﺖ ﮐﺮﻧﺎ
ﺑﯿﭩﯿﺎﮞ ﻧﻮﺭ ... ﮨﯿﮟ ﻧﮕﺎﮨﻮﮞ ﮐﺎ
ﺑﯿﭩﯿﺎﮞ ﺑﺎﺏ ... ﮨﯿﮟ ﭘﻨﺎﮨﻮﮞ ﮐﺎ
ﺑﯿﭩﯿﺎﮞ ﺩﻝ ﮐﯽ ... ﺻﺎﻑ ﮨﻮﺗﯽ ﮨﯿﮟ
ﮔﻮﯾﺎ ﮐﮭﻠﺘﺎ ... ﮔﻼﺏ ﮨﻮﺗﯽ ﮨﯿﮟ
ﺑﯿﭩﯿﺎﮞ ﻋﮑﺲ ... ﺍﭘﻨﯽ ﻣﺎﻭٔﮞ ﮐﺎ
ﺑﯿﭩﯿﺎﮞ ﮨﯿﮟ ... ﺛﻤﺮ ﺩﻋﺎﻭٔﮞ ﮐﺎ
ﺑﯿﭩﯿﻮﮞ ﮐﻮ ... ﺳﺰﺍﺋﯿﮟ ﻣﺖ ﺩﯾﻨﺎ
ﺍﻥ ﮐﻮ ﻏﻢ ﮐﯽ ... ﻗﺒﺎﺋﯿﮟ ﻣﺖ ﺩﯾﻨﺎ
ﺑﯿﭩﯿﺎﮞ ﭼﺎﮨﺘﻮﮞ ...ﮐﯽ ﭘﯿﺎﺳﯽ ﮨﯿﮟ
ﯾﮧ ﭘﺮﺍﺋﮯ ﭼﻤﻦ...ﮐﯽ ﺑﺎﺳﯽ ﮨﯿﮟ
ﺑﯿﭩﯿﺎﮞ ﺑﮯ ﻭﻓﺎ ... ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﺗﯿﮟ
ﯾﮧ ﮐﺒﮭﯽ ﺑﮭﯽ ... ﺧﻔﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﺗﯿﮟ
 
Betiyan Zakhm ... Seh Nahi Patein
Betiyan Dard ... Keh Nahi Patein
Betiyan Aankh ... Ka Sitara Hain
Betiyan Dard ... Mein Sahara Hain
Betiyon Ko ... Haras Mat Karna
Inko Hargiz ... Udaas Mat Karna
Betiyan Noor ... Hain Nigahon Ka
Betiyan Baab ... Hain Panahon Ka
Betiyan Dil ... Ki Saaf Hoti Hain
Goya Khilta ... Gulaab Hoti Hain
Betiyan Aks ... Apni Maaon Ka
Betiyan Hain ... Samar Duaon Ka
Betiyon Ko ... Sazaein Mat Dena
Inko Gham Ki ... Qabaein Mat Dena
Betiyan Chahaton ... Ki Piyasi Hain
Ye Paraye Chaman ... Ki Baasi Hain
Betiyan Be-Wafa ... Nahi Hotein
Ye Kabhi Bhi ... Khafa Nahi Hotein

ek hum hain keh parastish pe aqeeda hi nahin aur kuchh log yahan ban ke khuda baithe hain



ایک ہم ہیں کہ پرستش پہ عقیدہ ہی نہیں
اور کچھ لوگ یہاں بن کے خدا بیٹھے ہیں
ek hum hain keh parastish pe aqeeda hi nahin
aur kuchh log yahan ban ke khuda baithe hain

Yunhi anjanay mein us se rafaqat ho gai, Dosti kernay chalay aur us se chahat ho gai,



Yunhi anjanay mein us se rafaqat ho gai,
Dosti kernay chalay
aur
us se chahat ho gai,
woh na ho toh main khud se hi
ulajhta hoon,
kia karo mujhay us ki Aadat ho gai
Main apnay wajood mein us ko
talaash karta hoon,
Mujhe us se is qadar muhabbat
ho gai,
Mere pass Aao to jee loon do pal
Meri toh har saans us ki amaanat
ho gai,
Main sochta tha us k aagay
zindagi kia hai
Par usy chahne kay Liye zindagi ki
zaroorat ho gai.

Kabhi Atthkeliyaan Karna Hawa Se Kabhi Titli Ki Khawahish Mein Machalna



چراغِ شام جَلتا ہَے

کَبھِی آٹھکیلیاں کَرنا ہَوا سے
کَبھِی تِتلی کی خواہش میں مچَلنا
ہمیں بھی رَاس آتا جارہا ہے
تُمھارے غَم کی بانہوں میں سنبھلنا

Charaagh e Shaam Jalta Hai

Kabhi Atthkeliyaan Karna Hawa Se
Kabhi Titli Ki Khawahish Mein Machalna
Hamein Bhi Raas Aata Ja Raha Hai
Tumhare Gham Ki Bahon Mein Sambhalna

Ta Naqaab Da Makha Lare Kra Bas Za Ba Darta Goram Da Nazar Parwah Onakre Khaibar Dak Da Spelano Dy



Khatir Waai
Ta Naqaab Da Makha Lare Kra Bas Za Ba Darta Goram
Da Nazar Parwah Onakre Khaibar Dak Da Spelano Dy

Hamza Warta Waai
Da Nazara Ma Yarega Nazarmate De Hum Za Yam
Che HAMZA Darna Logay Shi Spelano Ta Hajat Neshta

Itni Thokren Marny Ka Shukria Ay Zindagi Chalny Ka Na Sahi Sanbhalny Ka Hunar Tou Aa Hi Gaya





passionate shifai,Parveen Shakir,Rahat indori



Door Tak Chhaaye Thay Badal Aur Kahein Saya Na Tha
Iss Tarah Barsaat Ka Mausam Kabhi Aaya Na Tha
Qateel Shifai

Kuch Tou Tere Mausam Hi Mujhe Raas Kam Aaye
Aur Kuch Mere Mitthi Mein Baghawat Bhi Buhat Thi
Parveen Shakir

Main Aakhir Konsa Mausam Tumhare Nam Kar Deta
Yahan Har Mausam Ko Guzar Jane Ki Jaldi Hai
Rahat Indori

We needed far and there was no shadow
The weather of barsaaat has never come like this.

passionate shifai
Some of your weather will be useful to me.
And there was a lot of will in my death

Parveen Shakir
What weather will I do for you?
Here every season was going to pass.

Rahat indori

Mukhtasar Hoe Pehle Guftgo Ke Sisilay Aahista Aahista Khamoshi Ta'aluq Nigal Gai



Mukhtasar Hoe Pehle Guftgo Ke Sisilay
Aahista Aahista Khamoshi Ta'aluq Nigal Gai

Kisi Ka Ishq ,Kisi Ka Khayal Thay Hum Bhi Gaye Dino Me Buhat Ba-Kamaal Thay Hum Bhi



Kisi Ka Ishq ,Kisi Ka Khayal Thay Hum Bhi
Gaye Dino Me Buhat Ba-Kamaal Thay Hum Bhi
Humari Khoj Me Rehti Thi Titlian Aksar
Keh Apne Shehar Ka San o Jamaal Thay Hum Bhi
Parveen Shakir

Ishaq samandar tarna panda ay Sukh Li dukh vi jarna panda ay



عشق سمندر ترنا پیندا اے
سُکھ لئی دُکھ وی جرنا پیندا اے
حق دی خاطر لڑنا پیندا اے
جیون لئی مرنا پیندا اے

Ishaq samandar tarna panda ay
Sukh Li dukh vi jarna panda ay
Haq de khatir larna panda ay
Jeewan Li marna panda ay

Manoo bhi

Soch Da Keerha , Andaro n Andar Pura Banda Tuk Jaandah Aey Duniya Raazi Kadi Naien Hoyi Banda Mukda Muk ,Jaanda Aey




Soch Da Keerha ,
Andaro n Andar
Pura Banda Tuk
Jaandah Aey

Duniya Raazi Kadi Naien Hoyi
Banda Mukda Muk ,Jaanda Aey

ہماری سوچیں آور تفَکرات ہمیں آندَر ہی آندر
دیمک کی طرح کھَوکھلا کر دیتی ہیں

دُنیا کو راضی کرنا بُہت مُشکل ہے ،ہر کوئی
آپ سے خُوش نہیں ہو سکتا
چاہے بندہ آپنی جِند جان سے کوشش
کَرتا ہُوا ہَلکان ہو جائے

Jane Kab Tak Teri Tasweer Nigahon Mein Rahi Ho Gai Raat Tere Aks Ko Takty Takty



جانے کب تک تیری تصویر نگاہوں میں رہی
ہوگٸی رات تیرے عکس کو تکتے تکتے
میں ںے پھر تیرے تصور کے کسی لمحے میں
تیری تصویر پے لب رکھ دیے آہستہ سے
پروین شاکر

Jane Kab Tak Teri Tasweer Nigahon Mein Rahi
Ho Gai Raat Tere Aks Ko Takty Takty
Main Ne Phir Tere Tasawwer Ke Kisi Lamhe Mein
Teri Tasweer Pe Lab Rakh Diye Aahista Se
Parveen Shakir

Shagufta Log Bhi Toote Hue Hote Hain Andar Se Bohat Rote Hain Woh Jinko Lateefe Yaad Rehte Hain



Shagufta Log Bhi Toote Hue Hote Hain Andar Se
Bohat Rote Hain Woh Jinko Lateefe Yaad Rehte Hain

Tum Ney Bahir Se Dekh Rakha Hai Main Buhat Mukhtalif Hoon Andar Se



تم نے باہر سے دیکھ رکھاّ ہے
میں بہت مختلف ہوں اندر سے

Tum Ney Bahir Se Dekh Rakha Hai
Main Buhat Mukhtalif Hoon Andar Se

achchi nahin yeh khaamshi shikwa karo gila karo yun bhi na kar sako toh phir ghar mein khuda khuda karo



achchi nahin yeh khaamshi shikwa karo gila karo
yun bhi na kar sako toh phir ghar mein khuda khuda karo

shohrat bhi uss ke saath hai daulat bhi uss ke haath hai
khud se bhi woh mile kabhi uss ke liye dua karo

Ankhon ko intazar ka day kar hunar chala gaya Chaha tha aik shakhs ko jany kidhar chala gaya



Ankhon ko intazar ka day kar hunar chala gaya
Chaha tha aik shakhs ko jany kidhar chala gaya

Din ki woh mehfilain gayi raton kay ratjagay gaye
Koi samait kar meray sham o sahar chala gaya

Kahien Hai Aas Ka Badal,Kahien Yaadon Ki Bundein Hein Machalti Khawahashon Ka Hai ,Yeh Mausam Baarishon Ka Hai



کَہِیں ہے آس کا بادل ، کَہِیں یادَوں کی بُوندیں ہیں
مَچَلتی خواہشوں کا ہے ، یِہ مَوسَم بارشَوں کا ہَے
اتباف ابرک

Kahien Hai Aas Ka Badal,Kahien Yaadon Ki Bundein Hein
Machalti Khawahashon Ka Hai ,Yeh Mausam Baarishon Ka Hai
Atbaf Abrak

logon ka ehsaan hai mujh par aur tera main shukr-guzaar teer-e-nazar se tum ne maara laash uthaai logon ne



لوگوں کا احسان ہے مجھ پر اور ترا میں شکر گزار
تیر نظر سے تم نے مارا لاش اٹھائی لوگوں نے

logon ka ehsaan hai mujh par aur tera main shukr-guzaar
teer-e-nazar se tum ne maara laash uthaai logon ne

BAHADUR SHAH ZAFAR

jahan saare hawa banne ki koshish kar rahe they wahan bhi hum diya banne ki koshish kar rahe they



jahan saare hawa banne ki koshish kar rahe they
wahan bhi hum diya banne ki koshish kar rahe they

humen zor-e-tasawwur bhi ganwana par gaya hum
tasawwur mein ḳhuda banne ki koshish kar rahe they

zameen par aa gire jab asman se ḳhuwaab mere
zameen ne pochha kya banne ki koshish kar rahe they

unhein ankhon ne bedardi se be-ghar kar diya hai
ye aansoo qahqaha banne ki koshish kar rahe they

humein dushwariyon mein muskurane ki talab thi
hum ik tasweer sa banne ki koshish kar rahe they

Da Imarat e Islami Tarana



Da Imarat e Islami Tarana
Paka Irada Pak Mo Murad
Pak Laro Shaa'ar Da Aljihad
Sar Ao Maal Mo Dy Pa Deen Qurban
Yao Klak Musalman
Tal La Meeyanza Wro Kufar Ilhaad
Yao Mo Paighambar Yao Mo Imam
Hum Mo Dy Spezaly Deen Islam
Yao Aawaaz Yao Qowat Imarat Imarat
Vi De Tal Tar Tala Zindabad
Speen Mo Dy Beragh Speen Mo Nishan
Speena Aqeeda Ao Speen Quran
Yao Laro Hadaf Ao Yao Maseer
Yao Mo Dy Ameer
Kro Pre Sal Feesada Etemaad

phir rah-e-ishq wahi zad-e-safar mange hai waqt phir qalb-e-tapan deeda-e-tar mange hai



phir rah-e-ishq wahi zad-e-safar mange hai
waqt phir qalb-e-tapan deeda-e-tar mange hai

sajde maqbool nahin bargah-e-naz mein ab
astaan husn ka sajde nahin sar mange hai

kis ne pahuncha diya us hosh-ruba waadi mein
keh jahan wahshat-e-dil zad-e-safar mange hai

meri duniya ke taqazon hi pe mauqoof nahin
deen bhi ek naya fikr-o-nazar mange hai

ishq ko zawiya-e-deed badalna hoga
jalwa-e-husn naya zauq-e-nazar mange hai

sab ki aankhon se bacha kar jo kabhi laote they
waqt har chor se woh laal-o-gohar mange hai

deen o duniya ho keh ho ishq o hawas ay "saghar"
har koi khoon-e-jigar khoon-e-jigar mange hai
Saghar Siddiqui

Mere mukkamal hone mein jitne saans lagte hain Utne de diye khair mein maine ne jaa



Mere mukkamal hone mein jitne saans lagte hain
Utne de diye khair mein maine ne jaa

Bakhsha hai jis ne rooh ko zakhmon ka pairahin Mohsin woh shakhs kitna tabeeyat shinas tha



بخشا ہے جس نے روح کو زخموں کا پیراہن
محسنؔ  وہ شخص کتنا طبیعت شناس تھا

Bakhsha hai jis ne rooh ko zakhmon ka pairahin
Mohsin  woh shakhs kitna tabeeyat shinas tha
Mohsin Naqvi

lamha-dar-lamha teri raah taka karti hai ek khirki teri aamad ki dua karti hai



lamha-dar-lamha teri raah taka karti hai
ek khirki teri aamad ki dua karti hai

silwaten cheekhti rehti hain mere bistar ki
karwaton mein hi meri raat kata karti hai

waqt tham jata hai ab raat guzarti hi nahin
jaane deewar-ghadi raat mein kya karti hai

chand khirki mein jo aata tha nahin aata ab
tergi charon taraf raqs kiya karti hai

mere kamre mein udasi hai qayamat ki magar
ek tasweer purani si hansa karti hai

Jab Safina Mauj se Takra Gaya Nakhuda Ko Bhi Khuda Yaad Aa Gaya



Iss Liye Tasweer e Janaan Hum Ne Banwaai Nahi



ایک بادشاہ نے تین آدمی طلب کیئے ان میں سے ایک عاشق تھا ، دوسرا نابینا تھا ، تیسرا فقیر تھا ، بادشاہ نے ان تینوں سے
 Aik Badsha Ne Teen Admi Talab Kiye In Me Se Aik Ashiq Tha,Dosra Nabeena Tha , Teesra Faqeer Tha ,Badsha Ne Un Teenio Se
 
کہا کہ میرے دماغ میں ایک مصرعہ آیا ہے تم لوگ اس کو مکمل کردو، مصرعہ یہ ہے
Kaha Keh Mere Demaagh Me Aik Misra Aaya Hai , Tum Log Isko Mukamal Kar Do , Misra Ye Hai
 
(اسلئے تصویر جاناں ہم نے بنوائی نہیں)
Iss Liye Tasweer e Janaan Hum Ne Banwaai Nahi
 
تینوں نے تھوڑا سوچ بچار کیا اور اپنے اپنے حساب سے شعر بنائے جو کچھ یوں تھے ۔
Teeno Ne Thoda Soch Bichar Kia Aur Apne Apne Hisaab Se Shair Banaye Jo Kuch Yun Thay
 
عاشق
Aashiq
ایک سے جب دو ہوئے پھر لطف یکتائی نہیں
اسلئے تصویر جاناں ہم نے بنوائی نہیں
Aik Se Jab Do Hoe Phir Lutf e Yaktayi Nahi
Iss Liye Tasweer e Janaan Hum Ne Banwaai Nahi
 
نابینا
Na-Beena
ہم میں بینائی نہیں اور اس میں گویائی نہیں
اسلئے تصویر جاناں ہم نے بنوائی نہیں
Hum Mein Beenaai Nahi Aur Uss Mein Goyayi Nahi
Iss Liye Tasweer e Janaan Hum Ne Banwaai Nahi
 
غریب
Ghareeb 
مانگے پیسے مصور نے جیب میں پائی نہیں
اسلئے تصویر جاناں ہم نے بنوائی نہیں
Maangy Paise Musawwer Ne Jaib Mein Paai Nahi
Iss Liye Tasweer e Janaan Hum Ne Banwaai Nahi
 

Niyaz o naaz ki rodad husn o ishq ka qissa Yeh jo kuch bhi hai sab unki hamari dastaan tak hai



Niyaz o naaz ki rodad husn o ishq ka qissa
Yeh jo kuch bhi hai sab unki hamari dastaan tak hai

Bedam Shah Warsi

is zindagi mein itni FARAGHAT kise naseeb itna na yaad aa keh tujhe bhool jaaen hum



اس زندگی میں اتنی فراغت کسے نصیب 
 اتنا نہ یاد آ کہ تجھے بھول جائیں ہم

is zindagi mein itni FARAGHAT kise naseeb
itna na yaad aa keh tujhe bhool jaaen hum

kisi ko yaad kar ke ek din khalwat mein roya tha nahin maloom kyun jab se NADAMAT barhti jaati hai



کسی کو یاد کر کے ایک دن خلوت میں رویا تھا
نہیں معلوم کیوں جب سے ندامت بڑھتی جاتی ہے

kisi ko yaad kar ke ek din khalwat mein roya tha
nahin maloom kyun jab se NADAMAT barhti jaati hai

Hum Jante Toh Ishq Na Karte Kisi K Saath Le Jate Dil Ko Khaak Mein Is Arzoo Ke Saath



ہم جانتے تو عشق نہ کرتے کسی  کے ساتھ
لے جاتے دل کو خاک میں اس آرزو کے ساتھ

Hum Jante Toh Ishq Na Karte Kisi K Saath
Le Jate Dil Ko Khaak Mein Is Arzoo Ke Saath

Mosum ki ada aj bhi purkaif hai lekin Jo tere saath Guzara is waqt ki hasrat nahi jati






موسم کی ادا آج بھی پُر کیف ھے لیکن
جو تیرے ساتھ گزرا اس وقت کی حسرت نہیں جاتی

Mosum ki ada aj bhi purkaif hai lekin
Jo tere saath Guzara is waqt ki hasrat nahi jati

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo